Hazrat yusuf alaihissalam ka waqiya history in hindi urdu 2>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Kuwe me Haal :-

Jab Aap ko Kuwe me Dala gaya to Aap Ro rahe the, Unhone(Bhaiyo ne) Aap ko upar se Aawaz di Aapne khyaal kiya Sayad Bhaiyo ko Mere Haal par Rahem Aa gaya Aap ne unko Jawab diya, Unhone Aap ko Zinda Samaj kar Patther Gira kar Qatl karna chaha Lekin ‘Yahuda’ ne Fir Mana kar diya,

Hazrat Yakub Alayhsalam ke Paas wo kameez thi, jo Aapke Dadajaan Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Jannat se Lakar Pahenayi gayi thi Jab Aap ko Aaag me Dala gaya tha, Yakub Alayhesalam ne Jab Yusuf Alayhesalam ko Bhaiyo ke Sath Rawana kiya to wo Kameez Aap ne unke Gale me Batoure Taawiz daal di, Bhaiyo ne Jab Yusuf Alayhesalam ko Kuwe me Dala to unki Kameez utaar li thi, lekin Fariste ne Aakar unke Gale se wo Taawiz utaar kar usse Kameez Nikaal kar unko Pahenadi jisse Kuwa Jagmaga ne Laga.
Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
Jab Yusuf Alayhesalam ko Kuwe me Dala gaya Aap ke Paas Jibrail Alayhesalam Aaye Aur kehne lage Aap ko Kuwe me kisne Dala he…?
Aapne kaha Mere Bhaiyo ne, Jibrail Alayhesalam ne Pucha Bhaiyo ne Kyu dala..?
Aapne kaha Mere Baap Mujse Mohabbat karte he, Unhone Muj par Hasad kiya,
Jibrail Alayhesalam ne kaha Kya Tum Yaha se Nikalna Chahte ho..?
Aapne Farmaya Ye Ilteja Sirf Yakub Alayhesalam ke KHUDA ki Taraf he,
Jibrail Alayhesalam ne Kaha Fir Tum KHUDA se Dua karo.
Aapne Jab Dua Padhi to ALLAH TA’ALA ne Aapke Ma’amlaat Aashan kardiye, Kuwe se Nikaal kar Misr ki Baadshahi aata Farma di, Jo Aapke Wahem va Gumaan me bhi na thi.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-173)
Hazrat Yusuf Alayhesalam Kuwe se Bahar Kis tarah Nikle Aur Aap ko Baadshahat Kis tarah Mili wo Wakiyaat InshaAllah Aage Aayenge..

