Hazrat suleman or bilqis ka waqiya story in hindi part 3
> Bilqis ka Jang ko Na-Pasand karna :
Quraane Paak me he ki
“Boli Beshak Baadshah Jab kishi Basti me Daakhil hote he Ushe Tabaah kar deite he Aur Uske Izzatwaalo ko Zalil Aur Eysa hi karte he”
(Surah An-Naml, Aayat-34)
Bilqees ne kaha ki Suleimaan Alayhis Salaam Baadshah he, Baadshah kishi Mulk par Hamlaawar hote he to wahaa ke Lougo ko Qatl kar deite he Kuchh ko Qeydi bana leite he, Kuchh ko Jalaa deite he, Izzat wale Lougo ko Zaleel Karne me koi Kasar nahi Chhodte, Baadshaho ka Yahi Tariqa rahaa he,
Baadshah ki Ye Shaan he to Hame Sirf Apni Taadaad, Apni Taaqat, Jangi Saazo-Saamaan Aur Mukammal Tayyari par Bharosha Nahi karna Chahiye ki Ham Zarur Fateh Haasil Kar leinge, Shikast(Haar) bhi ho sakti he Isliye Suleh ki Raah Ikhtyaar karni Chahiye.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-317)
>> Bilqees ka Tohfaa Bhejna :
Quraane Majeed me he ki
“Aur me Unki Taraf Ek Tohfaa Bhejne waali hu Fir Dekhungi ki Elchi(Doot) kya Jawaab lekar Palte”
(Surah An-Naml, Aayat-35)
Bilqees ne kaha Deikhte he Ki Suleimaan Alayhis Salaam Baadshah he ya ALLAH TA’ALA ka Nabi, Agar Baadshah he to Ham Use Maal dekar Khush kar leinge Aur wo Hadiya Qabool kar lega Aur Agar wo ALLAH TA’ALA ka Nabi huwa to Hadiya Qabool Nahi karega Fir Hame Chahiye ki Ham Uske Deen ko Qabul karle,
Bilqees ne Hazrat Suelimaan Alayhis Salaam ko Aazmaane ke liye Kaseer Taadaad me Gulaam, Kaneeze, Sona-Chandi, Kasturi, Anbar Aur Yaaqut Wageira Bheije ki ho Sakta he ki Maal se Kaam Chal Jaaye.
(Tafseer Kabeer, Jild-8, Safa-175)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-317)
>> Hadiyaa Ko Deikh kar Hazrat suleman Alayhis Salaam ka Jawaab
Quraan Shareef me he ki
“Fir Jab wah Suleimaan (Alayhis Salaam) ke Paas Aaya Farmaya Kya Maal Se Meri Madad karte ho to Jo Mujhe ALLAH ne Diya wah Behtar he Usse Jo Tumhe diya Balki Tum hi Apne Tohfe par Khush hote ho, Palat jaa Unki Taraf to Jarur Ham Unpar wo Lashkar Laayenge Jinki Unhe Taakat na hogi Aur Jarur Ham Unko Is Shahar se Zalil Karke Nikaal deinge yu ki Wo Past honge”
(Surah An-Naml, Aayat-36, 37)
Hazrat suleman Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ne Mujhe Deene Nabuwwat Aur Ulum Ataa farmaaye he, Aur ALLAH TA’ALA ne Mujhe Duniyaa ka Maal wa Doulat Bhi Itna Ataa farma diya he Jis par Zyaadati ki Koi Zarurat nahi, Meire Jeishe Shaksh ko Is Qism ke Hadiya se Keishe Apni Taraf Maail Kiya ja sakta he..? Is Hadiya par Tum Khud hi Khush hote raho ki Tumhe ye Hadiya haasil he, Ye Hadiyaa jo Tum Mujhe de rahe ho iski Qadr wa Ijjat Hamaare Nazdik to Kuch nahi, Tumhe hi iski koi Qadr hogi, Is liye tum Khud hi Is par Khush hote raho, Is Qism ke Hadiyaa Qabul Karna Tumhara hi Haqq he Aur Tumhe hi eyshe Hadiya se Khushi Hoti he Hame to Eyshe Hadiya ki na Zarurat he Aur na hi Ham Eyshe Maal ko deikh kar Khus hote he,
Hazat Suleimaan Alayhis Salaam ne Hadiyaa Laane Waale Qaasid ko Farmaya
