Hazrat yusuf or hazrat yaqub ki mulaqat islamic kahaniyan in hindi 9>> Bhaiyo ki Ma’azrat(Ma’afi) Aur Aapka Ma’af karna :-
Quraane Kareem me He ki
“(Yusuf Alayhesalam ke Bhai) Bole KHUDA ki Kasam Beshak ALLAH ne Aapko Ham par Fazilat di Aur Beshak Ham Khatawar the, Kaha Aaj Tum par Kuch Malaamat nahi ALLAH Tumhe Ma’af kare Aur wo Sab Maherbanose Badh kar Maherbaan he”
(Surah Yusuf, Aayat – 91, 92)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Apne Bhaiyo ke Saamne Zikr kiya ki “Me Yusuf hu ALLAH TA’ALA ne Ham par Ahesaan kiya Aur jo Shaksh Bhi Gunaaho se Bachta he Aur Lougo ki Azeet(Satane) par Sabr Karta he ALLAH TA’ALA Ushe Zaya Nahi karta”
To ye Soon kar Aapke Bhaiyo ne Aapke Kamaalaat ka Eyteraaf karte hue kaha
ALLAH ne Aapko Ham Par Ilm, Hosla-Mandi, Aqal, Fazal va Kamaal, Husn Aur Baadhshahat Me Fazilat Aata ki, Aur Beshak Ham Khtawaar the,
Bhaiyo ne Azr Peish kiya ki Hamne Aapko jo Kuwe me Dala, Aapko Beiycha, Gharse Nikala Aur Aapko Walid(Baap) se Door kiya, Ye Sab Hamari Khatae he, Bhaiyo ki Ma’azrat par Yusuf Alayhesalam ne Farmaya
Aaj Tum par Kuch Nahi (Yaani Na Tum Par koi Aar he Aur Na Kuch Tobikh(Salah) he, Yaani ye Aylaan Aaj se Me Hameisha ke liye kar raha hu Kabhi Bhi Tumhe Maazi(Piche) ke Waqiyaat par Aar nahi dilaai jayegi) ALLAH TA’ALA Tumhe Ma’af kare, Aur wo Sab Maherbano se Badhkar Maherbaan he”
Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Bhai Jab Bahot Zyada Nadim(Afshos) ho rahe the Aur Arz kar rahe the ki Tum to Hame Subah va Saam Apne Dastarkhwaan par Bitha kar Khana Khilaate rahe Lekin Hamne Aap se Jo Kaam kiye Hame To Unse Bahot Badi Mazammat ho rahi he, to Yusuf Alayhesalam ne Fyazi ka Muzahira Karte hue Kaha Meire Bhaiyo Tum Nadim kyu hote ho…?? Muje to Tumhare Aane se Bahot Badi Khushi Hui he, Kyunki Me Misr ka Hukmuraan bhi Ban gaya hu Aur Misri Loug Meire Gulaam Ban kar Aazaad hue, Lekin Fir bhi Unke Zaheno me Ye Baat Zaroor hogi ki 20 Dirham ka Kharida huwa Gulaam Misr ka Hakim Ban Gaya he, Lekin Aaj unke Saamne Ye Wajeh ho chuka he ki Tum Meire Bhai ho, Me Ibhrahim Alayhesalam ka Par-Pouta hu, Koi Gulaam Nahi tha, Taqdeer Aur RABB ki Taraf se Aazmaish ki Wajah se Gulamiyat se Mutassif huwa, Aaj Tumhare Aane Aur Mere Zaaher karne se Sab Lougo ki Nazar me Muje Azmat Mili he, Meri Sarafat Aur Khandaane Nabuwwat ka Ek Fard hone ki Hesiyat se Meira Bol-Bala huwa.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-205)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-226)
 

>> Misr se Kameez ki Rawangi :-

Quraan Sareef me he ki
“(Hazrat Yusuf Alayhesalam ne kaha) Meira ye Kurta le Jaav, Ushe Meire Baapke Mooh par Daalo Unki Aankhe Khul Jayegi Aur Apne Sab Gharbharko Meire Paas le Aao”
(Surah Yusuf, Aayat-93)
>> Wo Kameez Konshi thi…??
