Hazrat taloot and jaloot story in hindi urdu gegin so pray for us
Hazrat Ashmueel alaihissalam
Hazrat Musa alaihissalam ke Baad Yusa’a Alayhis Salaam Aaye jo ALLAH TA’ALA ke Ahkaamaat ko Qaayam karte rahe Aur Touraat (Aasmaani kitaab) ke Mutaabiq Amal karne ki Tablig Karte rahe, Unke Baad Kaalib Alayhis Salaam Aur Unke Baad Hizqeel Alayhis Salaam Aur Unke Baad Ilyaas Alayhis Salaam Aur Unke Baad Yasa’a Alayhis Salaam Aaye, In Hazraat ke Baad Bani Israail Par Unke Dushman Jaalut ki Qoum Amaalqa ke Loug Gaalib Aagaye, Us Waqt Bani Israail Misr Aur Falasteen ke Darmiyaan rehte the, Bani Amaalqa ne Unke Kayi Shahro par qabza kar liya Aur Unke Bade Bade Raiso ke Beite 440 ki Ta’adaad me Qeidi bana liye, Aur Un par Jaziya Muqarrar kar diye Aur Unki Touraat bhi le gaye, Us Waqt Unke Koi Nabi nahi the jo unke Ma’amlaat ki Tadbeer(hal) karte, Khaandaane Nabuwwat ke Sab loug Wafaat pa Chuke the, Sirf ek Aurat Khaandaane Nabuwwat se Zinda thi Jo Haamelaa thi, Duaa Karti rehti thi ‘Ashmueel'(Ay ALLAH Soon) Yaani Ay ALLAH Duaa Qabul kar,
Ibraani Zabaan me ‘Ashmu’ ka Ma’ani ‘Soon’ Aur ‘Aeel’ ka Ma’ani ‘ALLAH’,
Bacche ke Peida Hone par yahi Naam Rakha, Jab Baccha Badaa huwa to Uski Maa ne Usko Touraat di Aur Beitul Muqaddas ki Khidmat par Muqarrar kar diya, ALLAH TA’ALA ne Ushe Nabuwwat Ataa Farmaayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-342, 343)
Taalut ki Baadshaahat ka Farmaan :
Quraane Paak me he ki
“Aur Unse Unke Nabi ne Farmaya Beshak ALLAH TA’ALA ne Taalut ko Tumhara Baadshah bana kar Bheja he”
(Surah Al Baqrah, Aayat-247)
ALLAH TA’ALA ne Apne Nabi ko Bataya ki Qoum Jis Ameer ka Mutaalba kar rahi he Aur Aap Duaa bhi kar rahe he Iski 2 Nishaaniya he..
1) Aap Apne Asaa ke Qad ki Peimaaish(Maap) kare, Jis Shaksh ka Qad Us Asaa ke Baraabar ho wahi Unka Ameer hoga,
2) Dusri Nishaani ye he ki Aapke Paas jo Sing(Jaanwar ke Sar ka Sing) Batoure Botal Istemaal hota he Usme Teil jab Khud hi Kishi Shaksh ke Aane par Chalak pade Wahi Ameer hoga,
Taalut ke Jaanwar Gum ho gaye the, Wo Unki Talaash me Nikle Unke Saath ek Dost bhi tha, Usne Kahaa Ham Agar Nabi ke Ghar jaaye Aur Jaanwaro ke milne ke liye Duaa karaaye ya Unse Rehnumaai Talab kare to ho Sakta he ki Hame Jaanwar mil jaaye, Taalut ne kaha Thik he, Jab wo ALLAH TA’ALA ke Nabi ke Ghar gaye to Sing me Teil Khud hi Chalak pada, Qad Naapne par Taalut ka Qad bhi Asaa ke Baraabar Paya gaya, ALLAH TA’ALA ke Nabi ne Dono Nishaaniyo ko Jab Taalut me Paaya to Qoum me Eylaan kar diya ki ALLAH TA’ALA ne Tumhara Ameer Taalut ko Bana diya he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-343, 344)
Taalut ki Baadshahat par Qoum ka Jawaab
Quraane Majeed me he ki
“Bole Ushe Ham par Baadshahi Kyu kar hogi Aur Ham Usse Zyada Saltanat ke Mustahiq he Aur Use Maal Me bhi Zyaadati Nahi di gayi Farmaya Ushe ALLAH TA’ALA ne Tum par Chun liya Aur Use Ilm Aur Jism me Kushaadgi Zyaada di gayi Aur ALLAH TA’ALA Apna Mulk Jise Chaahe de Aur ALLAH TA’ALA Was’at wala Hikmat Wala he”
(Surah Al Baqraah, Aayat-247)
Pehle Qoumne Khud hi ALLAH TA’ALA ke Nabi se Sawaal kiya ki Hame Koi Baadshah Ataa kare, Jab Unhe Bataaya gaya ki ALLAH TA’ALA ne Tumhaare Liye Taalut ko Baadshahat Ataa ki he, Ab Uska Inkaar Karne lage ki ye keishe Hamaara Baadshah ho Sakta he…?? Ushe to Maal bhi Zyaada nahi diya gaya, Wo Hamaara Baadshah keishe ho Sakta he…??
