Hazrat yusuf k mojizat khwabon ki tabeer in hindi 5 Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Baadshah ke Paas Zikr karne ke Muta’alaq kehna
Quraan Sareef ke he ki
“Aur Yusuf(Alayhesalam) ne un Dono me se Jise Bachta Samza(Ki wo Naza’at paayega) Usse Kaha Apne Baadshah ke Paas Mera Zikr karna, to Seitaan ne ushe Bhula diya ke Apne Baadshah ke Saamne Yusuf(Alayhesalam) ka Zikr kare to Yusuf(Alayhesalam) Kai Baras Aur Qeidkhane me Rahe”
(Surah Yusuf, Aayat-42)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Jab Qeid se Naja’at pane wale Ko Kaha ki Meira Zikr Baadshah ke Samne Karna To ALLAH TA’ALA ne is par Pyaar va Mohabbat se Aapko Tanbiy Farmayi
Ay Mere Pyaare Zara Gour to karo, Tumhe Bhaiyo ke Hatho Qatl hone se kisne Bachaya…?
Tumhe Kuwe se kisne Nikala…?
Tumhe Aurat ke Bohtaan se kisne Bachaya…?
Arz ki MOULA E KAAYE NAAT PARWARDIGAAR Ye Tere hi Feizaan the,
RABB TA’ALA ne Farmaya Fir Inshan ke Samne Zikr karne ka Kya Faiyda tha…?
Yusuf Alayhesalam ne Azr peish karte hue Arz kiya Ay Mere MOULA Bas Weise hi Zaban par aa gaya tha.
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Baadshah ke do(2) Gulamo ko Khwaab ki Ta’abir Bayan karne se pehle 5 Saal Qeid-Khana me Guzar liye the Aur Mazeed 7 Saal Aapne Aur Guzare, Yaani 12 Saal ALLAH TA’ALA ke NABI ne Apni Paak Daamani ke liye Qeid-Khana me Guzaar diye,
AMBIYA KIRAAM se Bahot Muskil Imtehaan liye gaye.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-248)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-196, 197)
>> Baadshah ko Khwaab Aana :-
Quraan Sareef me he ki
“Aur Baadshah ne Kaha Meine Khwaab me Deikhi Saat(7) Gaaye Fabahr ke Unhe Saat(7) Dubli Gaaye Kha rahi he Aur Saat(7) Baale(n) Hari Aur Dusri Saat(7) Shukhi Ay Darbariyo Mere Khwaabka Jawab do Agar Tumhe Khwaab ki Ta’abir Aati ho, Bole Pareshan Khwaab he Aur Ham Khwaab ki Ta’abir Nahi Jante, Aur Bola wo jo Un Dono me se Bacha tha Aur ek Muddat Baad ushe Yaad Aaya Me Tumhe Uski Ta’abir Bataunga Muze(Qeid-khane me) Bhejo”
(Surah Yusuf, Aayat-43, 44, 45)
RABB TA’ALA ka Qanoon-e-Qudrat ye he ki Jab kishi Chiz ka Irada Farmata he to uske liye Asbaab Peida farmata he, Yusuf Alayhesalam ko Bhi Jab Qeid-Khana se Nikaalne ka Irada Farmaya to uska Sabab ye Peida farmaya ki
Misr ke Baadshah ‘Rayaan’ ne khwaab deikha ki 7 Moti-Taazi Gaay ek Khusk(Sukhi) Naher se Nikli Aur Saath hi Kamzor Gaay,
Kamzor Gaay Moti Gaay ko Kha gayi Aur usne Deikha ki 7 Baliya jo Daano se Bhar Pur Aur Sabj(Hara/Green) he Aur 7 Dusri Khusk ko deikha jo Sabj par Lapeit kar unpar Galib aa gayi,
Baadshah ne Apne Darbari Paadari, Najumiyo(Jyotisho) ko Jama karke Unse Khwaab ki Ta’abir Puchi, Unhone Kaha Agar Khwaab me koi Tartib hoti, Jo Waqe’aat ki Pahechan karti to Ham Ta’abir Batate, Ye Khwaab Bila Tartib he, in me ikhtelaat(Mix) va Fiqr payi gayi he, Is liye Ye Bikhri Soch he, Inki Ta’abir Kuch bhi Baya nahi ki Ja Sakti Lekin Baadshah Bahot Zyada Pareshan tha ki Kamzor ka Taqatwar par Galib aajana Aur Khusk ka Sabj par Galib Aajana, Yakinan kishi Khatra ki Alamat he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-147)
