Hazrat yusuf or zulekha ka waqiya storty in hindi urdu 3 Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Walida ki Qabr par Rona :-
Bhaiyo ko Aap ne Alwida kar diya to Aapko Gulam ne Pakad kar Apne Sath Chala liya Taki Kafila se Mil jaye, Aapko Bediya laga kar ek Sawari par Sawar karke Sath le jaya ja raha tha, Kan’aan ke Qabrstaan se Jab Aapka Gujar huwa to Apni Walida Raahil ki Qabr ko deikh kar Aap Apne Jazbaat par Kaabu na rakh Sake,
Sawari se Utar kar Qabr se Lipat kar Route hue Arz karne lage “Ay Meri Maa, Qabr se Sar Utha kar Zara Apne Beite ko Bediyo me Jakda huwa to deikho,
Ay Meri Maa, Bhaiyo ne Muje Kuwe me Feink diya, Baap se Muje Juda kar diya, Khote Sikko se Muje Beich Dala, Meri Choti Umar par bhi Unka Dil na Peja, Unhe Muj par Kuch Rahem Na Aaya,
ALLAH TA’ALA se Sawal karta hu ki Muje Aur Mere Walid ko Makame Rehmat me Jama kare, Wahi ‘Ar rahamul Rahmeen’ he.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-177, 178)
 
(Bahot Pyara Wakiya he, Pura padhe)

>> Gulam ke Yusuf Alayhesalam ko Thappad Maarne par Kehre Khudawandi

Gulam ne Piche deikha to Yusuf Alayhesalam ko Na Paya Wapis Aaya to deikha ki Aap(Yusuf Alayhesalam) ek Qabr ke Paas Ro rahe he, Usne Kaha Tumhe Beichne walo ne Sach kaha tha ki Tum ek Bhagode ho (MaazAllah) ye kehte hue usne Yusuf Alayhesalam ko ek Zourdaar Thappad Maar diya, (Astagfirullah) Jisse Aap Behoush ho kar gir gaye, Fir Jab Aapko Hous Aaya to Aapne Kaha Muje Kuch Na kahe, Ye to Meri Maa ki Qabr he, Me Apni Maa ko Alwidai Salam karne ke liye Sawari se Utar gaya tha, Aainda Eysha Koi Kaam Nahi karunga Jo Tumhe Na Pasand ho, Aapka Chehra Khun se Aaluda tha, Aur Girne ki Wajah se Mitti lagi hui thi, Kaanpte hue RABB ki Bargaah me Arz karne lage
“Ay ALLAH Agar Meri Koi Khtaa he to Muje Mere Aabaa Ibhrahim, Ishaak Aur Yakub Alayhesalam ki Hurmat ke Waseele se Maaf karde”
Aapki is Halat ko deikh kar Aashman ke Fariste bhi Chilla Uthe Aur ALLAH TA’ALA Ki Bargaah me Aapke liye Fariyad karne lage,
ALLAH RABBUL IJJAT ne Irsaad Farmaya
“Ay Mere Faristo Ye Mera NABI he Aur Mere AMBIYA ka Beita he Jo Mujse Fariyaad Kar raha he Aur Mujse hi Imdaad ka Taalib he, Me hi Uska Fariyadras hu, Sab Fariyaad karne walo ki Fariyaad ko Me hi Pahonchta hu,
Aur Aage Farmaya
“Ay Jibrail Jaao Mere Bande ki Imdaad karo”
Jibrail Alayhesalam ne Aakar Yusuf Alayhesalam se Kaha Ay ALLAH TA’ALA ke Dost Tumhara RABB Tumhe Salam kehta he Aur Tumhe ye kehta he
“Roune se Rook jao, Tumne Saat(7) Aashmano ke Faristo ko Rula diya he, Kya Tum ye Chahte ho Zameen va Aashmaan ek ho jaaye..?”