Ye Aam Kameez thi Jo Aapne Zeib-tan(Pahen) kar rakhi thi Ya wo Kameez thi Jo Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Aaag me Pahenaai gayi thi Aur Jannat se Laai gayi thi, Baad me Hazrat Ishaaq Alayhesalam Aur Yaqub Alayhesalam ke Paas Pahoch gayi, Yaqub Alayhesalam ne Yusuf Alayhesalam ko Bhaiyo ke Saath Bhejte Waqt Aapke Gale me Batoure Ta’awiz daali thi, Ab Zibrail Alayhesalam ne Aakar Aapko Kaha ki Ye Kameez Apne Walid ki Taraf Bhej do Taaki Unhe Iske Zariye Nazar Wapis Mil jaaye.
(Tafseere Abu Al Saud, Jild-4, Safa-305)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo ko Kaha Ki Tum Gharwalo ko Meire Paas le Aao Us Waqt Yaqub Alayhesalam ke Gharke Afraad Jinme Mard, Aurate, Bacche Yaani Aapki Aulaad Ya Aulaad ki Aulaad Wageira 72 se 96 tak the.
(Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-53)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-227, 228)
Hazrat hood alaihissalam or qome aad story in Hindi urdu part 1
>> Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Binaai Wapis Aana
Quraan Sareef me he ki
“Jab Kaafla Misr se Juda huwa, Yaha Unke Baapne kaha Beshak Mei Yusuf ki Khusbu Pata hu Agar Muze ye na Kaho ke Sathiya gaya he, Beite Bole KHUDA ki Kasam Aap Apni Ushi Puraani Khud Rafatgime he, Fir Jab Khushi Sunanewala Aaya Usne woh Kurta Yaqub(Alayhesalam) ke Mooh par Dala Ushi Waqt Uski Aankhe Fir Aai Kaha Mei Na Kehta tha ke Muze ALLAH ki wo Shaane Ma’alum he Jo Tum Nahi Jante”
(Surah Yusuf, Aayat – 94, 95, 96)
Jab Misr se Kameez ko Yaqub Alayhesalqm ke Ghar lane ke liye Nikala Gaya to Yaqub Alayhesalam ne Uski Khusbu Soongli, Aapne Beito ke Bageir Dusre Ahle Khana(Khandaan) ko kaha Muje Yusuf ki Khusbu Aa rahi he Agar Tum Meri Raay ko Zaif na Samjo,
Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Itni Door se Khusbu Keishe Soongli…?? Iska Jawab Wajeh he ki ALLAH TA’ALA ki Qudrat se koi Baeed nahi Aur Khususan Jab Aap ko Kameez se Uthne Wali Jannat ki Khusbu Aayi To Yaqub Alayhesalam ne Farmaya ki ye Khusbu Us Jannati Kameez ki Bageir Kishi Aur ki Nahi ho sakti..
To Ahle Khana(Khandaan walo) ne Kaha Tum to Abhi Yusuf ki Puraani Mohabbat me hi Warafta ho, Aap Unko Kabhi Bhool nahi sakte Aur Na hi Aapke Dil se Wo Nikal Sakte he.
Kameez Laane Wala Aur Khus-Khbari Deine wala Aapka Beita Yahuda tha,
Usne Aapki Ankho Par Kameez ko Daal diya Ya Aapko Kameez de di Aur Aap ne Khud hi Kameez ko Apni Aankho Par Lagaya,
Kameez Aankho ko Lagane se Binaai Wapis Apni Asali Halaat Par Aagayi,
(SubhanAllah..)
Yaqub Alayhesalam ne Khus Khabari Laane wale Shaksh se Pucha Tu ne Yusuf ko Keishe Haal me Choda he…??
Usne Kaha Wo To Misr ke Baadshah he,
Yaqub Alayhesalam ne Farmaya Muje Baadshahat se kya Garz..? Ye Batao Tumne Ushe Kis Din Par Choda..?
To Usne Kaha ISLAM par,
To Yaqub Alayhesalam ne Farmaya Ki Ab Ne’amat ki Takmeel hui ki Khus-Khabari kaamil Hasil ho gayi.
Yaqub Alayhesalam ne Tamam Ahle Khana(Khandaan Walo) ko Aur Aane wale Tamam Beito ko Kaha
Jab Meine Tumhe Misr Bheija tha Aur Tumhe Hukm diya ki Yusuf ko Talaas karo, Aur Meine Tumhe ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid hone se Mana kiya tha, To Meine Us Waqt Tumhe Kya Na Kaha tha ki ALLAH TA’ALA se Jo Me Janta hu Wo Tum Nahi Jante, Yaani Muje ye Ma’alum tha ki Yusuf Alayhesalam Zinda he,
(Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-54, 55)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-228, 229)
SubhanAllah..
Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aag me dalnne ka waqiya in hindi 3
>> Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Beito ka Aapse Ma’afi Talab Karna :-
Quraan e Majeed me he ki
“(Beite) Bole Ay Hamare Baap Hamare Gunaah ki Ma’afi Mangiye Beshak Ham Khataawar he, (Hazrat Yaqub Alayhesalam ne) Kaha Jald Mei Tumhari Bakhsis Apne RABB se Chahunga Beshak Wohi Bakhshne wala Maherbaan he”
(Surah Yusuf, Aayat- 97, 98)
Beito ne Yaqub Alayhesalam se Apne Gunaho ki Magfirat Talab karne ki Darkhwast ki ke Aap Hamare Baap he, Safeeq he, Ham Khataawar he, Aap Dargujar karte hui Hamare Liye ALLAH TA’ALA se Hamari Galtiyo ki Ma’afi Talab kare, Agar Aapne Hamare liye Dua Naa ki to Ham Galtiyo ki Wajah se ALLAH TA’ALA ki Giraft me Aakar Halaak ho jayenge, Aap Agar Rahem Nahi karenge to Ham Par Aur kon Rahem Karega..
Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Wa’ada Farmaya Ki Mei Jaldi hi Tumhari Bakhsees Apne RABB se Talab karunga Aur Hamesha Talab karta Rahunga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-230)
 
>> Hazrat Yaqub Alayhesalam Aur Aapke Khandaan ki Misr me Aamad Aur Yusuf Alayhesalam se Mulaqaat
Quraan Sareef me he ki
“Fir Jab wo Sab Yusuf (Alayhesalam) ke Paas Pahunche Usne Apne Maa Baap ko Apne Paas Jagah di Aur Kaha Misr me Dakhal ho ALLAH Chahe to Amaan ke Saath”
(Surah Yusuf, Aayat-99)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Apne Walide Mukarram ko Aur Unke Khandaan ke Bulane ke liye Apne Bhaiyo ke Saath 200 Sawaariya Aur Kaseer (Zyada) Saaman Bheja tha, Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Misr ka Irada Farmaya Aur Apne Khandaan ko Jama kiya, (Mashoor Qoul ke Muta’abik 72 ya 73 Mard-Aurato ki Taadad thi),
Hazrat Yaqub Alayhesalam Misr ke Qareeb Pahonche to Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Misr ke Baadshah Aazam (Khyaal Rahe ki Yusuf Alayhesalam Is Waqt Azize Misr yaani Wazire Aazam the, Farq ye tha ki Aap Baadshah the Aur Walid Bin Rayaan Baadshah Aazam tha ) ko Apne Walide Mukarram ki Tasreef Aawari ki Ittelaa(Khabar) di Aur 4000 Laskari Aur Bahot se Misri Sawaro ko Hamraah le kar Aap Apne Walid ke Isteqbaal ke liye Rawana hue,
Hazrat Yaqub Alayhesalam Apne Beite Yahuda ka Sahara liye Tasreef La rahe the, Jab Aap ki Nazar Laskar par Padhi Aur Aapne Deikha ki Bade Zarq-Barq Sawaro se Sahrapar ho Rahe he to Yaqub Alayhesalam ne Farmaya Ay Yahuda Kya ye Firown e Misr he (Misr ke Baadshah ka Laqab Firown tha) Jiska Laskar Is Shaano Showkat se Aa raha he…?