Baadshah ki Pareshani ko deikh kar us Sabiq Qeidi Shaksh ko Yaad Aaya jise Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Farmaya tha ki ‘Tu Naja’at payega’, usne Kaha Muje Qeid-Khana me Bhejo, waha ek Aalim Shaksh he wo is Khwaab ki Ta’abir Bayan karega to Me Wapis Aakar Tumhe Bataunga, wo Shaksh Yusuf Alayhesalam ke Paas Qeid-Khana me Aakar Baadshah ke Khwaab ki Ta’abir Puchne laga,
ek Dusri Riwayat ke Mutabiq, Ye ek Aur Shaksh tha jisne Yusuf Alayhesalam ka Charcha Soon rakha tha, Baadshah ke Khwaab Bayan karne Aur Pareshani ko deikh kar Kuch Waqt ke Baad Ushe Yaad Aaya ki Me Qeid-khana me us Shaksh ke Paas Jakar Puchun, jis ke Muta’alaq Mashoor he ki
“wo Khwaabo ki Ta’abir Sahi Bayan karta he”.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-197, 198)
>> Baadshah ke Khwaab ki Ta’abir Hazrat Yusuf Alayhesalam Bayan karte he
Quraan e Majeed me he ki
“(Yusuf Alayhesalam ne) kaha Tum Kheti Karoge Saat(7) Baras Lagaataar(Aur Peidawaar Khub hogi) To jo Kaato ushe Uski Baalme Rehne do(Taaki Anaaz Khraab na ho) Magar Thoda Jitna Kha lo, Fir Uske Baad Saat(7) Baras Karre(Badi Shakt Musibat) Aaenge ke Kha Jaeige jo Tumne Unke Liye Jama kar rakha tha Magar Thoda jo Bacha lo, Fir Unke Baad ek Baras Aaeiga Jisme Lougo ko Menh(Baarish) Diya Jaayega Aur Usme (Falo Aur Daano se Teil Aur) Ras Nichorege”
(Surah Yusuf, Aayat-47, 48, 49)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Khwaab ki Ta’abir Bayan ki ke 7 Saal Anaaz Tumhe Aam Dastoor ke Mutabik Hasil hoga, fir 7 Saal Qahat hoga, Barise Nahi hogi, Ye Qahat Wale Saal Pehle Saalo ke Jama’a Anaaz ko Khatm kar deinge, uske Baad Fir ek Saal Khushaali ka Dourdourah, Barise Kaseer(Zyada) hogi, Jinki Wajah se Angoor, Zeytoon, Ganne Aur Tal Wageira ki Kaseer Peidawaar hogi, Jinse Tum Ras Nikaaloge Aur Baaz se Teil Nikaaloge,
Yusuf Alayhesalam ne khwaab ki Ta’abir Bayan ki Aur Sath Sath iske liye Ehtyaati Tarabir bhi Bayan ki ke Pehle 7 Saalo ki Peida hone wale Anaaz ko Be-Darig Istemaal na karna Sirf Itna Anaaz Saaf karna Yaani Bhusha Aur Daano ko itni Mikdaar(Hadd) me Alaihda karna jis se Tumhari Zaruriyaat puri ho sake, Baaqi Anaaz Baliyo(Khoso) me hi Rehne deina, Isse Kharch me Ehteyaat Hogi Aur Daane Kire Makodo se bhi Mahfooz rahenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-198, 199)
Makame NABI Kitna Buland he…
Jo Ta’abir Kishi Paadri ya Jyotish ko bhi Na Aa Saki wo Ta’abir ALLAH ka NABI Bata raha he… Aur Jab Saail ne Ta’abir puchi to ushe ye Na Kaha ki 7 Saal Baad Meri Keishe Yaad Aa gayi…?? Aur ye bhi na Kaha ki Pehle Badshah ko kaho ki Muje Begunah Qeid me dala huwa he.. Muje Pehle Qeid-khana se Nikalo to Ta’abir Bataunga,
Nahi Nahi.. Sabir NABI ne koi Sart na Lagai Aur Na hi Us Shaksh ko Ta’ana diya, Balqi Usko Khwaab ki Ta’abir Batayi..
