Hazrat Musa alaihissalam k mojizat in hindi Hazrat Musa alaihissalam  ka M isr ke Liye Tashreef le Jana
Quraane Paak me he ki
“Fir Jab Musaa(Alayhis Salaam) ne Apni Miaad Puri kar di Aur Apni Bibi ko Lekar Chalaa Toor ki Taraf se Ek Aaag deikhi Apni Ghar Waali Se Kahaa Tum Thehro Mujhe Toor ki Taraf se Ek Aaag Nazar Padi he Shaayad Me Wahaa se Kuchh Khabar Laau ya Tumhaare Liye Koi Aaag ki Chingaari Laau ki Tum Taapo”.
(Surah Al Qasas, Aayat-29)
10 Saal Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Khidmat ke Mukammal kar liye to Aap Alayhis Salaam ne Hazrat Shoaib Alayhis Salaam se Misr Jaane ki Ijaajat Talab ki Taaki Apni Waalida Aur Apne Bhai se Mulaaqaat Kare Aur ye Khayaal kiya ki Qibti ke Qatl ko bhi Kaafi Arsaa Guzar Chuka he Ab Ma’amla Kuchh Thanda ho Chuka hoga, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Aapko Ijaajat de di,
Hazrat Musa alaihissalam ne Apni Aheliya(Zouja/Biwi) ko Saath liya Ek Sawaari Aur Kuchh Bakariya bhi Saath thi, Mukhtasar Saaman-E-Safar Zaruriyaat ke liye Saath liya Aur Shaam ke Baadshaho ke Khatre ke Peishe-Nazar Aap Alayhis Salaam ne Aam Raaste ko Chhod kar Ek Aur Sharaai Raasta Ikhtayaar kiya,
Aap Alayhis Salaam Raasta Bhul gaye Aur Bakariya Wageira bhi Alag Alag ho gayi Aur Paani Wageira bhi Paas nahi tha, Toor ki Garbi Jaanib (West side) me Jab Aap Alayhis Salaam Pahonche to Jumma ki Raat ko Jo Bahot Zyada Sard (Thand) thi Aap Alayhis Salaam ke Beite ki Peidaaish Hui, Aap Alayhis Salaam ne Toor ki Baai Jaanib Raaste me Aaag deikhi To Apni Zouja ko Kahaa
“Tum Yahaa hi Thehro ki me Wahaa se Aaag ki Chingaari le Aau ya Wahaa se Aaag Silgaa kar Laau Taaki Tum Taap Sako Aur Sardi kam Mahsus ho”,
Hazrat Musa alaihissalam Jab Aaye to Deikha ki Aaag Aahista Aahista Sho’ale Maar rahi he, Jab Qareeb Aaye to Aaag ne Shiddat(Intensity) Ikhteyaar karli, Bahot Bade Sho’ale Maarne Waali Aaag Nazar Aayi, Azeeb Manzar ye tha ki Aaag Ek Darakht(Peid) se Nikal rahi thi Aaag Jitni Zyada hoti Chali Jaati he Usi Tarah Darkht ke Patte bhi Zyada Sabz(Green) hote Chale Jaate he, Aap Alayhis Salaam Usi Sochh me Kuchh deir tak Gum rahe Aaag ki Shiddat Kahaa Aur Darkht ke Patto ka Sabz hona Kaha..??
Kaafi deir Sochne ke Baad Agarche Zahan ne koi Feishla Na kiya Taaham Khyaal kiya ki Aaag Silgaa kar le Jaau Jab Aap Alayhis Salaam Iraada karte he ki Aaag Silgaau to Aaag Door ho Jaati he Fir Soch me Gum ho Jaate he.
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-165)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-387, 388)
 
