Hazrat yusuf alahissalam ki hukumat in hiundi Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Hukumat ke Asraat :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Adal va Insaaf ki Buniyado par Apni Hukumat Ko Kayam kiya, Ishi liye Aapki Hukumat Din-Ba-Din Mazboot Hoti chali gayi, Tamam Mardo Aur Aurato ke Dilo me Aap ki Mohabbat Peida hui Aur Aap ne Qahat-Saal ke Aane wale dino ke liye Anaaz ke Zakhire(Bhandaar) Jama karne ki Ta’abir Farmayi Uske Liye Bahot Bade Aur Aalishan Anbaar Khane(Maal Jamaa karne ki Jagah) Ta’amir karaye Aur Bahot Kaseer(Zyada) Zakhaair Jama kiye, Jab Acche Saal Guzar gaye Aur Qahat ka Zamana Aaya to Aapne Baadshah Aur uske Khuddam ke liye Rozana Sirf ek Waqt ka Khana Mukararr Farmaya, ek Rovz Dopher ke Waqt Baadshah ne Hazrat se Bhuk ki Sikaayat ki, Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ye Qahat Saali(Qahat ke Saal) ki Ibteda(Suruaat) ka Waqt he, Kyunki Pehle Saal me Lougo ke Paas Zakhire (Bhandaar) the, Sab Khatm ho gaye, Baazaar Khali ho gaye, Chunki Qahat ke Saare Zamana me Aapne Khud bhi Kabhi Mutmaeen ho kar Khana Nahi khaya tha, Waqeif haal logo ne Aap ki Khidmat me Arz kiya ki Itne Kaseer Khazaano ke Malik ho kar bhi Aap Bhuke Rehte he…? Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Is Andesha se ki Mutmaeen ho jaau to Kahi Bhuk ko Na Bhul Jaau,
(SubhanAllah.. kya Paakiza Akhlaq he.. In Pakiza Akhlaq ki wajah se hi Baadshah bhi ek Waqt ke khane par Bachat kar raha tha, Usne Bhi Aapke Jawab par koi Mazahmmat nahi ki)
Tamam Ahl-e-Misr Hazrat Yusuf Alayhesalam se Anaaz Kharid ne lage, Tamam Daraham va Dananir Yaani unka Naqadi Maal va Doulat Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Paas Jama ho gaya, Dusre Saal Unhone Apne Zevraat Aur Jawahar se Anaaz kharida, Is tarah un logo ki Tamam Zevraat va Jawahar Aapke Paas Aagaye, Tisre Saal Apne Jaanwar de kar Anaaz Kharida, Yaha tak ki Misr me koi Shaksh kishi Jaanwar ka Malik na raha, Tamam Jaanwar bhi Aapki Milkiyat me Aagaye, Chothe(4the) Saal Apne Gulam Aur Londiya de kar Anaaz Hasil huwa, Panchve(5ve) Saal Tamam Gulaam Aur Londiya de kar Aapse Anaaz Kharida, Is Saal Misr ke Lougo ke Paas Siwaye Apni Jaan Aur Aulaad ke kuch Bhi Baaqi na raha tha Tamam Milkiyat Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Paas Aa chuki thi, Chatte(6te) Saal Jab Un logo ke Paas Aur Kuch na Bacha to Unhone Apni Aulaad Aapke Paas Gulaam ke Tour par de kar Anaaz Hasil kiya, Aur Saatve(7ve) Saal wo Loug Khud Anaaz Hasil karne ke liye Aapki Gulamiyat me Aagaye, Misr me Mardo Aur Aurato me se koi Shaksh bhi Eysha na tha jo Aap ki Gulamiyat me Na Aaya ho Tamam Lougo ki Zabaan par tha ki Hazrat Yusuf Alayhesalam Jeishi Azmat va Jalalat kishi Baadshah ko Mayassar nahi Aasaki,
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Baadshah ko kaha Ki Tumne Deikh liya he, ALLAH TA’ALA ka Muj par keisha karam he.. Usne Muj par Eysha Aheshan e Azeem Farmaya Ab Unke Haqq me Teri Kya Raay he..?
