Hazrat yusuf or zulekha ka waqiya in hindi urdu history 4 Azize-Misr ki Aurat par Misr ki Aurato ki Taana-Zani :-
Quraan Sareef me he ki “Aur(Jab Us Wakiye ka Charcha Feila to) Saher me Kuch Aurate Boli ki Aziz ki Bibi Nov-Jawan ka Dil Lubhati he Beshaq Unki Mohabbat uske Dil me Peir gayi he Hamto Ushe Sarih Khud Raftaa Pate he”
(Surah Yusuf, Aayat-30)
Wo wakiya Pure Saher me Mashoor ho gaya tha, Kayi Aurate kehne lagi ki Aziz ki Biwi Kitni Galti par he Jo Apne Ghar rakhe hue Nav-jawan se Itni Sadid Mohabbat karti he ki Ushe Kuch Aur Nazar hi nahi aata, uske Dil par Mohabbat ne Is tarah Gheira daal liya he Jis Tarah kishi Chiz ka Gilaaf ushe Apni Lapeit me leita he Aur wo Mohabbat uske Dil Aur Baaki Chizo me Hijaab ikhtyaar kar chuki he ki Siwaye Us Nav-Jawan ke Aur kishi Chiz ka Pata hi Nahi, Ham to Ushe us Nav-Jawan se Sadid Mohabbat karne me Raah Rasta se Bhatka huwa Paate he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-188)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ko deikh kar Aurato ne Apne Hath Kaat liye
Quraan Sareef me he ki
“To Jab Zulekha ne unka Charcha suna to Un Aurato ko Bula Bheja Aur unke liye Masnade Taiyyar ki Aur Unme Har ekko Churi di Aur (Iske Baad) Yusuf (Alayhesalam) se kaha Unpar Nikal Aao jab Auratone Yusuf(Alayhesalam) ko deikha Uski Badaai Bolne lagi Aur Apne Haath Kaat liye Aur Boli ALLAH ko Paaki he ye to Jinse Basarse nahi ye to Nahi Magar Koi Mo’azziz Farista(Jo Khubsurat Aurato ki Taraf Nazar utha kar bhi Nahi deikhta), (Tab) Zulekha ne Kaha to ye he wo Jin par Tum Muze Tana deiti thi Aur Beshaq Meine Unka Ji Lubhana Chaha to Unhone Apne Aapko Bachaya Aur Beshaq Agar Woh ye Kaam na karenge jo me Unse kehti hu to Zarur Keid me Padhenge Aur Zarur Zillat Uthaenge”
(Surah Yusuf, Aayat – 31, 32)
Aziz ki Zovja ne un Aurato ki Da’wat ki jo uske Muta’alak Baate karti thi, Wo Bade Bade Sardaro, Wazeero ki Biwiya thi, Jinki Tadaad 40 thi, Unme 5 Aurate ye bhi thi Jo Bahot Baate karti thi
1) Aziz ko Paani Pilane wale ki Zovja,
2) Wazeer e Jeil ki Zovja,
3) Rotiya Pakane wali Aurat, jisne itne Arse me Yusuf Alayhesalam ko Nahi deikha tha,
4) Aziz ke Janwaro ke Muhafiz(Hifazat karne wale) ki Zovja,
5) Darbaan ki Zovja,
Da’wat ki Majlis me Har ek ke liye Nasihat Mukararr thi, Takiye Laga diye, Dastarkhwaan par Tarah Tarah ke Khane chun diye gaye, Fal bhi rakh diye gaye, Falo ya Gost ya Khaas kar Limbu kaatne ke liye Churiya bhi Rakh di gayi, Har Beithak ke Samne ek ek Churi rakhi gayi thi,
Jab Aurate Aagayi Apni Apni Beithak par Beith gayi, To Aziz ki Zovja ne Aap(Yusuf Alayhesalam) ko Hukm diya ki Aap Apne Kamre se Bahar Niklo Aur Un Aurato ki Mehfil ke Samne se Gujar jaao Taaki Ye Aapki ek Jhalak deikh le, Hazrat Yusuf Alayhesalam Pehle hi us Aurat ki ek Saazis ka Sikaar ho chuke the, ALLAH TA’ALA ne Aapko Bari kar diya tha, Ab Yahi Khouf Dil me Aa raha tha ki iska Hukm na Manne par Koi Nayi Musibat na Khadi ho jaye, Aapko Majburan Nikal kar Aurato ke Saamne se Gujarna Padha,

