Hazrat Nooh ki kashti ki kahani story Hindi Urdu part 2> Kasti keishi thi :-
Kasti ki Lambaai 300 Zarah (450 Fit),


Chodhai 50 Zarah(75 Fit), Aur Unchaai 30 Zarah(45 Fit) thi,
Saago ki Lakdi se Teiyaar ki gayi thi jis ke Teiyaar karne me Sirf 2 Saal hue,
Kasti 3 Manjila thi,
Pehli Manjil me Jangli Jaanwar, Darindey Aur Hasraatul Arz (Kide Makode) the, Aur Darmiyaan Hissa me Paltu Jaanwar Chopaaye Wageira the Aur Sabse Uparwali Manjil me Hazrat Nooh Alayhesalam Aur unke Sath Imaanlane wale Hazaat the, Aur Khane pine ke Isyaae(chize) rakhi gayi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-223)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-99)



>> Tufaan ka Aaagaz Tandur(Roti pakane ki Jagah) se Hua :-
ALLAH TA’ALA ne Quraane Paak me Farmaya
“Yaha tak ki jab Hamara Huqm Aaya Aur Tanoor(Tandur) (me Se Paani) Ubla to Hamne Farmaya ki (Ay Nooh Alayhesalam) Apni Kasti me Har Jins ke Jaanwaro me se ek ek Joda(Nar va Mada) Aur Un logo ke Siwa Jin par (Halak hone ka) Farman jaari ho chuka he Apne Gharwalo ko Aur Baaki Musalmano ko Sawar kar lijiye unke Saath Bahot hi thode loug Imaan laaye the”
(Surah Hood, Aayat – 40)
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Nooh Alayhesalam ko Bata diya tha ki jab Tandur se Paani Nikalna Suru ho jaye to Samjo ki Ab Tufaan Aa raha he Us Wakt Tum Kasti par Sawar ho jana, Tamam Jaanwaro ka Ek Ek Joda(Nar va Mada) Aur Imaan laanewalo ko bhi Saath kasti me Sawar kar lena, wo Tandur jisme Aap ki Zouja(Biwi) Rotiya pakati thi, ishi se Tufaan ki ibteda hui,
Jab Tandur me Paani ubalna Suru huwa to Hazrat Nooh Alayhesalam ko Maalum ho gaya ki Ab Tufaan Aane hi Wala he.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-225)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-100)
>> KASTI PAR SAWAR HONE AUR DUA PADHNE KA HUQM :-
Jab Tandur Se paani Nikalna Suru huwa to Hazrat Nooh Alayhesalam ne Tamam Imaanwalo ko Huqm de diya ki Ab Kasti par Sawar ho jawo Aur Sawar hote wakt ALLAH ke Naam se Ibteda karo.
Quraan Sareef me he ki
“Aur Nooh (Alayhesalam) ne (Sathiyo se) Farmaya ki Kasti me Sawar ho jawo ALLAH TA’ALA hi ke Naam se Uska Chalna Aur Theharna he Beshaq Mera PARWARDIGAAR Yakinan Bada Bakhshnewala Maherbaan he”
(Surah Hood, Aayat-41)
Hazrat Nooh Alayhesalam ne Apni Koum ko Kasti par Sawar ho kar ALLAH TA’ALA ka Naam Lene ka Huqm de kar ye Waaze kiya ki Kasti Haqiqat me itne bade Tufaan se Naza’at ka Jariya nahi, Balqi ALLAH TA’ALA ke Fazl se hi Ushe Chalna he,
Hazrat Nooh Alayhesalam ka Makshad ye tha ki Kasti par Eytemaad(Bhrosha) na karo Balqi Sirf ALLAH AZZAWAZAL ki Jaat par Eytemaad(Bhrosha) karo ye Kasti to Sirf ek Sabab he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-101)
Hamare Musalman Bhaiyo tak Ye Jaankari Jarur pahonchaye.