Arz kiya Nahi ye to Aapke Farzand Yusuf Alayhesalam he Jo Aapke Isteqbaal ke liye Aa rahe he,
Hazrat Jibrail Alayhesalam ne Yaqub Alayhesalam ko Mut’ajib deikh kar Arz kiya Hawaa ki Taraf Nazar Farmaye Aapke Sarur me Showkat ke liye Malaika(Fariste) Hazir hue he, Jo Muddato Aapke Gam ke Sabab Rote rahe he, Malaika ki Tasbeeh se Aur Ghodo(Horse) ke Hanhaane se Ajeeb Kefiyat Peida hoti thi, Ye Moharram ki 10wi Tarikh thi, Jab Dono Hazraat Ek-Dusre ke Qareeb hue to Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Arz karne ka Irada Zaher kiya, To Hazrat Jibrail Alayhesalam ne Arz ki Aap Toqif(Thehre) kijiye Walid e Mukarram ko Pehle Salam karne ka Mouka de, Chunanche Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Farmaya
“اسلام عليك يا مذهب الاحزان”
(Assalamo Alayka Ya Muzhebal Ahzaane)
Yaqub Alayhesalam ki Pehle Salam karne me Hikmat ye thi ki Wajeh ho Jaaye ki Hazrat Yaqub Alayhesalam ALLAH TA’ALA ke Huzur Banisbat Hazrat Yusuf Alayhesalam se Zyada Mukarram he, Ek Dusre se Mulaqaat hui to Khushi ka ye Aalam tha ki Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Gale se Lagaya Aur Unka Bousa liya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-210)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-7, Safa-57)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-231, 232)
Hazrat saleh Alayhesalam story in hindi urdu part 2
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Khwaab ka Pura hona :-
Quraane Kareem me he ki
“Aur Apne Maa-Baap ko Takht Par Bithaya Aur Sab Uske liye Sajde me Gire Aur Yusuf (Alayhesalam) ne kaha Ay Meire Baap Ye Meire Pehle Khwaab ki Ta’abir he Beshak Ushe Meire RABB ne Saccha kiya Aur Beshak Usne Muz par Aheshaan kiya ke Muze Qeid se Nikala Aur Aap Sabko Gaanv se le Aaya Baad iske ke Seitaan ne Muzme Aur Meire Bhaiyo me Nachaki Kara di thi Beshak Meira RABB Jis Baat ko Chahe Aashan karde Beshaq Wohi Ilm Hikmatwala he”
(Surah Yusuf, Aayat-100)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bachpan me jo Khwaab deikha ki Muje Chand-Suraj Aur 11 Sitaare Sajda Kar rahe he, Wo Khwaab Aapka Pura ho gaya ki Hazrat Yaqub Alayhesalam Jab Apne Ahal wa Eyaal ke Saath Misr me Aaye to Yusuf Alayhesalam ne Unhe Apne Takht par Jalwagar kiya to Yusuf Alayhesalam ko Aapke Maa-Baap Aur 11 Bhaiyo ne Sajda kiya Ishi Wajah se Yusuf Alayhesalam ne kaha ye Meire Pehle Khwaab ki Ta’abir he,
Khyaal rahe ki Baaz Hazrat ne Farmaya
“Beshak ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhesalam ki Walida(Maa) ko Zinda karke Qabr se Nikala Taaki Ye bhi Yusuf Alayhesalam ko Sajda karle ki Unka Khwaab Saccha ho jaaye,
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-201)
>> Note :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam se Mulaqaat hone ki Wajah se ALLAH TA’ALA ko Sabne Sajda kiya Yaani Ye Sajda Dar-Haqiqat ALLAH TA’ALA ko tha, RABB ka Shukriya Ada kiya gaya ki Hazrat Yusuf Alayhesalam mil gaye he.
(Tazkiratul Ambiya Alahesalan, Safa-236)
 
>> Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Wafaat Aur Qabr :-
Misr me Jaakar Hazrat Yaqub Alayhesalam 24 Saal rahe, Jab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aagaya to Aapne Apne Beito ko Wasiyat ki ke Muje Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Baap Hazrat Ishaaq Alahyhesalam ke Pehlu me Dafan karna, Aap par Jab Wafaat Taari hui to Hazrat Yusuf Alayhesalam Khud Apne Walide Mukarram ka Jisme Athar le kar Shaam(Mulk e Shaam) me gaye Aur Apne Dada Ishaaq Alayhesalam ke Saath Aap Ko Dafan karke Wapis Misr me Aagaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-216)
Kyaal Rahe ki Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Ek Bhai ka Naam “Aysh” tha, Ye Dono Bhai (ki) ek Saath Wiladat hui thi Aur Ushi Din Unki bhi Wafaat hui, Dono Bhaiyo ki Umare 145 Saal thi, Dono hi Apne Baap Ishaaq Alayhesalam ke Pehlu me Ek Saath Dafan kiye gaye, Hazrat Yaqub Alayhesalam ka Taabut Khaas Kism ki Lakdi ka Banwaya gaya tha Jisme Misr se Shaam(Mulk e Shaam) Aapko le kar gaye the.
