Hazrat yusuf ki badashahat ka mukammal waqiya in hindi 8 Bade Bhai ka Misr me Rehna Aur Dusro ko Wapis Bheijna
Quraan e Kareem me he ki
“Fir Jab Usse Na-Ummid hue Alag Jaakar Sargoshi karne lage Unka Bada Bhai Bola Kya Tumhe Khabar nahi ke Tumhare Baapne Tumse ALLAH ka Ahad le liya tha Aur Usse Pehle Yusuf (Alayhesalam) ke Haqq me Tumne Keishi Takshir ki to Me Yahase Na Talunga Yaha tak ki Mere Baap Ijazat de ya ALLAH Muze Huqm Farmaye Aur Uska Huqm Sabse Behtar he, Apne Baapke Paas Loutkar Jaav Fir Arz Karo ke Ay Hamare Baap Beshaq Aapke Beite ne Chori ki Aur Ham to Itni hi Baatke Gawah hue the Jitni Hamare Ilm me thi Aur Ham Geibki Nigehbaan na tha, Aur Us Basti se Puch deikhiye Jisme Ham the Aur Us Kaafle se Jisme Ham Aaye Aur Ham Beshaq Sacche he”
(Surah Yusuf, Aayat – 80, 81, 82)

Ibtedaai Tour par Jab Bhaiyo ki Darkhwast ka Yusuf Alayhesalam ne inkaar kiya to Yahuda Gussa me Aagaya Aur ye Jab Gusse me Aata tha to Uske Jism ke Baal Khade ho jate the, Agar Gusse ke Haal me ye Chikh Marta to Haamela Aurato ke Hamal gir jate, Us Waqt tak Uska Gussa Thanda Nahi hota tha Jab Tak Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Aulaad me se hi koi Shaksh Uske Jism ko Haath na lagata, Usne Apne Dusre Bhaiyo ko kaha Tum Baazar ke Lougo se Mukabla karo, Unhe Meire Qareeb na Aane do Me Azize Misr se Mukabla karta hu, Me Ushe Aapke Qareeb Nahi Aane dunga, Yusuf Alayhesalamne Apne Chote Beite ko Kaha Ki Jaakar Uske Jism ko Chu do, Jab Usne Yahuda ke Jism ko Haath lagaya to Uska Gussa Thanda ho gaya,
Jab Ye Loug Bin-Yamin ko Chudane me Na-kaam hogaye to Logo se Alag hokar Ek Dusre se Maswara karne lage ki Ab kya kiya jaaye Kyunki Apne Walide Mukarram se Bahot Pukhta Wada karke Aur Bada Showq dila kar Bin-Yamin ko le gaye the Aur Pehle Yusuf Alayhesalam ke Ma’amle me Un par Tohmat Aaid ho Chuki thi ki “Tum Jhute ho”, Ab Bahot Pareshan the ki Agar Ab Ishi Tarah Wapis jate he to Baap Bahot Zyada Pareshan honge Aur ye Baat bhi Madde Nazar thi ki Ghar wale Anaaz ke liye Mohtaaj he, Wapis Jana bhi Zaruri he Aur Agar Sab Nahi jaate to Baap Khyaal Karenge ki Kahi Sab Fout to nahi ho gaye Aur Agar Bin-Yamin ke Bageir Sab Wapis Lout te he to Apne Baap ko keishe Mooh Dikhayege..??
Aakhirkaar Sabse Bade Ne Kaha Tum Chale Jaao Me Nahi Jata ya to Muje Baap Ijazat de to Wapis Jaunga ya ALLAH koi Feisla Farmade,
Yahuda ne kaha Tum Jaakar Baapko Batao Tumhare Beite ne Chori karli he Yaani Uski Taraf Chori ko Mansub kar diya gaya he, Aap Basti se Puchle ya Kafilewalo se Puchle, Ham Sacche he, Hamare Saamne Jo Baat he wahi Baya kar rahe he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-218, 219)
 

>> Hazrat Yaqub Alayhesalam ka Farmaan

Quraan Sareef me he ki
“(Yaqub Alayhesalam) ne kaha Tumhare Nafs ne Tumhe Kuch Hila bana diya to Acha Sabr he Qarib he ke ALLAH Un Sab ko Muzse Milaaye Beshaq wohi Ilm wa Hiqmat wala he, Aur Unse Mooh Feira Aur Kaha Haay Afshos Yusuf Ki Judai Par Uski Aankhe Gam se Safeid ho gayi to woh Gussa Khaata raha”
(Surah Yusuf, Aayat-83, 84)
Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Beito ke Kalaam ko Radd kar diya Aur Farmaya ki Tum ye Heyla(Trick) Bana rahe ho..?? ye keishe ho Sakta he Misr ka Baadshah Meire Beite ko Chori ke Ilzaam me Apne Paas Gulaam Bana le…? Jabki Uske Kanoon me ye he hi Nahi ki Kishi ko Chori ke Iljaam me Gulaam Banaya Jaaye, Hazrat Yaqub Alayhesalam Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Judaai Par Gam Kha rahe he, Halanki Taaza Gam Bin-Yamin ka he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-220)
 

>> Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Beito ne Aapki Pareshani ko deikh kar kaha

Quraan Sareef me he ki
“Bole KHUDA ki Kasam Aap Hameisha Yusuf(Alayhesalam) ki Yaad karte rahenge Yaha Tak ke Gour-Kanaare Jaa Lage ya Jaanse Guzar jaye, Kaha Mei to Apni Pareshani Aur Gam ki Fariyaad ALLAH hi se Karta hu Aur Muze ALLAH ki woh Shaane Ma’alum he jo Tum nahi Jaante,
(Surah Yusuf, Aayat- 85, 86)
Beito ne Yaqub Alayhesalam se kaha Yusuf Alayhesalam ki Yaad me Itna Gam karte he Aur Route he Aap to Is se Mareez ho jayenge ya Gam me Fout ho Jayenge, Pehle hi Aap Itni Pareshani me Mubtila he, Hame Dar he ki Aapki Takleef Badh jayegi, Is liye Aap Bahot Gam na kare Aur Na Roye,
Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Farmaya Mei Uska Zikr Tumhare Saamne to Nahi kar raha Meine to Jisse Zikr karna he Usse kar raha hu Yaani Meri Fariyaad ALLAH TA’ALA se he,
ALLAH TA’ALA ki Rehmat Aur Uske Aheshaanaat ko jo Mei Janta hu Tum Nahi Jaante,
Kyunki ALLAH TA’ALA ne hi Khushi Aata Farmani he, Ushi ne Gamo ko Door karna he Jo Tumhare Waham wa Gumaan me bhi Nahi,
Isse Wajeh Ishara Us Taraf tha ki Yusuf Alayhesalam ke Milne ki Badi Kumi Ummid he, RABB ne Jo Ilm Muje diya he wo Tumhe Nahi diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-197,198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-222)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam Aur Bin-Yamin ki Talaas ke liye Beito ko Bheijna
Quraane Majeed me he ki
“Ay Beito Jaav Yusuf Aur Uske Bhai ka Suraag lagao Aur ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid na ho Beshaq ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid nahi hote Magar Kafir loug, Fir Jab wo Yusuf (Alayhesalam) ke Paas Pahonche Bole Ay Aziz Hame Aur Hamare Gharwalo ko Musibat Pahunchi, Aur Ham Be-Qadr Punji(Raqam) lekar Aaye he to Aap Hame Pura Naap Dijiye Aur Ham par Kheiraat kijiye Beshaq ALLAH Kheiraat walo ko Sila Deita he”
(Surah Yusuf, Aayat-87, 88)
Jab Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Bataya ki ALLAH TA’ALA se jo Mei Janta hu Tum Nahi Janate ho to uske Baad Beito se Farmaya Jaao Yusuf Aur uske Bhai ko Talaas karo,
Is se Pehle Aaj tak Yusuf Alayhesalam ko Talaas karne ke Muta’alaq Baap ne Beito ko Nahi kaha, Aaj kyu kaha…? Bin-Yamin ke Muta’alaq Ma’alum he ki wo Azize Misr ke Paas Chori ke Ilzaam me Gulaam hone ki Heysiyat se Paband he, Fir ye kehne ka Matlab kya he ki Yusuf Alayhesalam ko Aur Uske Bhai ko Talaas karo, Unka Suraag lagaao..??
Bas Aapko Ma’alum tha ki Is Martaba Bin-Yamin ke Saath Yusuf Alayhesalam ka Pata bhi Chal Jaayega ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aazmaish ka Waqt Khatm hone wala he,
Yaqub Alayhesalam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ki Rehmat se Na-Ummid na ho, Isse bhi Wajeh ho raha tha ki Ab ALLAH TA’ALA ki Rehmat ka Waqt Aa Chuka tha, Ab Yusuf Alayhesalam ki Mulaqaat se Raahat hogi,
Bhaiyo ne (Yusuf Alayhesalam se) Kaha Ham Be-qadr Yaani Thodi Miqdaar me Punji(Raqam) le kar Aaye he, Aap Hamari Punji ko Na deikhe Balki Apni Maherbaani ko deikhe, Hame Pura Naap kar Anaaz de kyunki Hamara Khandaan Bahot Musibat me he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-222, 223)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Apne Aapko Zaher kar diya