Baadshah ne Kaha Jo Aap ki Raay he Ham to Aapke Taabe he,
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Me ALLAH TA’ALA ko Gawah Bana kar Aur Tumhe Gawah bana kar ye Aylaan karta hu ki Me Tamam Ahl e Misr ko Aaazad kar raha hu Aur inki Tamam Milkiyat Aur Jaagire inhe Wapis Kar raha hu,
(SubhanAllah…)
Tamam Lougo ko Aap ke Gulaam Aur Kaneeze Banane me ALLAH TA’ALA ki Hikmat ye thi ki kishi ko ye Kehne ka Mouqa na ho ki Hazrat Yusuf Alayhesalam Gulaam ki Shaan me Aaye the Aur Misr ke ek Shaksh ke Kharide hue the, Kyunki Ab To Misr ke Tamam Misri Aapke Kharide hue Aur Aaazad kiye hue the, Un par Ye Zaaher karna tha ki Aazaad Shaksh kishi Majburi se Gulamiyat me Aane se DarHaqiqat Gulaam nahi Banta Jeishe wo Loug Haqiqat me Gulam nahi bane the, Sirf Un par Gulaam hone ki ek Hesiyat Kayam ki gayi thi ki Aapki Shaan me koi Harf na keh sake.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa – 162, 163)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-203, 204)
Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4
namrud badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam 5
Hazrat hood alaihissalam story in Hindi urdu part 2
>> Azize Misr ki Zovja ki Murad Puri hona :-
Baadshah ne Pehle Wazeere Aazam Yaani Azize Misr ko Bedakhal kar diya tha, Baad me wah Jald hi Fout(Inteqaal) ho gaya tha, Iski Zovja Jisne Yusuf Alayhesalam ko Apni Taraf Maail karne ki Koshis ki thi Lekin wah Na-kaam rahi Aur Aap(Yusuf Alayhesalam) Paak-Daaman rahe, Lekin Ab Qeid-Khana se Nikalne par Usne Bhi Khule Dil se Apni Galti ka Eyteraaf kar liya tha, Aap ko Saccha kehne lagi thi, Azize Misr ki Mout ke Baad..
Baadshah ne Us Aurat ka Nikaah Hazrat Yusuf Alayhesalam se kar diya Aapne Mulakaat par Ushe ye kaha kya ye Behtar nahi us se jo tu Mutaalba kar rahi thi…?
Yaad rahe Azize Misr Chunki Na-Mard tha, isliye wo Abhi tak Baakrah(Married) thi, Mohabbat ushe Sirf Yusuf Alayhesalam se thi, wo koi Badkaar nahi thi,
Us Aurat se Hazrat Yusuf Alayhesalam ke 2 Beite Peida hue, Ek Ka Naam ‘Ifraeem’ Aur Dusre ka Naam ‘Maysaa’ tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-205)
>> Anaaz Lene ke liye Aapke Bhaiyo ka Jana :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Yusuf(Alayhesalam) ke Bhai Aaye to Uske Paas Hazir hue to Yusuf(Alayhesalam) ne Unhe Pahechan liya Aur Woh Usse Anjaan rahe, Aur Jab Unka Saaman Mohayya kar diya Kaha Apna Soutela Bhai Mere Paas le Aao kya Nahi deikhte ho ke Me Pura Naapta hu Aur Me Sabse Behtar Mehmaan Nawaz hu, Fir Agar Use le kar Mere Paas na Aao To Tumhare liye Mere Yaha Naap nahi Aur Mere Paas Na Farakna, Bole Ham Uski Khwaaish karenge Uske Baapse Aur Hame ye Zarur Karna”
(Surah Yusuf, Aayat – 58, 59, 60, 61)
Kanaan Ka Ilaka is Qahat ke Chapet me tha Aur logo ki tarah Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Farzando(Beito) ne bhi Barbaadi ki Mayusi liye Misr ka Rukh kiya, Kyunki Anaaz ki Taqsim ka Sab kaam Hazat Yusuf Alayhesalam ki Nigraani me ho raha tha, is liye wo Aap ki Khidmat me Hazir hue Aur Apni Majburiyo ka Izhaar karke Anaaz ke liye Darkhwast ki, Hazrat Yusuf Alayhesalam se unki Mulakaat Agarche lambe Arse baad hui thi Lekin Aapne Deikhte hi Apne Bhaiyo ko Pahechan liya Magar wo Aapko Na Pahechan sake Aur Pahechante bhi kyu…? Unke Wahem va Gumaan me bhi ye nahi Aa Sakta tha ki Saahana Libaas me Taiyyar Kurshi par Bheitha huwa jiske Hukm ki Ta’amil ke liye Senkado, Hazaaro Mulazim Dast-Bast khade he,
Ye wo Yusuf Alayhesalam he Jisko Lambe Arse se Unhone Ek Tarikh Kuwe me Feinka tha, Aur Fir Sirf ’20 Khote Dirhamo’ ke Badle me Kafila walo ke Hath Beich diya tha,