Jab Hazrat Yusuf Alayhesalam Unke Saamne se Gujre…

“to wo Aapko deikh kar itni Dahesat me Aa gayi ki Fal le kar unko Churiyo se Kaatne lagi thi, lekin Apne Haath Kaat kar Zakhmi kar liye”
Ya Unhone Apne Hath is Wajah se Kaat liye ki Aapko deikh kar is Tarah Madhosh hui ki Unhe ye Pata Na Chal saka ki wo Churiya Sidhi Pakad rahi he ya Ulti, (Churi ki) Sidhi Janib Apne Hatho ki taraf kardi Aur Ulti Janib Falo ki taraf karke Falo ko Kaatne ke Garz se Churiyo ko Jeise Chalaya to Haath kat gaye.
Ye bhi Mumkin he Kuch Aurato ne Churiya Ulti Chala kar Apne Haath Kaat liye ho Aur Kuchne Fal kaat kar Haatho tak Churiya Chala di ho.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 189, 190)
 
>> Haath kaatne ki Wajah Jamaale Yusuf Alayhesalam par Madhosh hona :-
Un Aurato ne Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Umda Jamaal Aur Kaamil Husn ki Wajah se Azeem Samja tha yahi Wajah thi un ke Haath Kaatne ki,
Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Husn va Jamaal me Baaki logo par is tarah Fazilat Hasil thi Jis tarah Chodhvi(14vi) ke Chand ko Sitaro par Fazilat Hasil hoti he,
Ek Martaba Hamare AAQA HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Pucha gaya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aapne Unhe(Yusuf Alayhesalam ko) Keishe paya to HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Farmaya Eyshe hi Jeishe Chodvi(14vi) ka Chand,
Yusuf Alayhesalam Jab Misr ki Galiyo me Chalte to Aap ke Chehre ki Nooraniyat ki Wajah se Diware Is Tarah Roshan ho jati jis tarah Suraj ki kirno se Roshni Feil jati he,
(Aurato ke Haath kaatne ki) Sabse Badi Wajah ye thi ki un Aurato ne Aap ki Nooraniyat va Resalat ke Aasaar ko deikha Aur Nabuwwat ke Reb va Jalaal ka Musahida kiya Aur Jab ye deikha ki ye Shaksh to Farista-Sirat he, isne T’aam ko nahi deikha, Ham Navjawan Aurato ko Nahi deikha, ishe Hamari Zara Parwah tak nahi hui, Zaaheri Surat bhi Azeem Aur Sirat bhi Azeem, Bas Yahi deikh kar unhone Ta’ajub kiya Madhosh ho gayi, Apne Hous va Havaas Kayam na rakh saki, Aur Itna Samaj liya ki ye koi Aam Inshan nahi ye to koi Makarrab Farista he,
Haa, ye kyu na hota, Jab ki NABI ka Makam Faristo se Buland tareen hota he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-190,191)
Aaiye Ek Nazar Hamare AAQA HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Husn va Jamaal par deikhte he
>> Hamare AAQA IMAAMUL AMBIYA Sallallaho Alayhe Wasallam Chand se bhi Zyada Haseen :
Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he
Meine Chandani Raat me NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko deikha
to Me Kabhi Pyare HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko deikhta Aur Kabhi Chand ki Taraf, Jab ki Aapne Surkh(Laal) Dhariyo wala Libaas Zebtan(Pahen) kar rakha tha Aap Muje Chand se bhi Zyada Haseen Nazar Aa rahe the.
(Miskaat Sareef, Jild-2, Safa-517)
 
 Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Qeid-khane ki Dua karna Aur us Dua ka Qabool hona
Quraan Sareef me he ki
“Yusuf (Alayhesalam) ne Arz ki Ay Mere RABB Muze Qeidkhana Zyada Pasand he us Kaam se Jiski Taraf ye Muze Bulati he Aur Agar Tu Muzse unka Makr na Ferega to me Unki Taraf Maail hounga Aur Naadaan Banuga,
To Uske RABB ne Uski Sunli Aur usse Aurato ka Makr feir diya Beshak Wohi (Har ek ki Dua) Sunta Janta he,
Fir Jab kuch Nishaniya deikh dikha kar Pichli Mat Unhe yehi Aai ke Zarur ek Muddat tak ushe Qeidkhane me Dale”
(Surah Yusuf, Aayat – 33, 34, 35)
Jab Azize Misr ki Zovja(Biwi) ne Misr ki Aurato ke Saamne Kaha ki Agar isne Meri Baat ko na Mana to ishe Qeid-khana me Jana padhega Aur Zalil hona Padhega to Da’awat par Bulai hui Tamam Auratone Ijtemai Tour par Yusuf Alayhesalam ko Samjana Suru kiya, kehne lagi Tumhare liye ye Behtar nahi ki Tum uske Hukm ki Mukhalifat(khilaaf) karo Kyu ki Mukhalifat ki Surat me Tumhe Qeid-khana me Jana Padhega Aur Zillat uthani Padhegi,
Ab Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Chand Muskilaat ka Saamna tha,
Aapne Dua ki
“Ay ALLAH Tu Muje In Aurato ke Makr se Bacha Sakta he, Agar Teira Fazal na ho to Inshan eyshe Gunaho me Mubtila ho kar Jahil ban jata he, Ay ALLAH Muje Jis Kaam ki ye Da’awat de rahi he Us se Behtar Mere liye Qeid-Khana hi he”.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-130)
Azize Misr Aur Dusre Tamam Loug Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Paak Daamani ka Yakin Kar Chuke the.
Lekin Aapko Sirf Zaaheri Maslehat ke peishe Nazar Unhone Qeid-Khana Bhejne ka Feishla kiya tha Kyu ki Azize Misr ki Zovja ke Alawa Ab Dusri Aurate bhi Aap par Aashik ho chuki thi, Ghar Ghar Yusuf Alayhesalam ke Husn va Jamaal ka Charcha ho raha tha wo Loug Apni Aurato ko Rokne me to Naakaam ho gaye, Albatta Aapko Qeid-khane me Bhejne ka Unhe ek Hal Samja tha, Ye Asal me Aapki Apni Dua ka Asar hi tha.
Is Tarah Aziz ki Zovja ne Apne Sohar ko kaha Ki ye Ibrani Gulaam muje Badnaam kar raha he ki mene ushe Apni Taraf Mail karna chaha Lekin wo Bach gaya wo Chunki Bahar Nikal sakta he Aur me Gharme Mahbus hu Ya Muje Bhi Baahar Bazaro me Jakar uska Jawab deine ki Ijajat di jaye ya ushe bhi Qeid kar liya jaaye,
To is Tarah Aziz Aur Dusre Wazeero ne Aapko Qeid me Bhijwa diya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-237)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-192, 193)

>> Qediyo ka Hazrat Yusuf Alayhesalam se Barkat Hasil karna :-

Hazrat Yusuf Alayhesalam Jab Qeid-Khana me gaye to Waha Qeidiyo ko deikha ki Qediyo ki Ummide Tuti hui he, Sadid Masaib Aur Taveel(Lambe) Gamo me Mubtila he, Aapne Un ko Tasalli deite hue kaha Khus ho jaao, Sabr karo ALLAH TA’ALA Sabr ka Ajr Zarur aata farmata he,
Qoum ne kaha Ay Jawan Aap ka Chehra kitna Haseen he…?
Aap ki Surat Kitni hi Khubsurat he…?
Aapke Kitne hi Acche Akhlaq he…?
Jab se Tumne Hame Bataya Sabr par Ajr he Aur Musibat Gunaho ka Kaffara he Aur Masaib Va Aalaam Gunaho se Pakizgi ka Zariya he to Hame Tumhare Qurb Aur Nasaaih se Barkat Hasil ho gayi he,
Unhone Pucha Ay Jawan Tum Koun ho…?
Aapne Bataya Me Yusuf Ibne Yakub ibne Ishaak Ibne Ibrahim (Alayhesalam) hu,
Qeid-Khana ke Nazim e Aala(Unche Darje par Kaam Karne wala) ne kaha Ay NavJawan Agar Mere Ikhteyaar me hota to Me Tumhe Aazad kar deita, Ye to Mere Ikhteyaar me nahi, Albatta Tumhare Padosh me Rehne wale Qeidiyo par Acha Suluk karunga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-194)
 
