Hazrat saleh Alayhesalam story in hindi 
Ab se InshaAllah..
ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Saaleh Alayhesalam ke Baare me Wakiyaat Aayenge..
Aap Lougo se Gujarish he ki Post Padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhaiyo tak Pahonchate Rahe..
Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sawaab Paane me Aap bhi Saamil ho Jaaye..
Hazrat Saaleh Alayhesalam ‘Qoume Samood’ ki Taraf Aaye, Hazrat Saaleh Alayhesalam bhi Samood Qoum se hi he,
>> Samood ko Samood kehne ki Wajah :
Is ki 2 Wajah he
1) ‘Samd’ ka Ma’ani Thoda Paani, Qoume Samood ke Ilaqa me Paani Kam hone ki Wajah se Us Qoum ka Naam ‘Samood’ Padh gaya,
2) wo Apne Dada ‘Samood’ ke Naam Par ‘Qoume Samood’ kehlayi,
Hazrat Saaleh Alayhesalam Aur Hazrat Hood Alayhesalam ke Darmiyaan 100 Saal ka Faasla he, Yaani Saaleh Alayhesalam Hazrat Hood Alayhesalam ke 100 Saal Baad Tashreef Laaye, Hazrat Saaleh Alayhesalam ki Umar 280 Saal thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-252)
 
Hazrat saleh Alayhesalam ne Qoum ko Deen e Islam ki Da’awat Farmayi
Quraan Sareef me he ki
“Samood ki Taraf Unke Ham Qoum Saaleh(Alayhesalam) ko(Bheja) Kaha Ay Meri Qoum ALLAH ko Punjo Uske Siwa Tumhara koi Ma’abud nahi, Usne Tumhe Zamin se Peida kiya Aur Usme Tumhe Basaya To Usse Muaafi Chaho fir Uski Taraf Ruju’a laao Beshak Meira RABB karib hei Dua Sunne wala”
(Surah Hood, Aayat-61)
Ek Aur Jagah he ki
“Jabke Unse Unke Ham-Qoum Saaleh(Alayhesalam) ne Farmaya kya Darte nahi, Beshaq Mei Tumhare liye ALLAH ka Amaanat-daar Rasool hu, to ALLAH se Daro Aur Meira Hukm Maano, Aur Mei Tumse Kuch Is Par Ujrat Nahi Mangta Meira Ajr to Ushi Par hei jo Saare Jahaa ka RABB hei”
(Surah As-shura, Aayat-142, 143, 144, 145)
Hazrat saleh Alayhesalam ne Apni Qoum ko kaha ki Agar Tum Chahte ho ki ALLAH TA’ALA ki Rehmat Tumhe Hasil ho to ALLAH TA’ALA se Apne Gunaho ki Maafi Mango, Ushi ki Taraf Ruzu karo to ALLAH TA’ALA ki Rehmat Tumhe Hasil hogi, ALLAH TA’ALA ki Rehmat Imaan walo ke Qareeb he,
Ambiya E Kiraam Alayhesalam ki Aadat Sareef ye thi ki Jab Nabuwwat ka Da’awa Farmate to Sabse Pehle Qoum ko Butt-Parasti ke Chhodne ke Muta’laq Irsaad Farmate Aur ALLAH TA’ALA ki Ibaadat karne ka Hukm deite ki Us ke Bageir Koi Ma’abud nahi fir Apni Risaalat ka Daawa karte Taaki Qoum Unse Moajizaat ka Mutaalba kare to unko Moajizaat dikhaye Jaaye Fir unke Inkaar Aur Baaz Na Aane par ALLAH TA’ALA ke Azaab se Unko Darate, Fir Jab wo Apne Kufr par Qaayam rehte to ALLAH TA’ALA ki Taraf se Unpar Azaab Aa Jata.
(Tafseere Kabeer, Jild-23, Safa-158)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-252, 253)
 

>> Duniya me Tumhe Hamiesha Nahi Rehna

Quraan Sareef me he ki
“Kya Tum Yahaa ki Ne’amato me Chense Chhor diye Jaaoge, Baago Aur Chasmo, Aur Kheito Aur Khajuro me Jinka Sagufa Narm wa Naazuk, Aur Pahaadome se Ghar Taraaste ho Ustaadise, to ALLAH se Daro Aur Meira Hukm Maano, Aur Hadse Badhnewalo ke Kehne par Na Chalo, woh jo Zaminme Fasaad Feilate he Aur Banaaw Nahi Karte”
(Surah As-shura, Aayat-146, 147, 148, 149, 150, 151, 152)
Hazrat saleh Alayhesalam ne Apni Qoum ko Kaha Tumhara Khyaal Baatil he ki Tum Yahaa Duniya me hi Aaaram se Ne’amato me Rahoge, Jis RABB ne Apni Qudrate Kamila se Tumhe Baagaat, Chasme, Khetiya Aur Narm wa Nazuk Sagufo wale Khajur ke Darkht de rakhe he Wo ye Le Bhi Sakta he, Tumhe Duniyawi Ne’amato Par Naaz nahi karna Chahiye, Aakhir Duniya ko Chhod kar bhi Jana he,
Tum Badi Mahaarat se Pahaado ko Taraas kar Ghar Banate ho, Is se bhi Saayad Yahi Samajte ho ki Tumhe Duniya me Hameisha Rehna he, Lekin Tumhari Shoch Saraasar Galat he, Hadd se Paar karne wale Fasaad Feilane wale Aur Koi Durust Acha Shida Bhalaai wala Kaam Na karne walo ki Tum Peirwi kar rahe ho, Tum Unki Ita’at Na karo to Kaamyaab hoge, Warna Tabaahi ka Shikaar ho jaoge, Kaamyabi Sirf ALLAH TA’ALA ki Taraf Rujua Karne Aur Meira Hukm Maanne me he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-253)
 
