Hazrat suleman Alayhis Salaam ne Bilqees ke Aane se pehle Safeid Shishe ka ek Mahal Ta’amir karaya jo Paani ki Tarah Nazar Aata tha, Mahal Banwaane ki Wajah ye thi ki Majlis ka Ro’ab Ma’alum ho jaaye, Is Balwarin Farsh ke Niche Paani Aur Machhaliya bhi thi, Aapka Takht Iske Darmiyaan tha, Jab Use kaha gaya ki Is Mahal me Daakhil ho jaav Aur Takht par Chal kar Beith jaao, to Usne Farsh ko Paani Samaj kar Pindaliyo se Kapda Upar Chadhaya to Aapne Farmaya ye to Balwar ka Banaa huwa Farsh he Paani nahi, to Use Jaldi hi Apni Galti ka Ehsaas huwa Aur Hazrat suleman Alayhis Salaam ki Azmat, Nabuwwat Aur Nooraaniyat ne Aysha Asar kiya ki kehne lagi Meine Aaj tak Apni Umar Gawaadi, Apni Jaan par Kufriya Aqaaid ke Mazaalim Dhaati rahi, Ab to Suleimaan Alayhis Salaam ke Saath ALLAH TA’ALA par Imaan laati hu, Is Tarah Bilqees ko Dowlate Imaan Nasib hui.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-208)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-323, 324)
>> RABB ki Yaad ke liye Ghoudo(Horses) se Mohabbat
Quraane Kareem me he ki
“Jab ki Uspar Peish kiye gaye Tisre Pahar ko ki Rokiye to Tin Paanv(Peir) par khade ho Chouthe Sumka Kinaara Zamin par Lagaaye hue Aur Chalaaiye to Hawa ho jaaye, to Suleimaan (Alayhis Salaam) ne kaha Muje Un Ghoudo ki Mohabbat Pasand Aayi hei Apne RABB ki Yaad ke liye Fir Unhe Chalaane ka Hukm diya yahaa tak ki Nigaah se Parde me Chhup gaye, Fir Hukm diya ki Unhe Meire Paas Waapas laao to Unki Pindaliyo Aur Gardano par Haath Feirne Laga”
(Surah Saad, Aayat-31, 32, 33)
Hazrat suleman Alayhis Salaam ne Hukm diya ki Un par Ghoude Peish kiye Jaaye Taaki Unhe deikhe Aur Un ke Ahwaal ki Kefiyat par Waaqif ho to Aapke Hukm ke Muta’abiq Ghodo ko Asar se Din ke Aakhir tak Peish kiya jata raha, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ghoudo ko Sirf ALLAH TA’ALA ki Raza Mandi ke liye deikh rahe the ki is se RABB Aur Uske Hukm ki Yaad Haasil ho rahi he, Jab ek Martaba Ghoudo ko Aap ke Saamne se Guzaar diya gaya Aur woh Aapki Nigaah se Ujhal ho gaye to Aap Mohabbat se Unki Pindaliyo Aur Gardano par Haath Feirte Aur Saath Saath Apni Ummat ko Apne is Feil(Amal) se ye Ta’alim de rahe the ki Haakime Waqt ko Aksar Apna Kaam Apne Haath se bhi Sar-Anjaam deine Chahiye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-326, 327)
>>Hazrat suleman Alayhis Salaam ke Feishle
Quraane Azeem me he ki
“Aur Daawud(Alayhis Salaam) Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) ko Yaad karo Jab Kheti ka ek Jhagda Chukaate the Jab Raat Ko Usme Kuchh lougo ki Bakariya Chhuti Aur Ham Unke Hukm ke Waqt Haazir the, Hamne Wo Ma’amla Suleimaan (Alayhis Salaam) ko Samjha diya”
(Surah Al Anbiyaa, Aayat-78, 79)
Ek Aadmi ki Bakariya Raat ke Waqt Chhut gayi, Unke Saath koi Aadmi Nahi tha, wo Dusre Shaksh ki Kheti khaa gayi, Ye Muqaddama Daawud Alayhis Salaam ke Saamne Peish huwa, Aap Alayhis Salaam ne Tajwiz kiya ki Bakariya Kheti Waale ko de do Chunki Kheti Bakariyo ki Qimat ke Baraabar thi,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne jab Feishla Suna to Aap ne kaha ki ek Surat Us se Behtar Aur Dono Fariqo(Parti) ke liye Nafa-mand ho Sakti he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Farmaya Achha tum Bataao wo kya Surat ho Sakti he…??
