Hazrat musa alaihissalam ka waqiya in hindi 5> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Khabar deina :-\

Quraane Paak me he ki
“Aur Shahar ke Parle Kinaare se Ek Shaksh Doudta huwa Aaya Kahaa Ay Musaa(Alayhis Salaam) Beshak Darbaar waale Aapke Qatl ka Mashwara kar rahe he To Nikal Jaaiye Mei Aapka Kheir-Khwaah(Bhalaa Chaahne Wala) hu”
(Surah Al Qasas, Aayat-20)
Hazrat musa alaihissalam ko Khabar deine Wala ki wo Darbaari loug (Firouni Darbaari) Aapke Qatl ka Mashwara kar rahe he Aur Firoun ne Tumhe Qatl karne ka Feishla bhi kar Diya he wo Shaksh Aaale Firoun se tha, Jo Momin tha Lekin Imaan ko Chipaata tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-381)
 
>> Hazrat musa alaihissalam Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Mulaaqaat :
Quraane Hakeem me he ki
“To Un Dono me se Ek Uske Paas Aayi Sharm se Chalti hui Boli Meira Baap Tumhe Bulata he ki Tumhe Ujrat de Uski Jo Tumne Hamaare Jaanwaro ko Paani Pilaya he Jab Uske Paas Aaya Aur Use Baate Kah Sunaai Usne Kahaa Dariye nahi Aap Bach gaye Zaalimo se”
(Surah Al Qasas, Aayat-25)
Wo Dono Ladkiya Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Beitiya thi, Jab wo Jaldi Apne Ghar Lout kar Aagayi to Unke Waalid ne Puchha ki Aaj Tum Itni Jaldi keise Aa gayi ho…?? To Unhone Bataya ki Aaj Kunwe par Ek Neik Aur Bahaadur Shaksh tha Jisne Hamaari Bakariyo ko Paani Pilaaya Is liye Ham Jaldi Waapish Aagaye he ki Hame Tamaam Lougo ke Faarig(Free) hone Aur Baaqi Bach Jaane Waale Paani ka Intezaar nahi karna Padha,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya ki Jaao Aur Us Shaksh ko Bulaa kar Laao…
Us Aurat ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Kahaa ki Aap ko Meire Waalid Bulaa rahe he Taaki Tumhe Ujrat(Mazduri) Ataa Kare Jo Tumne Hamaare Jaanwaro ko Paani Pilaya he, Aap Alayhis Salaam ne Is Baat ko Na-Pasand kiya ki Ujrat leine ke liye Mei Jaau,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ujrat leine par to Raazi Na hue Lekin Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Ziyaarat Aur Unki Mulaaqaat ke Iraade se Chale Aur Un Khaatun(Aurat) se Farmaya ki Aap Meire Pichhe rah kar Raasta Bataati Jaaiye, yah Aap Alayhis Salaam ne Parde ke Ehtemaam ke liye Farmaya Aur Is Tarah Tashreef Laaye, Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Paas Pahunche to Khaana Haazir tha, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya Bethiye Khana Khaaiye.. Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Manzur Na kiya Aur “Auzobillah(ALLAH ki Panaah) Farmaya…
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Puchha Tumne ye kyu kaha…??
Aap Alayhis Salaam ne Jawaab diya
Hamaare Gharaane ke Loug Apne Deen ko Duniya ke Badle nahi Beichte Aur Kisi Bhalaai ki Koi Qimat nahi liya karte,(Yaani Yah Khana Meire Us Kaam ka Badla Na ho Jo Meine Aapke Jaanwaro ko Paani Pilaa kar Anzaam Diya he, Kyunki Ham wo Loug he ki Achhe Kaam par Ujrat Qabul nahi karte)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya (Yah Khana Aapko Kaam ke Badle me Nahi Balki) Meri Aur Meire Aaaba wa Ajdaad(Baap-Daada) ki Aadat he ki Ham Mehmaano ko Khana khilaate he…
Is Farmaan par Hazrat Musaa Alayhis Salaam Beithe Aur Khaana khaya,
Khana Khaane ke Baad Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Puchha koun ho Aur Kahaa se Aaye ho…??
Aap Alayhis Salaam ne Bataya Mei Musaa Bin Imraan Bin Qaahas Bin Laawi Bin Yaaqub hu, Fir Aap Alayhis Salaam ne Apna Puraa Waaqiya Bayaan kiya, Baccho ka Qatl kiya Jana Aapko Darya me Daal deina Aur Daya ka Talab karna, Aapka Apni Waalida ke Paas Parwarish Pana, Qibti ka Qatl hona Aur Firouniyo ka Aap ko Talaash karna, Tamaam Waaqiya Sunne ke Baad Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya
khof Zaalimo se Tumhe Naja’at Mil Sakti he’..
Yaani Hamaare Ilaaqe par Firoun ki Hukumat nahi he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-383, 384, 385)
 
