Hazrat suleman or bilqis ka waqiya story in hindi urdu part 2queen of sheba>> Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Lashkar
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jamaa kiye gaye Suleimaan(Alayhis Salaam) ke liye Uske Lashkar, Jinno Aur Aadmiyo Aur Parindo se, to wo Roke Jaate the”
(Surah An-Naml, Aayat-17)
Hazrat suleman Alayhis Salaam ke Laskar 3Hisso par Mushtamal(Saamil) tha, Jinn, Inshaan Aur Parindey,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-303)

Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke liye Taanbe ka Chashma(Fawwara)

Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmaata he
“Aur Hamne Uske Liye Pighle Hue Taanbe ka Chashmaa Bahaaya”
(Surah Sabaa, Aayat-12)
Is se Ek Maqshad ye tha ki Hazrat suleman Alayhis Salaam ke liye ALLAH TA’ALA ne Taanbe ko Is tarah Narm kar diya tha Jeishe ki Baap Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke liye Lohaa Narm kar diya tha, Taanbe ki San’at(Buisness) Waale Loug Aapke Paas Thanda Taanba laate, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Bageir Aaag Aur Kutne ke Jeishe Unhe Zarurat hoti Ushi tarah Banaa deite,
Dusra Matlab ye he ki Hazrat Suleimaan Alayis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Taanbe ki Dhaatu Ek Chashme(Fawware) ki Surat me Ataa ki thi, Jitna Taanba Zarurat hota Utna Us Chashma se le liya jaata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-303)
SubhanAllah..
Ye ALLAH TA’ALA ke Qudrat ki Nishaaniyo me se ek Nishaani he…
Jo Apne Pyaare Nabi Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke liye “Taanbe” ka Chashmaa Bahaa diya..
 

>> Hudhud ka Geir-Haazir rehna :-

Quraan Shareef me he ki
“Aur Parindo ka Jaayzaa liya to Bola Muje Kya Huwa ki Mei Hudhud ko Nahi deikhta ya wah Waaqei Hazir nahi, Zarur me Ushe Shakht Azaab Karunga ya Zabah Karunga Ya Koi Roshan Sanad Meire Paas Laaye,
(Surah An-Naml, Aayat-20, 21)
Hazrat suleman Alayhis Salaam Apni Tamaam Ra’aaya(Rehnewaale) ki deikh-Bhaal karte, Lashkar Me Tamaam Parindo ko deikhte ki Konsa Moujud he Aur Konsa Gaayab he, Khushusan Aap Apni Ra’aaya(Rehnewaale) me se Kamzouro ke Haal ka Zyaada Khyaal karte the, Aapne Jab Apne Lashkar Me Tamaam Parindo ka Jaaiza liya to Hudhud Parindo ka Sardaar Moujud nahi tha, Jiska Naam Ya’fur tha, to Aapne Bila-Ijaajat Uski Geir-Moujud hone par Gusse ka Izhaar karte hue Farmaaya, yaa to wo Aane par koi Ma’aqul(Pukhtaa) Daleel Peish kare ki kyu Moujud nahi, Warna Me Ushe Shakht Sazaa dunga,
Hudhud ka Khushusi Tour par Jaaiza leine ka Maqshad ye bhi ho sakta tha ki wo Paani ki Talaash karta tha, Jahaa wo Apni Chounch Rakhta tha waha Jinn Us Zameen ko Khoudte Aur Paani Nikaalte, Ishi Tarah Hudhud Khushusi tour par Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam par Saaya karne ka Fariza(Farz) bhi Sar-Anjaam deita tha.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2 Safa-183)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-309, 310)
 

 Hudhud ki Waapisi :

