Hazrat suleman alaihissalam
ALLAH TA’ALA ke Pyare Nabi Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Baare me Waaqiyaat Aayenge..
Aap Lougo se Gujaarish he ki Post Padhte rahe Aur Aage Dusre Musalmaan Bhaiyo tak Pahonchate rahe..Taaki Hamaare Bhaiyo ke Ilm me Izaafa hota rahe

 Hazrat Dawud Alaihiossalam ke Jaanashin

Quraane Majeed me he ki
“Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) Daawud(Alayhis Salaam) ka Jaanashin huwa”
(Surah An-Naml, Aayat-16)
Hazrat Suleman Alayhis Salaam Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Baadshahat Aur Khilaafat ke Jaanshin bane.
>> Note :
Yahaa Maal wa Doulat ki Waraashat Muraad nahi, Kyunki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Irsaad he ki
“Ham Ambiya e Kiraam ki Jama’at Na Waarish bante he Aur Na Waarish Banaaye jaate he”
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-300)
Hazrat suleman alaihissalam Parindo ki Boliya Samjate
Quraane paak me he ki
“Aur kahaa Ay Lougo Hame Parindo ki Boli Shikhaayi Gayi Aur Har Chiz me se Hamko Ataa huwa Beshak yahi Jaahir Fazl he”
(Surah Al Naml, Aayat-16)
Hazrat suleman alaihissalam ko ALLAH TA’ALA ne Parindo ki Boliyaa Samajne ki Quwwat Ataa farmayi thi, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Samaj leite the ye (Parinde) Kya keh rahe he..
Hazrat suleman alaihissalam ne Mour(Peacock) ki Aawaz Ko Soon kar Farmaaya ki ye keh raha he “Jeisha Karoge Weisha Bharoge”,
Hudhud ki Aawaz ko Soon kar Farmaya ki ye keh raha he “Ay Gunehgaaro ALLAH TA’ALA Se Magfirat Talab karo”,
Khataaf (Lambe Baazu waala, Chhote Peir waala, Kaala(Black) Rang ke Parinde) ki Aawaz soon kar Farmaya ki ye Keh raha he “Neiki Karo Taaki Aage Unki Jazaa Paao”,
Qamri Ki Aawaz Son kar Farmaaya ki ye Tasbeeh Padh rahi he
“سبحان ربی الاعلی”
(Subhaan Rabbil Aa’la”),
Cheel ko Bolte hue Soon kar Farmaya Ye keh rahi he “RABB TA’ALA ke Bageir Har Chiz ne Fanaa ho jaana he”,
Bhatt-Titar ki Aawaz Soon kar Farmaaya Ye keh raha he “Jo Khaamosh Rahaa wo Salaamati me raha”,
Murgi ki Aawaz Soon kar Farmaya ye Keh rahi he “Ay Gaafilo ALLAH TA’ALA ko Yaad karo”,
Gidh(Vulture) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye keh rahi he “Ay Inshaan Jitna Chaahe Tu Zinda reh Aakhir Tuje Mout to Aani he”,
Eqaab(Eagles) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye Keh raha he “Lougo se Door Rehne me hi Insh he”,
Meyndak(Frog) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye Tasbeeh Padh raha he
“سبحان ربی القدوس”
(Subhaan Rabbil Quddus),
(Tafseere Madaarik,
Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-181, 182)
( Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-301, 302)
(Khyaal Rahe ki In Parindo ki Hameisha ye Boli Nahi hoti Balki Kuch Waqt ye Boli Unhono Boli, Mukhtelaf Waqt me Mukhtelaf Boliya Bolte he….)
 
>> ‘Hawaa’ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ke Bass me
Quraane Majeed me he ki
“Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) ke Bass me Hawaa kardi Uski Subah ki Manzil Ek Mahine ki Raah Aur Shaam ki Manzil ek Mahine ki Raah”
(Surah Sabaa, Aayat-12)
‘Hawaa’ ko Hazrat suleman alaihissalam ke Bass me Is Tarah kar diya gaya tha Jis Tarah Sawaari Inshaan ke Bass me hoti he, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah se Zawwal(Dupher) tak Itna Safar kar leite Jitna Siyaah(Tourists/Safar karne Waale) Loug Ek Maah me karte Aur Zawwal(Dupher) se Shaam tak Itna Safar Kar leite Jitna Ek Maah me kiya jaata,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah Beitul Muqaddas me hote to Dupher ke Waqt Ustagar(Ilaaqa) me Pahonch jaate, Fir Ustagar se Shaam tak Khuraasaan(Iraan ka Ilaaqa) ke Qilla tak Pahonch jaate, Siyaah(Safar ke) Loug Is Waqt tak 3 Meel Subah se Zawwal tak Safar karte the to Aap 90 meel (Safar) karte, Ishi Tarah Shaam ko bhi (Safar karte).
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-302)
SubhanAllah..
Ye Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he.. Aur ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat ki Nishaani he…

>> Cheenti(Kidi/Ant) ke Kalaam se Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Muskuraana

Quraan Shareef me he ki
“Yahaa tak ki Jab Cheentiyo ke Naale par Aaye Ek Cheenti Boli Ay Cheentiyo Apne Gharo me Chali Jaao Tumhe Kuchal Na Daale Suleimaan (Alayhis Salaam) Aur Unke Lashkar Bekhabri me, To Uski Baat se Muskura kar Hansha”
(Surah An-Naml, Aayat-18,19)
Aam Tour par Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Aur Aapka Lashkar Hawaa ke Zariye Safar kiya karte Lekin Is Safar me Aap Aam Lougo ki Tarah Safar kar rahe the, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Lashkar me Kuch Loug Peidal chal rahe the Aur Kuch Sawaar the, Cheentiyo ki wo Basti Taaif ya Shaam me thi, Unko Hukm deine waali Unki Raani(Queen) thi, Wah Langadi thi,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Cheenti ki Aaawaz 3 Meel se Sooni thi, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne Lashkar ko Aage Chalne se Rouk diya tha (Taaki) Cheentiya Apne Gharo me Daakhil ho sake,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Muskuraane ki Ek Wajah Cheenti ki Ahtiyaati Tadaabeer Par Ta’ajub karna tha Aur Dusri Wajah ye thi ki Aapko Cheenti ki Aaawaz Soon ne ki RABB TA’ALA ne Jo Toufiq Ataa farmaai thi Us par Izhaar Khushi karna tha.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-175,176)
(Tafseere Jalaalein, Safa-318)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-305,306)
Cheenti ke kehne ki ek Wajah ye bhi thi ki Wah Jaanti thi ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Nabi he, Inshaaf Waale he, Zulm Aur Sitam Aapki Shaan nahi he, Is liye Usne Hukm diya ki Apne Apne Gharo me Chali jaao Kahi Anjaane me Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Lashkar se Sab Khuchal Na jaao..
Aur Ye Waaqiya me Chhoti shi Cheenti ki Aaawaz 3 Meel se Sunnaa ye Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he ki koi Aaam Shaksh ye Quwwat nahi rakhta..
Aur Beshaq..
ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Wo Apne Pyaare Bando ko Chhoti shi Cheenti ki Aawaz Soon ne ki Toufiq Ataa farmata he..
Hazrat dawood alaihis salam history of in urdu Hindi part 1
Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 19