>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam Madyan ke Kunwe par
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab Madyan ke Paani par Aaye Wahaa Lougo ke Ek Giroh ko deikha ke Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa rahe he Aur Unse Us Taraf Do(2) Aurate deikhi ki Apne Jaanwaro ko Rok rahi he Musaa (Alayhis Salaam) ne Farmaya Tum Dono ka Kya Haal he wo Boli Ham Paani Nahi Pilaate Jab tak Sab Charwaahe Pilaa kar Feir Na le Jaaye Aur Hamaare Baap Bahut Budhe he, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Un Dono ke Jaanwaro ko Paani Pilaya Fir Saaye ki Taraf fira Arz ki Ay Meire RABB Me Us Khaane ka Jo Tu Meire liye Utaare Mohtaaz hu”
(Surah Al Qasas, Aayat-23, 24)
Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Madyan ke Ek Kunwe par Pahonche to Deikha ki Loug Kaseer(Zyada) Miqdaar me Kunwe par Jamaa he Jo Apne Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa rahe he, Koi Unto ko Paani Pilaa Raha he, Koi Gaay-Bhens ko Aur Koi Bheid-Bakariyo ko Lekin Deikha ki 2 Aurate Ek Taraf Apne Jaanwaro ko Rouk kar khadi he, wo ye Nahi Chaahti ki Taklif karke Aage Badhe(Unke Nazdik Lougo se Paani Haasil Karne me Taklif karna Jahaa Buri Baat thi Wahaa Aurato ka Mardo se Aaazadana Meil-Joul Aur Dhakka-Baazi Haraam thi), wo Apni Kamzori ki Wajah se Door khadi thi ki Kunwe se Paani Nikaalna Zouraawar (Taaqatwar) Mardo ka Kaam tha, Is Par Istemaal hone waale Doul(Bucket) ko 10 Aaadmi Mil kar Nikaalte the Aur Kunwe ke Moonh par Ek Patther Rakh Diya jata tha Use Dhaankne ke liye Aur Hataane ke liye 10 Aaadmi Mil kar Hataate, Niz wo(Aurate) ye bhi Na Chaahti thi ki Unke Jaanwar Dusre Lougo ke Jaanwaro se Mil jaaye ki Unhe Alag Alag karne me Dushwaari (Mushkeli) ho, In Wajah ke Peishe Nazar wo Apne Jaanwaro ko Alag Ek Taraf Rouk kar khadi thi, Lougo ke Faarig(Free) ho kar Chale Jaane ka Intezaar kar rahi thi,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Un Dono Aurato se Puchha ki Tum Ek Taraf Apne Jaanwaro ko Rouk kar kyu khadi ho…??
To Unhone Bataya ki Hamaare Baap Bahot Budhe he Ham Khud Paani Nikaal nahi Sakte Is liye Ek Taraf Khade rehte he ki Loug Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa kar Chale jaaye to Jo Paani Houz me Bach Jaaye wo Ham Apne Jaanwaro ko Pilaa le, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Lougo ko Un par Rahem karne ke liye Kahaa Lekin Unhone ne kaha ki Agar Tum Itne Ham-Dard ho to Khud hi Pilaado ye Kehte hue Unhone Mil kar Bhaari Patther Kunwe ke Moonh par Rakh diya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Akele hi Us Patther ko Hataa Diya Aur 10 Aaadmiyo ke Nikaalne waale Doul(Bucket) ko Akele hi Nikaal liya Aur Barkat ki Duaa ki Aur Unki Bakariyo ko Paani ke Qarib kiya, wo Ek hi Doul(Bucket) se Paani Pi kar Seiraab ho gayi,
Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Taraf Saaye me Beith gaye Aur ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz ki Ay ALLAH Mujhe Khana Ataa Farmaa de Kyunki Aap Alayhis Salaam 7 Dino se Sirf Darakhto ke Patte hi khaa rahe the.
(Tafseere Kabeer, Jild-24, Safa-202)
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Hissa-1, Safa-64)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-383)
SubhanAllah…
NABI ki Shaano Azmat ka Anzdaza kijiye ki 7 Dino se Bhuke Lekin 10 Aaadmiyo se Badh kar Zour bhi Moujud he, Safar ki Thakaan bhi Aur Shakht Tapti Dhup me, Lekin Koi Chiz bhi Rukaawat Na ban Saki, Ham-Dardi ki Ek Azeem Misaal Qaayam kardi…
 

>> Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Musaa Alayhis Salaam ko Shaadi ki Peishkash :

Quraane Kareem me he ki
“Kahaa Mei Chaahta hu ki Apni Dono Beitiyo me se Ek Tumhe Biyaah du Is Mehar par ki Tum 8 Baras Meiri Chaakri karo Fir Agar Pure 10 Baras karlo to Tumhaari Taraf se he Aur Mei Tumhe Mashakkat me Daalta Nahi Chaahta Qarib he InshaAllah Tum Mujhe Neiko me Paaoge, Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Yah Meire Aur Aapke Bich Iqraar ho Chuka Mei In Dono me Jo Miaad Puri kardu to Mujh par Koi Mutaalba(Maang) nahi Aur Hamaare Is Kahe par ALLAH ka Zimma he”
(Surah Al Qasas, Aayat-27, 28)