Hazrat musa alaihissalam or firon jadugar k iman ka waqiya hindi 11>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Mo’ajiza Aur Jaadugaro ka Imaan Lana
Quraane Azeem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Hamne Musaa ko Wahi Farmaayi ki Apna Asaa Daal to Naagaah (Achaanak) Unki Banaawato ko Nigalne laga, To Haqq Saabit huwa Aur Unka Kaam Baatil huwa, to Yahaa wo Maglub Pade Aur Zaleel ho kar Palte, Aur Jaadugar Sajde me gira diye gaye, Bole Ham Imaan Laaye Jahaa ke RABB par, Jo RABB he Musaa Aur Haarun ka”
(Surah A’raaf, Aayat-117, 118, 119, 120, 121, 122)
Wahi karne se Muraad Haqiqi Wahi bhi Ho Sakti he Aur Ilhaam bhi Ho Sakta he ki Us Waqt Aap Alayhis Salaam ke Dil me Ulqaa’a kar Diya gaya ho ki Aap Apna Asaa(Laathi) Daal de, wo Unke Jaadu se Banaaye hue Saanpo ko Nigal Jaayega Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apna Asaa Daala to wo Bahot Badaa Azgar Ban gaya, Usne Apna Moonh Khoula to Uske Moonh ke Darmiyaan 80 Zarra’a(120 Fit) Ka Faasla tha Aur Usne Unki Tamaam Rassiyo Aur Laathiyo ko Nigal liya, Haalaanki wo 300 Unto par Laad kar Laaye the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Use Pakda to wo Pahle ki Tarah Asaa ho gaya, Jaadugaro ki Rassiya Aur Laathiya Ma’doom(Naabud) ho gayi Yaani Aysi Baaqi Na rahi jeishe Unka koi Wajud nahi tha,
Baaz Jaadugaro ne Dusre Jaadugaro ko Kahaa ki ye Jaadu nahi ho Sakta Kyunki Jaadu me Ek Chiz ki Haqiqat nahi badalti Sirf Dusre Lougo ki Aankho par Asar hota he, Agar ye Jaadu hota to Hamaari Rassiyo Aur Laathiyo ko Na Nigal leita,
Is se Unhone Daleel Pakdi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Sacche NABI he,
Unhe Ma’alum ho gaya ki Hazrat Musaa Alayhis ka Mo’ajiza Jaadu nahi he, Unhe Yaqeen ho gaya ki ye ALLAH TA’ALA ki Taraf se Ataa Karda Mo’ajizaat se he, Insaani Banaawat se Iska Koi Ta’aluq nahi,
Agar wo Apne Jaadu ke Ilm me Kaamil Darja Na Rakhte hote to Mo’ajiza Aur Jaadu me Farq Na kar Paate, Balki Kehte ki wo Shaksh Jaadu ke Ilm me Hamse Zyada he, Is liye Ham Usse Aajiz Aagaye he, Pataa Chalaa ki wo Jaadu ke Ilm me Aala Darja Rakhte the Isi Kaamil Ilm ki Wajah se wo Kufr se Imaan ki Taraf Muntaqil hue,
Jab Jaadugaro par Hazrat musa alaihissalam ke Mo’ajizaat ki Haqiqat Khul gayi to wo ALLAH TA’ALA Ka Shukr Adaa karne ke liye Be-Ikhteyaar Sajde me gir gaye ki ALLAH TA’ALA ne Hame Toufiq Ataa ki ke Hame Pataa Chal gaya ye Mo’ajiza he Jaadu nahi, Fir Unhone kaha RABBUL AALAMIN Par Hamaara Imaan he..
Khyaal rahe ki Sirf ALLAH TA’ALA par Imaan Laane se Imaan ki Takmil nahi hoti Balki Imaan Mukammal Usi Waqt hota he Jab NABI par Imaan Laaye Kyunki NABI par Imaan Laane se Tamaam Imaaniyaat par Imaan Lana Laazim ho jata he Isi Liye Unhone Fir Kahaa ki Hamaara Imaan Musaa Alayhis Salaam Aur Haarun Alayhis Salaam ke RABB TA’ALA Par he Yaani Inhe RABB TA’ALA ne NABI Banaa kar Bheija he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-405, 406)
 