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaya ki Bakariya Kheti waale ko Sirf is liye di jaaye ki wo Unke Dhoodh Wageira se Nafa’a Haasil karta rahe Aur Bakariyo Waale Shaks ko kaha jaaye ki wo Us Shaks ke Kheti me Kaam kare Aur Mehnat karke Zaaya-Shuda(Zaaya huwa) Fasl ke Baraabar Aur Nayi Fasl kheti karke Taiyyar kare, Jab Kheti Apne Haal par Aajaye to Kheti waale ko Uski Kheti de di jaaye Aur Bakariyo Waale ko Uski Bakariya de di jaaye,
Ye Feisla Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne bhi Pasand farmaya Us Waqt Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Umar 11 Saal thi ye Dono Feishle Ijtehaadi the jo Us Waqt ki Shariyat ke Muta’abiq the.
Hazrat Mujaahid Rahmatullah Alay ka ye Qoul he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Feishla Qaanun ke Muta’abiq tha Aur Suleimaan Alayhis Salaam ka Feisla Un Dono ke Darmiyaan Suleh karaane ki Surat me tha Hamaari Shariyat me Agar Jaanwar Khud Chhut jaaye, Kishi ki Kheti ko Nukshan Pahonchaaye to Jaanwaro ke Maalik par koi Zimma Laazim nahi.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-333, 334)
Hazrat musa alaihissalam ka waqiya in hindi 5
Dev Aapke Taabe’a (Peirokaar)
Quraane Paak me he ki
“Aur Dev Bas me Kar diye Har Me’maar Aur Goutaakhor”
(Surah Saad, Aayat-37)
Yaani Kuch Jinn the jo Fanne Ta’amir me Maahir the, Badi Badi Imaarat Bahot Jald Taiyyar karte Aur Kuch Jinn Daryaao Samandaro me Goute lagaa kar Tarah Tarah ke Moti, Hire Wageira Nikaalte, Daryaao me Sabse Pehle Moti Nikaalne ka Kaam Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne hi Shuru kiya.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-335)
Hazrat sulemanAlayhis Salaam ka Wisaal
Quraane Azeem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irsaad Farmata he
“Fir Jab Hamne Uspar Mout ka Hukm Bhejaa Jinno ko Uski Mout na Bataayi Magar Zamin ki Dimak(Termites/Kidaa) ne ki Uska Asaa Khaati thi Fir Jab Suleimaan (Alayhis Salaam) Zamin par Aaya Jinno ki Haqiqat Khul gayi Agar Geib Jaante hote to is Khwaari ke Azaab me na hote”
(Surah Sabaa, Aayat-14)hazrat yunus alaihis salam ka kissa in hindi urdu
Jinnat Geib-daani ka Daa’awa kiya karte the Aur Is Wajah se Inshaano par Apna Roab Bithaate Aur Unhe Tarah Tarah ki Eyshi Baate Bataate Jinka Ta’aluq Amure Geib se hota, ALLAH TA’ALA ki Qudrat ne Unka Bhaanda Fod diya, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Us Waqt Mout se Hamkanaar kiya Jab wo Asaa par Teik lagaaye Ibaadat me Mashruf the, Aapki Rooh Parwaaz kar gayi thi Lekin Aapka Jisme Mubaarak Asaa ke Sahaare Khadaa raha, Jinnat jo Aapke Hukm se Bade Muskil Aur Mashakkat Waale kaamo me lage hue the Aur Aapke Khouf se Susti na kar Sakte the, Jinnat Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Khadaa