>> Yakub Alayhesalam ke Beite Route hue Wapis Loute :-

Quraan Sareef me he ki
“Aur Raat hue Apne Baap ke Paas Route hue aaye, Bole Ay Hamare Baap Ham Doud karte Nikal gaye Aur Yusuf (Alayhesalam)ko Apne Asbaab(Saamaan) ke Paas choda to ushe Bhediya kha gaya Aur Aap kishi tarah Hamara Yakin na karenge Agarche Ham Sacche ho, Aur uske(Yusuf Alayhesalam ke) Kurte (Kameez) par ek Zhuta khun laga laye, (Yakub Alayhesalam ne) kaha (ki nahi) Balqi Tumhare Dilo ne ek Baat Tumhare waste Banali he to Sabr Acha Aur ALLAH hi se Madad Chahta hu Un Bato par jo Tum Bata rahe ho”
(Surah Yusuf, Aayat – 16, 17, 18)
Unhone(Bhaiyo ne) ek Hiran ko Zabah kiya, uske Khun se Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Kameez ko Rang kar Baap ke Paas laaye Aur Zaaher ye kiya ki Bhediye ke Khane ki Wajah se ye Khun Aaludah ho gaya.
Hazrat Yakub Alayhesalam ne Kameez ko lekar Apne Chehra par Dala Aur Rone lage yaha tak ki Kameez ke Khun se Aapka Chehra Khun Aaludah ho gaya, Aap keh rahe the ki Mene Aaj tak Itna Hakeem Bhediya koi nahi deikha jisne Mere Beite ko kha liya ho lekin Kameez ko Na Fhada ho, Ye kehte kehte Aapne Fir Rouna Suru kar diya yaha tak ki Aap par Behosi Taari ho gayi, Aapke Beito ne Aap par Paani Chidka, Lekin Aap ko Hous na aaya Aur Na hi Aap ke Jism me koi Harkat peida hui, wo Aapko Pukaar rahe the lekin Aap koi Jawab nahi de rahe the, Yahuda ne Apna Hath Aapki Naak Aur Mooh par Rakha lekin ushe Shansh ka Chalna Mehsus nahi ho raha tha Aur Na hi Aap ki koi Nabd Chal rahi thi, Yahuda ne kaha Hame Qayamat ke Din Jaza dene wale MAALIKUL MULK se Azaab hi Hasil hoga, Hamne Apne Bhai ko bhi Zaya kar diya Aur Baap ko Bhi Qatl kar diya, wo Tamam Raat Yakub Alayhesalam ne Behoshi me Guzaar di, Sehri ke Wakt Hous Aaya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-174)
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Kuwe se Bahar aana :-
Quraane Paak me he ki
“Aur ek Kafila Gujra to Kafile walo ne Apna ek Paani Laanewala Bheja to usne Apna Doul Dala (Aur Khincha) to wo Bola Aaha kya Khushi ki Baat he ki ye To (Doul me) Ek Ladka he Aur usko ek Sarmaya(Tijarat) Bana kar Chipa liya (Taki koi Daavedaar Na Nikal aaye) Aur jo Kuch wo kar rahe the ALLAH TA’ALA ke Ilm se Kuch Poshida na tha”
(Surah Yusuf, Aayat-19)
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho farmate he ek Kafila Madina se Misr ki Janib Rawana huwa, wo Kafila wale Rasta Bhatak gaye, wo Idhar-udhar firne lage ki Rasta Mil jaye, ishi Dovraan Unhe wo Kuwa Nazar aaya jisme Hazrat Yusuf Alayhesalam the, Halanki Wo Kuwa eyshe Bayabaan Jangal me tha Jaha Charwaho ke Bageir koi Shaksh na aata, Kafila Walo ne Kuwa deikh kar Apne ek Shaksh Malik Bin Z’ar Khzaai ko Bheja taki waha se Paani le aaye, usne Jab Kuwe me Doul Dala to Hazrat Yusuf Alayhesalam usse Lipat gaye, is tarah Aap Bahar Tasreef laaye, Malik Bin Z’ar Khzaai ne Aap ke Husn va Jamaal ko Deikh kar Khusi se kaha Kitni Khusi ki Baat he ye to Ladka he, Yaani Kitna Khubsurat Ladka Hamare Hath me Aa gaya, jo Hamare liye Bahot Bada Sarmaya Banega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)namrud badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam 5
>> Husne Yusuf Alayhesalam :-
Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Chehra Bahot Haseen tha, Baal Ghungariyale, Aankhe Moti va Khubsurat, Tamam Aaza(Jism ke Tamam Hisse) me Azeeb Kism ka Eytedaal paya jata tha, Rang Safeid Gandum Goh Surkhi Mail, Kalaiya Aur Pindaliya Moti, Peit Chouta, Naaf choti thi Aur Jab Aap Muskurate the to Aap ke Danto se Noor ki Roshni Nikalti thi, Jab Kalam Farmate to Aapke Samne wale Danto se Noor ki Roshni Nazar aati Aur kishi Shaksh me us wakt ye Awsaaf Nahi paye jate the, Aap ka Husn eyshe Jalwagar tha jeishe Din ki Roshni,
Itne Haseen ladke ko deikh kar Nikaalnewale ko Ta’ajub kyu na hota ki Aap ke Husn Aur Kheir Va Barkat se Mehrumi par to Kuwe ki Diware Aur Patther bhi Roye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-203)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-176)
 