 Faayda E Jaleela

Jaadugaro ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Saath Muqaabla Shuru karne se Pehle kaha
“Ay Musaa ya to Aap Daale ya Ham Daalne waale ho”
(Surah A’raaf, Aayat-115)
Unhone Pehle Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Zikr kiya Aur Apna Zikr Baad me kiya,
Beshak Jaadugar Qoum ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Zikr Pehle karke Aap Alayhis Salaam ke Adab wa Ahetaraam ki Acche Tariqe se Paasdaari ki, Sufiya E Kiraam ne Farmaya he ki Isi Adab wa Ahetaraam ki Barkat ki Wajah se ALLAH TA’ALA ne Unhe Imaan ki Ne’amat se Sarfaraaz kiya.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-202)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-407)
SubhanAllah..
Kya Shaan he Ambiya E Kiraam ki..
Unke Adab wa Ahetaraam se Kaafiro ko Imaan Nasib hota he..
*>> Firoun ke Da’we ki Haqiqat :-*
Firoun jo Khudaai ka Da’wedaar tha Kehta tha Mei Tumhaara Sabse Uncha Rabb hu..
Uske Muta’alaq Tamaam Lougo ko Pataa Chal gaya ki wo Zaleel, Aajiz, Ghatiya Insaan he..
Warna Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Muqaable ke liye Jaadugaro ki Madad Talab na karta…
Agar Khuda hota to Khud hi Sirf “Kun” se Kaam Tamaam kar deita Aur ye Bhi Waazeh ho gaya ki Jaadugar Kisi Chiz ki Haqiqat ko nahi Badal Sakte, Agar Kisi Chiz ki Haqiqat ko Badal Sakte to Firoun ko ye Na Kehte ki
“Agar Ham Gaalib(Winner) Aagaye to Kya Tu Hame Ujrat(Mazduri) deiga..”
Balki Wo Jaadugar Khud hi Mitti se Sona Bana leite Aur wo Apne Jaadu ke Zariye Firoun ki Baadshahi par Qabza kar leite ya Kisi Aur Mulk ki Baadshahi Haasil kar ke Bahot Bade Rais ban Jaate, Insaano ko In Aayat me Nasihat ki gayi ki Tum Baatil Aur Jhuthe Aqwaal Aur Jaadu se Fareib Na kha Jana, Balki Apne Imaan par Qaayam rehna.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-407)

Firoun ki Nav-Muslimo (Jo Pehle Jaadugaro the) ko Dhamki

Quraane Majeed me he ki
“Firoun Bola Tum Us Par Imaan Laaye Pehle Iske ki Mei Tumhe Ijaazat du Yah to Bada Makr(Dhokha) hei Jo Tum Sabne Shahar me Feilaya hei ki Shahar Waalo ko Isse Nikaal do To Ab Jaan Jaaoge, Qasam hei ki Mei Tumhaare Ek Taraf ke Haath Aur Dusri Taraf ke Paanv Kaatunga Fir Tum Sabko Suli Dunga”
(Surah A’raaf, Aayat-123, 124)
Jab Firoun ne Deikha ki Jaadugaro ne Tamaam Makhluq ke Saamne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Nabuwwat ko Tasleem kar liya he Use Khouf huwa ki Tamaam Loug Aap par Imaan Na le Aaye, Usne Do Qism ke Shabhaat(Doubts) Daal kar Qoum ko Imaan Laane se Mana karne ki Koshis ki,
Ek To Usne ye kaha ki In Lougo ka Imaan Lana Is Wajah se nahi ki Inhone Musaa (Alayhis Salaam) ki Haqqaaniyat ko Deikha he Balki Inhone Pehle se Musaa (Alayhis Salaam) se Saazbaaz kar rakhi thi ki Ham Tumhaari Nabuwwat ka Iqrar kar leinge Aur Tum par Imaan le Aayenge, Loug Hame Deikh kar Tum par Imaan Laayenge,
Dusri Baat Usne ye Kahi ki Musaa (Alayhis Salaam) Aur Jaadugaro ka Ittefaaqi Mashwara ye he ki Tumhe Tumhaare Shaharo se Baahar Nikaal de Aur Khud Is Mulk par Qaabiz ho jaaye, Watan se Lougo ko Bahot Zyada Mohabbat hoti he Is liye wo Un Lougo ko Imaan se Door Rakhne me Kaamyaab ho gaya, Agarche Uske Dono Shabhaat ki Koi Heishiyat nahi thi Lekin Qoum bhi to Be-Samajh hi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-208)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-408)
 

