Hazrat Nooh ki kashti ki kahani story Hindi Urdu part 1
Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Nooh Alayhesalam Ke Darmiyaan 10 Aaaba(Baap) he Aur Nooh Alayhesalam Aur Ibhraahim Alayhesalam ke Darmiyaan Bhi 10 Aaaba(Baap) he,
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Nooh Alayhesalam ke Darmiyaan 10 Karun he Yani 10 Aaaba(Baap) he Sab hi Deene Haqq par Kayam the.
(Durre Mansur, Jild-3, Safa-435)
> Hazrat Nooh Alayhesalam ki Umar :-
Hazrat Nooh Alayhesalam Ko 40 Saal ke Baad Eylaane Nabuwat ka Huqm diya gaya Aur Saare Nawso(950) Saal Aap Apni Koum me Thehre Aur Apni Koum ko Tablig Farmaayi,
Tufaan ke baad Aap 250 Saal Zinda rahe, Aap ki Qul Umar 1240 Saal he, Agarche usme Aur Koul bhi he Leqin Jyada Tour par ishi Koul ko Sahi kaha gaya he.
(Tafseere Saawi, Jild-1, Safa-682)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-89)
>> Hazrat Nooh Alayhesalam ki Tablig ka Koum par kya Asar hua
Hazrat Nooh Alayhesalam ne 950 Saal Din Raat Tablig ki Leqin Koum Karib Aane ke Bajaye Door hoti gayi, Aap ki Takrir ko na Sunne ke Garz se Apne Kaano me Ungliya Thonshte (MaazAllah), Aap se Nafrat Karte hue Apne Chehro ko Dhanp leite,
Quraane Paak me he ki
“Aapne (Apne RABB se) Arz ki Ay Mere RABB Mene Apni Koum ko Raat Din (Tere Din ki Taraf) Bulaya to wo Mere Bulane se Aur Jyada Door bhage Aur Beshaq Mene Unko Jitni Baar is liye Bulaya ki tu Unhe Baksh de, To wo Apne Kaano me Apni Ungaliya Thunshne lage Aur Apne Kapde Oudh(kar Mooh Chupa) liye Aur (Kufr Par) Ade rahe Aur Bada Guroor kiya”
(Surah Nooh, Aayat – 5, 6, 7)
Yaani Hazrat Nooh Alayhesalam neae Arz kiya Ay ALLAH Mene Tere Ahkaam Pahonchane me koi kutaai nahi ki lekin Meri Koum Maanne Aur Karib Aane ke Bajay Door hoti chali gayi,
Jeishe Jeishe Aap Tablig Farmate rahe Koum ki Door hone me kami Aane ke bajay Jyadati hoti rahi, ALLAH TA’ALA ke NABI Koum par Sifkat ka ye Aalam he ki Aap un ko us Raah par Chalana Chahte Jis par Chalne se unko Najat Hasil ho ALLAH TA’ALA unki Magfirat kare Aur ALLAH TA’ALA unse Raazi ho jaye Aur Wo ALLAH ke Karib ho jaye Lekin Koum ku Badbakhti ka ye Aalam he ki wo Aap se itne Jyada Nafrat karte he ki Aap ki baat Sunne ke liye Teiyaar nahi, Aur Aap ko Deikhna unhe Gawara nahi, Wo Kaano me Is liye Ungaliya thonste rehte ki Aap ka Kalam ko na Soon sake, Aur Apne Chehro ko is liye Dhaanp kar Rakhte ki Hazrat Nooh Alayhesalam ki Shakl bhi Nazar na Aaye(MaazAllah).
(Tafseere Kabeer, Jild-30, Safa-135, 136)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-91)
Hazrat Nooh Alayhesalam ki Tablig :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ne 950 Saal Apni Koum ko ALLAH TA’ALA ki Wahedaniyat Gunaho se Baaz rehne ki Tablig Farmaayi Aur Sath Sath ALLAH TA’ALA ke Azaab se Darate rahe.
