Hazrat saleh Alayhesalam waqiya in hindi Quraan Sareef me he ki
“Ay Meri Qoum Bhlaa Bataao to Agar Mei Apne RABB ki Taraf se Roshan Dalil Par hu Aur Usne Muze Apne Paas se Rahmat Bakhsi to Muze Us se Koun Bachayega Agar Mei Uski Naafarmani Karu to Tum Muze Siwa Nukshan ke Kuch na Barhaaoge”
(Surah Hood, Aayat-63)
Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Qoum ko Jawab deite hue kaha ki Muje ALLAH TA’ALA ne Roshan Dalaail Ataa Farmayi he Aur Usne Muje Apni Rehmat se Nawaza he Is liye me bhi tum par Maherbaani Kar raha hu ki Tumhe Us Raah ki Hidaayat de raha hu Jisme Tumhari Kaamyabi he tum Apni Be-Aqali ki Wajah se Jis Baatil Raah ki Meri Madad Chahte ho Isme to ALLAH TA’ALA ki Naafarmani he Aur ALLAH TA’ALA ki Naafarmani me Nukshaan he,
Qoum ne kaha
“Bole Hamne Bura Sagun liya Tumse Aur Tumhare Saathiyose, (Saaleh Alayhesalam ne) Farmaya Tumhari Bad-Saguni ALLAH ke Paas hei Balke Tum Loug Fitne me Pade ho”
(Surah Al Naml, Aayat-47)
Hazrat Saaleh Alayhesalam Jab Mab’us hue Aur Qoum ne Takzib(Inkaar) ki Iske Baaish(liye) Baarish Ruk gayi, Qahat ho gaya, Loug Bhuke Marne lage, Is ko Unhone(Qoum ne) Hazrat Saaleh Alayhesalam ki Tasreef Aawari ki Taraf Mansub kiya Aur Aapki Aamad ko Bad-Sagooni Samja,
Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Qoum ko Jawab diya Ye Bad-Sagooni Jo Tumhare Paas Aayi, yeh Tumhare Kufr ki Wajah se ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aayi he, Tum Fitne me Mubtila ho, Apne Baatil Deen ko Sahi Samajna, Butt-Parasti Par Qaayam Rehna, Ye Dar-Haqiqat Tumhare liye Fitna he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-255, 256)
 

 Qoum ne Aapko Jaadugar Kaha :

Quraan Sareef me he ki
“Bole Tum Par to Jaadu huwa hei”
(Surah As-shura, Aayat-153)
Qoum ne Kaha Tum Par Baar Baar Kasrat se Jaadu kiya gaya he, Is liye Tumhari Aqal Salaamat Nahi rahi, Tum Hamare Saath Bewaqufi ki Baate kar rahe ho ki Ham Apne Aaaba wa Ajdaad(Baap-Dada) ka Deen Chhod de,

 Qoum ne Aapko Mutakabbir kaha :-

Quraan Sareef me he ki
“Bole Kya Ham Apne me ek ek Aadmi ki Taabedari kare Jab to Ham Zarur Gumraah Aur Diwaane hei, Kya Ham Sabme se Us Par Zikr Utaara gaya Balke ye Shakht Jhuta Utrouna(Itraane wala/Mutakabbir) hei”
(Surah Al Qamar, Aayat-24, 25)
Qoum ne Kaha Ham Itni Taadaad me ho kar ek Aadmi ki Taabe’dari(Peirwi) kare wo bhi Eysha Shaksh ho jo Hamare Jeisha Basr ho, Aysha Kaam to Diwaano ka he, Ham to Aqal-Mand he, Kya Ishi ko Nabuwwat Ataa honi thi…? Aur Is Mansab ke Laayaq koi nahi tha…?? ye Shaksh Apne Daawa e Nabuwwat me Jhuta he Aur ye Daawa karke Shukhiya Maar raha he, Itra raha he, ye to Bada Mutakabbir he, (MaazAllah)
ALLAH TA’ALA ne Unka Radd karte hue Farmaya
“Bahot Jald Kal Jaan Jaoge Kon tha Bada Jhuta Utrouna(Itraane wala/Mutakabbir)”
(Surah Al Qamar, Aayat-26)
Yaani ye Qoum Jab Duniya Aur Aakherat me Azaab me Mubtila hogi to fir Unhe Pata Chalega ki Koun Jhuta tha Aur Baatil Raah par Zid wa Enaad ki Wajah se Qaayam Rah kar kon Takabbur kar raha tha…?
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-256, 257)
 