(ALLAHU AKBER)
Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Nahi Nahi, Muje ALLAH TA’ALA ne Apni Sifate Hilm(Burdbari) Ata ki he Aur wo Jaldbaazi Nahi karta to Me Bhi Jaldi se Kaam nahi leita, Jibrail Alayhesalam ne Apna Par Mara, Zameen se Surkh Rang ki Hawa Chalne lagi, Suraj ki Roshni Khtm ho gayi, Surkh Aandhi se Andhera Cha gaya, Kafile wale ek Dusre ko deikh nahi sakte the,
Tajar ne Kaha Ay Kafile Walo Apni Sawariyo se utar kar Apne Aap ko Halaqat se Bachao, Muje Kai Saal ho Chuke he is Rasta se Gujarte hue Mene Aaj ke Din ki Tarah koi Din Nahi deikha, Sab Apne Apne Gunaho ki Ma’afi Mango, Aaj ki Musibat Yakinan Hamari kishi Gunah ka Natija he, is Wakt Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Muhafiz Habsi Gulam ne Bataya ki Mene Yusuf(Alayhesalam) ko Mara tha Jab Mara to usne Apna Sar Aashmano ki Taraf uthaya tha Aur Apne Hontho ko bhi Harkat di thi,
Tajar ne Kaha Afshos Tumhari Barbadi..! Tumne Hame bhi Aur Apne Aap ko Halaq kar diya, Tajar Yusuf Alayhesalam ke Paas Aaya Aur kehne laga Ay Ladke Hamne Tumhe Maar kar Tum par Zulm kiya he, Ay Ladke Agar Tum Badla leina Chahte ho to Badla le lo Ham Hazir he,
Yusuf Alayhesalam ne Farmaya
“Ham Zalimo se Badla Nahi liya karte, Me to Us Ghraane se Ta’aluq rakhta hu, jo Zulm karne walo ko Ma’af kar deite he, Unke liye Magfirat ki Dua karte he, Me Tumhe Ma’af kar Raha hu, ALLAH bhi Tumhe Ma’af kare”
Aapke Ma’af karne ke Sath hi Andhera Khatm ho gaya, Aandhi Rook gayi, Suraj Roshan ho gaya, Masrik va Magrib Tak Roshni feil gayi, Is Tarah Kafila Misr me Aman se Aagaya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-178,179)
SubhanAllah NABI ki kya Shaan he.. NABI par Zulm karne wale keishe Giraft me Aaye..
Aur NABI Kitna Sabir, ki Zalimo ke liye Dua e kar raha he.
 
>> Yusuf Alayhesalam ka Bazare Misr me Souda :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Misr me laya gaya to Aapko Bazar me Bahesiyat Gulam Beicha jane laga to Aapke Husn Va Jamal ki Wajah se Kimmat Badhti chali gayi, Yaha tak ki Aapki Kimmat Yaha tak Pahonch gayi ki Aap ke Wazan ke Barabar Kasturi, Chandi Aur Reisam diya jaye,
itni Badi Kimmat Ada karne ki Aam logo me Taakat na thi is liye Aapko Misr ke Wazeer ne Itni Kimmat Ada karke Kharid liya, uska Laqab ‘Azize Misr’ tha,
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-179)
Azize Misr ne Jab Aapko Kharida tha us wakt Aapki Umar 17 Saal thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-108)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam Naaz va Ne’amat me :-
Quraane Majeed me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Aur Misr ke Jis Shaksh ne ushe Kharida wo Apni Aurat se Bola, inhe Ijjat se rakho, Sayad unse Hame Nafa Pahunche, Ya inko Ham Beita Banale, Aur ishi Tarah Hamne Yusuf ko is Zameen me Jamaav diya Aur isliye ki Ushe Baato ka Anjaam Shikhaye Aur ALLAH Apne Kaam par Gaalib he Magar Aksar Aadmi nahi jante”
(Surah Yusuf, Aayat-21)