>> Qediyo ka Yusuf Alayhesalam se Khwaab ki Ta’abir Puchna :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Uske(Yusuf Alayhesalam ke) Sath Qeidkhana me do Jawan Dakhil hue Unme ek Bola Meine Khwaab deikha ke Sarab Nichorta hu Aur Dusra Bola Meine Khwaab deikha ki Mere Sar par Kuch Rotiya he jinme se Parindey Khate he Hame Uski Ta’abir Bataiye Beshaq Ham Aapko Neikukaar deikhte he”
(Surah Yusuf, Aayat-36)
Ek ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
“Meine Angoor ki ek Bahot Khubsurat Beyl deikhi Jiski 3 Saakhe he Aur un par Angoor ke Gucche lage hue he, Me unhe Nichor kar Baadshah ko Pila raha hu”
(Khyaal rahe ki Sarab bhi Angoor ke Nichor se hi Banti he is liye us Shaksh ne Angoor Nichor ne ko Sarab Nichor ne se Ta’abir kar diya)
Dusre ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
“Meine Deikha ki Me Baadshah ke Rasoyi Khana(Khana Banane ka Kamra) se Nikal raha hu Aur Meire Sar par 3 Tokariya Rotiyo ki he jinke Upar se Parinde Kha rahe he”
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-239)
Hazrat Yusuf Alayhesalam Jab Qeid-Khana me aaye the, Aapne Bataya ki Me Khwaabo ki Ta’abir Bayan karta hu, Kai Lougo ko Aap Pehle Bhi Khwaabo ki Ta’abir Bata chuke the, Jo Sacche Sabit hue the, Is liye Un Do Shaksho ne bhi Aapse Ta’abir Puchi ki Aap Sacche Ta’abir Batate he, Aap Sahibe Ilm he, Aap Bahot Ache Shaksh he, Tamam Qeidi Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Acche Afaal par Muttela the, Aap Namaz, Roza ke Paband the, Har Kism ke Neiki ke Kaam karna Aapki Aadat Sareef thi, Aapke Acche Akhlaq kishi par Chupe na the, Aap Marizo ki iyadat karte, Gamnaak Lougo ke Dilo ki Dharish Bandhte,
Aapke Fazail va Kamalaat ko deikh kar Un dono Qediyo ne Aap se Haqiqatan deikhe hue Khwaabo ki Ta’abir Puchi Ya Sirf Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Aazmane ke liye Man-ghadat Khwaab Bayan kiye,
Ek Qoul ye he ki Qeid-Khana me Jab Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Bataya ki Me Khwaab ki Ta’abire Janta hu, To Un Dono ne ek Dusre ko kaha ki Us Ibraani Gulaam ki Aazmaish karni Chahiye, Ham Apne Taraf se Khud Khwaab Bana kar Us Par Peish kare, Unhone Eysha hi kiya Agarche Unhone Koi Khwaab nahi deikha tha Khud hi Khwaab Bana ke Sawal kiya.
Hazrat Ibne Mas’ud RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya Unhone Koi Khwaab nahi deikhe the Balki Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Ilm ko Aazmane ke liye Khud hi Khwaab Ghade the.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-134)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-238)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-194, 195)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Khwaab ki Ta’abir Bayan karna
Quraane Majeed me he ki
“(Yusuf Alayhesalam ne Farmaya) Ay Qeidkhane ke Dono Sathiyo (Ab Khwaabo ki Ta’abir Suno) Tumme ek to (Qeid se Chhut jayega Aur) Apne Baadshah ko Sarab Pilayega, Raha Dusra, Wo Suli diya jayega to Parinde Uska Sar Khayenge, Huqm ho Chuka us Baat ka Jiska Tum Sawal karte the”
(Surah Yusuf, Aayat – 41)namrud badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam 5
Aapne Jab ye Ta’abir Baya ki to woh kehne lage Hamne to koi Khwaab na deikha tha, Aapne Farmaya Huqm ho chuka he is Baat ka Jo tum Sawal karte the,
‘Beshak jo Ta’abir Aapne Bayan Farmayi ushe Yakinan Waqeh hona hi tha’
Kyunki Aapne Ta’abir Bayan karne se pehle hi Farma diya tha Me Tumhe Tumhara Khana Aane se pehle Khwaab ki Ta’abir Bata dunga kyunki Mere RABB ne Muje Ilm diya he, Yani Aap ne Bahot Wajeh tour par Bata diya ki Khwaabo ki Ta’abir koi Andaaje se Bayan Nahi karta ye to Mere RABB ka diya huwa Ilm he jis ki Wajah se Me Bayan karta hu.
Aapne Unhe Bataya ki ALLAH TA’ALA ne MujeHazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4 Kaseer(Bahot) Ulum Aata farmaye he ye jo tum ne Suna he Ye to Baarish ka ek Qatra he, Baag ke Fhulo me se ek Kali he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-143)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-241)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-195)
SubhanAllah…jinnat ki dunya