ALLAH TA’ALA ke Nabi ne Jawaab diya ki Taalut Baadshahat ka Mustahiq Is liye ki ALLAH TA’ALA ne Tum se Zyada Ushe Pasand karke Chun liyaa he Aur Mulk ALLAH TA’ALA ka he Jise Chaahe Ataa karde, Aur Uske Intekhaab me Eyteraaj Karna Aqal Waalo ka Kaam nahi, Aur Zaahir Chiz Jisme Tum bhi Samaj Sakte ho wo ye he ki Baadshah ke liye Ilm Aur Jismaani Taaqat Zyada Honi Chahiye ye dono Chize Taalut ko Tum se Zyada Haasil he Is Wajah se Wo Baadshahat ka Mustahiq huwa.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-344)
Taalut ki Baadshahi ki Nishaani :
Quraane Kareem me he ki
“Aur kaha Unhe Unke Nabi ne ki Uski Baadshahi ki ye Nishani he ki Aayega Tumhaare Paas Ek Sanduq Usme Tasalli(ka Saamaan) hoga Tumhaare RABB ki Taraf se Aur (Usme) Bachi hui chize hogi Jinhe chhod gayi he Aulaade Musaa(Alayhis Salaam) Aur Aulaade Haarun(Alayhis Salaam) Utha Laayenge Us Sanduq ko Farishte Beshak Isme Badi Nishani he Tumhaare liye Agar tum Imaan Daar ho”
(Surah Al Baqraah, Aayat-248)
Bani Israail ne Mutaalba kiya ki Aap Daleel Peish kijiye ki Taalut ka Intekhaab Waaqei ALLAH TA’ALA ne kiya he, Us waqt Unke Nabi ne Farmaya Uski(Taalut ki) Hukumat ki Nishaani ye he ki wo Sanduq Jisme Tumhaari Jaruriyaat wa Hifaazat ka Saamaan he Aur Jisme Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ke Tabarrukaat the Aur Jo Amaalqa tum se Chhin kar le gaye the wo Tumhe Farishte Wapis kar deinge, Agar Tum me Imaan he to isse Badh kar Tumhe Kisi Mazeed(Zyaada) Nishaani ki Zarurat nahi rahegi,Hazrat musa alaihissalam or fironi jadugar k iman ka waqiya hindi 11
Jab Fariste Us Sanduq ko Uthaye hue Bani Israail ke Paas le Aaye to Ab Unhe Taalut ki Baadshah Banne ke Muta’alaq Itmenaan ho gaya, Aur Unhe ye Dilaasa ho gaya ki Ab wo Yaqinan Fateh honge kyunki Anmbiya kiraam Alayhis Salaam ke Tabarrukaat wala Sanduq Jisme Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Asaa Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ka Amaama tha, Jo Unhe Wapis mil gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-346, 347)
Is Aayate Kareema se ye bhi Waazeh ho gaya ki wo Chize Jinka Ta’aluq ALLAH TA’ALA ke Maqbul Bando se hota he Usse Barkate bhi Haasil hoti he…
Lihaza Jo Tabarrukaat ki Fazilat ke Munkir he Unhe Is Aayate Kareema me Gouro Fikr karke Apni Islaah karni Chaahiye.Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aag me dalnne ka waqiya in hindi 3
>> Qoum ki Aazmaaish
Quraane Majeed me he ki
“Fir jab Taalut Lashkaro ko le kar Shahar se Juda huwa Bola Beshak ALLAH TA’ALA Tumhe ek Nahar se Aazmaane wala he to jo Uska Paani Piye wo Meira nahi Aur jo Uska Paani na piye wo Meira he Magar wo jo ek Chullu haath se le le to Sab ne Usse piya magar Thodo ne Aur fir jab Taalut Aur Uske Saath ke Musalmaan Nahar ke Paar gaye bole ham me Aaj Taaqat nahi Jaalut Aur Uske Lashkaro(ke Saath Jang) ki bole wo Jinhe ALLAH TA’ALA se Milne ka yaqin tha ki Aksar kam Jama’at Gaalib Aayi he Zyaada Giroh par ALLAH TA’ALA ke Hukm se Aur ALLAH TA’ALA Sabr karne waalo ke Saath he”
(Surah Al Baqrah, Aayat-249)Hazrat Isa Alaihissalam ke paida hone ka waqya in Hindi 1