>> Baadshah ka Yusuf Alayhesalam ko Bulana Aur Aapka Inkaar karna :-
Quraan Sareef me he ki
“Aur (Jab Us Aadmi ne Aakar Khwaab ki Ta’abir Baadshah ko Sunai to ) Baadshah Bola ke Unhe Mere Paas le Aao to Jab Unke Paas Elchi Aaya (To Yusuf Alayhesalam ne) Kaha Apne Baadshah ke Paas Palat ja Fir Usse Puche Kya Haal he Un Auratoka Jinhone Apne Haath Kaate the(Me Chahta hu Ki Pehle Iska Feisla ho jaaye) Beshaq Meira RABB Unka Fareib Janta he, (Is Par) Baadshah ne(Un Aurato ko Bula kar) Kaha Ay Aurato Tumhara Kya Kaam tha Jab Tumne Yusuf (Alayhesalam) ka Dil Lubhana Chaha Boli ALLAH ko Paaki he Hamne Unme koi Badi(बदी) (Burai ki Baat) Na Paai (Ye Soon kar) Aziz ki Aurat Boli Ab Asli Baat Khul Gayi Meine Unka Ji Lubhana Chaha tha Aur wo Beshaq (Apne Bayan me) Sacche he, Yusuf (Alayhesalam) ne Kaha Ye Meine Is liye kiya ki Azizko Malum ho jaaye ke Meine Pith piche Uski Khyanat na ki Aur ALLAH Dagabaazo ka Makr nahi Chalne deita”
(Surah Yusuf, Aayat – 50, 51, 52)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Sabr deikhe, 12 Saal Qeid me rehne ke Ba-wajood Jab Qeid-Khana se Nikalne ka Peigaam milta he to Aap Khushi se Jaldi Nikalne ki Bajaaye Inkaar karte hue ye kehte he ki Pehle Ma’amala Ki Chaan-Bin karle Fir Me Qeid-Khana se Bahar Aaunga, Agar Aap Jaldi se Baahar Aajate to Mumkin Tha ki Baadshah ke Dil me us Tohmat ke Haqq hone ka Waswasa Baaqi rehta, Waqiya ki Tehqeeq ke Baad Baadshah ko Yaqin ho gaya, Aurato ne Aap ki Paak Daamani ka Wajeh Eylaan Farma diya, Aziz ki Zovja jisne Abhi tak Iqbal Jurm nahi kiya, Ab wo bhi Apni Galti ka Eyteraaf karte hue Aapko Paak Daaman Aur Saccha kehne lagi, Is Tarah Baadshah par ye Haqiqat Khul kar Saamne Aa gayi ki Aap Sacche he.
Baadshah ne kaha Unko Meire Paas le aao Iski Wajah ye thi ki Ushe Jab Ma’alum huwa ki Aap Bade Saaheibe Ilm he to usne Kaha Eysha Sahibe Ilm Qeid me Rahe ye keishe ho Sakta he…?? Is se Ilm ki Fazilat Hasil hui ki ALLAH TA’ALA ne Aapke Ilm ko Duniya me Masa’aib se Chutkara Hasil Karne ka Zariya Banaya to Ye Keishe ho sakta he.. ki Dini Ulum Aakherat ki Muskilaat se Chutkara Dilane ka Zariya Na Ban Sake..??
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-151)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-199, 200)
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Taaj-Poshi
Ek Saal ke Baad Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Bula kar Aap ki Taaj-Poshi ki Aur Talwaar Aur Mahar Aapke Saamne Peish ki Aur Aapko Takht par Takht Naseen kiya jo Jawaheraat se Saza tha, Aur Apna Mulk Aapke Supurd kar diya, Lekin Taaj Aap ne ye keh kar Wapis Kar diya ki ye Meira Aur Mere Aabaa(Baap-Dada) Ka Libaas nahi, Albatta Angoothi jo Batoure Mahar Istemaal Hoti thi ushe Aur Takht ko Aapne Qabool kar liya ki Takht ke Zariye Tumhari Saltanat Mazboot karunga Aur Mahar ke Zariye Tumhare Amoor ki Tadbeere Sar-Anjaam dunga,
Qatfeer(Azize Misr) ko Be-dakhal karke Aapko Uski Jagah Waali Banaya Aur Tamaam Khazaain Aapke Supurd kar diye Aur Saltanat ki Tamam Amoor Aapke Haath me de diye Aur Khud ek Taabi ki Hesiyat me ho gaya, Aapki Raay me Dakhl nahi deita tha Aur Aap ke Hukm ko Manta tha Is Tarah Aap Wazeer e Aazam Ban gaye Tamam Ikhteyaarat ke Maalik Ban gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa – 203)
(Waqiya Thoda Bada he)
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam Qeid-Khana se Nikal kar Wazeer e Khzaana Aur Wazeer e Aazam
