Hazrat musa alaihissalam ka mojiza in hindi >> RABB TA’ALA ki Wahdaaniyat Aur Rabubiyat ka Saboot Peish karna
Quraane Kareem me he ki
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Aasmaano Aur Zamin ka Aur Jo Kuchh Unke Bich me he Agar Tumhe Yaqin ho, Apne Aas-paas Waalo se Bola Kya Tum Gour se Sunte nahi, Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Tumhaara Aur Tumhaare Agle Baap-Daadao ka, Bola Tumhaare ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye he Zarur Aql nahi Rakhte, Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Mashriq(Purab) Aur Magrib(Paschim) ka Aur Jo Kuchh Unke Bich he Agar Tumhe Aql ho”
(Surah Ash-Shu’araa, Aayat-24, 25, 26, 27, 28)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aysa Hikmat Bharaa Jawaab Diya Jise wo Samajhne ki Koshis karta to Samajh jata,
Us Waqt Uski Qoum ke Bade Bade Sardaar jo 500 ki Taadaad me Zarq-Barq Libaas se Aaarasta ho kar Beithe hue the, Unse Firoun ne kahaa Kya Tum Gour se Musaa (Alayhis Salaam) ki Baat nahi Sunte ho..? ye kehta he Zameen wa Aaasmaan ko Bhi Peida karne Wala he Haalaanki Zameen wa Aaasmaan Qadeem he, Unhe to Kisi ne Nahi Peida kiya, Unke liye RABB ki Kya Haajat he.??
(MaazAllah..)
Hazrat musa alaihissalam ne Unki Baate Soon kar Aysi Chize Zikr Farmaayi Jinka Haadis hone(Yaani Pehle Na hone Fir Fanaa ho Jaane waali Chize) ka wo bhi Inkaar Nahi kar sakte the,
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Tumhaara Aur Tumhaare Agle Baap-Daadao ka, (Firoun) Bola Tumhaare ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye he Zarur Aql nahi Rakhte”
Firon Apne Siwaa Kisi ko Ma’abud Na Samajhta tha, Taz ke Tour par kaha Ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye Ye Khud Jo RASOOL hone ka Daa’wa Kar rahe he ye Aql se Door he..(MaazAllah..)
Firoun Us Shaksh ko Aql se Door Samajhta tha Jo Use Ma’abud nahi Maanta tha, Haqiqat ye he ki Aysi Guftagu Insaan Us Waqt karta he Jab Dalaail se Aajiz Aaa jaaye Lekin Nabi ki Azmat ko deikhiye Aap Alayhis Salaam Apne Dalaail Fir bhi Jaari rakhe hue he, wo Aap ko Majnun, Diwana Keh Raha he Lekin Aap Alayhis Salaam RABB TA’ALA ki Rabubiyat ko Apne Dalaail se Bayaan Farma rahe he
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Mashriq(Purab) Aur Magrib (Paschim) ka Aur Jo Kuchh Unke Bich he Agar Tumhe Aql ho”
Mashriq se Suraj ko Har Rouz Tulu’a karna, Magrib me Gurub karna Aur Saal me Har Mousam Har Bahaar ka Apne Waqt par Aaana, Baarishe Barsana, Hawaao ka Chalaana, ye Sab Kuchh Uske Nizaame Qudrat me he, Kaash ki Tumhe bhi Kuchh Samajh Aaa Jaaye, Firoun ne Aap Alayhis Salaam ko (MaazAllah) Majnun Keh kar Apni Himaaqat ka Shabut Diya Lekin Aap Alayhis Salaam ne Hikmat Aaamiz Jumla Zikr Farmaya ki Agar Tumhe Aql ho Yaani ALLAH TA’ALA ki Qudrat Uski Rabubiyat Aur Uski Wahdaaniyat ko Tasleem Na karna Tumhaari Himaaqat par Dalaalat kar rahaa he.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-399, 400)
*>> Hazrat musa alaihissalam ne Hukm E ILAAHI ko Farmaya
Quraane Paak me he ki
“To Uske Paas Jaao Aur Usse Kaho ki Ham Teire RAB ke Bheije hue he to Yaaqub ki Aulaad ko Hamaare Saath Chhod de Aur Unhe Taklif Na de Beshak Ham Teire Paas Teire RABB ki Taraf se Nishaani Laaye he Aur Salaamati Use Jo Hidaayat ki Peirvi Kare, Beshak Hamaari Taraf wahi Hui he ki Azaab Us Par he Jo Jhutlaaye Aur Moonh feire, Bola to Tum Dono ka KHUDA Kon he Ay Musaa, Kahaa Hamaara RABB Wah he Jisne Har Chiz ko Uske Laayaq Surat di Fir Raah dikhaai”
(Surah Taahaa, Aayat-47, 48, 49, 50)
Bani Israaeel par Misr me Bade Bade Zulm ho rahe the, Be-Zabaan Choupaayo ki Tarah Unse Din bhar Mashakkat ke Kaam liye Jaate Aur Unse Har Tarah ka Zillat Wala Suluk kiya jata, ALLAH TA’ALA ne Unki Fariyaad Suni Aur Unko Gulaami ki Zanjiro se Aaazad karaane ke liye Apne Do Bando ko Rawana Farmaya,
Misri Loug Suraj ko Badaa Khuda Yaqeen karte the Aur Misr ke Tamaam Firoun Apne Aapko Us Suraj ka Awtaar Kehte the, Isi Tarah Misriyo ke Mazhabi Aqeede ka Sahaara Lekar Unhone Apni Hukumat ki Buniyaade Mustahkam kar rakhi thi, Firoun bhi Apne Aapko RABB(Suraj) ka Mazhar Samajhta,
Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ne Farmaya Ay Firoun Ham Dono Teire RABB ki Taraf se RASOOL ban kar Aaye he..