Jaao Apni Qoum ke Paas Lout Kar Chale Jaao Apni Mallika ko Bataado ki Agar Tumne Kufriya Aqaaid Suraj Parasti Wageira ko Na Chhoda Aur Mere Laaye hue Deen par Imaan na Laaye to Ham Apne Lashkar se Tumhaari Sarkubi(Kuchal) karenge, Tumhe Zaleel wa Khwaar kar deinge Aur Tumhe Shaharo se Zaleel karke Nikaal deinge, Tumhe Muqaabla karne ki Taaqat Haasil nahi hogi”.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-318)
(Bahot Pyaara Waqiya he…)
>> ALLAH TA’ALA ke Wali ki Taaqat Jinn se Zyaada Aur Takht ka Haazir Hona :-
Quraane Kareem me he ki
“Ek Badaa Khabees Jinn Bola ki Mei Wah Takht Huzoor me Haazir Kar dunga Iske Pehle ki Huzoor Ijlaas Barkhaast kare Aur Mei Beshak Uspar Quwwat wala Amaanatdaar hu, Usne Arz ki Jiske Paas Kitaab ka Ilm tha, ki Mei Ushe Huzoor me Haazir kar dunga Ek Pal Maarne se Pehle Fir Jab Suleimaan(Alayhis Salaam) ne Takht ko Apne Paas Rakha deikha kaha Yah Meire RABB ke Fazl se he Taaki Muze Aajmaaye ki Mei Shukr karta hu ya Na-Shukri Aur jo Shukr Kare Wah Apne Bhale ko Shukr karta hei Aur jo Na-shukri kare to Meira RABB Be-Parwaah hei Sab Khubiyo Waala”
(Surah An-Naml, Aayat-39, 40)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah se le kar Zohar tak Majlise Adaalat Qaayam Farmate the, Jisme Lougo ke Darmiyaan Feishle Farmaate the, Goya (Suleimaan Alayhis Salaam ne Jab Farmaya Takht Koun Laayega to) Jinn ne kahaa ki Mei Aadha din Guzar ne se Pehle Pehle Aapke Paas Takht Pahoncha dunga Kyunki Mujhe Itne Bade Azeem Takht ka Uthaana koi Bhaari Mehsus nahi hoga, Mei Badi Badi Chizo ko Uthaane ki Taaqat rakhta hu Aur Mei wo Takht Laane me kishi Qism ki Koi Khayaanat nahi Karunga, Na Us se Kuch Todunga Aur Na hi Usme koi Tageer wa Tabdeel karunga, Balki Amaanat ka Paas Karunga.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-202)
Chunanche ek Aur Aadmi Khada huwa(Jo ‘Al Kitaab’ ka Ilm rakhta tha Usne) kahaa ki Agar Mujhe Irsaad ho to Aankh Jhapakne se Pehle Takht Wahaa se Utha kar Aap ke Qadmo me laakar Rakh dunga, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Ijaazat Farmaayi Aur Jab Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Aankh Kholi to Takht wahaa Moujud tha,
(SubhanAllah…)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne ek Khaadim ki Is Quwwat ka Mushaaida kiya to Dil me Gurur ke Jajbaat Peida nahi hue Balki Fouran Saraapa Nayaaz ban kar Apne MOULA ka Shukr Adaa karne lage, Arz kiya Ye Meire RABB ka Fazal wa karam he, Jisne Mujhe Itni Izzat Aur Sarfaraazi Bakhshi thi ki Meire Khuddam Eysha Kaam kar Sakte he, Uske Baad Farmaya Fazl Bahot Badi Aazmaaish he ALLAH TA’ALA Mujhe Aazmana Chahta he ki Mei Uski Inaayaate Jaleela par Uska Shukr Adaa karta hu ya Na-Shukri ka Izhaar karta hu.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-320, 321)
Agar Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Ek Ummati ‘Al Kitaab’ ke Ilm ki Barkat se Eysaa kaam kar Sakta he to IMAAMUL AMBIYA HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ke Wali Jo ‘Al Kitaab hi Nahi Balki ‘Kitaabe Mubin’ ke Ilm ki Barkat Haasil Karne Waale Wali ke liye Eyshe Kaam ko Anjaam deina Mushkil he…??
Wo loug jo HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ke Auliya e Kaameleen ki Karaamat ka Inkaar karte he Unhe Quraane Kareem ki Is Aayat me Baarbaar Gour karna chahiye.