Aapne Khud to Apne Aap ko bhi Zaaher nahi kiya tha, Jab ALLAH TA’ALA ne Hukm deina tha ushi Waqt Zaher karna tha is liye Abhi Ajnabi ki Surat me Tamam Kalam ho raha tha, Unhone Apne Walid Aur Bhai ka Hissa bhi Talab(Maanga) kiya tha kyunki Hazrat Yusuf Alayhesalam ek Shaksh ko Ek Unt(Camel) ka Boja Anaaz deite the, Aapne unse Pucha ki Tumhare Walid Aur Bhai ke Na Aane ki kya wajah he..? To Unhone bataya ki Hamare Baap Budhe he wo to Aane ki Takaat hi nahi rakhte, Albatta Hamare Chota bhai Baap ki Khidmat Guzari ke liye hi Ghar rah gaya he, Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Is Martaba Unka Anaaz bhi Tumhe de raha hu, Lekin Aainda Tum Apne Bhai ko Bhi Saath lana, Kya Tum Deikhte nahi ho Me Kitna Safiq Aur Maherbaan Aadil hu… ki Peymane Bhar bhar kar deita hu Aur Kitna Bada Mahemaan Nawaz hu, Lekin ye bhi Khyaal rakhna ki Agar Aainda Tum Apne Bhai ko Saath Na laaye to Tumhe bhi Anaaz nahi Milega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-166, 167)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa -206, 207)
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo ki Raqam Wapis kardi :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Yusuf (Alayhesalam) ne Apne Gulamo se kaha Unki Punji Unki Khurjiyome(Boriyo me) rakh do Sayad wo ushe Pahechane Jab Apne Ghar ki Taraf Lout kar jaae, Saayad Wo Waapas Aaae”
(Surah Yusuf, Aayat-62)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo ki Raqam louta di thi, iski ek Wajah ye thi ki Jab Saaman Kholenge to Raqam usme deikh kar Wapis Aayenge, Kyunki wo NABI(Hazrat Yaqub Alayhesalam) ke Beite he, Imaan wale he, Aur wo Wapis Lotana Apni Zimmadari Samajte hue Fir Aayenge,
Dusri Wajah ye thi ki Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Ghar ke Haalaat ka Pata chal gaya tha to Aap ki Shaan ke Layak Nahi tha ki Aap Apne Bhaiyo Aur Walide Mukarram se Raqam le kar Anaaz de,
is liye ki Aap Aadil Baadshah the Aur Aap ke Bhai Imaan wale the Aur Khandaane Nabuwat the, Aap par Wajib ho chuka tha ki Aap Apne Iqrba’a(Sabandhi) se Sila Raham kare Aur Muskil Halaat me Un ka Haath Batae.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-2, Safa-10)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 207)
>> Chote Bhai ko Sath lejane ki Baap ke Huzre me DarKhwaast
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab Unhone Apna Asbaab(Saamaan) Khola Apni Punji paai ke Unko Feir di gayi Hay Bole Ay Hamare Baap Ab Ham Aur kya Chaahe ye he Hamari Punji ke Hame Wapas kar di gayi Aur Ham Apne Ghar ke liye Galla(Anaaz) laaye Aur Apne Bhai ki Hifazat kare Aur Ek Untka Bouz Aur Zyada Paaye, yeh deina Baadshah ke Samne kuch nahi, (Baap ne)Kaha me Hargiz ushe Tumhare Saath na Bhejunga jab tak Tum Muze(Is Baat ka) ALLAH ka ye Ahad na de do ke Jarur Ushe le kar Aaoge Magar ye ke Tum Ghir jaao fir jab Unhone Yaqub(Alayhesalam) ko Wada diya kaha ALLAH ka Zimma he Un Baato par jo Ham keh rahe he”
(Surah Yusuf, Aayat – 65, 66)
Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Beito ne Aapki Khidmat me Arz kiya ki Misr ke Baadshah ne Hamare Saath Bahot Acha Suluk kiya he, Hamari Raqam bhi Wapis kardi gayi he, Ummid he ki Wapis nahi lega, Agarche Hame Jaakar Pata Karna he ki Wapis karne ka Sabab kya he…? Lekin Agar ham Chote Bhai Bin-Yamin ko Sath Na le gaye to Hame Anaaz nahi milega, Is liye Hamare Saath Bhai ko Bheij do Ham iski Hifazat karenge.
Qahat ki Wajh se Anaaz lane ki Mohtaji bhi thi Aur Yusuf Alayhesalam ne Bin-Yamin ki Bageir Anaaz deine se bhi Inkaar kar diya tha, Is liye Yaqub Alayhesalam ne Saath Bhejne ka Feisla kiya Lekin Sabse Badi Wajah ye thi ki ALLAH TA’ALA ne Wahi ke Zariye Aapko Bataya tha ki Aap Saath Bhej de Me iski Hifazat karunga Aur Aap tak ishe Wapis Pahoncha dunga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-208)
Leave A Comment