*>> Nav-Muslimo ka Firoun ko Jawaab

Quraane Paak me he ki
“Bole Ham Hargiz Tujhe Tarjih Na deinge Un Roushan Daleelo par Jo Hamaare Paas Aayi Hame Apne Peida karne waale ki Qasam To Tu Kar Chuka Jo Tujhe Karna hei Tu Is Duniya hi ki Zindagi me to Karega, Beshak Ham Apne RABB Par Imaan Laaye ki Wah Hamaari Khataaye Bakhsh de Aur Wah Jo Tune Hame Majbur kiya Jaadu par Aur ALLAH Behtar hei Aur Sabse Zyada Baaqi rahne Wala, Beshak Jo Apne RABB ke Huzur Mujrim ho kar Aaye to Zarur Uske Liye Jahannam he Jisme Na Mare Na Jiye, Aur Jo Uske Huzur Imaan ke Saath Aaye ki Acche Kaam kiye ho to Unhi ke Darje Unche, Basne ke Baag Jinke Niche Nehre Bahe Hameisha Unme rahe Aur Yah Silaa he Uska Jo Paak huwa”
(Surah Taahaa, Aayat-72, 73, 74, 75, 76)
Quraane Paak me Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“Bole Ham Apne RABB ki Taraf Firne waale he, Aur Tujhe Hamaara Kya Buraa Lagaa yahi Na ki Ham Apne RABB ki Nishaaniyo par Imaan Laaye Jab wo Hamaare Paas Aayi Ay Hamaare RABB Hampar Sabr Undel de(Sabr Ataa kar) Aur Hame Musalmaan Utha”
(Surah A’raaf, Aayat-125, 126)
Firoun ki Dhamki ko Unhone Do-tok Alfaaz me Radd kar Diya Uska Unpar Koi Asar Na huwa Kyunki Unhe Kaamil Yaqin Aur Mukammal Basirat Haasil ho chuki thi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Sacche NABI he,
Unhone Firoun ki Dhamkiyo ka Jawaab Deite hue kaha ki Ham Mar’ub(Khouf) hone waale, Darr ne Waale nahi Kyunki Hamto Apne RABB TA’ALA ki Taraf Firne waale Yaani Us Par Imaan Laane waale he, Ay Be-Aqal Khudaai ke Da’wedaar Tu Kis Chiz ko Bada Samajh Raha he..?? Hamaare Paas ALLAH TA’ALA ki Nishaaniya Aagayi Ham Unko Deikh kar Imaan Laaye, Pas Yahi Chiz Tujhe Na-Pasand Aayi, Fir Unhone RABB TA’ALA Se Duaa ki
“Ay ALLAH TA’ALA Agarche Tune Hame Sidhi Raah par Qaayam kar Diya Aur Firoun ki Dhamkiyo ke Muqaabil Sabr Ataa kar Diya he Lekin ye Ne’amat Hamaare Paas Qaayam Usi Waqt Reh Sakti he Jab Teira Fazl Hame Shaamile Haal rahe,
Unhone Arz kiya Ay Hamaare RABB Hame Kaamil Sabr Ataa kar…”
Unki Duaa ko RABB TA’ALA ne Qabul Farma liya Aur Unhe wo Azeem Sabr Ataa Farmaya Jiski Badolat Unhe Shahaadat jeisha Azeem Martaba Nasib huwa, Firoun ne Jaadugar(Jinhone Imaan Qabul kar liya tha) Unke Haath-Paau katwa diye Aur Unhe Shaheed karwa Diya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-408, 409)
 