Quraan Sareef me he ki
“Ay Meri Koum Beshaq me Tum ko Jahiri tour par Dar Sunane Wala hu ye ki Tum ALLAH TA’ALA hi ki Ibadat karo Aur ushi se Daro Aur Mera Huqm maano (Agar Tum Mere kehne par chloge to) ALLAH TA’ALA Tumhare Kuch Gunaah Maaf Farma Dega Aur ek Mukararr Mi’aad tak Tumhe Mohallat dega Beshaq Jab ALLAH TA’ALA ka Wada Aa jata he to wo Tala nahi jata he Kaash ki tum Jante”
(Surah Nooh, Aayat – 2,3,4)
Yaani jo Tumhe ALLAH TA’ALA ki Wahdaniyat Aur Sirf Uski Ibaadat Karne Aur Sirf ushi se Darne Aur Uske Bageir Aur kishi ibaadat karne par dini Duniya ki Tabahi se Darane par koi Ijrat Maal wa Doulat Mutalba to nahi kar raha, Agar Tumne Us Raah ka Tain kar liya jo me Bata Raha hu to Tumhari Kamyabi he Warna Tum Jalil ho jaoge, Tabah wa Barbaad ho jaoge, Din Duniya me khsaari me padh jaoge, ALLAH TA’ALA ke Ahkaam Tum tak Pahonchane me Muze Tum se koi Garz nahi, Kishi Mansub Maal Doulat ke Husul ka Koi Lalach nahi, Sirf ALLAH ke Huqm se ALLAH ki Razamandi ke liye Tumhe Tablig kar raha hu, Mere ALLAH TA’ALA ne hi Muze Azr va Sawab aata karna he, Uski Be-Hisaab Rahmat ke hote hue Muze Tum se Kuch Garz nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-90)
>> Hazrat Nooh Alayhesalam ne Tablig ka Har Tarika Aazmaya :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ne Har Wakt Tablig ki, Yaani Din Raat Tablig ki Fir Aapne Har Shaksh ko Aaishta Aaishta Naram lehje me Samjaya ki ALLAH TA’ALA ki Ibadat karo, RABB se Daro lekin Koum ne Kaano me Ungaliya Thoonsh kar Sunne se inkaar kiya, Apne Chehro par Kapde Daal kar Aapko Deikhne se Bejaari jaher ki, Apne Kufr par Kaayam rahe, Takabbur ki wajah se Ahkaame Baari Ta’ala se inkaar kiya fir Aap ne Jaher Aam Majlish me unko Khutbaat kiye Aur Raahe Haqq ka Sabak diya lekin Un par kuch Asar hue, fir Aapne eylaaniya Tour par Aaishta Aaishta dono tarah se Tablig ki lekin ye Tarika bhi Koum ko Raahe Risalat par Na la saka.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-92)
>> Koum ke kitne log imaamlaaye :-
Itna Arsha Gujarne ke Ba-wajood Imaan lane walo ka Mukhtasar Giroh nazar aata he, 3 Aap ke Beite Aur 3 Unki Biwiya Aur 1 Nooh Alayhesalam ki Jawja Aur 70 Mard Aurate Imaan laaye,
Yahi imaandar log kasti par bhi Sawar the Yaani Nooh Alayhesalam ki Qul 78 Aadmi Kasti me Sawar the, jinme Mard Aur Aurate Barabar Barabar Taadad me the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-92)
>> Hazrat Nooh Alayhesalam ki Dua :-
Quraane Kareem :-
“Aur Nooh (Alayhesalam) ne Baddua ki ke Ay Mere RABB tu Roohe Jamin par Kafiro me se Koi Basne wala na Choud(Yaani Sabko Halak karde), Beshaq Agar tu Unko Choud dega to wo Tere Bando ko Gumraah karenge Aur unki Owlaad bhi Badkaar Aur Badi Nasukri hi hogi”
(Surah Nooh, Aayat-26,27)
>> Koum ki Halaakat ki Dua Hazrat Nooh Alayhesalam ne kyu ki :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ne Koum ko Barbaad karne ke liye Dua is liye Nahi ki, ki Aapko Gaaliya dene ki Dhamkiya di gayi thi Ya Aapko Sangsaar(Pathraav) karne ke liye unhone kaha tha, Nahi, Balki Sirf wajah ye thi ki Ay ALLAH jeishe Tune khud bata diya he ki jo Imaan la chuke he unke Bageir Aur koi imaan lane wala nahi to unshe Imaan ki Taw ki jab nahi Aur unki Owlaad se bhi Siwaye Badkaari Aur Na-sukri ki Ummid nahi to unko Zinda rakhne ka kya Fayda..?