Quraane Majeed me he ki
“To Hudhud Kuch Zyaada deir na Thehra”
(Surah An-Naml, Aayat-23)
Zyaada Deir na Guzri ki Hudhud Waapish Aa gaya, Chunki Ushe Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ka Khouf Daamane Kheir tha, Chunki Parinde Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Bahot hi Zyada Taabe’a(Amal karne waale) the, Ishi Tarah Baaqi Inshaan wa Jinn Aapke Taabe’a the, Hudhud Aapki Khidmat me Daraa Aur Aapke Adab wa Ahetaraam ke Peishe Nazar Apni Dum ko Dhila kiye hue Aur Apne Paro ko Zameen se Ghasit-te hue Haazir huwa, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Gussa se Uske Sarko Apni Taraf Liya To Usne Kaha
Ay ALLAH ke Nabi ye bhi Yaad rakho ki ek Din Aapko Aur Aapki Qoum ko ALLAH TA’ALA ke Darbaar me Khadaa hona Padega, Ye Soon kar Suleimaan Alayhis Salaam par Kapkapi Taari ho gayi Aur Ushe Ma’af kar diya,
Ek Aur Riwaayat he ki Ushe is liye bhi Ma’af kar diya tha ki wo Apne Maa-Baap ka Farmaan Bardaar tha, Unke Paas khaana laa kar Unhe Khilaaya karta tha Kyunki Wo Budhe the.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-310)
 
>> Hudhud ki Taakhir ki Wajah Bayaan karna Aur Takhte Bilqees ki Khabar lana :
quaran me he ki
“Aur Aakar Arz ki ke Me Wah Baat Deikh Aaya hu Jo Huzoor ne Naa deikhi Aur Me Sabaa Shahar se Huzoor ke Paas ek Yaqini Khabar laaya hu, Meine ek Aurat deikhi ki Unpar Baadshahi kar rahi he Aur Use Har Chiz me se(Hissa) Milaa he Aur Uska Badaa Takhat he,
(Surah An-Naml, Aayat-22, 23)
Hudhud ne Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Bataaya ki Meri Taakhir(Deiri) ki Wajah ye thi ki Me Mulke Sabaa Chalaa gaya tha, Waha se Ayshi Khabar Laaya hu, Jis ki Aapko Pehle Khabar nahi, Wahaa ek Mulk he Jiska Naam ‘Bilqees Binte Sharaail’ he, Jis ke Paas Duniya ki Har Qism ki Maal wa Dowlatt he Aur Uska Takht Bahot Badaa he, Uske Takht ki Lambaai 80 Gaz(80 Mitre se Thoda kam) Aur Chodaai 40 Gaz(40 Mitre se Thoda kam) Aur Bulandi 30 Gaz(30 Mitre se Thoda kam) he Aur wo Takht Sone Chaandi (Gold & Silver) ka Bana huwa he Aur Motiyo Surkh(Laal/Red) Yaaqut Sabz(Green) Zamrad(Emerald) ka Uspar Sungaar kiya huwa he, Uske Paaye Bhi Yaaqut Aur Zamrad(Emerald) ke Bane hue he, Aur wo 7 Kamro me Bandh he, Ek Kamra Dusre Kamre me Is tarah 7 Kamre he, Har ek ka Darwaaza Bandh he.
(Tafseere Jalaalein, Safa-319)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-311)

malika Bilqis Aur Uski Qoum ka Mazhab

Quraan Shareef me he ki
“(Hudhud ne kaha) Meine Use Aur Uski Qoum ko Paaya ki ALLAH ko Chhod kar Suraj ko Sajda karte he Aur Sheitaan ne Unke Aamaal Unki Nigaah me Sanwaar kar Unko Sidhi Raah se Rouk diya to wo Raah Nahi Paate”
(Surah An-Naml, Aayat-24)
Wo Suraj ki Parastish karne waale the, Kuch Unme Aaag ki Pujaa karne waale bhi Aur Kuch Zandiq Be-Deen(Yaani Ye Zameen wa Aasmaan ke Nizaam ke Chalaane ya Peidaa karne ke Qaayal nahi the, Balki Ye kehte ki ye Nizaam Bageir Kisi Chalaane waale ke Chal raha he), Sheitaan ne Unke liye Suraj ki Ibaadat Aur Tarah Tarah ke Kufr Aur Bure Aamaal ke Raase Mazeen(Sajaa) kar rakhe the, Wahi Sheitaan ya Uske Baatil Raah ko Mazeen karna Haqq se Unke Rokne ka Sabab banaa Jiski Wajah se wo Raah Raasta par na Aa sake, Unhone Sheitaani Raah ko hi Haseen wa Jameel Samjha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-312)

