>Hazrat Musa Alaihis Salaam ka Inteqaal :
Ek Riwaayat me he ki Malekul Mout(Hazrat Izraail Alayhis Salaam) ko Hazrat Musa Alayhis Salaam ki Taraf Bheija gaya Jab wo Aapke Paas Aaye to Aap Alayhis Salaam ne Thappad Maar kar Uski Aankh Nikaal di,
Dusri Riwaayat me Is Tarah he ki Malekul Mout Hazrat Musa Alaihis Salaam ke Paas Aaye Aur Kaha ki Apne RABB TA’ALA Ka Hukm Qabul karo to Aap Alayhis Salaam ne Use Thappad Maar Diya, Jis se Unki Aankh Zaya ho gayi, Hazrat Izraail Alayhis Salaam Waapas ALLAH TA’ALA ke Paas Haazir Huwe, Arz ki Mujhe Tumne Ayse Bande ki Taraf Bheija he Jo Marna hi nahi Chaahta,
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Izraail Alayhis ko Aankh Fir Ataa kardi Ya’ni Nazar Fir Louta di Aur Farmaya Jaao Meire Bande ke Paas Use Kaho ki Apna Haath Beil ki Pith par rakhe, Haath ke Niche Jitne Baal Aayenge Umr Utne Saal Badha Dunga,
Aap Alayhis Salaam ne Arz ki Ay Meire RABB, Fir Kya Hoga..??
ALLAH TA’ALA ne Farmaya Fir Mout Aajayegi,
Aap Alayhis Salaam ne Arz ki Mout Abhi Aajaye Aur Sath ye Sawaal kiya ki Ay Meire RABB Mujhe Beitul Muqaddas ki Sar-Zamin par Pahuncha deina.
ALLAHU AKBER…
> Faida :
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Beitul Muqaddas me Dafan hone ki Khwaaish Is liye ki ke wo Maqaam Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ke Dafan hone ki Wajah se Musharraf tha, Aap Alayhis Salaam ki Duaa se Waazeh huwa ki Fazilat waale Maqaam me Saaleheen ke Qurb me Dafan hona Mustahab he.
(Novi Bar Sahi Muslim, Jild-2, Safa-267)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-472)
>> Hazrat Musa Alayhis Salaam ka Qabr me Namaaz Adaa karna
Hazrat Sulemaan Tamimi RadiAllaho Ta’ala Anho Riwaayat karte he ki Meine Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho ko Kehte hue Soona ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Meira Guzar Musa Alaihis Salaam se huwa to Apni Qabr me Namaaz Adaa kar rahe the,
Ek Riwaayat me he ki
Me’araaj ki Raat Meira Guzar Musaa Alayhis Salaam se huwa,
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-267)
Aur Ek Riwaayat me he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Meine Musaa Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue Deikha, Isaa Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue deikha, Ibhraahim Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue Deikha.
(Muslim Shareef, Jild-1, Safa-116)
Khyaal rahe ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qabr me Namaaz Padhte hue Deikha, Fir Beitul Muqaddas me Apne Saath Namaaz Padhte hue bhi Deikha, Fir Aasmaano par Aap ko Marhaba Kehte hue bhi Deikha, Is ki 2 Wajah ho Sakti he
Ek ye ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Buraaq par Sawaar the Aur Buraaq ki Raftaar se Safar kar rahe the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Bageir Kisi Sawaar ke Apni Shaan E Nabuwwat se Chal rahe the, Is liye Aap HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam se Pehle Beitul Muqaddas Aur Aasmaano par Pahunch gaye Ya’ni Raftaar E Nabuwwat Buraaq ki Raftaar se Badh kar he,
Dusri Wajah ye ho Sakti he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Waqt me Qabr me bhi Tashreef Farma ho Aur Beitul Muqaddas me bhi Aur Aasmaano me bhi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-474)
>> Yaha par Hazrat Musa Alaihis Salaam ke Waaqiyaat Khatm hote he,
In Sha Allah Aage Aur Ambiya Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Jaari he..
Leave A Comment