Hazrat yousuf ka waqiya story in hindi urdu part 1 ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Yakub Alayhesalam Aur Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Baare me Wakiyaat Aayenge..
Aap logo se Gujarish he ki Post padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhai tak Pahonchate rahe..
Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sath hi Sath Aap bhi Sawab Paane me Samil ho jaye..
AGAR AAP KO ARTICLE ACHCHA LAGA TO IS ADD PAR CLICK KARJE HAMARI IMDAD KARE JAZAKALLAH
Hazrat Yaqub Alayhesalam Hazrat Ishaak Alayhesalam ke Beite Aur Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Poute he,
Hazrat Yusuf Alayhesalam Hazrat Yakub Alayhesalam ke Beite he,
Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwayat he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
“Kareem ibne kareem ibne kareem ibne kareem Yusuf bin Yakub Bin Ishaak Bin Ibhrahim he”
(Mishkaat ul Masabeeh, Jild-2, Safa-417)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-166)
Share Karte rahe…
Hazrat Yaqub Alayhesalam ke Barah(12) Beite he Yaani Yusuf Alayhesalam ke Gyara(11) Bhai he.
> Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Khwaab deikhna :-
Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Jab Yusuf (Alayhesalam) ne Apne Baap se (ye) kaha ki Ay Abbajaan Mene Gyara(11) Sitaro Aur Suraj Aur Chand ko (Khwab me) deikha ki wo Muje Sajda kar rahe he”
(Surah Yusuf, Aayat-4)
AGAR AAP KO ARTICLE ACHCHA LAGA TO IS ADD PAR CLICK KARJE HAMARI IMDAD KARE JAZAKALLAH
Gyara(11) Taaro se Murad Aap ke Bhai Aur Chand-Suraj se Muraad Aapke Maa-Baap he, Leqin Khyaal rahe ki Khwaab deikhne se Pehle hi Aap ki Walida ka Intekaal ho chuka tha,
Sajda se Muraad Sajda-e-Tazimi he, jo Pehli Ummato me Jaiz tha, Hamari Sariyat me Jaiz Nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-167)
>> Hazrat Yakub Alayhesalam ka Khwaab Bayan karne se Mana karna :-
Quraan Sareef me he ki
“(Un ke Baap ne) kaha ki Ay Beite Apna Khwaab Apne Bhaiyo se Hargij Bayan na karna Warna wo Tere liye (Hasad se) Koi Chaal Chalenge, Beshaq Seitaan Inshan ka Khula huwa Dusman he”
(Surah Yusuf, Aayat-5)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne ye Khwaab Barah(12) Saal ki Umar me deikha, Hazrat Yakub Alayhesalam ko Malum tha ki Yusuf Alayhesalam Mansube Nabuwat par Faiz honge to Bhai unse Hasad karenge kyunki Yakub Alayhesalam ko Yusuf Alayhesalam se Bahot Zyada Mohabbat thi, Aap ke Bhai Aap se is par Hasad karte the Ye bhi Yakub Alayhesalam ke ilm me tha, is liye Aapne Mana Farmaya ki ye Khwaab Bhaiyo se Na Bayan karna Warna unka Hasad Aur Badh jayega wo Tumhe Nukshan Pahonchane me Seitaan ke Daame Fareib me Aajayenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-168)
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Bhaiyo ka Hasad :-
Quraan e Kareem me he ki
“Jab (Yusuf Alayhesalam ke Bhai Aapas me) kehne lage ki Beshaq Yusuf (Alayhesalam) Aur un ka Bhai Hamare Baap ko Ham se Zyada Pyare he Aur Ham ek (Puri) Jama’at he Aur Beshaq Hamare Baap Saraahatan (un dono ki Mohabbat me) Bilkul Dube hue he”
(Surah Yusuf, Aayat-8)
Hazrat Yakub Alayhesalam Chunki Hazrat Yusuf Alayhesalam se sabse Zyada Mohabbat Karte the Aur unke Baad Hazrat Bin Yamin se, To Dusre Bhaiyo ko us par Hasad Aaya, wo kehne lage Ham to ek Jama’at he, Baap ki Khidmat Zyada kar sakte he Aur unko Zyada Nafa Pahoncha sakte he, ye do he Aur Chote bhi he, ye Apne Baap ki Khidmat Hamari Tarah nahi kar sakte, fir unse Pyaar va Mohabbat Ham se Zyada kyu…?