Jab Taalut ki Baadshahi par ALLAH TA’ALA ki Taraf se Nishaani Aa gayi to Bani Israail ko Yaqin ho gaya wo Unki Sarbaraahi par Meidaan me Nikalne ke liye Taiyyar ho gaye, Taalut ne Eylaan kiya Jo Loug Apne Makaan Wageira ki Ta’amir me Mashgul ho Abhi tak Ta’amir se Farig na hue ho wo Meire Saath Na Nikle Aur Taajar(Tijaarat/Vyaapaar karne waale) Jo Tijaarat me Mashgool ho wo bhi Meire Saath Na Nikle Aur Jinhone Nayi Nayi Shaadiya ki ho Aur Abhi Jamaa’a na kar chuke ho wo bhi Meire Sath Na chale, Meire Saath Chalne wale Sirf Nov-Jawaan, Furtile Aur Tamaam Dunyaavi Haazat se Faarig(Raahat) hone chahiye(Maqshad ye tha ki Meidaane Jang me Jaa kar Kishi ko bhi Ghar ki Yaad na Aaye ki Meire Falaa Kaam karna tha, jo Mukammal nahi ho paya),Hazrat suleman story in hindi urdu part 4
Hazrat Taalut Jab Bahot Badaa Lashkar le kar Shahar ki Hadd se Baahar hue to ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Ashmueel Alayhis Salaam ne Ya Hazrat Taalut ne Lashkar ko Bataaya ki ALLAH TA’ALA Ek Nahar se Tumhara Imtehaan leine Wala he, Jisne Usse Paani pee liya wo Meire Deen par Nahi Aur Jisne Uska Paani Na Peeya wahi Meira Ummati hoga Aur Meire Deen par Qaayam hoga, Haa Chullu Bhar Paani Usse Leine ki Ijaazat hogi,
ye Aazmaaish Unke liye Bahot Shakht thi kyunki Un par Pyaas ki Siddat taari thi Aur Paani ko deikh kar Sabr karna unke liye Bahot Dushwaar tha, Tamaam Lashkar walo ne Usse Paani pee liya, Sif 313 the jo Us Imtehaam me Kaamyaab hue the, Unhone Sirf Ek Chullu Paani pee liya tha, ALLAH TA’ALA ne Unke Is Chullu bhar Paani me itni Barkat rakh di thi ki Unhe wahi kaafi huwa Aur Wahi Chullu bhar Paani Unke Khaadimo Aur Sawaariyo ko bhi kaafi ho gaya,
Jo Loug Aazmaaish me Na-kaam ho gaye ALLAH TA’ALA Aur Uske Nabi ke Ahkaam ke Na-farmaan ho gaye, wo Buzdil ho gaye Aur Kehne lage Ham to Aaj Jaalut Aur Uske Lashkar se Jang karne ki Taaqat nahi rakhte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-347, 348)
>> Hazrat Dawood alaihissalam ne qtl kiya
Quraane Azeem me he ki
“Aur Qatl kiya Daawud (Alayhis Salaam) ne Jaalut ko Aur ALLAH TA’ALA ne Use Saltanat Aur Hikmat Ataa Farmaayi Aur Use Jo Chaha Shikhaya”
(Surah Al Baqrah, Aayat-251)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Bakariya Charaate the, Aap Glaakhan(Patther Feinkne ka Shaadhan) ke Zariye Bhediyo Aur Shero ko Patther maarte the, Aapke Saat bhai Taalut ke Saath Meidaan me the, Jab unko Khabar Pahonchne me kuch deir ho gayi ki kis haal me he to Aapke Waalid ne Bheja ki Jaao Aur Bhaaiyo ki Khabar laao, Hazrat Daawud Alayhis Salaam Aaye to deikha ki Bhai Jang karne ke liye ek Saf me khade he Aur Jaalut Bani Israail ko keh raha he ki Agar tum Haqq par ho to Meire Muqaable ke liye koi nikle, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Apne Bhaiyo ko kaha Tum Geir-Khatna-Shuda(Kaafir) ko Qatl kyu nahi karte…?? Lekin Uski Bahaaduri ke Aage koi Uske Muqaable me jaane ke liye Tayyar nahi tha, Hazrat Daawud Alayhis Salaam jab Dusri Saf me gaye to deikha Taalut lougo ko Jaalut ke Qatl karne ke par Ubhra rahe he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne kaha jo use Qatl kare Usse tum kya Suluk karoge…? Taalut ne kaha Use Apni Beiti Nikaah me Dunga Aur Aadhi Baadshahi dunga,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Raaste me Chalte hue 3 Patthero ne Aawaz de kar kaha tha ki Hame Utha lo Jaalut ka Qatl ham me he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne wo Patther Utha liye the, Ek Patther Jaalut ke Sine par Maara wo Qatl ho gaya Aur Aapne kayi lougo ko bhi Qatl kiya, Is tarah Jaalut Aur uske Lashkar ko Shikast(haar) ho gayi, Is Tarah ALLAH TA’ALA ne Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Baadshahi Aur Nabuwwat Ataa kardi.
(Tafseere Kabeer, Jild-6, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-349)
Leave A Comment