Hazrat musa alaihissalam or Hazrat Khizar ka ye waqiya aage parhe Quraane Azeem me Aage he ki “Rahi Wah Diwaar Wah Shahar ke do Yatim Ladko ki thi Aur Uske Niche Unka Khazana tha Aur Unka Baap Neik Aadmi tha To Aapke RABB ne Chaha ki wo Dono Apni Jawaani ko Pahunche Aur Apna Khazana Nikaale Aapke RABB ki Rahmat se Aur Yah Kuchh Meine Apne Hukm se Na kiya Yah Feir hei Un Baato ka Jispar Aapse Sabr Na ho Saka”
(Surah Al Kahaf, Aayat-82)
Is Aayate Kareema me Jo Zikr kiya gaya he ki Unka Baap Neik Aadmi tha Is se Pata Chala ki Aaabaa(Baap) ki Neiki se Unki Aulaad par ALLAH TA’ALA ki Maherbaani hoti he,
Mohammad Bin Mukandar Farmate he Beshak ALLAH TA’ALA Apne Neik Bande ki Neikiyo ki Wajah se Uski Aulaad Aur Uski Aulaad ki Aulaad Aur Uske Qabile Aur Uske Ird-Gird(Aas-paas) rahne waale Padosiyo ki Hifaazat karta he wo Loug Jab tak Us Neik Bande ke Pados me rahenge Us Waqt Tak ALLAH TA’ALA ki Hifaazat me honge.
(Tafseere Mazhari, Jild-3, Safa-45)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-463, 464)
>> Note :
Kuchh Loug Wali ko NABI se Bada Deikh kar Gumraah ho gaye Aur Unhone Yah Khyaal kiya ki Hazrat Musa Alayhis Salaam ko Hazrat Khizar Alayhis Salaam se Ilm Haasil Karne ka Hukm Diya gaya Jab ki Hazrat Khizar Alayhis Salaam Wali he Aur Haqiqat me Wali ko NABI se Bada Maanna Khula Kufr he Aur Hazrat Khizar Alayhis Salaam NABI he Aur Agar Aysa Na ho Jeisa ki Kuchh ka Gumaan he to Yah ALLAH TA’ALA ki Taraf se Hazrat Musa Alayhis Salaam ke Haqq me Aazmaaish he



>> Hazrat Khizar Aalaihissalam NABI the ya Wali :
Is Masle me Ahle Ilm ke Har Taraf se Dalaail Moujud he, Kuchh Hazraat ne Wali kaha Aur Kuchh ne NABI kaha, Mohaqqieen Hazraat Is Taraf he ki Khizar Aalaihissalam NABI the,
Is Masle ko Bayaan karte hue Mufakkir E Islaam, Mufassire Quraan Hazrat Pir Karam Shah Saahab Farmaate he
Jamhur(Aksar) Ulma ka Mazhab he ki ye Banda Hazrat Khizr Alayhis Salaam he, Inka Naam “Baliya Bin Malkaan” he kyuki Jaha ye Tashreef Farma hote wo Jagah Sar-Sabz(Green) ho Jaati thi Is liye Khizr Aapka Laqab tha Aur Isi Laqab se Mashoor ho gaye, Baaz Ulma ki ye Raay he ki wo Wali the Lekin Allama Pani Pati Aur Digar Ulma E Mohaqqieen ki ye Raay he ki wo NABI the Kyuki Wali ke Ilhaam se Ilm E Zanni Haasil hota he Aur Usme khata’a ka Ahtemaal hota he, Ilhaam ki Wajah se Qatl jeise Sangin Feil ka Irtekaab Jaiz nahi ho Sakta, Is liye Aap Alayhis Salaam ko NABI Manna Padega Aur NABI ka Ilm Yaqini hota he.
(Ziyaaul Quraan, Jild-3, Safa-46)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-465)
 *>> Kya Hazrat Khizr Alayhis Salaam Zinda he…??*


Is Masle ko Bayaan karte hue Mufakkir E Islaam, Mufassire Quraan Hazrat Pir Karam Shah Saahab Tehreer Farmaate he
Rahi ye Baat ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam Ab Zinda he ya Wafa’at Pa Chuke he Isme Ulma ke 2 Giroh he Aur Un Dono Giroho ne Apne Apne Mouqif ko Saccha Saabit karne ke liye Dala
ail ke Anbaar laga Diya he,




(Jis se Kisi Ayse Natija par Nahi Pahoncha Ja Sakta ki Ek Baat par Mutmaeen ho Paaye)
Is liye Hazrat Qaazi Shana’aullah Pani Pati Rahmatullah Alay ki Is Tehreer se Mutmaeen ho Sakte he…
Likhte he ki Hazrat Mujaddid Alf Saani Rahmatullah Alay se Hazrat Khizr Alayhis Salaam ke Muta’aliq Puchha gaya ki wo Zinda he ya Wafa’at Pa gaye he to Wo Baargaahe ILAAHI me Haqiqate Haal ke Inkeshaaf(Numaaish) ke liye Mutawajjeh hue
To Hazrat Mujaddid Alf Saani Rahmatullah Alay ne Deikha ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam Unke Paas Khade he, Aapne Unse Unki Haqiqat E Haal Daryaaft ki to Unhone Farmaya ki Mei Aur Ilyaas Alayhis Salaam Zindo me se Nahi Lekin ALLAH TA’ALA ne Hamaari Rooho ko Aysi Quwwat Bakhshi he Jisse Ham Mujassam hote he Aur Zindo ke Kaam karte he Masalan Jab ALLAH TA’ALA Chaahe to Ham Gumraah ki Rehnumuaai karte he Aur Musibat-zada ki Madad karte he, Ilme Ladunni ki Ta’alim deite he Aur Jiske Muta’alaq ALLAH TA’ALA Ka Irada ho Use Roohani Nisbat Marhamat karte he, Hame Auliya-ALLAH me se Jo Qutube Madaar hota he Uska Ma’awan wa Madadgaar Banaya gaya he, ALLAH TA’ALA ne Use Madaare Aalam Banaya he Aur Uski Barkat wa Feiz se Duniya ki Baqa’a he Aaj kal Yaman ke Ek Buzurg Qutube Madaar he Jo Shaafai ul Mazhab he Ham Unke Saath Shaafai Mazhab ke Mutaabiq Namaaz Adaa karte he.
(Tafseere Mazhari, Jild-6, Safa-62)
(Tafseere Ziyaaul Quraan, Jild-3, Safa-38)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-467, 468)