Azize Misr ne Aapke Lohe Zabih Par Sa’aadat Va Nazabat ke Nakush(Chap) deikh liye the, Badi Mohabbat se Ghar laya Aur Apni Biwi se kaha ki Bada Pyara Baccha mil gaya he iske Aaram ka Har Wakt khyaal rakhna iski kishi tarah Dil Aazari na ho, Iski Shakl va Surat kishi Shandaar Mustaqbil ki Gamazi kar rahi he, Ho Sakta he kishi Din Hamare liye ye Mufid Sabit ho ya Ham ishe Apna Beita Bana le,
Us Aurat ka Naam ‘Raeeil’ ya ‘Zulekha’ tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-180)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam Ek Martaba phir Imtehaan me :-
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmata he
“Aur wo(Yusuf Alayhesalam) jis Aurat(Azize Misr ki Biwi) ke Gharme tha usne ushe Lubhaya ke Apna Aapa na roke Aur Darwaze sab Band kar diye Aur Boli Aao me Tumhi se kehti hu, (Yusuf Alayhesalam ne) kaha ALLAH ki Panah wo Aziz(Azize Misr) to Mera Parwarish Karnewala he Usne Muze Achi Tarah (Ghar me) Rakha Beshaq Zalimo ka Bhala Nahi hota, Aur Beshaq Aurat ne Uska irada kiya Aur woh bhi Aurat ka Irada karta Agar Apne RABB ki Dalil na deikh leita, Hamne Yuhi kiya ki usse Burai Aur Behayai ko Ferde Beshaq wo Hamare Chune hue Bando me se he”
(Surah Yusuf, Aayat – 23, 24)
Wo Aurat(Azizi Misr ki Biwi) Darwaje Band kar ke Apne ek Butt ko Dhaanp rahi he, wo jo usne Apna Ma’abud Bana rakha tha Aur Yakut se ushe Saja rakha tha, Yusuf Alayhesalam ne usse Pucha Tum use kyu Dhaanp rahi ho…? Usne Kaha Muje Apne Ma’abud se Sarm aati he ki wo Muje Burai me deikhe,
Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Teira Ma’abud to kuch Taakat bhi nahi rakhta Tuje Sarm aarahi he kya Muje us Ma’abud Haqiqi se Sarm nahi aati jo Har Inshan ke Har Amal ko deikh raha he..? Mujse Tu Apni Ummid Wabasta na kar, Tu Kabhi bhi Mujse Apni Hajat me Kaamyab nahi ho sakti.
(SubhanAllah..)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Roshan Dalil ke Tour pe ye Deikha..
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he Beshaq Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Hazrat Yakub Alayhesalam ki Surat deikhai gayi Jinhone Aapke Sina par Hath mara.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)
Hazrat Qatada RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he Aap Farmate he ki Hame Bataya gaya he ki Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Hazrat Yakub Alayhesalam dikhai diye ki Aap Apni Ungaliyo ko Danto se Kaat rahe he Aur Farma rahe he Ay Yusuf Khyaal Rakhna Aysha Kaam Bewakoof karte he Tumhara Naam to Ambiya e Kiraam me likha Ja Chuka he.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)
Zulekha(Azize Misr ki Biwi) ne Agarche Chaha ki Aap ko Gunaho me Mubtila karde Leqin ALLAH ke NABI Nabuwwat se Pehle Aur Nabuwwat ke Baad Chote-Bade Gunaho se Paak hote he is liye ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhesalam ko Waajeh Aur Roshan Dalil deikha kar Paak va Saaf rakha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-181,182)
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam Par Aurat ka Ilzaam :-
Quraan Sareef me he ki