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-179)
(Tazkiratul Ambiya Alyhesalam, Safa-168)
>> Yaqub Alayhesalam ki Mohabbat do Beito se Zyada kyu..?
Yusuf Alayhesalam se Sabse Zyada Mohabbat hone ki Wajah ye thi ki Aap ko Malum ho chuka tha ki Aap ki Tamam Aulaad me se Agar kishi ko Mansube Nabuwwat Hasil hona he to wo yahi Aap ka Beita (Yusuf Alayhesalam) he, ishi liye Aap unse Zyada Mohabbat karte the, unke Baad Bin Yamin se, kyunki wo Sab se Chote the,
Yusuf Alayhesalam se Zyada Mohabbat karne ki wajah se hi unke Bhai Zyada Mukhalif unke hi the, Bin Yamin ke is Tarah Mukhalif nahi the kyunki Khwaab deikhne ka Ma’amla un tak bhi kishi tarah Pahonch chuka tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-93)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-169)
.
>> Bhaiyo ne Yusuf Alayhesalam ko Raah se Hatane ki Thaan li :-
Quraan Sareef me he ki
“Behtar ye he ki Yusuf (Alayhesalam) ko Maar daalo Ya kishi Aur Zameen me Feink aav, Taaki Tumhare Baap ki Tawajjo Sirf Tumhare hi Taraf rahe Aur us ke Baad (Touba karke) Neik loug Ban jana”
(Surah Yusuf, Aayat-9)
Yaani Unhone Maswara kiya ki Agar Tum Chahte ho ki Baap Sirf Tumhare Sath hi Khalis muhabbat kare to Yusuf Alayhesalam ko Raste se hatana Jaruri he, is ke Bageir Baap ki Kaamil Mohabbat Mayyasar nahi ho Sakti,
wo Musalman the Kafir nahi the Samaj rahe the ki ye Azeem Jurm bhi hoga, lekin Hasad ki Aaag ne Unhe Andha kar rakha tha, wo Apne Irade ko Amal me Lane ka Pukhta irada kar chuke the, Albatta ye Soch rahe the ki Baad me Touba kar lenge Aur Neik ho jayenge.
Quraane Paak me Aage he ki
“Unme se ek kehne wale ne kaha ki Agar Tum ko kuch karna he to Yusuf (Alayhesalam) ko Qatl na karo Aur Unhe ek Andhey Kuve me Daal do taki koi Raah Chalne wala unhe utha kar le jaaye”
(Surah Yusuf, Aayat-10)
Ye Roknewala Aapka Sabse Bada Bhai tha, jiska Naam ‘Yahuda’ tha, usne kaha Qatl ek Azeem Jurm he, Tumhara ye Irada Durust nahi, Albatta Jangal me Kishi Kuve me Daal do, Sayad Waha se koi Gujare to ushe Nikaal kar sath le jaye, is tarah Tumhara Matlab bhi Pura hoga Aur Yusuf bhi Qatl se Bach jayega, Agar tum ne Apne irade par Amal karna hi he to yahi karo.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-192)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-169, 170)
>> Bhaiyo ka Yaqub Alayhesalam ke Paas Ijajat talab karna :-
Quraan Sareef me he ki
“(Baap se Jakar) kehne lage ki Ay Hamare Baap Aap ko kya huwa he ki Yusuf (Alayhesalam) ke Ma’amle me Hamara eytebaar nahi karte Halanki Ham to unke Kheir Khwah he, kal usko Hamare sath bhej dijiye ki wo Hamare Sath khaaye, Khele Aur Beshaq Ham uski Nigehbaani karenge,