>> Qoum ne aap se Mo’ajiza Talab kiya :
Quraan Sareef me he ki
“Tum to Hami Jeishe Aadmi ho to koi Nishaani Laao Agar Sachche ho, Farmaya ye Naaka(Untani) hei ek Din Uske Pine ki Baari Aur Ek Mo’ayyan Din Tumhari Baari, Aur Ushe Buraai ke Saath Na Chhuo ke Tumhe Bure Din ka Azaab Aaega”
(Surah As-shura, Aayat-154, 155, 156)
Qoum ne Saaleh Alayhesalam ki Risaalat par Nisaani Talab ki, to Saaleh Alayhesalam ne Farmaya Tum Konshi Nisaani Talab karte ho…? Unhone kaha Tum Hamare Saath Hamaari Eid ke Programo ke liye Saher se Baahar Hamaare Saath Chalna, Ham Apne Ma’abudo se Dua karenge, Tum Apne Ma’abud se Dua karna Jiski Dua Qabool hogi Dusre uski Taabedari(Peirwi) karenge,
Hazrat Saaleh Alayhesalam Unke Saath Sahar se Baahar Tasreef le gaye, Unhone Apne Butto se Dua ki Jo Qabool na ho saki, Unke Ek Sardaar ne ek Akeli Chattan ki Taraf Isaara kiya Jiska Naam “Kaafiyaa” tha, Usne Kaha Us Chattan se ek Untani(Camel) Nikalo Jo Haamela ho, Agar Tumne Eysha kar diya to Ham Tumhari Tasdeeq karenge, Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Unhe kaha Agar Mei Aysha karu to kya Tum Zarur Imaan laaoge…??
Unhone kaha Haa,
Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Nawaafil Adaa ki Aur RABB TA’ALA se Dua ki, ALLAH TA’ALA ne Aapki Dua ko Sarfe Qabuliyat Bakhsha,
Wo Loug deikh rahe the ki Pahaadi Chattan me Bilkul Wahi Kefiyat Peida huwi Jis Tarah Kishi Jaanwar par Peidaish ke Waqt hoti he, Dard ki Wajah se Karaahna(Chikhna) Wageira, Yaha tak ki Unke Saamne wo Chattan Fhati, Us se Haamela Untani Peida hui, Jis ke Jism par Un thi, Peit Bada tha, Hazrat Saaleh Alayhesalam ka Mo’ajiza deikh kar Sardaar Aur Uske Saath Chand Aur Lougo ne Imaan Qabul kar liya, Baaqi Tamaam Lougo ko Imaan laane se Zawaab Bin Umro, Habaab Aur Rabaab Bin Sam’ar ne Manaa kar diya, Yahi Dono Shaksh Unke Butto par Muqarrar the Yaani Butt-Khana ke Naazim the Aur Tisra Shaksh yaani Rabaab Bin Sam’ar Pujaari tha, Un Lougo ke Saamne hi Untani ne Bacha Jana, Jo Ushi Untani Jitna tha,
Hazrat Saaleh Alayhesalam ne RABB TA’ALA ke Hukm se Bayaan kar diya tha ki Ek Din Paani Pine ki Baari Untani ki hogi, Aur Ek Din Tumhare Aur Tumhare Jaanwaro Aur Baqi Jangali Jaanwaro Aur Parindo wageira ki hogi,
Untani Apne Bache ke Saath Jangal me Charti thi Apni Baari ke Din Untani Aur Uska Bacha Saara Paani Pi Jaate the Yaani Kuwe me Mooh Rakhti Aur Uthati Us Waqt (Tak) Paani Khatm ho Jata wo Dhoodh Itna Zyada deiti thi ki wo Loug Pite Aur Apne Bartan Bhar leite, Wo Untani Garmiyo me Waadiyo ke Zaahiri Hisso me Charti thi to Untani ko Deikh kar Unke Jaanwar Waadiyo ke Nichle Andhrhuni Hisso me Bhaag kar Chale jaate, Sardiyo me wo Untani Nichle Hisso me Charti to unke Jaanwar Bhag kar Waadiyo ke Baalaai Hisso me Aajate, Unhe Is Surate-Haal se Bahot Muskil Darpeish Aa rahi thi, Unhone Us Untani ko Apni Raah se Hataane ka Feishla kar liya ki Ushe Maar diya jaaye Taaki Hame Us se Naja’at Hasil ho Jaaye.
(Haasiya Jalalein, Safa-136)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-257, 258)Hazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1
 
HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 4

>> Qoume Samood ke Kuffar par Azaabe ILAAHI :

Quraan Sareef me ALLAH AZZAWAZAL Irsaad Farmata he
“Pas Naaka(Untani) ki Kunche Kaat di Aur Apne RABB ke Hukm se Sarkashi ki Aur Bole Ay Saaleh(Alayhesalam) Ham par le Aao Jiska Tum Wa’ada de rahe ho Agar Tum Rasool ho, to Unhe Zalzale ne Aa liya to Subah ko Apne Gharo me Undhe Pade rah gaye”
(Surah Al A’araaf, Aayat-77, 78)
Ek Aur Jagah Irsaad he
“Aur Zaalimo ko Chingaar ne Aa liya to Subah Apne Gharo me Ghutno ke Bal pade reh gaye”
(Surah Hood, Aayat-67)
Ek Aur Jagah Irsaad he ki
“Samood to Halaak kiye gaye Hadse Guzri hui Chingaar se”
(Surah Al Haaqqa, Aayat-4)
Hazrat Saaleh Alayhesalam ke Farman ke Muta’abik Tisre Din Qoum ke Chehre Siyaa(Black) ho gaye fir Chouthe Din Subah(Fazr) ko ye loug Uthe to Khusbu laga kar ALLAH TA’ALA ke Azaab ka Intezaar karne lage, Unhe Nahi Ma’alum tha ki Unka kya Hasr hone wala he, Aur Na hi Ye Jaante the ki Azaab ki Kefiyat kya hogi, Jab Suraj Tulu(Nikla) huwa to Aaasmaan se ek Shakht kadak(Aawaaz) ne Unhe Aa gheira Aur Niche Zamin me ek Khouf-Naak Zalzalaa Peida huwa, Roohe Nikal gayi Aur Eka-ek Tamaam ke Tamaam Be-Jaan Laas Ban gaye, Un(Kuffar) me se Koi bhi Baaqi na Bacha, Na Chhota na Badaa, Na Mard Na Aurat,
Qoume Samood par Zameen ka Azaab Sadid Zalzalaa tha Aur Aasmano ka Azaab Shakht Bijli ki kadak ya Hazrat Jibrail Alayhesalam ki Sadid Holnaak Aawaz thi Jis ki Wajah se Unhe Tabaah wa Barbaad kar diya gaya.
(Tafseere Jalalein, Safa-136)
 

>> Hazrat Saaleh Alayhesalam Aur Aapke Saath Imaan laane walo ko Naza’at :

Quraan Sareef me RABBE QADEER Irsaad Farmata he
“Fir Jab Hamara Hukm Aaya Hamne Saaleh(Alayhesalam) Aur Uske Saath ke Musalmano ko Apni Rahmat Farma kar Bacha liya Aur Us Din ki Ruswaai se Beshak Tumhara RABB Kawi Izzatwala he”
(Surah Hood, Aayat-66)
Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Ek hi Mulk me ek hi Ilaake me Kuffar ko Zalzalaa, Holnaak Kadak(Aawaaz) se Tabaah wa Barbaad kar diya lekin Apne Nabi Hazrat Saaleh Alayhesalam Aur Unke Saath Imaan laane walo ko Zara Takleef na hone di, Kuffar ko Zaleel wa Khawaar kar diya, Unko Ruswa Hona pada, Lekin Imaan walo ko Is Holnaak Tabaahi Aur Is ki Ruswai se Bacha liya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-261, 262)
SubhanAllah…history of kaba sharif hazrat ibrahim hindi PART 8
Musalmano ko Chahiye ki Is Waqiye se Ibrat Hasil kare Aur ALLAH TA’ALA ke Azaab se Darte rahe Aur RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat par Kaamil Imaan Rakhe.
>> Hazrat Saaleh Alayhesalam ke Waqiyaat yaha par Khatm hote he, InshaAllah, Aage ALLAH TA’ALA ke Pyare Ambiya e Kiraam Alayhesalam ke Waqiyaat Jaari he…
Hazrat loot alayhi salam story in Hindi Urdu