Hazrat Musa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Waaqiya 
Ek Martaba Bani Israaeel ko Khutba deine ke liye Hazrat Musa Alayhis Salaam Khade hue, Aap Alayhis Salaam se Puchha gaya Lougo me se Zyada Aalim Kon he..??
musa Alayhis Salaam ne Farmaya Mei Zyada Aalim hu, To RABB TA’ALA ne Aap par Etaab Farmaya Kyunki Aap Alayhis Salaam ne Sawaal ke Jawaab ko RABB TA’ALA ki Taraf Mansub nahi kiya, Haalaanki ye kehna Chaahiye ki ALLAH TA’ALA Behtar he,
ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam par Wahi ki ke Meire Bando me se Ek Banda Majma ul Bahrein(Daryaao ke Milne ki Jagah) me Rehta he wo Tum se Zyada Ilm Rakhta he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Arz ki Ay Meire RABB Mei Unhe Keise Paaunga To Aapko Bataya gaya ki Tum Apne Theile me Ek Machhali Band karke Apne Saath le lo Jaha Tumhaari Machhali Gum ho jaaye wahi Unka Maqaam hoga.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-269)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-456)
>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Safar Shuru karna :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Yaad karo Jab Musaa (Alayhis Salaam) ne Apne Khaadim se kaha Mei Baaz Na Rahunga Jab tak Waha Na Pahunchu Jaha 2 Samandar Mile he Ya Qarno(Muddato Tak) Chala Jaau, Fir Jab Wo dono Un Dariyaao ke Milne ki Jagah Pahunche Apni Machhli Bhul gaye Aur Usne Samandar me Apni Raah li Surang Bana li, Fir Jab waha se Guzar gaye Musaa (Alayhis Salaam) ne Khaadim se kaha Hamara Subah ka Khana Laao Beshak Hame Apne Is Safar me Badi Mashaqqat ka Saamna Huwa, Bola Bhala deikhiye to Jab Hamne Is Chattan ke Paas Jagah li thi to Beshak Mei Machhli ko Bhul gaya Aur Mujhe Sheitaan hi ne Bhula Diya ki Mei Uska Zikr karu Aur Usne To Samandar me Apni Raah li Achambha(Ta’ajub) he”(Surah Al Kahaf, Aayay-60, 61, 62, 63)




Hazrat Musa Alayhis Salaam ne Jis Jawaan ko Apne Saath liya wo ‘Yush’a Bin Noon’ the Jo Aap ki Khidmat wa Sohbat me Rehte the Aur Aap se Ilm Haasil karte the Aur Aap ke WaliAhad he,
Majma ul Bahrein’ se Muraad 2 Daryaao ki Jagah Ya’ni Bahare(Samandar E) Faaras Aur Bahare(Samandar E) Rum Jaha Milenge Waha Tumhe Hazrat Khizr Alayhis Salaam Mil Jaayenge, Uski Nishaani ye Bataayi gayi he ki Jaha Tumhaari Machhali Gum Ho jaaye Usi Maqaam me Unko Talaash karna Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Waha Pahunchne ka Pakka Iraada kar liya Aur Farmaya ki Mei Apni Koshish Jaari Rakhunga Yaha Tak ki waha Pahunch Jaau, Beshak wo Jagah Kitni hi Door ho Meira Safar waha Pahunchne tak Jaari rahega, Fir In Hazraat ne Roti Aur Bhuni Hui Namkeen Machhali Apne Saath Ek Theile me li Taaki Raaste me Kaam Aaye, Fir ye Apni Manzil Maqshud ki Taraf Rawana ho gaye, Jaha Ek Patther ki Chattan thi waha In Hazraat ne Aaram kiya Aur So gaye, Bhuni Hui Machhali Theile me Zinda ho gayi, Tadap kar Darya me gir gayi, Us par se Paani ka Bahaaw Ruk gaya Aur Ek Mehraab si ban gayi, Hazrat Yush’a Bin Noon Beidaar ho Chuke the Machhali ke Zinda ho kar Darya me Girne ko Deikh rahe the Lekin ye Waaqiya Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Batana Bhul gaye the,
Dono Hazrat Waha se Chale Dusre Din Khane ke Waqt tak Apna Safar Jaari Rakha, Jab Dusre Din Khaane ka Waqt huwa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Safar ki Thakaan bhi he Aur Bhuk ki Shiddat bhi, Is liye Theile se Roti Aur Machhali Nikaalo Taaki Khana Khaa le, Us Waqt Yush’a Bin Noon ko Yaad Aaya Unhone Kaha Machhali to Zinda ho kar Darya me Chali gayi thi, Bhuni Hui Machhali ka Zinda ho kar Darya me Jana Heiraan Aur Ta’ajub Naak Ma’amla tha, Hazrat Yush’a ne Apne Bhulne ko Sheitaan ki Taraf Mansub kiya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-457)




> Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam ki Mulaaqaat 
Quraane Hakeem me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Musaa ne kaha yahi to Ham Chaahte the Tu Pichhe Palte Apne Qadmo ke Nishaan deikhte, To Hamaare Bando me se Ek Banda Paya Jise Hamne Apne Paas se Rahmat di Aur Use Apna Ilme Ladunni Ataa kiya, Usse Musaa ne Kaha kya Mei Tumhaare Saath Rahu Is Shart par ki Tum Mujhe Sikha doge Neik Baat Jo Tumhe Ta’alim Hui, Kaha Aap Meire Saath Hargiz Na Thahar Sakenge, Aur Us Baat par Kyukar Sabr Karenge Jise Aapka Ilm nahi Ghere he, Kaha Anqarib(Bahut Jald) ALLAH Chaahe to Tum Mujhe Saabir Paaoge Aur Mei Tumhaare Kisi Hukm ke Khilaaf Na Karunga, Kaha to Agar Aap Meire Saath Rehte he to Mujh se Kisi Baat ko Na Puchhna Jab tak Mei Khud Uska Zikr Na Karu”
(Surah Al Kahaf, Aayat-64, 65, 66, 67, 68, 69, 70)



Hazrat Musa Alayhis Salaam Aur Hazrat ‘Yush’a waha Lout kar Aaye Jaha Machhali Zinda ho kar Paani me Chali gayi thi, Paani ka Bahaaw Rukne ki Wajah se Mukhtalif Nishaanaat Moujud the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Yahi Maqaam Hamaara Maqshad he, Dono ne Talaash karna Shuru kiya, Yaha Tak ki wo Ek Chattan ke Paas Aaye to Deikha ki Ek Shaksh Chaadar Odhe Leit Raha tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Salaam kiya, Unhone Kaha Is Zamin me Salaam kaha se Aa gaya..?? (Yaha to Koi Salaam karne Wala Kabhi Nazar nahi Aaya), Aap Alayhis Salaam ne kaha Mei Musaa hu, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Bani Israaeel ke Musaa…? Aap ne kaha Ji Haa..
Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha ALLAH TA’ALA ne Jo Ilm Tumhe Ataa Farmaaya wo Mujhe Ataa Nahi Farmaya Aur Jo Ilm Mujhe Ataa Farmaaya Tumhe nahi Ataa Farmaaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Kaha ki Kya Mei Aapki Taabedaari kar Sakta hu ki Tum Mujhe wo Ilm Ataa kardo, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Ma’alum tha ki Inhe Zaahiri Shariyat ka Ilm Ataa Kiya gyaa he Ye Baatini Amur par Sabr Nahi Kar Sakenge, Is liye Unhone kaha Tum Keise Sabr kar Sakoge…??
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Mei In Sha Allah Sabr karunga.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-270)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Chunki Pehle hi Keh Chuke the ki Mei In Sha Allah Sabr Karunga Aur Aapke Hukm ki Na-farmaani nahi karunga, Is liye Aapko Khizr Alayhis Salaam ne Saath Rehne ki Ijaazat de di.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-458, 459)

>> Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Kashti Todna :-

Quraan Shareef me he ki
“Ab Dono Chale Yaha Tak ki Jab Kashti me Sawaar hue Us Bande ne Use Chir Dala Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Kya Tumne Ise Is liye Cheera ki Iske Sawaaro ko Dooba do Beshak Yah Tumne Buri Baat ki, Kaha Mei Na Kahta tha ki Aap Meire Saath Hargiz Na Thahar Sakenge, Kaha Mujh se Meiri Bhul par Giraft Na karo Aur Mujh par Meire Kaam me Mushkil Na Daalo”
(Surah Al Kahaf, Aayat-71, 72, 73)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam Darya ke Kinaare Chal rahe the, Unke Qarib se Ek Kashti Waale Lougo ne Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Pahchan liya tha, Is liye Unhone Aapas me Kalaam(Baat) kiya ki Inhe Kashti me Sawaar karna Chaahiye, Lihaza Unhone Bageir Ujrat(Majduri) Leine ke Un Hazraat ko Sawaar kar liya,
Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Kashti ka Ek Takhta Ukheid Diya tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Ta’ajub karte hue kaha Ki Is Qoum ne Hame Bageir Ujrat(Majduri) ke Kashti par Sawaar kiya Tumne Ise Tod Diya Tum Lougo ko Garq karna Chahte ho, Khyaal rahe ye Kashti ka Todna Kinaare ke Qarib Ja kar tha Aur Khizr Alayhis Salaam ne Waqt ke Tour par Usme Khil bhi laga Diya tha,
Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Meine Jo kaha tha ki Tum Zaahir Deikh kar Sabr Nahi kar Sakoge, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Mujhse Bhul Waaqe ho gayi he, is liye Isme Meiri Koi Giraft Na Kare.
(Roohul Ma’ani, Jild-8, Hissa-1, Safa-337)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-460)[/