(Tafseere Khazainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-237)
 
>>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Wafaat :-
Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Baad 23 Saal Aap Zahiri Hayaat me rahe, Jab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aagaya to Aap Aakhirat ki Taraf Zyada Mutawajja Rehne lage, Daimi Mulk ki Taraf Jaane ka Isteyaaq Zyada hone laga, RABB TA’ALA ke Huzoor Arz kiya
“Ay Meire RABB Beshak Tune Muze Ek Saltanat di Aur Muze Kuch Baato ka Anjaam Nikaalna Shikhaya Ay Aasmano Aur Zamin ke Banane wale Tu Meira Kaam Banane wala he Duniya Aur Aakheirat me Muze Musalman Utha Aur Unse Mila jo Teire Qurbe Khaas ke Laayak he”
(Quraan Sareef, Surah Yusuf, Aayat-101)
Jab Aap ko Wahi ke Zariye Ma’alum Ho gaya ki Ab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aa chuka he to Aapne ye Dua ki ke
“Ay ALLAH Muje Apne Khaas Qurb wale Lougo ke Saath Mila”
Is Dua ka Ta’aluq Mout ke Baad ALLAH TA’ALA ke Muqarrabin se La-Haqq hone ke Saath he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-238)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Qabr :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Wafaat ke Baad Misri Lougo me Tanaaja’e(Wiwaad) ho gaya Har ek ki Khwaaish thi ki Yusuf Alayhesalam Hamare Mohalla me Dafan kiye Jaaye Taaki Wo Aap se Barkat Hasil Kar Sake,
Unke Darmiyaan Ladai Bhadak uthi, Aakhirkaar Kuch Lougo ne Mil kar Feisla kiya ki Aap ko Sange-Marmar ke Sanduq me Baandh kar ke Daryaa-e-Neel me Dafan kiya Jaaye Taaki Us Paani se Tamaam Saher Wale Ek Jeishi Barkat Hasil Kare.
Pehle Aapko Daryaa-e-Neel ki Daai(Right) Janib Dafan kiya gaya to Us Taraf ka Ilaqa Sarsabj (Raseela) va Saadaab rehne laga Aur Dusri Janib Khusk, Fir Aap ke Sanduq ko Nikal kar Neel ki Baayi(Left) Janib Dafan kar diya gaya, Ab Is Taraf Khushaali ka Dour Aagaya Aur Dusri Janib Khuski rehne lagi, Fir Aap ko Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan me Dafan kiya gaya, Yaha Tak ki Dono Janib Sarsabj(Raseela) va Saadaab ho gaye, Aapka Jism Athar Ishi Tarah Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan Raha, 400 Saal Baad Jab Hazrat Musaa Alayhesalam ne Bani Israil ko Saath le kar Misr se Rawangi Ikhteyaar ki to Aapke Jisme Athar ko bhi Saath le gaye Yaha tak ki Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Aaaba(Baap-Dada) ke Saath Dafan kar diya gaya.
(khatib wa Madarikul Tanzeel)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-238)
SubhanAllah…
Un Lougo ke Keishe Paakiza Aqeede the ki Unhe Ma’alum tha ki NABI ki Zahari Hayat me Jis Tarah NABI se Barkat Hasil Ki Jaati he Ushi Tarah Duniya se Rukhsat hone ke Baad bhi Un se Barkat Hasil hoti he.
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Aulaad :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Wafaat ke Pasmaandgaah(Bache huwo) me 2 Beite Aur 1 Beiti thi, Ek Beite Ka Naam ‘Ifrahim” Aur Dusre Beite Ka Naam “Meysaa” tha,
Ifrahim ke Beite ka Naam “Nun” Aur Nun ke Beite ka Naam “Yusa’a” tha, Jo Hazrat Musaa Alayhesalam ke Zamane tak Zinda rahe Aur Daryaai Safar me Unke Saath the, Yaani Hazrat Khijr Alayhesalam ki Mulaqaat ke liye Jate hue Hazrat Musaa Alayhesalam ne Apne Saath “Yusa’a Bin Nun” ko rakha tha,
Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Beiti ka Naam “Rahmat” tha, Jo Hazrat Ayyub Alayhesalam ke Nikaah me Aayi thi.
Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Duniya se Tasreef le Jane ke Baad Misr ki Hukumat Bani Emaalqa ke Haath me Aagayi, Hazrat Musaa Alayhesalam ke Zamana Tak Bani Israil Unke Zeire Tasallat rahe he, Hazrat Musaa Alayhesalam ne Aakar Unhe Naja’at dilaai.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-239)
>> Hazrat Yaqub Alayhesalam Aur Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Waqiyaat Yaha par Khatm hote he.
InshaAllah, Aage ALLAH RABBUL IJJAT ke Pyare Ambiya e Kiraam Alayhesalam ke Waqiyaat Jaari he…
Kishi Post Par Agar Hamse Kishi Tarah ki Lagjis, Galti, Kutahi, Be-Adabi Hui ho to ALLAH RABBUL IJJAT Apne Pyare MEHBOOB HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sadke me Ma’af Farmaye..
Aameen Ya RABBUL AALAMIN.
.