Yakub (Alayhesalam) ne Farmaya ki Beshaq Muje uske le Jane se Gam hota he to me Darta hu ki Tumhari Gaflat me usko koi Bhediya na kha jaaye,
Unho ne Jawab diya ki Agar inhe Bhediya Kha jaaye Aur Ham ek Jama’at (unke Sath Mojud) ho to Beshaq Ham to (us Wakt) kishi Masraf ke hi nahi (Bilkul hi gaye gujre hue)”
(Surah Yusuf, Aayat-11,12,13,14)
Unka Saher se Bahar Jane Aur Kheil ki Ijajat Talab karne ka Muksud ye tha ki Ham Dusman se Jang karne ke liye Taiyyari karenge, Doud me Mukabla karenge, Teer Andazi me Maharat Hasil karenge,
Agar wo Sirf Lahu va La’ab ke liye Kheil ki Ijajat talab karte to Yakub Alayhesalam unhe Kabhi Ijajat na deite, Yusuf Alayhesalam chunki Choute the, is liye unhone kaha Ay Hamare Abbajaan Hamare Choute Bhai ko bhi Hamare Sath Jane ki Ijajat do, ye Hamari Jangi Tarabeer deikh kar Khus hoga Aur Jangali Mewe, Fal, Ham use tod kar deinge, ye Khayega kyunki Ham Unto ko Chrane Aur unhe Chara khilane ka kaam bhi karenge unme Jangli Darkhto se Fal bhi Hasil karenge,
Yakub Alayhesalam Chunki Pehle hi Khwaab deikh chuke the ki Yusuf Alayhesalam par Bhediye ne Hamla Kar diya he Aur wo Zameen bhi Bhediyo wali thi, is liye Aap ne kaha Muje Dar he ki ishe koi Bhediya na kha jaye Aur Tum Bekhabar hi raho.
Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
ki kishi Shaksh ke Samne eysha kalam na karo jisse ushe Jhut ki Rehnumai mile jeishe Yakub Alayhesalam ke Beito ko Malum nahi tha ki Inshano ko Bhediya bhi kha jata he, jab unke Baap ne ye kaha to unhe bhi Jhut bolne ka Mouka mil gaya, unhone kaha ki ye keishe ho sakta he ki Bhaiyo ki ek Jama’at.. wo Jo Bahot Takatwar ho.. ki Saamne ek Bhai ko Bhediya kha jaye, Agar eysha ho jaye to ham kishi kaam ke nahi honge, Hamare hote hue Bhediye ki kya Majal he ki Hamare Bhai ko Kha jaaye..?
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 170, 171)
>> Bhaiyo ka Yusuf Alayhesalam ko Taiyyar karna :-
Jab Hazrat Yakub Alayhesalam kishi tarah bhi unke Saath Yusuf Alayhesalam ko Bhejne ke liye Taiyyar na hue to Unhone Yusuf Alayhesalam ko kaha
Kya tum Hamare Sath Bahar Jangal me chaloge..? Jaha Ham Doud me Mukabla karenge Aur Unt wageira Doudane Aur Dusri Jangi Tarabeer me Mukabla karenge..?
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne kaha Ha Jarur jaunga,
Unhone kaha ki tum Baap ko kaho, Aapne Sab Bhaiyo ko Saath liya Aur Baap ke Paas Aagaye, Bhaiyo ne unki Moujudgi me Apne Baap ki Khidmat me Arz ki Yusuf Hamare Sath jana Pasand karta he, Aap ushe Ijajat de, Aapne Yusuf Alayhesalam ki Taraf Tawajjo karte hue Pucha, Tumhara kya Khyaal he…?