>> Hazrat saleh Alayhesalam ki Da’wat se 2 Giroh ban gaye :
Quraan Sareef me ALLAH AZZAWAZAL Irsaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Samood ki Taraf Unke Ham-Qoum Saalehko Bheja ke ALLAH ko Pujo, to Jabhi woh do(2) Giroh ho gaye Zhagda karte, Saaleh (Alayhesalam) ne Farmaya Ay Meri Qoum Kyo Buraai ki Jaldi Karte ho Bhalaai se Pehle, ALLAH se Bakshis kyo Nahi Maangte Saayad Tum par Raham ho”
(Surah Al Naml, Aayat-45, 46)
Hazrat Saaleh Alayhesalam ki Deen ki Da’awat par Kuch Loug Imaan le Aaye Aur Dusre Loug Apne Kufr par Qaayam rahe, Is Tarah 2 Giroh Ban gaye, Aapas me ek Dusre se Behaso me Ulajte rehte the, Lekin Imaan Walo ki Taraf se Jhagda Deen ke Haqq hone me hota,
Hazrat saleh Alayhesalam ne Farmaya Ay Meri Qoum Tum Achhai ke Badle Buraai me Jaldi kyu karte ho, Ye Duniyawi Ne’amate Aaram (se) Tumhe Haasil he, lekin Is ke Badle Tum Azaab Aur Apni Tabaahi wa Barbaadi Talab kar rahe ho, Tumhe ALLAH TA’ALA se Apne Gunaaho ki Maafi Talab karni Chaahiye, Taaki wo Tum par Raham kare.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-254)
HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 3

>> Deen ki Da’awat par Qoum ka Jawab :

Quraan e Majeed me he ki
“Aur Beshak Hijrwalo ne Rasooloko Zutlaya”
(Surah Al Hijr, Aayat-80)
Ek Aur Jagah he ki
“Ay Saaleh (Alayhesalam) Is se Pehle to Tum Hamme Honhaar Maalum hote the, kya Tum Hame Is se Mana karte ho ke Apne Baap-Dada ke Ma’abudo ko Punje Aur Beshak Jis Baat ki Taraf Hame Bulaate ho Ham Usse Ek Bade Dhoka Daalne wale Shakme hei”
(Surah Hood, Aayat-62)
‘Hijr’ ek Waadi he, Madeena e Munawwara Aur Shaam ke Darmiyaan Jisme Qoume Samood ke Lougo ne Apne Peigambar Hazrat Saaleh Alayhesalm ki Takzib ki,
Kabhi Qoum Kehti Hamne Tumhe Bada Aqalmand Bahot Bada Samjdaar Samja huwa tha, Hame to Tum Par Badi Ummid thi ki Tum Hamare Deen ki Madad karoge, Hamare Mazhab ki Taqwit(Taaqat) ka Sabab Banoge, Hamaare Tariqe ki Taaid karoge,
Hazrat saleh Alayhesalam Garibo Faqiro Par Bade Maherbaan the, Zaeef lougo ki Imdaad karte the, Marizo ki Eyaadat karte the to Qoum ne Kaha ki Hamne to Aapke In Awsaaf(Akhlaak) ko deikh kar ye Samja tha ki Tum Hamare Ahbaab me se hoge, Hamari Imdaad karoge, Tumne ye Adaawat Aur Bugz Hamare Saath keise Suru kar liya…?? Hame to Tum par Badaa Ta’ajub he ki tum Hame Apne Baap-Dada ke Ma’abudo ki Pujaa se Rouk rahe ho, Hame to Ab tum par Shak hone laga ki Tum Hame kishi Bahot Bade Dhoke me Mubtila karna Chahte ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-254, 255)
hazrat isa alaihis salam in hindi urdu 2 aap ki paidaish