>> Hazrat Suleman Alayhis Salaam ka Bilqees ka Takht Mangwaana
Quraane Paak me he ki
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaya Ay Darbaariyo Tum me Koun he ki Wah Uska Takht Meire Paas le Aaye Pehle Iske ki wah Meire Huzoor Muti’a (Farmaabardaar) Hokar Haazir ho”
(Surah An-Naml, Aayat-38)
Bilqees ka Qaasid Jab Hadiyaa Waapis le kar gaya Aur Suleimaan Alayhis Salaam ka Peigaam Pahonchaya to wo Samaj gayi ki Aap Nabi he, Aap se Jang karna Mumkin nahi, Usne Suleimaan Alayhis Salaam ke Paas Aane ki Taiyyari karli, Chalne se Pehle Usne Apni Takht ke Tamaam Kamro ke Darwaaze Bandh kiye Kyunki wo 7we kamre me tha, Uski Hifaazat ke liye Pehredaar Muqararr kar diye, Khud Apni Qoum ke Sardaaro ko Saath le kar Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Taraf Mutawajjo hui Aur Aapki Taraf Peigaam Bhej diya ki Me Apni Qoum ke Bade Bade Sardaaro ko Saath Laa rahi hu, deikhna Chahti hu ki Tum Kis Deen ki Hame Da’awat de rahe ho, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam se thodi Doori par wo Pahonch gayi to Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne Darbaariyo ko kaha ki Uska Takht Kon laayega…?
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-318, 319)
>> Takht Talab karne ki Wajah
Hazrat Suelimaan Alayhis Salaam ne Bilqees ke Takht ko Apne Paas Mangwane ka Iraada Farmaya, Uski Wajah ye thi ki Jab Bilqees Aaye to Uske Aane se Pehle Jab Uska Azeem Takht Jo Bandh kamro me he Aur Pehredaaro ki Hifaazat me he Yaha hoga to ALLAH TA’ALA ki Qudrat Aur Suleimaan Alayhis Salaam ki Nabuwwat ka Use Pataa chalega Wo Imaan Laane ki Taraf Maail hogi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-319)
>> Bilqees Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Darbaar me
Quraan Shareef me he ki
“Fir jab wah Aayi usse kaha gaya kya teira Takht Eysha hi he, Boli Goya yah wahi he Aur Hamko Is Waaqe’aa(Ghatna) se pehle Khabar Mil Chuki Aur Ham Farmaabardaar hue”
(Surah An-Naml, Aayat-42)
Bilqees ke Aane se pehle Uske Takht me Tabdeeli ki gayi thi, Taaki Ma’alum kiya ja sake ki wo Kitni Aqal wa Samaj ki Maalik he..
Uske Aane par Puchha Kya Tumhara Takht Eysha hi he…??
Usne Jawaab diya Goya ye wahi he..
Usne ye bhi kaha ki Hame Pehle hi Aapki Nabuwwat, Ilm, Mo’ajizaat Aur ALLAH TA’ALA ke Muta’alaq Ilm tha Aur Dil se to Pehle hi Tasleem kar chuke the Sirf Aapke Paas Aakar Dil ko Zyaada Tassalli deina Maqsad tha.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-222, 223)
>> Takht me Tabdeeli
Quraane Paak me he ki
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Hukm diya Aurat ka Takht Uske Saamne Banaawat Badal kar Beigana Kardo ki Ham Deikhe ki Wah Raah paati he Ya Unme Hoti he jo Naawaakif rahe”
(Surah An-Naml, Aayat-41)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Takht Mangwane ke Baad Uski Shakl me Taageer wa Tabdeel karne ka Hukm diya tha, Iski Wajah ye thi ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaya Ham Deikhte he ki wo Apne Tabdeel Shudah Takht ko Pehchanti he ya nahi, Aap Uski Samajdaari ka Indaza lagana chahte the ki Usse Pataa Chal Jaayega ki wo ALLAH TA’ALA ke Deen ko bhi Samaj Sakti he ya Nahi.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-176)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-319)
>> Bilqees ka Imaan Laana
Quraan Shareef me he ki
“Usse Kaha gaya Sehan(Aagan) me Aa Fir jab Usne Ushe deikha ushe Gehra Paani Samjhi Aur Apni Saanke(Pindaliya) Kholi Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaya yah to ek Chikna Sehan hei Shisho Jada Aurat ne Arz ki Ay Meire RABB Meine Apni Jaan par Zulm Kiya Aur Ab Suleimaan (Alayhis Salaam) ke Saath ALLAH ke Huzoor Gardan Rakhti hu jo RABB Saare Jahaano ka”
(Surah An-Naml, Aayat-44)
Leave A Comment