Unhone kaha Bhai Muje Pyaar va Mohabbat se Sath le jana chahte he, is liye me unke Sath Jarur Jaunga,
Is Tarah Yakub Alayhesalam Bavajood iske Nahi Chahte the ki Yusuf Alayhesalam ko Bhaiyo ke Sath Bheja jaye, Lekin Takdir ke Samne koi Tadbeer ka Ragar na hui, Yusuf Alayhesalam ki Marji Aur kehne par Bhaiyo ke Sath Bhejne par Aamadagi Jaher Farmayi.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)hazrat ibrahim ka waqia part 6 in hindi urdu
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-171)
Hazrat saleh Alayhesalam story in hindi urdu part 2
>> Hazrat Yusuf Alayhesalam par Bhaiyo ka Zulm :-
Jab wo Yusuf Alayhesalam ko Sath le kar chale to jab tak Yakub Alayhesalam Samne the us wakt tak wo Kandhey par utha kar chale, Yakub Alayhesalam us wakt tak Khade Deikhte rahe Jab tak wo Saamne rahe, jab wo Jangal me Pahonch gaye Aur Apne Baap ki Nazro se ujal ho gaye to Yusuf Alayhesalam ko Zameen par Feink diya Aur Apni Adawat Zaher karne lage, Kabhi Bad-Kalami karte Aur Kabhi maarte, Aap ek Bhai se Bhaag kar Dusre ke Paas aate ki Sayad wo Mere Sath Hamdardi karega Aur Meri Fariyaad Sunega, lekin wahi Aap ko Marna Suru kar deita, Aap ne unke Irado ko Jab Samaj liya ki ye kya chahte he to Waha se Pukaar kar kaha
“Ay Mere Abbajaan Kaash Aap Yusuf ko deikhte ki Bhai us par kitna Zulm kar rahe he..? to Aap kitne Gamzada hote Aur Mere Bhaiyo ke Muj par Mazalim ko Agar Aap deikhte to Yakinan Route, Ay Mere Abbajaan Ye Kitni Jaldi Aap ke Wade ko Bhul gaye, Kitni Jaldi Aap ki Nasihato ko Bhul gaye”
Ye kehte hue Yusuf Alayhesalam roye is Haal me Robil(Aap ka Bhai) ne Aap ko Zameen par gira diya Aur Sine par Beith gaya Aap ko Qatl karne ka irada kiya,
(ALLAHU AKBER)
Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ay Mere Bhai Thaher ja, Muje Qatl na kar, Qatl karna Azeem Jurm he.
(SubhanAllah, Nabi ka Makam kitna Buland he.. Nabuwwat ke Eylaan se pehle hi Apne Bhaiyo ko Nasihat karke Qatl jeishe Azeem Jurm se Bacha rahe he)
Robil(Aap ka Bhai) kehne laHazrat loot alayhi salam story in Hindi Urduga Tuje to Bade khwaab aate the, Ab Tu Apne Khwaabo ko Bula, jo Tuje Mere Hatho se Churaye, usne Aapki Gardan ko Maroda, Aap ko Qatl hi karna chahta tha ki Aapne Bade Bhai ‘Yahuda’ ko kaha Ay Mere Bhai KHUDA se Dar, Mere Aur Muje Qatl karne wale ke Darmiyaan Hamil ho ja, Aapke Kehne par ushe kuch Bhai hone ka Khyaal aaya Aur Dil Narm huwa, usne Kaha Ay Mere Bhaiyo kya Tumne Mere Sath Wada nahi kiya tha ki Qatl nahi karenge..? Ab bhi Aashan Kaam karo, Qatl na karo,
wo Gusse me Pehle kiye hue Wade ko Bhul chuke the, Puchne lage kya kare..? Yahuda ne kaha Ye Karib hi Kuwa he usme Feink do Ya to Khud hi Mar jayega Ya koi Kafile wale Gujre to ushe Nikaal kar Sath le jayenge,
Waha ek Kuwa tha jo Niche se Khula Aur Upar se Tang tha usme Jab unhone Aap ko Feinkna Chaha to Aap Kuwe ke Kinare se Lipat gaye, Unhone Aap ke Hath Peir Bandh diye, Kameez ko utaar liya kyunki wo Kameez ko Khun se Rang kar Apne Baap ke Saamne Azr Peish karna chahte the, Yusuf Alayhesalam unko keh rahe the Mere Bhaiyo Mera Kameez wapis kardo taki Me Kuwe me Nanga na rahu, Lekin Bhaiyo ne Aap ki Baat ko Tasleem na kiya, Aap ko Kuwe me Daalne lage to Aap ne unhe Kaha Ay Mere Bhaiyo Muje Akele Chod jaoge..? Unhone kaha Ab tum Chand, Suraj, Aur Taaro ko Bulao, wahi Tumhari Imdad karenge.
Aap ko ek Doul me Daal kar Kuwe me Latka diya gaya Jab Aadhe Fasla tak Doul Pahonchi to Upar se Choud diya gaya us khyaal se ki Zour se Girne par Mar jayega, Lekin Yusuf Alayhesalam Paani me Gire Aur ek Taraf Patther tha, uspar Beith gaye.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-171,172)
Are yaar pura to likha hota