 Hudhud ki Baat ki Tehqeeq

Quraan Shareef me he
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaaya Ab Ham Deikhenge ki Tune Sach kaha ya tu Jhuto me he”
(Surah An-Naml, Aayat-27)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaaya Ki Ham Teri Baat ki Puri Tehqeeq karenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-313)
>> Note : Aurat ko Haakim Banaana Jaiz nahi :-
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marwi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Jab Ye Khabar mili ki Ahle Faaras ne Binte Kasree ko Apni Mallika(Raani/Queen) Bana liya he to HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Hargiz wo Qoum kaamyaab nahi hogi Jinhone Apne Umur Aurat ke Supurd kar diye, Yaani Aurat ko Haakim Banaane Waale Kabhi Kaamyaab nahi ho Sakenge, Zillat Unka Muqaddar hogi Mulk ko Tabaah kar deigi.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-313)
 
Bilqees ki Taraf Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat
Quraane Majeed me he ki
“Meira ye Farmaan le Jaakar Unpar Daal Fir Unse Alag Hat kar deikh ki wo kya Jawaab deite he”
(Surah An-Naml, Aayat-28)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Khat Tehreer farmaya Uspar Kasturi(Musk) lagaayi, Bandh karke Us par Mohar lagaa di, fir Hudhud ko diya ki Ishe Le Jaawo Aur Bilqees ko Pahonchaado, Hudhud khat le kar gaya to Ushe Sote hue paaya wo Apne Mehal me Soyi hui thi, Wo Jab Soti thi Tamaam Darwaaje Bandh kar deiti thi, Chaabiya(keys) Apne Sarke Niche rakhti thi, Uska Takht Andar 7we Kamre me tha, Hudhud Makaan ki Roshan-Daan se Daakhil huwa, Aur Khat Uske Sine par rakh diya jabki wo Leiti hui thi,
Ek Riwaayat me he ki Jab Hudhud Uske Paas Pahoncha to uske Darbaari Lashkari Uske Paas Moujud the Hudhud Kuch deir Upar Fhad-Fhadaya, Loug ye deikh rahe the yaha tak ki Bilqees ne bhi Upar Nigaah Utha kar deikha to Hudhud ne Khat Uski Goud me Daal diya, Aur Bilqees Kaanp gayi, Darte hue Apni Qoum ke Sardaaro ko Khat ke Mazmun(topic) ko dikhaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-314)
 

>> Bilqees ne Khat ko Ijjat waala kaha

Quraane Majeed he ki
“Wah Aurat Boli Ay Sardaaro Meri Taraf ek Ijjat waala Khat Dala gaya, Beshak wah Suleimaan (Alayhis Salaam) ki taraf se he Aur Beshak Wah ALLAH ke Naam se he Jo Bahut Maherbaan Rahem waala, Yah ki Muj par Bulandi Na Chaaho Aur Gardan rakhte Meire Huzoor Hazir ho”
(Surah An-Naml, Aayat-29, 30, 31)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Khat ko Ijjat waala kehne ki 3 Wajahaat thi,
1)to ye ki Us Khat ka Mazmun (Topic) Bahot Hi Haseen tha,
2)ri Wajah ye thi ki Ek Ijjat Waale Baadshah ki Taraf se Ye Khat Aaya he Lihaza ye Khat bhi Ijjat waala he,
3)ri Wajah ye thi ki Jis Khat par Mohar lagi hoti thi Ushe ‘Kareem Khat'(Ijjat wala Khat) Kahaa jata tha,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat Pure Mazmun (Topic) ka Shaamil tha Agarche Mukhtasar(Thoda sa) tha lekin Maqsad Usme Mukammal tha, Isliye ki Makhluq se 2 Chizo ka hi Maqshad talab kiya jata he, Ek ye ki Ilm Haasil karo, Aur Dusra ye ki Tum ALLAH TA’ALA ke Ahkaam par Amal karo, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne khat “Bismillahir Rahmaanir Raheem” se Shuru farmaya Jisme ALLAH TA’ALA ke Muta’alaq Ilm Moujud he,
Aur Hazrat suleman ke Khat me ye ki Mujh par Bulandi na chaho isme Khwaaishaate Nafshaniyaa ki Ita’at Aur Takabbur karne se nahi he Balki In Kaamo se Roka gaya he Aur ye Amar he ki Meri Farmaan Bardaari karo Aur ALLAH TA’ALA par Imaan Laao, Waazeh huwa ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat Nihaayat Mukhtasar hone ke Bawajood Deen wa Duniya ki Zaruri Ahekaamaat Par Mushtamil tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-174)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-314, 315)