huwa deikhte to Samajte ki Aap Zindaa wa Salaamat he Zaraa Gaflat ki to Khaal Udher leinge, Ishi Tarah Puraa Saal Guzar gaya, Hukme ILAAHI se Dimak(Termites/Kidaa) ne Asaa ko Chaatna Shuru kar diya, Niche se Upar tak Asaa ko Khokhla karne me ek Saal ka Arshaa beet gaya, Jab wo Asaa Bilkul Khokhlaa ho gaya to Tut gaya Aur Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Zamin par Aa gaye, Tab Jinnat ko pata Chalaa ki Jis ke Khouf se Unhone Apne Aap ko Musibat me Mubtila rakha wo to Arshaa se Wafaat pa Chuka he, To Ab Unke Daawe ki Haqiqat Khul gayi, wo Loug jo Un Jinnat ki Geib-daani ke Daawe ko Saccha Samaj rahe the, Unhe bhi Pataa chal gaya ki Ye Apne Daawe me Saraasar Jhute he,
Jinnat ke Gurur ko Khaak me Milaane ke Saath Saath ALLAH TA’ALA ne Shaane Nabuwwat ka Mushaahida bhi kara diya, Aam Inshaan Agar Asaa par Teik lagaa kar khadaa ho Aur Ushe Nind Aa jaaye to Uska to Khadaa rehna Mumkin nahi wo Fouran Zamin par Gir padhta he, Fir Mout ke Baad Chehre ki Rangat Badal Jaati he, Jism me Tarah Tarah ke Badlaav hone lagte he Lekin Yahaa Aap Saal Bhar Teik lagaaye khade rahe, Chehra Ushi Tarah Fhul ki tarah Shaguftaa raha, Zisme Mubaarak Bilkul Taro Taaza raha, Zisme Mubaarak Badbu Aur Sad Jaane se bhi Paak raha, Aur Libaas bhi weishe hi paak wa Saaf raha, Na Mousam se Zisme Mubaarak par Ashar Zaahir huwa, ALLAH TA’ALA ne Lougo ko Zaahiri Aankho se Mushaahida karaya ki Nabi ki Zaahiri Zindagi ka Jaaho-Jalaal to tum deikhte rahe, Ab Uske Wisaal ke Baad bhi Uski Shaan ko deikho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-336, 337)
>> Bilqees ka Khat ke Muta’alaq Mashwara
Quraane Majeed me he ki
“Boli Ay Sardaaro Meire Is Maamle me Mujhe Raay do Me Kishi Maamle me koi Qatai Feishla Nahi karti Jab tak Tum Meire Paas Hazir na ho, Wo Bole Ham Zour waale Aur Badi Shakht Ladaai waale he Aur Ikhtyaar Teira he Tu Nazar kar ki kya Hukm deiti he”
(Surah An-Naml, Aayat-32, 33)Hazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1
Bilqees ne Apni Qoum ke Sardaaro ke Dil ko Khush karne ke liye Aur Apni Pareshani ko Door karne ke liye Unse Raay Talab ki ke Me Us Waqt tak koi Qatai Feishla nahi Karungi Jab tak Tum Mere Paas Moujud ho kar Mujhe Apni Raay Nahi doge,
Qoum ke Sardaaro ne kaha ki Hamaare Paas Jangi Saazo-Saamaan to Kaafi Miqdaar(Hadd) me Moujud he Aur Hame Jismaani Quwwat Haasil he Aur Ladaai me ham Saabit Qadam rehna bhi Jaante he, Is liye Agar Jang karni ho to Ham Iske liye Taiyyar he Lekin Ham to Tumhaare Hukm ke Paaband he, Asal Hukm Tumhaara hi he Tumhaari Raay hi Dar-Haqiqat Asal Raay hogi Lihaaza jo Hukm hoga Hame Manzur hoga.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-175)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-316)
Leave A Comment