Hazrat yusuf alahissalam ki bhaiyon se mulaqat in hindi urdu 7> Beito ko Bhejte Waqt Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Ehtiyati Tarabeer
Quraan Sareef me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmata he
“Aur (Baap ne) kaha Ay Mere Beito (Tum Sab Saher ke) Ek Darwaze se Na Dakhil hona Aur Juda Juda Darwazose Jana Me Tumhe ALLAH se Bacha nahi Sakta Hukm to Sab ALLAH hi ka he Meine Ushi par Bharosha kiya Aur Bharosha Karnewalo ko Ushi par Bharosha Chahiye, Aur Jab Woh(Saher me) Dakhil hue Jaha se Unke Baap ne Hukm diya tha, Wo kuch Unhe ALLAH se Bacha na Sakta Haa Yaqub (Alayhesalam) ke Jiki ek Khwaaish thi jo Usne Puri karli Aur Beshaq woh Saahibe Ilm he Hamare Shikhae se Magar Aksar Loug Nahi Jante”
(Surah Yusuf, Aayat-67, 68)
Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Nazarbad se Bachne ke liye Ehteyaati Tarabeer ke Tour par Unhe Farmaya ki ek Darwaze se Dakhil na hona Balki Saher ki Mukhtilaf(Alag) Darwajo se Dakhil hona taaki Tumhe Nazar na lag jaaye kyunki Tamam (Bhai)Bade Qadawar Bahadur Aur Khubsurat the Aur Taadaad bhi Zyada thi Yani 11 bhai the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-209)
>> Bin-Yamin ki Hazrat Yusuf Alayhesalam se Mulakaat :-(Waqiya Thoda Bada he Itmenaan se padhe)
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab woh Yusuf(Alahesalam) ke Paas gaye, Usne Apne Bhai(Bin-Yamin) ko Apne Paas Jagah di, kaha Yaqeen Jaan Me hi Teira Bhai hu, to ye(Teire Sath) jo kuch Karte he Uska Gam na Kha”
(Surah Yusuf Aayat-69)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Jab Ma’alum huwa ki Tamam Bhai Fir Misr me Aaye he, Ab Apne Sath Bin-Yamin ko bhi laaye he to Yusuf Alayhesalam ne Unki Badi Izzat va Takreem ki, Unko Saahi Mehmaan Khano me rehne ki Jagah ka Hukm diya Aur Un ki Mehmaan Nawazi Bahot Achi Tarah se ki,
Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Bhaiyo ne Aap se Mulakaat ke Dovraan bataya ye Hamara Bhai he, Jise Aapne Laane ka Hukm diya tha Ham Saath le aaye he, Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Tumne Acha kiya he, Ab Mere Paas bhi jo Anaaz he wo deine me koi Kasr nahi hogi, Bhaiyo ne Aapko Apne Baap ka Peigaam bhi diya kyunki Yaqub Alayhesalam ne Beito ko Alwida karte hue Farmaya tha ki Baadshah ko Meira Salam kehna Aur ye kehna ki “Hamare Baap Aap ke liye Dua kar rahe the Aap Par Rehmate Nichawar kar rahe the Aur Aapne jo Hamare Saath Acha Suluk kiya he wah uska Sukriya Ada karte he”
Aur Saath hi Ek Khat bhi diya Khat ko Padhte hue Yusuf Alayhesalam Gamgeen ho gaye, Lekin Apne Jazbaat ko Qaabu me rakha taaki Bhaiyo par Kuch Baat Zaaher na ho, RABB TA’ALA ki Taraf se Abhi Zaher karne ka Hukm Nahi tha,
Aapne Apne Bhaiyo ki Da’awat ki, Gulamo ko Hukm diya ki Dastarkhwaan ko is Tarah Tarteeb diya jaaye ki 2-2 Bhai ek Saath Beithe, Is Tarteeb se Bithaane par Bin-Yamin Akele rah gaye, Rone lage Aur kehne lage ki Kaas Aaj Meira Yusuf(Alayhesalam) Zinda hota to Muje Saath Bithata, Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo ki Taraf Tawajjo karte hue Farmaya Tumhara ye Bhai Akela rah gaya he, Unhone Kaha Iska (Saga) Bhai Halak ho gaya he, Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Acha Me hi Ishe Apne Saath Bitha leita hu, Yusuf Alayhesalam ne Bin-Yamin ko Dastarkhwan par Apne Saath Bitha kar khana khaya,
Fir Yusuf Alayhesalam ne Apne Gulamo ko Hukm diya ki Sone ke liye 2-2 Bhaiyo ko Ek Ek Kamra de do, Aaraam ke Waqt Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Aapka ye Bhai Akela he, ishe Meire Paas hi Chod do, Me Ishe Apne Kamra me Sula deita hu, Jab Hazrat Yusuf Alayhesalam ne deikha ki ye(Bin-Yamin)Apne Bhai par Bahot Afshos karta he to Yusuf Alayhesalam ne Farmaya “Kya Tum Pasand nahi karte ki Tumhare Fout-Suda Bhai ke Badle Me hi Tumhara Bhai Ban Jaau”.