Quraan e Kareem me he ki
“Bole Kuch Khabar he Tumne Yusuf Aur Uske Bhai ke Saath kya kiya tha Jab Tum Naadan the, Bole Kya Sach-Much Aap hi Yusuf he Kaha Ha Me Yusuf hu Aur Ye Meira Bhai Beshaq ALLAH ne Ham par Aheshan kiya, Beshaq Jo Parehzgaari Aur Sabr kare to ALLAH Neiko ka Neg Zaae Nahi karta”
(Surah Yusuf, Aayat – 89, 90)
Jab Bhaiyo ne Aakar Anaaz ka Muta’alba kiya Aur Isare se kaha Ham par Rahem kare, Maqsud Kuch ye bhi Tha ki Bin-Yamin ko Chod do Lekin Zahir Tour par Nahi keh rahe the, To ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhesalam ko Wahi ya Ihaam ke Zariye Muta’ala kar diya ki Unko Unke Baap ne Is liye Bheja he ki Yusuf Aur Uske Bhai ko Talaas karo, to Aap ne Jab deikha ki ye Majra ko Zaher nahi kar rahe to Aapne Khud hi Kalaam ka Aagaaz(Suruaat) kar diya,namrud badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam 5
(Tafseere Abiul Saud, Jild-4, Safa-303)
Yusuf Alayhesalam ne Khud Bhaiyo se kaha wo Khat jo Tumhe Baapne Meire liye diya he wo Muje dei do, Unhone Jab Khat diya Jisme Tehreer tha ki
“Hamara Khandaan Suru se Hi Masa’ib wa Aalaam ki Aazmaisho se Guzar raha he, Mei Us Dada Ibhrahim KHALEELUALLAH ka Pouta hu Jiske Haath-Peir Bandh kar Aaag me Daal diya gaya tha, ALLAH TA’ALA ne Unhe Naja’at di, Meira Ek Pyara Beita Yusuf tha, Jise Uske Bhai Saath le gaye lekin Wapis Aakar Uske Khun (se) Aaluda Kameez Peish kar di ki Ushe Bhediya kha gaya he, Ro-Ro kar Meri Aankho ki Binaai Zaya ho gayi, Fir Uske Dusre Bhai Bin-Yamin ko Anaaz Leine ke liye ye Saath le Gaye, Chori ke Ilzaam me Tumne Ushe Apne Paas Rakh liya he, Hamare Khaandaan ka Peisa Chori karna Nahi Aur Naa hi Hamara Khandaan Chori karne ke liye Peida kiya gaya he, To Mere Beite ko Wapis kardo, Warna me Tumhare Khilaaf RABB ke Huzre Dua Karunga”
Ye Khat Padhte hi Yasuf Alayhesalam Par Zyada Raqt Taari ho gayi.
(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-202,
Roohul Ma’ani, Jild-7, Safa-48)
Hazrat Yusuf Alayhesalam Saahi Takht par Jalwagar the Aur Aapke Bhai Bade Adab va Ahetaram se Aapse Anaaz Ka Mutaalba kar rahe the,
Yusuf Alayhesalam Apne Khandaan ke Raqt-Ameez Manzar ko deikh kar, Apne Baap ki Pareshan Haali Aur Raqt-Ameez Khat deikhne ke Baad ALLAH TA’ALA ke Hukm ke Muta’abik Khabar deini he,
Yusuf Alayhesalam in Alfaaz me Bhaiyo ke Saamne Apne Aap ko Zaher karne ke liye Kalaam Suru Farma rahe he
Kya Tumhe Ma’alum he ki Tumne Yusuf Alayhesalam Aur Uske Bhai ke Saath kya Suluk kiya…??
Jab Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo se Pucha to Unhone Aapke Kalaam se Ya Aapke Muskurane ki Wajah se Danto ki Chamak se Pahenchante hue Pucha Kya Aap Yusuf to nahi…??Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4
Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ha me Yusuf hu Aur ye Meira Bhai he, ALLAH TA’ALA ne Ham par Ahesaan kiya he, Imtehaan leine ke Baad Hame ye Mansub Aata kiya he Jo tum Deikh rahe ho, Saath Saath Bhaiyo ko Kaha ALLAH TA’ALA Taqwa Aur Sabr karne wale Neik Lougo ke Ajr ko Zaya nahi karta, Isara tha ki Agar tum ne bhi Taqwa Hasil kiya to ALLAH TA’ALA ka Karam Tum par ho Jayega,
(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-204,
Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-49)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-224, 225)