>> Kitna Azeem Tufaan tha :-
Jab Tufaan ki Ibteda Tandur se ho chuki to Aasmano ko Paani Barshane Aur Jamin ko Chasmo se Paani Nikaal ne ka Huqm de diya gaya,
Aasman Aur Jamin ke Paani ne mil kar Ek Azeem Holnaak Manzar Peish kiya,
ALLAH TA’ALA ne Quraan Sareef me Farmaya
“Hamne (Un par) Paani ke Behte hue Relo se Aasman ke Darwaje khol diye Aur Jamin Ke Chasme Kholkar Baha diye Fir Dono Mil kar Us Mikdaar par Chad gaye jo (Hamare Ilm me) Mukararr ho chuki thi”
(Surah Qamar, Aayat-11,12)
Jamin wa Aasman ke Pani ne Mil kar Itna Sadid Tufaan barpa kardi ke Mouze Jab Uthti to Bahot Badi Buland Pahado ki Tarah Nazar Aati,
RABB TA’ALA ne Quraan Sareef me Farmaya
“Aur wo (Kasti) unhe Pahad ki Tarah (Uthi hui) Mouzo me le ja Rahi thi”
(Surah Hood, Aayat-42)
is Aayat ki Tafseer me Allama Raazi Rahmatullah Alay Farmate he ki
Mouzo ki Bulandi us Wakt Hoti he Jab Hawa bhi Teiz Aur Sadid ho us se Pata chalta he ki Sadid Baarish Aur Jamin ke Paani Chod ne ke sath Sadid Aandhiya bhi Chal rahi thi Jin se Uthne wali Mouje Pahado ki Chotiya se Baate kar rahi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-230)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-101)
>> HAZRAT NOOH ALAYHESALAM KA 1 BEITA GARK HO GAYA
Hazrat Nooh Alayhesalam ke 4 Beite the un me se 3 Momin the jo Aap ke Sath Kasti me Sawar hue the jin ke Naam ‘Saam’, ‘Haam’, Aur Yaafus the Aur 1 Aapka Beita Munafik tha Jiska Naam ‘Kanaan’ tha, Wo Kasti me Sawar nahi huwa tha jo Gark ho gaya, kyunki ye Munafik tha, Yaani jahiri Tour par Momin Tha Aur Darhaqiqi kafir tha, Kafiro se mila Huwa tha us ke Gark hone ke Wakiya ko Quraan Sareef me ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Aur Nooh(Alayhesalam) ne Apne Beite ko pukara Aur wo Kinare par Khda tha ki Ay Mere Beite Hamare Sath Kasti me Sawar ho ja, Aur Kafiro ke Sath na rah (Aur Musalman ho ja) usne kaha ki Ab me kishi Pahaad par Panah le lunga jo Muze Paani se Bacha lega, Nooh (Alayhesalam) ne Farmaya ki Aaj (Kafiro ko) ALLAH TA’ALA ke Azaab se Bachanewala koi nahi Magar (wahi Bach Sakta he) jis par ALLAH TA’ALA hi Rahem Farmaaye Aur un Dono ke Darmiyaan Ek Badi Mouj Haamal ho gayi to wo Dubnewalo me rah gaya”
(Surah Hood, Aayat- 42, 43)
Hazrat Nooh Alayhesalam ka ye Beita Ghode par Sawar tha, itraa raha tha ki me Pahaad par chad kar Apne Aapko Bacha Lunga, Nooh Alayhesalam us se keh rahe the ki Aaj ALLAH ke Azaab se us ke Raham Karne ke Bageir koi Bach nahi Sakega, Yahi Baat un dono ke Darmiyaan chal raha thi ki Tufaan ke uthnewali Mouje un dono ke Dadmiyaan Haamal ho gayi Aur ‘Kanaan’ Gark ho gaya.
(Roohul Maani, Jild-7 Safa-61)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-103)
>> HAZRAT NOOH ALAYHESALAM KE BEITE KE HAQQ ME ILTEJA :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Nooh (Alayhesalam) ne Apne PARWARDIGAAR ko Pukara Arz ki ke Ay Mere PARWARDIGAAR Mera Beita bhi to mere ghar ke logo me se he Aur Yakinan Tera Wada Saccha he (ki Azaab Aakar Rahega) Aur Tu Sabse Badh kar Haaqim he,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya ki Ay Nooh (Alayhesalam) wo Aap ke Gharwalo me se nahi raha kyunki uske Kaam Bahot Bade he, Pas Aap us Baat ka Muj se Sawal na kare jo Aap ke Ilm me nahi me Aap ko Nasihat karta hu ki Aap Naadan na bane,
Nooh (Alayhesalam) ne Arz ki ke Ay Mere PARWARDIGAAR me Teri Panah Chahta hu Us Baat par ki Tuzse Wo Chiz Mangu jiska Muje Ilm nahi Aur Agar Tu Muje Maaf na karega Aur Muj par Rahem na Farmayega to me Nukshan Uthanewalo me se ho jaunga”
(Surah Hood, Aayat-45, 46, 47) AGAR AAP KO ARTICLE ACHCHA LAGA TO IS ADD PAR CLICK KARJE HAMARI IMDADKARE JAZAKALLAH



Shekh Abu Mansur Rahmatullah Alay ne Farmaya ki
Nooh Alayhesalam ka Beita Kanaan Munafik tha Aap ke Samne Apne Aap ko Momin Jahir karta tha, Agar wo Apna Kufr Jaher kar deita to Aap ALLAH TA’ALA se Uski Najaat ki Ilteja na Karte
(Madarikul Tanjil, Safa-254)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-103)
>> HAZRAT NOOH ALAYHESALAM KI EK ZOUJA BHI GARK HO GAYI :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ki Ek Jouza Jiska Naam ‘Valeha’ tha ye Kafir thi Aur Logo ko kaha karti thi Nooh Alayhesalam ki Baat na mana karo, (MaazAllah) wo bhi Gark ho gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-104)
>> KASTI KA CHALNA AUR MANZIL PAR PAHONCHNA :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ki kasti 10 Rajjab ko chali Aur 10 Moharram ko ‘Judi’ Pahad par Pahonch gayi, Kasti 6 Maah tak Musalsal Tufaan me rahi,
10 Moharram ko Tufaan se Najaat Milne par Hazrat Nooh Alayhesalam Aur Aap ki Koum ne Roza rakha,
“Nooh Alayhesalam ne Khud bhi Roza rakha Aur Apne Sath Tamam logo Aur Wahsi Janwaro Aur Dusre Janwaro ko bhi Huqm diya, Sabne ALLAH TA’ALA ka Sukr Ada karte hue Roza Rakha”
SubhanAllah,
ALLAH TA’ALA ke NABI Aalayhesalam ki Azmat ko Jaanwar jante he.