>> Bhaiyo ka Yusuf Alayhesalam ko khote Sikko se Beichna :-

Quraan Sareef me he ki
“Aur Bhaiyone use Khote Damo Ginti ke Rupyo par Beich dala Aur unhe Usme kuch Ragbat na thi”
(Surah Yusuf, Aayat-20)
Agarche Aap ko Kuwe se Nikalne walo ne Kimti Sarmaya Samaj kar Chipa kar rakha tha ki Misr me Jaakar Ushe Beich karke Bahot Bada Maal Hasil karenge lekin Aap ke Bhai 3 dino ke Baad Aap ke Haal ka Pata chalane ke liye Aaye ki Yusuf Zinda he ya Mar Chuka he..?
Kuwe par Aaye to deikha ki Yusuf Kuwe me to nahi, Idhar-Udhar deikha to ek Kafila Nazar aaya unse Puchne par Pata chala ki Unhone ek Ladke ko Nikala he, Aapke Bhaiyo ne Kaha Ye Hamara Gulam he, Jo Bhag kar Aagaya he, Agar Tum Kharidna chahte ho to Ham Tumhe Sasta Beich deite he Aur Tum ishe kishi Door ilake me le jaao Taki ishe Bhagne ka Maza aaye,
Yusuf Alayhesalam bhi Bhaiyo ke Dar se Khamosh the, Aapne bhi Na bataya ki me inka Bhai hu Gulam nahi, Aakhirkaar Aapko 20 ya 22 Khote Dirhamo se Beich diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 176)history of kaba sharif hazrat ibrahim hindi PART 8
 
>> Yusuf Alayhesalam ka Bhaiyo ko Alwidai-Salam :-
Jab Aap ke Bhaiyo ne Aap ko Khote Dirhamo se Beich diya to Tajar (Khridne Wale) ko kaha ki ye Chour he Aur Bhaag bhi jata he, to us Tajar ne Aapko Qeid kar liya Aur Aapki Nigehbaani ke liye ek Habsi Gulam ko Aap par Mukararr kar diya, jab Waha se Jaane lage to Aap Roune lage, Tajar ne Yusuf Alayhesalam se pucha Aap kyu Ro rahe he..?
Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Jin logo ne Muje Beicha he Me unko Alwidai-Salam karna chahta hu, Yaani eysha Salam karna Chahta hu Jo kabhi Na loutne wala karta he,
Tajar ne Apne Gulam ko kaha Isko Apne Maliko ke Paas le Jao taki ye unhe Alwidai-Salam kar aaye, Fir Kafila se mil jana, Mene Aaj tak Itna Farma Bardaar Gulam nahi deikha jo Apne Maliko se Itni Mohabbat Rakhta ho Aur itne Zalim koi Malik nahi deikha Jitne Zalim iske Malik he.
Wo Gulam Aap ko Aap ke Bhaiyo ke Paas le aaya Aur Sab Soye hue the, unme se ek Bheid-Bakariyo ki Hifazat kar raha tha, jo Jaag raha tha, Yusuf Alayhesalam Apne Muhafiz Gulam ke Saath Peir me Bediya lage, Ladkhrate, uske Paas Pahonche, Roune lage,
Usne Pucha Tum kyu aaye ho..?
Yusuf Alayhesalam ne Kaha Me Tumhe Alwidai-Salam karne Aaya hu jise Tum Kabhi na deikh sakoge,
(Wo Bola) Haay Afshos, Haay Barbaadi, ye keisha Alwida he (Mumkin he ye Yahuda ho wo kuch Yusuf Alayhesalam se Narmdil rakhta tha)
Sab Jaag pade,
Yusuf Alayhesalam ek ek Bhai par Mohabbat se Sar Juka kar Bouse leite hue Gale mil rahe the,
(SubhanAllah.. Unke Zulm ko deikhe Aur Yusuf Alayhesalam ki Mohabbat ko deikhe)
Aap Chalte hue Farma rahe the
“ALLAH Tumhari Hifazat kare, Agarche Tumne Muje Zaya kar diya, ALLAH TA’ALA Tumhe Apne Gharo me Kayam Va Dayam rakhe, Agarche Tumne Muje Gharse Nikaal diya, ALLAH TA’ALA Tum par Rahem kare, Agarche Tumne Muj par Rahem nahi kiya”
Aap ke Alwidayi Salam, Rakt Aameez Kalamaat, Dukh Bhari Fariyaad ka Asar Bheid-Bakariyo par itna Sadid huwa ki Unke Us Howlnaak Manzar se Hamal Kar Gayi.
(Roohul Maani,Jild-7, Hissa-1, Safa-205, 206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-177)
ALLAHU AKBER,hazrat ismail ki qurbani ka waqia hindi or ibrahim ka imtihan 7