>> Hazrat Musa alaihissalam ko Mo’ajizaat Ataa hona
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Yah Teire Daaye Haath me Kya he Ay Musaa, Arz ki Yah Meira Asaa(Laathi) he Mei Is Par Sahaara Lagaata hu Aur Isse Apni Bakariyo par Patte Jhaadta hu Aur Meire Isme Aur Kaam he, Farmaya Ise Daal de Ay Musaa, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Daal Diya to Jabhi Wah Doudta huwa Saanp ho gaya, Farmaya Ise Uthaa le Aur Dar nahi Ab Ham Ise Fir Pahle ki Tarah kar deinge, Aur Apna Haath Apne Baazu se Milaa Khub Safeid Niklega Be Kisi Marz ke, Ek Aur Nishaani ki Ham Tujhe Apni Badi Badi Nishaaniya Dikhaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-17, 18, 19, 20, 21, 22, 23)
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Puchha Tumhaare Daaye Haath me Kya he…??
Isme Hikmat ye thi ki Aap Alayhis Salaam Jab Jawaab deinge ki ye Asaa(Laathi) he to Fir Asdaa(Ajgar/Dragon) Banne par Aap ko Koi Khouf nahi hoga ki ye to wahi Asaa he Jo Abhi Meine Feinka tha,
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-24, 25)
Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Arz ki Mei Is Par Sahaara Lagaata hu, Is se Patte Jhaad kar Apni Bakariyo ko Khilata hu Aur bhi Is se Mei Munaafe(Profit) Haasil Karta hu..
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Asaa ko Jab Zameen par Dala to wo Saanp (Snake) ban gaya,
Jab Aap Alayhis Salaam Asaa ko Feinkte to Ibtedaai(Shuruaati) Tour par wo Baarik Saanp ban jata Fir Aahista Aahista Feilta jata Aur Bada Asdaa(Ajgar/Dragon) Ban Jata, ya Surat ye thi ki wo Jism ke Lihaaz par to Bahot Badaa Saanp(Asdaa) Ban Jata Lekin Doud Aur Furti me Baarik Saanp ki Tarah hota,
(Tafseere Kabeer, Jild-22)
Hazrat Musa alaihissalamko Ek Mo’ajiza ye Ataa huwa ki Aap Alayhis Salaam Apne Asaa ko Zameen par Daalte he to wo Asdaa(Ajgar/Dragon) ban jata he Aur Jab Use Pakad te he to wo Fir Apni Asali Haalat ki Taraf Lout kar Asaa ban Jata he, Dusra Mo’ajiza Aap Alayhis Salaam ko ye Ataa huwa ki Aap ko Apne Daaye Haath ko Bagal ke Niche Baazu se Lagaate Aur Fir Baahar Nikaalte to wo Safeid Chamakdaar ho jata Jo Nazro par Chha jata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-392, 393)
>> Note :
Hazrat Musa alaihissalam se ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Aaam Lougo ke Saamne Zaahir kar Diya gaya ki RABB TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam se Kya Farmaya Aur Aap Alayhis Salaam ne Kya Arz kiya Lekin Jo Baate Hamaare HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Aur ALLAH TA’ALA ke Darmiyaan Hui wo HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Aur ALLAH TA’ALA ke Darmiyaan Raaz ki Baate thi Makhluq se koi Iska Ahal hi Nahi tha ki Use Bataya Jata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-392)
 

>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ke Irshaadaat

Quraane Hakeem me ALLAH RABBUL IZZAT Irshaad Farmata he
“Aur Meine Tujhe Pasand kiya Ab Kaan Lagaa kar Soon Jo Tujhe Wahi Hoti he, Beshak Mei hi hu ALLAH ki Meire Siwaa Koi Ma’abud nahi to Meiri Bandagi kar Aur Meiri Yaad ke liye Namaaz Qaayam Rakh, Beshak Qayaamat Aane Waali he Qarib tha ki Mei Use Sabse Chhipaau ki Har Jaan Apni Koshis ka Badlaa Paaye, To Hargiz Tujhe Uske Maanne se Wah Baaz Na Rakhe Jo Us Par Imaan Nahi Laata Aur Apni Khwaaish ke Pichhe Chalaa Fir Tu Halaak ho Jaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-13, 14, 15, 16)
RABB TA’ALA ne Farmaya Musaa Meine Apni Risaalat wa Nabuwwat ke liye Tumhe Tamaam Lougo Aur Tumhaari Qoum se Chun liya he, Is liye Ab Mei Tumhe Wahi karne Lagaa hu Tum Kaamil Tawajjo se Sunna,
RABB TA’ALA ke Is Hukm ko Sunte hi Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Patther par Khade ho gaye Aur Ek Patther se Sahaara Lagaa liya, Apne Daaye Haath ko Dusre Haath par Rakha Apni Thodee ko Apne Sine se Lagaaya Aur Kaamil Tariqe se ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Sunne ki Taraf Mutawajjeh ho gaye,
Fir ALLAH TA’ALA ne Sabse Pehle Apni Wahdaaniyat ka Zikr Farmaya Kyunki Uski Zaat wa Sifaat par Imaan Lana Asal-ul-Usul(Sab Usulo ki Asal) he, Fir Apni Ibaadat karne ka Hukm Diya, Fir Namaaz ka Hukm Diya ki ye Meiri Yaad ka Zariya he, Fir Qayaamat ka Zikr Farmaya Kyunki Jise ye Yaqin hoga ki Qayaamat Aaani he Aur Neikiyo Aur Buraaiyo ka Hisaab hona he wahi Shaksh Imaan laayega Aur Ibaadat bhi Karega Aur Hurmaat se Ijtenaab bhi Karega, Fir Qayaamat ko Mukhaffi(Secret) Rakhne ka Zikr Farmaya Is liye ki Agar Waqt Bataa Diya jata to Loug Kehte Abhi Qayaamat Door he, Dusre Maqaam par Qayaamat ke Qarib hone ka Zikr Farmaya, Yaqinan Qayaamat Qarib he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-390, 391)