To wo Chounka Aur Bad-Badaaya,
Hei…!! Meira bhi Koi RABB he..?? Sab Misriyo ka Mei Rabb hu, Meira Koi RABB nahi ho Sakta Musaa Galat Keh Rahaa he..
Usne Puchha Zara Us RABB ki Haqiqat Bataao Jisne Tumhe RASOOL Banaa kar Bheija he, Aap Alayhis Salaam ne Jawaab Farmaya Meira PARWARDIGAAR wo he Jisne Qaayenaat ki Har Chiz ko Is Tarah Peida kiya ki wo Apna Wazifa Hayaat Aur Maqsade Takhleeq Ba-Hasan wa Khubi Adaa kar Sake, Fir Use Itni Sujh-Bujh bhi Ataa kardi ki wo Sahi Tour par Un Quwwato se Kaam le Sake, Parindo ko Par Bakhshe Aur Fir Unhe Udaane ka Saliqa bhi Khud hi Sikhaa Diya, Machhali ko Aysaa Jism Diya ki wo Gehre Daryaao Aur Toofaani Samandaro me Teir Sake Aur Saath Usne Teirne ka Dhang bhi Bataya, Gosht-Khour Darindo ke Niche Aur Daant Banaaye ki wo Apna Shikaar Pakad Sake, Unt ki Qaamat ko Buland kiya Aur Uski Gardan bhi Lambi banaadi Taaki Unche Darakhto ke Patte bhi Khaa Sake Aur Nichhe Zameen se Gardan Jhuka kar Paani pi Sake, Sahraav me Jahaa Paani ki Satah Bahot Niche hoti he Wahaa Jo Darakht Ugaaye Unki Jade Itni Lambi Banaadi ki Wah Zameen ki Teh se Utni Khouraak Haasil kar sake, Har Khitta Zameen me Peida hone waale Heiywaanaat ko Wahaa ke Makhsus Mousam Taqaazo ke Muta’abiq Libaas bhi Diya Aur Rizq bhi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-397, 398)
*>> Hazrat musa alaihissalam ka mojiza
Quraane Azeem me he ki
“Bola Agar Tumne Meire Siwaa Kisi Aur ko Khuda Thehraya to Mei Zarur Tumhe Qeid kar Dunga, Farmaya Kya Agarche Mei Teire Paas Roushan Chiz Laau, Kahaa to Laao Agar Sacche ho, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Apna Asaa Daal Diya Jabhi Wah Saaf Khula Azgar ho gaya, Aur Apna Haath Nikala to Jabhi Wah Deikhne Waalo ki Nigaah Me Jagmagaane Lagaa”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-29, 30, 31, 32, 33)
Firoun ki Qeid Qatl se bhi Badtar thi Uska Jeil-khana Tang, Andhera, Gehra Gaddha tha, Usme Akela Daal deita tha Na waha Koi Aaawaz Sunaai deiti thi Na Kuchh Nazar Aata tha,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ne Mujhe Mo’ajizaat Ataa Farmaaye hei Jo Meiri Nabuwwat par Dalaalat kar rahe hei,
Firon ne kaha to Laao Agar Sacche ho..
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Asaa Zameen par Dala to wo Bahot Badaa Azgar ban gaya, Rang Uska Zard(Yellow) tha Uske Jism par Baal the, Moonh Khoula huwa tha, Uske Dono Jabdo ke Darmiyaan 80 Zarra’a(120 Fit) ka Faasla tha, Wo Apni Dum par Khadaa ho gaya Aur 1 Meel tak Buland ho gaya, Usne Apna Nichhe Wala Jabdaa Zameen par Rakha Aur Upar Wala Firoun ke Mahal ki Diwaaro par, Firoun ki Taraf Mutawajjeh huwa Taaki Use Pakde, Firoun ne Takht se Nichhe Chhalaang Lagaayi Aur Uski hawaa Khaarij hone lagi,
Baaz Riwaayat me he ki Uski 400 Martaba Us Din hawaa Nikali Aur Marte Dam tak Isi Wajah se Peit ki Bimaari me Mubtila Raha, Isi Haal me Garq ho gaya,
Jab Azgarne Lougo ki Taraf Rukh kiya to Lougo ne Darke Maare Idhar-Udhar Bhaagna Shuru kiya, Is Bhagdoud ki Wajah se 25,000 Aadmi Ek Dusre par Gir kar Mar gaye, Firoun ne Chillaana Shuru kiya Aur kehne Lagaa Ay Musaa Alayhis Salaam Isko Pakdo Mei Tum par Imaan le Aaunga Aur Bani Israaeel ko Tumhaare Saath Bheij Dunga, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Pakda to wo Fir Apne Haal par Lout Aaya Yaani Asaa ban gaya.
(Roohul Ma’ani, Jild-5, Safa-20)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-400, 401)
Leave A Comment