Unko Tabah wa Barbaad karde.
“Ay ALLAH Me to Aajiz wa Maglub ho chuka hu tu Apne Deen Aur Imaanlane wale Bando ki khatir Meri Imdaad farma”
(Tafseere Kabeer, Jild-29, Safa-36)
>> Hazrat Nooh Alayhesalam ko koum ki Dhamkiya Aur Shakhtiya :-
“Bole Ay Nooh Agar Tum Baaz naa Aaye to Jarur Sangsaar(Gaali Ya Pathraav karna) Jawoge”
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwayat he ki Hazrat Nooh Alayhesalam ki Koum ne Aap ko Maar Maar ka Sadid Jakhmi kar diya, Aap ko Uuni Kapde me Lapet kar Aapke Ghar Feink diya Aur ye khyaal kiya ki Aap Alayhesalam Fout ho chuke he lekin Aap ushi Halat me Nikal kar Fir Unhe Dawate Haqq dene lage,
Ek Martaba Ek Budha Shaksh jo Lathi ke Sahare chal raha tha, usne Apne Bacche ko Uthaya hua tha, Hazrat Nooh Alayhesalam ko deikh kar Apne Bete ko kehne laga ki Ay mere Bete deikhna us Bure Shaksh ke Jaal me Na Fashna ye Tumhe kahi Dhoke me na Dale, Baap ki Baat Soon kar Bete ne kaha, Ay mere Abba Muze utaar do Aur Apna Danda(Lathi) muje de do, Baapne Bete ko utaar kar Danda(Lathi) uske Haath me thma diya, us Chote Ladke ne Nooh Alayhesalam ke karib aakar Aapko Danda(Lathi) de mara, jo Aapke Sar par laga, Aap jakhmi ho gaye, Khoon jaari ho gaya, ye Maazra deikh kar Nooh Alayhesalam ne RABB ke Hujre me Ilteja ki
“Ay ALLAH Tere Bandey jo Mere Saath Suluk kar rahe he ushe Tu Deikh raha he, Ay ALLAH Agar tu Bando ko Zinda rakhna chahta he to unhe Hidayat de Ya Apna Koi Feishla karne tak Muze Sabr de, tu Behtar Feishla Farmane wala he”
RABB TA’ALA ne Farmaya
“Aur Nooh (Alayhesalam) ki Taraf wahi ki gayi ki Ab Aap ki Koum me koi Imaan na layega, jo Imaan laane wala tha la chuka, Fir Aap un baato par jo wo kar rahe he Gam Na Khaaye”
(Surah Hood, Aayat-36)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalm, Safa-97)
>> RABB TA’ALA ne Kasti Banane ka Huqm diya :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ki Dua ke Baad RABB TA’ALA ne Farma diya ki Tumhari Koum ko Gark kar diya jayega Tum Apne Aur Imaan Wale logo ke Bachaav ke liye Kasti Teiyaar kar lo,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Aur Aap Hamare Saamne Aur Hamari Wahi se Kasti banaye Aur Zaalimo ke baare me Ham se kuch Arz na karna kyuki wo Gark kiye jayenge”
(Surah Hood, Aayat-37)
Yaani Kafiro ke Azaab ki Taakhir ki kahi Dua na Karna kyunki unke Gark hone ka yakini Feishla ho chuka he unke Gark hone ka wakt bhi Mueeen ho chuka he is liye Jaldi ka Mutalba bhi na karna kyunki Wakt Mukarrar se pehle un par Azaab nahi aayega,
Aap ki Ek Bibi Aur ek Beita bhi Kafir he wo bhi Gark ho jayenge, unko bachane ki dua bhi na karna kyuki Tamam Kafiro ke Doob ne ka Feishla me koi tarmim nahi hogi.