>> Faida :-
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ek Martaba Yahudi logo se Gujar huwa, jinhone Aashura(10 Moharram) ke Din Roza rakha huwa tha,
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Ye Roza Kyu Rakha huwa he..?
To Yahudiyo ne Arz kiya ki Is Din ALLAH TA’ALA ne Musa Alayhesalam Aur Bani Israail ko Najaat di Aur Firoon ko Gark Kiya Aur Ushi Din Nooh Alayhesalam ki kasti Judi Pahad par Pahonchi, Hazrat Nooh Alayhesalam Aur Hazrat Musa Alayhesalam ne ALLAH TA’ALA ka Sukr Ada karne ke liye Roza rakha, to
NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki me Musa Alayhesalam se Zyada Haqq rakhta hu ki ishi Din Roza rakhu,
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Khud bhi Roza rakha Aur Sahabakiraam ko bhi Huqm diya,
Khyaal rahe ki Isha Alayhesalam ki Peidaish bhi Aashura(10 Moharram) ke Din hi hui.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-102)
>> Tufaan ki Inteha :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Jamin ko Huqm Diya gaya ki Ay Jamin tu Apna Paani pi le Aur Ay Aasman Tu Tham ja Aur Paani Khusk ho gaya Aur (Kafiro ka) kaam Tamam kar diya gaya Aur Kasti Judi Pahad par Thehri Aur Farmaya gaya ki Jaalimo ke liye (Na-Muraadi Aur ALLAH TA’ALA ki Rehmat se) Doori he”
(Surah Hood, Aayat-44)
Yaani Jab Kafiro ke Gark hone ka Kaam Mukammal ho gaya to Tufaan ko Khtm kar diya gaya, Baarish rok di, Jamin ko Huqm diya gaya ki Ab jo Paani Tere upar he ushe Apne Andar Jazb karle, Sirf wahi loug Ya Jaanwar bache jo Kasti me Sawar the, Baaki Tamam Inshan Chopaaye Parindey Aur Dusre Wahisi Jaanwar Gark ho gaye Aur Gark hona Aakil, Balig, Kafiro ke liye to Azaab tha Aur unke Alawa Dusre Gark hone walo ke liye Azaab nahi tha.
(Hasiya Sawi Alal Jalalein, Safa-183)
Hadees Sareef me he ki
Jab ALLAH TA’ALA kishi Koum par Azaab Nazil farmata he to Sab Ache Aur Bure us Azaab me Mubtila ho jate he fir Jab uthaaye Jayenge to Har ek ko Apne Apne Aamal ke Mutaabik uthaya jayega.
(Bukhari Sareef, Jild-2, Safa-1053)
Yaani Neik logo ko Duniya me Azaab Jillat ke liye Nahi hoga is liye wo Apne Ache Aamal ke Mutabik hi Qayamat ke Din uthae jayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-105)AGAR AAP KO ARTICLE ACHCHA LAGA TO IS ADD PAR CLICK KARJE HAMARI IMDADKARE JAZAKALLAH




>> Kasti Judi Pahad par kyu Ruki…?
Tamam Pahad Apni Apni Bulandiyo par Takabbur (Ghumand) kar rahe the Aur itraa rahe the, lekin Judi Pahad ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Apni Aajizi hi karta raha to ALLAH AZZAWAZAL ne Ushe ye Takrim Aata farmayi ki Nooh Alayhesalam ki Kasti Us par Aakar Thehri,
“Jisne Aajizi ki, ALLAH TA’ALA ne ushe Rafa’at Aata ki”
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-105)
Hazrat Nooh Alayhesalam ke Wakiyaat yaha par Khtm hote he,
InshaAllah Aagebani israel par allah ka azab in hindi 14
ALLAH RABBUL IJJAT ke Pyare NABI Alayhesalam ke Wakiyaat Jaari he…
Ho Sake to is Nachis ke Haqq me Dua jarur kare..
share kare part one bhi parhle agar nahi parha