Bin-Yamin ne Route hue kaha “Tumhare Jeisha Bhai kishe Milega..? Yaani Itne Safeeq Aur Maherbaan ho, wo Shaksh Kitna hi Khus-Bakht hoga jise Tumhare jeisha Bhai Mil jaaye, Lekin Tum Raahil Aur Yaqub Alayhesalam ke Beite to Nahi ho”
Me to Is liye Ro raha hu jo Mere Baap Aur Meri Maa ka Beita tha, Yusuf Alayhesalam ye Manzar ko deikh kar Rone lage, Uthe Aur Bhai ko Gale laga liya, Ab Pahechan karaane ka Waqt Aa chuka tha, is liye Apne Bhai ko bataya
“Beshaq Me hi Tumhara Bhai Yusuf hu”,
(SubhanAllah…)
Dono Bhaiyo ne ek Dusre ko Apne Haalaat se Muta’ala kiya, Yusuf Alayhesalam ne Apne Bhai ko Tasalli deite hue kaha Na Gamzadaa ho jo ye kiya karte the.
Asal me Yusuf Alayhesalam Chahte the ki Bhai ke Dil me Dusre Bhaiyo ke Khilaaf Zahen me koi Baat na rahe, Kyunki
“Aapke Dil me Bhaiyo ke Khilaaf koi Adawat Baaqi nahi thi, Yusuf Alayhesalam ka Dil Bhaiyo me Mukammal Saaf ho Chuka tha”
Ab Bhai bhi wo Jawani ki Umar wale Haasad ya Zalim nahi the, Balki wo bhi Kaafi Had tak Neik ho chuke the, Hazrat Yusuf Alayhesalam to Suru se hi Bhaiyo ke Haqq me Duago the.
(Roohul Mani, Jild-7, Hissa-2, Safa-23)
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-177, 178)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-211, 212)
>> Bin-Yamin ko Saath le Jaane ki Darkhwast ka Inkaar :-
Quraan E Majeed me he ki
“Bole Ay Aziz Uske ek Baap he Budhe Bade, to Ham me Uski Jagah kishi ko lelo Beshaq Ham Tumhare Ahesaan Deikh rahe he, kaha KHUDA ki Panah ke Ham le Magar Ushi ko Jiske Paas Hamara Maal Mila, Jab to Ham Zaalim Honge”
(Surah Yusuf, Aayat – 78, 79)
Agarche Bhai Pehle Bata Chuke the Agar Kishi se Pyala Baramad ho jaaye to wo Gulaam Ban jaayega, Lekin Unki Sariyat me Ma’af Karna Aur Fadiya deina bhi Jaiz tha,
Is liye Unhone kaha Ki Iske Baap Badi Umar ke Aur Azeem Martabe ke Maalik he, Isliye ye Ma’af karne ke Kaabil he Ya Iska Fadiya le liya jaaye Aur Ham me se Kishi ek ko Apne Paas Batoure Gulam rakh liya jaaye, Jab Ham Fadiya de deinge to Apne Paas Gulaam rakhe hue Bhai ko Chuda leinge Ya Ushe Ma’af kar diya jaaye Aur Ham me se kishi ek ko Gulaam Bana liya jaaye, Aapka Ma’af Farma deina Ham par Bahot Bada Ahesaan hoga, Ham Aapke Pehle bhi Ahesaan deikh chuke he kyunki Aapne Pehle Hamari Raqam bhi Wapis louta di, Anaaz bhi diya, Izzat va Takreem se Apne Paas Bulaya, Mahemaan Nawazi ki, Sa’ahaana Makano me rehne ki Jagah di, Kitne hi Ahesaan Aapke Hamare Saamne he,
Yusuf Alayhesalam ne Saaf Alfaaz me Jawab diya Ham to Sirf Ushe Apne Paas Rakhenge Jis se Hamara Saaman mila he, Dusre ko Apne Paas Rakh kar Zaalim nahi Ban Sakte,