(Tafseere Kabeer Jild-17, Safa-227)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-98)
>> Kasti me Sawar hone walo ki Taadad :-
Kasti me Wahi Loug Sawar the jo Aap ke Sath imaan laye the jin ka Zikr Pehle kiya ja Chuka he,
Aap ke 3 Beite Aur Har ek ki Zouja(Biwi) Aur Nooh Alayhesalam khud Aur Aapki Ek Zouja(Biwi) Ghar ke ye 8 Afraad the Aur 70 Afraad Aur the Jinho ne Imaan Qabool kiya tha, Is Tarah Kasti me Sawar hone walo ki Qul Taadaad 78 thi,
Ek Qoul ke Mutabik 80 Afraad Us Kasti me Sawar the.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-55)
Khyaal Rahe ki Hazrat Nooh Alayhesalam ki Ek Zouja Aur ek Beita Kanaan Kafir the jo Gark ho gaye the unka Zikr InshaAllah Aage Aayega..
>> Kasti ko Deikh kar Koum ka Mazak karna :-
Hazrat Nooh Alayhesalam ALLAH TA’ALA ke Huqm se kasti Bana rahe the to koum Aap se Puchti thi is se kya karoge..?
To Aap Farmaate Ye Seilaab me kaam Aayegi,
ye Soon kar Koum Mazak udati ki is ilaake me Paani ka Koi Dariya nahi to itni Badi Kasti Banana, ki ye Paani me Kaam aayegi..??
(MaazAllah)
ALLAH TA’ALA Quraan Sareef me Farmata he
“Jab Nooh (Alayhesalam) kasti Banate the Aur unki Koum ke Sardaar unke Paas se ho kar Gujarte the to un par Haste the(Aap ka Mazak Udate the) Aap Farmate the Agar Tum Ham par Haste ho to Ham bhi Ek Din Is tarah Tum par Hasenge Jis tarah Tum (Ham par) Haste ho”
(Surah Hood, Aayat – 38)
Yaani Aaj Agar Tum Hamare Kasti Banane par Eyteraaj karte ho Mazak karte ho to Tum Jab Halaak ho jaoge to Ham bhi ALLAH ke Dusman ke Halak hone par Khus honge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-100)
> Kasti Banane ka Tarika Wahi Aur Jibrail Alayhesalam ki Madad se hua :-
Hazat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwayat he ki Hazrat Nooh Alayhesalam ko Malum nahi tha ki keishe Kasti banaye, to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi ki,
Kasti ka Agla Hissa Murghe(Roosters) ke Sar ki Tarah Banana Aur uske Darmiyaan ka Hissa Parindo ke Pule(Maale) ki Tarah Banaye Aur Pichla Hissa Murge ki Dum ki Tarah Banaye Aur Uske itraaf(Side) me Darwaje banaye, Meykho se Majbut kare Aur Siwaye Nichewale ki Har Taraf me Taarkul ki Chpaai kardo, Kasti Banane me Jibrail Alayhesalam Aur kuch Dusre Faristo ne bhi Madad ki.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-49)
how do we know the period of hazrat noah, with authentic proof or evidence ??
bahut khub subhanallah