>> Untani(Cemal) ki Kunche kaat diye :-

Quraan Sareef me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmata he
“To Unhone Ushe Zhutlaya Fir Naaka(Untani) ki Kunche Kaat di”
(Surah Ash-Shams, Aayat-14)
ek Aur Jagah Irsaad he ki
“To Unhone Uski Kunche Kaati to Saaleh(Alayhesalam) ne Kaha Apne Gharo me Tin(3) Din Aur Barat lo ye Waada hei ke Zhutaa na hoga”
(Surah Hood, Aayat-65)Hazrat musa alaihissalam or Hazrat Khizar in hindi part 26
Hazrat saleh Alayhesalam ne Unhe Pehle hi Bataya tha ki Us Untani ko Buraai me Mubtila na karna Warna Tum Azaab me Mubtila ho jaoge lekin wo Baaz na Aaye Jab Untani ki Kunche Kaat di to Aapne Unhe kaha ki Ab Azaab Qarib Aa Chuka he,
>> Azaab se Pehle 3 Din :-
Jab Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Unhe Daraaya ki Ab Sirf 3 Din Tumhe Apne Gharo me Rehna Aur Nafaa Hasil karna he, Fir Tum Azaab me Mubtila ho jaoge to Qoum ne Kaha ki wo 3 Din Ham par Keishe Guzarenge…??
Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Kaha Pehle Din Tumhare Chehre Zard(Pile/Yellow) Rang ke ho jayenge, Dusre Din Unka Rang Surkh(Laal/Red) ho jayega Aur Tisre Din Siyaa(Kaale/Black) ho Jayenge, Chouthe Din Tum Par Azaab Aa jayega,
Agarche Chehre Siyaa(Black) ho jane par Unhe Azaab ka Yaqin Aa Chuka tha lekin Jab Tak Alaamat par Yaqeen nahi Aa raha tha Us Waqt tak Unhe Imaan Aur Touba ki Tofiq Nasib na ho saki Aur Jab Unhe Yaqin huwa, (to) Ab Touba karte bhi to Uska koi Nafaa na hota kyunki Na-Ummid ki Haalat me Touba Aur Imaan Qabul nahi hote.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-20)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-258, 259)
 
>> Hazrat Saleh Alayhesalam ko Saheed karne ka Mansuba :
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Saher me Nau(9) Shaksh the ke Jamin me Fasaad karte Aur Sanwaar(Islaah) na Chahte, Aapas me ALLAH ki Kasme Kha kar Bole Ham Zarur Raat ko Chhaapa Maarenge Saaleh(Alayhesalam) Aur Uske Gharwalo Par fir Uske Waaris se Kahenge Us Gharwalo ke Qatl ke Waqt Ham Haazir na the Aur Beshak Ham Sacche he, Aur Unhone Apna Saa Makr(Khufiya Saazis) Kiya Aur Hamne Apni Khufiya Tadbir Farmayi Aur woh Gaafil rahe”
(Surah Al Naml, Aayat- 48, 49, 50)
Unhone Ye Saazis Untani ki Kunche Kaatne ke Baad ki thi Jab Hazrat Saaleh Alayhesalam ne Unhe Bataya ki Tumhe 3 Din ki Mohallat he Us ke Baad Tum par Azaab Aayega jo Tumhe Barbaad karke Rakh deiga,
Us Qabile ke 9 Sardaar the, Unke Ladke Hazrat Saaleh Alayhesalam ki Mukhaalifat me Hameisha Sar-Garm Raha karte the, Unhone ek Jagah Beith kar Saazis ki ke Raat ko Be-Khabari me Saaleh Alayhesalam Aur Uske Saathiyo par Hamla karke Unhe Tahtig kardo, Agar Unke kishi Waris ne Hamse Daryaaft kiya to Ham Unhe Yaqin dila deinge ki Hamara Unke Qatl ke Saath Door ka bhi Waasta nahi, Aur Na hi Hame Uske Qatl ka koi Ilm he, to wo Khamosh ho jayenge,
Bajaaye Uske ki wo Us Aakhri Shaazis se Chokanne hote Aur Apne Gunaaho par Naadim ho kar Gir-Gira kar Maafi Mangte, Unhone Ulta Hazrat Saaleh Alayhesalam ko Qatl karne ki Saazis Suru kar di,
Unhone kaha Ham Par Azaab Aayega to Deikha jayega, Us ke Aane se Pehle Saaleh (Alayhesalam) Aur uske Murido ka Khaatma to Karo,
Jis Raat Unhone Hazrat Saaleh Alayhesalam ke Makaan par Sabkhun Maarne ka Program Banaya tha, Us Raat ALLAH TA’ALA ne Faristo ko Apne Rasool ki Hifazat ke liye Bhej diya, Jab ye (Qoum) Apni Be-Niyaam Talwaare Lehraate hue Aap par Hamla karne ke liye Lapke to Faristo ne Un par Patthraav Suru kar diya, Unhe Patther to Nazar Aate the Lekin Maarne wale Dikhai nahi deite the, Chunanche Unsab ko Is Tarah Halaak kar diya gaya Aur ye Mohallat ki Aakhri raat thi Chunanche Qoum ke Baaqi Afraad bhi Tabaah wa Barbaad kar diye gaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-260)
SubhanAllah…
(InshaAllah Qoum ki Halaak ka Zikr bhi Aage Aa raha he…)