*>> Qoum ke Sardaaro ka Firoun ko Daraana

Quraane Majeed me he ki
“Aur Firoun ki Qoum ke Sardaar Bole Kya Tu Musaa Aur Uski Qoum ko Is liye Chhodta hei ki wo Zameen me Fasaad Feilaaye Aur Musaa Tujhe Aur Teire Thehraaye hue Ma’abudo ko Chhod de Bola Ab Ham Unke Beito ko Qatl Karenge Aur Unki Beitiyo ko Zinda rakhenge Aur Ham Beshak Unpar Gaalib(Winner) hei”
(Surah A’raaf, Aayat-127)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Jaadugaro se Muqaabla karaane ke Baad Firoun ne Aap Alayhis Salaam ko Kuchh Na Kaha Na Giraftaar kiya Aur Na hi Aur Kisi Qism ki Sazaa di Balki Aap Alayhis Salaam ko Aaazad Chhod Diya,
Firoun ne Jab Musaa Alayhis Salaam ko Deikha Us Par Aap Alayhis Salaam ka Shadeed Ro’ab Taari huwa wo Aap Alayhis Salaam se Bahot Zyada Darta tha, Yahi Wajah thi ki Usne Aap Alayhis Salaam ka Raasta Khula Chhod Diya tha,
Firoun ki Qoum ke Sardaaro ko ye Ma’alum nahi tha ki Firoun Musaa Alayhis Salaam se Darte hue Aap Alayhis Salaam ko Aaazad rakhe hue he, Unhone kaha Agar Tumne Musaa (Alayhis Salaam) Aur Uski Qoum ko Isi Tarah Aaazadi de rakhi ki wo Apni Tablig karte rahe to Tumhe Aur Tumhaare Khudaao ko Loug Chhod deinge,
Ek Qoul ye Bhi he ki Tumne Agar Musaa (Alayhis Salaam) ko Is Tarah Aaazadi de rakhi, Uska Raasta Khula Chhod Rakha to Musaa(Alayhis Salaam) Tumse Aur Tumhaare Ma’abudo se Door rahega,
Firoun ne Apni Qoum ke liye Chote Chote But Bana rakhe the wo Unhe Buto ki Ibaadat ka Hukm deita tha Aur kehta tha Mei Tumhaara Sabse Badaa Khuda hu Aur In Buto ka bhi Mei Rabb hu,
Ek Qoul me he ki Firoun Khud bhi Buto ki Ibaadat karta tha, Qoum ka Maqshad ye tha ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qeid kara liya jaaye Aur Sakht Tareen Sazaa di jaaye,
Qoum ke Is Mutaalba par Firoun ne Haqiqate Haal ko Un par Waazeh Na kiya ki Mujhe Musaa Alayhis Salaam se Sadeed Khouf ho Chuka he,
Albatta ye kehne laga ki Ham Bani Israaeel ke Beito ko Zabah karaa deinge Aur Unki Ladkiyo ko Zinda Chhod deinge, Is Tarah Musaa Alayhis Salaam ke Ma’awan(Helper) Mard nahi rahenge Aur Unki Qoum ki Nasl Khatm ho Jaayegi, ye Kaam karna Ham par Koi Mushkil nahi kyuki Un par Hame Galba(Winner) Haasil he,
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-210, 211)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-410, 411)