Aur Haqiqatan Sara Ma’amla ALLAH TA’ALA ke Hukm se Chal raha tha, Abhi Yaqub Alayhesalam ko Aur Imtehaan me Mubtila karna Maksud tha, Isliye Ma’af nahi kiya, Ma’af to Tab kiya jata Jab koi Jurm hota, Jab Jurm hi koi nahi to Ma’af karne ka Makshud hi Kuch nahi tha,
Sayad ALLAH TA’ALA ne Aap ko Hukm diya tha ki Abhi Ma’af nahi karna Dargujar nahi karna Aur koi Badla Nahi leina kyunki Yaqub Alayhesalam ko Abhi Aur Sadid Mehnat me Mubtila karna he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-217, 218)
Hazrat loot alayhi salam story in Hindi Urdu
>> Bin-Yamin ko Paas Rakhne Ka Heyla(Trick) :-
(Waqia Thoda Bada he, Itmenaan se Padhe)
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irsad Farmata he
“Fir Jab Unka Saaman Mohayya kar diya, Pyala Apne Bhai ke Kajaave(Bori) me rakh diya, fir Ek Munaadine Nida ki Ay Kafilewalo Beshak Tum Chor ho, Bole Aur Unki Taraf Mutawajja Hue Tum kya Nahi Paate, Bole Baadshah ka Paymana nahi Milta Aur jo Ushe Laaega Uske Liye Ek Unt ka Bouz he Aur Me Uska Zaamin hu, Bole KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Malum he ke Ham Zamin me Fasaad karne na Aaye Aur Na Ham Chor hay, Bole Fir kya Saza he uski Agar Tum Zuthe ho, Bole Uski Saza ye he ke Jiske Asbaab me Mile wohi Uske Badle me Gulaam Bane, Hamare Yaha Zalimo ki Ye Saza he, to Awwal Unki Khurjiyo(Boriyo) se Talasi Suru ki Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Pehle Fir Us(Pyala ko) Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Nikaal liya, Hamne Yusuf(Alayhesalam) ko ye Tadbeer Batayi Baadshahi Kaanun me ushe Nahi Pahunchta tha ki Apne Bhai ko le le Magar ye ke KHUDA Chahe, Ham Jise Chahe Darjo Buland kare, Aur Har Ilmwale se Upar ek Ilmwala he”
(Surah Yusuf, Aayat – 70, 71, 72, 73, 74, 75, 76)
Jo Pyala Bin-Yamin ke Saaman me rakha gaya tha wah Baadshah ke Ya Jaanwaro ke Paani Pine me Istemaal hota tha, Aur Use Anaaz Naapne ka Kaam liya jata tha, Itna Kimti tha jis se Chori ki Hadnafaz ho sakti thi, wo Pyala Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Hukm se rakha gaya tha Aap hi Us Waqt Hukmraan the wo Pyala Aapke Zeire Tasreef hi tha,
Ye Pyala Bin-Yamin ko Bata kar Unki Marzi se rakha gaya tha is liye ki Jab Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Unhe kaha ki Walide Mukarram Pehle Meri Judai se Pareshani he to Ab Tumhari Judai se Aur Zyada Pareshani hogi Lekin wo(Bin-Yamin) Fir bhi Waha rehne par Bazr the, Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bin-Yamin ko Bataya ki Agar Tum Yaha rehna Chahte ho to iska ek hi Heyla(Trick) he ki Tumhare Saaman me Pyala rakh kar Uske Badle Tumhe Yaha rakha jaaye.Hazrat saleh Alayhesalam story in hindi urdu part 1
To Bin Yamin ne Raza-Mandi ka Izhaar kiya ki Mere Muta’alaq jo bhi kaha jaye Muje Manzur he lekin Me Yaha hi Rahunga.