Quraan e Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Aur Baadshah bola Unhe Meire Paas le Aao ke Me Unhe Apne Liye Chun lu Fir Jab Usse Baat ki, Kaha Beshaq Aaj Aap Hamare Yaha Mo’azziz(Badi Izzat wale Aur) Mo’atamid(Imaanat Daar) he, Yusuf(Alayhesalam) ne Kaha Muze Zamin ke Khzaano Par Kar de Beshaq Me Hifazatwala Ilmwala hu, Aur yu hi Hamne Yusuf (Alayhesalam) ko Us Mulk Par Qudrat Bakhsi Usme Jaha Chahe rahe Ham Apni Rahmat Jise Chahe Pahunchaye Aur Ham Nekiyoka Neg Zaae Nahi Karte, Aur Beshaq Aakherat ka Sawab Unke liye Behtar Jo Imaan laae Aur Parhezgaar Rahe”
(Surah Yusuf, Aayat – 54, 55, 56, 57)
Baadshah ne Mo’azzin ki ek Jama’at Behtareen Sawariya Aur Sazo-Saamaan Aur Nafees Libaaz de kar Qeid-Khana Bheje Taaki Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Nihayat Ta’azim va Taqrim ke Sath Iwaan Saahi(Baadshah ke Mahel) me laaye, Un logo ne Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Khidmat Me Hazir hokar Baadshah ka Peigaam Arz kiya Aapne Qabool Farmaya Aur Qeid-Khana se Nikalte waqt Qediyo ke liye Dua Farmayi, Jab Qeid-Khane se Baahar Tasreef laaye to Us ke Darwaze par likha
“Ye Musibato la Ghar he Zinda lougo ke liye Qabr he Aur Dusmano ki Badgoi Balki Unke liye Khus Hone ka Makam he Aur Saccho ke Imtehaan ki Jagah he”
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)
Fir Gusl kiya, Aa’la Libaas Pahena Aur Saahi Mahelaat ki Taraf Rawana hue, Jab Qilla ke Paas Pahonche To Farmaya Meira RABB hi Kaafi he Uski Panah Badi Aur Uski Sana’a Bartar, Uske Siwa koi Ma’abud nahi, Fir Qilla Me Dakhil hue, Baadshah ke Saamne Pahonche to ye Dua ki
“Ay Meire RABB Tere Fazl se Iski Bhlaai Talab Karta hu Aur Iski Aur Dusro ki Buraai se Teri Panah Chahta hu”
Jab Baadshah se Nazar Mili to Aapne Arbi Me Salam Farmaya, Baadshah ne Pucha Ye Kon si Zaban he…? To Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ye Meire Chacha Hazrat Ismail Alayhesalam ki Zaban he, Fir Aapne Ibraani Zaban me Dua ki, Usne Fir Pucha ye Kon si Zaban he…? Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ye Meire Abbajaan Hazrat Yaqub Alayhesalam ki Zaban he, Baadshah Dono Zabane Nahi Samaj saka (Iske) Bawajood wo 70 Zabane Janta tha, Fir Usne Jis Zabaan me Hazrat Se Guftagu ki Aapne ushi Zaban me Ushe Jawab diya,
Is Waqt Aapki Umar Sareef 30 Saal thi Is Umar me Itne Saare Ulum deikh kar Baadshah ko Bahot Heirat hui Aur Usne Aapko Apne Barabar Jagah di, Baadshah ne Darkhwast ki ke Hazat iske Khwaab ki Ta’abir Apni Zabaan Mubarak se Suna de.
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Ta’abir Farmaayi Aur Ta’abir Farmane ke Baad Farmaya ki Laazim ye he ki Anaaz Jama kiye Jaaye Aur Un Farakhi ke Saalo me Kasrat se Kheti karai jaye Aur Anaaz unke Khousho me Jama kar liye jaaye Aur Aaya ki Peidawar se Khams(5va Hissa) liya Jaaye is se Jo Jama Hoga Wo Misr Aur Misr ki Itraaf ke Lougo ke liye Kaafi hoga Aur Fir ALLAH ki Makhluq Har Taraf se Tere Paas Anaaz Kharid ne Aayegi Aur Tere Haa(Yaha) Itni Khzaaine Amwaal(Maal va Milkat) Jama honge Jo Tujse Pehlo ke liye Jama na hue, Baadshah Ne Kaha Iska Intezaam kon karega..? Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Zameen ke Khzaane Mere Hawale Kar de Me Inki Hifazat Bhi Karunga Aur ALLAH TA’ALA ke diye hue Ilm se Unka Behtar Intezaam karunga,
Baadshah ne Samaj liya tha ki Aap se Zyada Is Mansab ke Laayak Aur koi Nahi ho Sakta, Is liye Usne Aapke Irsaad ke Mutabiq Aapko Tamaam Khzaain ka Wazeer Mukararr kar diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 201, 202)
Leave A Comment