“Aur Dono Darwaze ki Taraf Doure (Yusuf Alayhesalam Aage Aage Aur Zulekha Piche Piche) Aur Aurat ne (Yusuf Alayhesalam) ka Kurta Piche se (Khinch kar) Cheer diya, phir Achanak Dono ko Aurat ka Khawind(Sohar) Darwaze ke paas mil gaya Tab Aurat ne (Apna Jurm Chipane ke liye Baat banai Aur) kaha Jis Aadmi ne Teri Aurat se Badi(बदी) Karni chahi uski Saza Siwaye uske kya honi chahiye ki use Qeid me dala jaye ya koi Aur Dardnaak Saza di jaye”
(Surah Yusuf, Aayat-25)
Jab Aurat ne Aapko Andar Bandh kar liya to Yusuf Alayhesalam ne Apne Aapko Gunaho se Bacha ne ke liye Darwaza ki Taraf Bhaagna Suru kiya taaki Darwaza khoul kar Bahar nikal jaaye, Auratne Piche Bhagna Suru kiya taaki Aapko Pakadle, Yusuf Alayhesalam ko Pakadne me to Kaamyab na ho saki, Albatta Aapki Kameez(Kurta) Piche se usne Pakad li Chunki Aap Doud rahe the, Doudte hue Kameez Pakadne ki Wajah se Piche se Phat gayi,
ushi Douraan us Aurat ka Sohar Darwaje par Pahonch gaya, Wo(Aurat) Tohmat ke Dar se Jaldi se Apne Eiyb ko Yusuf Alayhesalam ki taraf Mansub karne lagi ki ye Tumhari Zovja se Burai ka Irada rakhta tha, is liye Qeid khana me Bhej do ya Shakht Saza do.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-185, 186)HAZRAT MUSA ALAIHASSALAM STORY IN HINDI URDU PART 16
 
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Sacche hone ki Gawahi :-
Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“(Yusuf Alayhesalam ne) kaha us(Aurat) ne Muzko Lubhaya ki Me(Fash Jaau Aur) Apni (Paak Daamani ki) Hifajat na karu (Magar Meine Hargiz eysha nahi kiya) Aur Aurat ke Gharwalo me se ek Gawah ne Gawahi di (Deikha jaaye) Agar Unka(Yusuf Alayhesala ka) Kurta(Kameez) Aage se Chira he to Aurat Sacchi he Aur Unhone Galat kaha, Aur Agar Unka Kurta Piche se Chira huwa(he) to Aurat Zhuti he Aur ye Sacche, Fir jab Azizne Us(Yusuf Alayhesalam) ka Kurta Piche se Chira deikha(Haqiqat Ma’alum karli Aur) Bola Beshaq ye Tum Aurato ka Charitr he Beshaq Tumhara Charitr Bura he, (Fir Azize Misr ne kaha ki) Ay Yusuf(Alayhesalam) Tum uska Khyaal na karo Aur Ay Aurat Tu Apne Gunaah ki Ma’afi Maang Beshaq Tu Khatawaro me he”
(Surah Yusuf, Aayat-26, 27, 28, 29)
Gawahi deinewala Us Aurat ka Ristedaar ladka tha, Jo Abhi chota Bacha tha uski Umar 3 Maah thi, ALLAH TA’ALA ne ushe Bolne ki Taakat di, us se Gawahi dila kar Hazrat Yusuf Alayhesalam ko Ilzaam se Bari qarar diya, Agarche itni Umar me Bacche ka Bolna hi Aap ki Paak-damani ko Sabit karne ke liye Kafi tha, Lekin ALLAH TA’ALA ne us se eysha Hakimana Jawab dilaya jo Bahot Badi Mazbut Dalil bhi ban gayi,
Aage se Kameez ke Phatne ka Matlab ye hota he ki Aap ne Iska Irada kiya, usne Mazahammat ki Girebaan pakad kar Piche kiya to Kameez aage se Phat gayi, Agar Eyshi Surat hoti to Aurat ka Saccha hona Sabit hota, Lekin Piche se Kameez Phatne se Waajeh ho raha tha ki Aapko Zabardasti Kamra me Bandh kiya gaya, Aap Jaan Churane ke liye Bhaage Aapko Piche se Pakad ne ki Koshis ki gayi to Kameez Piche se Phat gayi,
is Jawab Aur Daleel par hi Azize Misr ne Aapko kaha Aap Sacche he, kuch Gam dil me na laaye Aur Apni Zovja ko kaha Ye Tumhara Makr he tum Apne Gunaho ki Maafi Mango.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-221)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-187, 188)
hazrat isa alaihis salam story in hindi mojizat