Jis Tarah Hamari Sariyat me Chori ki Had(/Saza) Haath Kaatna he, Is Tarah Yaqub Alayhesalam ki Sariyat me Us Shaksh ko Maal ke Badle Gulaam rakha jata.
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne ye Heyla(Trick) Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Sariyat ke Muta’abiq kiya Aur wo bhi ALLAH TA’ALA ki Masiyat se Kyunke RABB TA’ALA ne Khud Irsaad Farmaya
“Ye Heyla(Trick) Hamne Yusuf Alayhesalam ko Shikhaya”
Aur Jis Shaksh ne Aawaz de kar ye kaha tha ki Agar koi Shaksh Wo Pyala Dhund kar laayega to Ushe Batoure Inaam ek Unt ka Boja diya jayega Usne bhi Aapke Hukm se hi ye Eylaan kiya tha,
Ahle Misr Jante the ki ye Kaanoon Misr ka Nahi, Hazrat Yusuf Alayhesalam Ka Mansha ye nahi tha ki Bhaiyo ko Chori ke Ilzaam me Matham kiya jaaye, Is liye Aapne Apne Khadim ko Sab kuch Bataya huwa tha, Tamam Kaam Aapke Hukm se ho rahe the, Jab Yusuf Alayhesalam ke Bhai Anaaz lekar Nikle to Piche se Unko Pukaar kar kaha gaya
Ay Kafile walo Beshak Tum Chor ho,
Kehne wale ka Matlab ye tha ki
Ay Kafile walo Kya Tum Chor to nahi ho…?? Ye koi Ilzaam nahi tha, Balki Sawal tha,
Jab Yusuf Alayhesfiron history in hindi and hazrat musa alahissalam PART 12alam ke Bhaiyo se Pucha gaya kya tum Chor to nahi…? to Unhone Jawab diya
“KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Ma’alum he ki Ham Zameen me Fasaad karne Nahi Aaye Aur Na hi Ham Chor he”
Aapke Bhai Kasam Utha kar kyu na kehte Jabki wo Neik the,
Yusuf Alayhesalam ko Kuwe me Fenkne wale Zamana ki Tarah Nahi the, wo Bhi Hasad ki Wajah se jo, Warna Is Waqt bhi wo Kishi ka Maal nahi Khate the Aur Tamaam Aamaal unke Acche the, Sirf Yusuf Alayhesalam ko Hasad ki Wajah se Kuwe me Fenkne wala Jurm Sarjad huwa tha, Ab to Unke Ahwaal se Waajeh tha ki ye kishi ke Maal me Tasarruf nahi karte na kishi ka Maal Khate he Aur Na hi logo ki Khetio me Apne Jaanwar Chodte he, Yaha tak ki Agar unka Kishi Kast Suda Kheti se Guzar hota to Apne Jaanwaro ke Mooh Baandh deite the taaki wo Kishi ki Kheti ko Barbaad na kare Aur Hamesha Neiki ke Kaamo me Masgool rehte jin logo ki ye Sifaat ho wo Keishe Zameen me Fasaad Feila Sakte he Khaas Karke Dusre Mulk me Jaha Unhe Apni Izzat ke Paas karne ki Zyada Zarurat thi Jabki wo ye Bata bhi chuke the ki Ham ALLAH TA’ALA ke NABI Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Beite he, Pehli Dafa Jab Unki Punji(Raqam) Unke Saamaan me Rakh kar Wapis Louta di gayi thi to wo Ushe Wapis le Aaye the.(Agar Chor hote to Raqam Wapis Na Loutate..)
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-180)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 213, 214, 215)
Leave A Comment