Hazrat musa alahissalam ka nikah hazrat Shoaib kin beti se huwa tha
Hazrat Shoaib koi Beita nahi tha Is liye Aap Hazrat musa alahissalam ko Saath Rakhna Chaahte the, Lihaza Aapne Munaasib Samjha ki Ek Beiti ka Nikaah Is Neik Shaksh se Kar Diya jaaye, Hazrat musa alahissalam ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Mashwara liya ki Agar Tumhaara Nikaah In 2 Beitiyo me se Ek Se Kar Diya jaaye to Kya Tum Mehar ke Badle 8 Saal Tak Hamaari Khidmat kar Sakoge..??
Yaani 8 Saal to Tum par Waajib honge Mazeed 2 Saal Khidmat karna Mustahab hoga wo Tumhaari Marzi par he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Ise Qabul kar liya Aur Arz kiya ki In 2 Muddato me se Jo bhi Mei Puri karlu Mujhe Yahaa rehne par Mazbur Na kiya jaaye, Is Tarah Dono ke Darmiyaan Ma’ahida(Agreement) Tay ho Jaane ke Baad Nikaah ho gaya Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Mehar Adaa karne ke liye Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Ghar Baheshiyat Daamaade Khidmat karni Shuru kardi, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Musaa Alayhis Salaam ko Bakariyo ko Haakne Aur Unhe Darakhto ke Patte Jhaad kar Khilaane ke liye
Ek Asaa diya jo Saagoun ke Darkht(Peid) ki Lakdi ka Banaa huwa tha Jo Hazrat Aadam Alayhis Salaam Saath Laaye the Aur Fir Ambiya E Kiraam se Muntaqil hota huwa Hazrat Shoaib Alayhis Salaam tak Pahoncha tha, Ab Musaa Alayhis Salaam ke Paas Aagaya Yahi Asaa Baad me Aapka Mo’ajiza ban gaya.
(Tafseere Madaarik Bahawaala Tafseere Jalaalein, Safa-329)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-386, 387)
>> Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ko Beiti ka Mashwara :
Quraane Hakeem me he ki
“Unme ki Ek Boli Ay Meire Baap Inko Noukar rakhlo Beshak Behtar Noukar Wah Jo Taaqatwar Amaanatdaar ho”
(Surah Al Qasas, Aayat-26)
Chunki Shoaib Alayhis Salaam ki Beiti Musaa Alayhis Salaam ki Bahaaduri ko deikh chuki thi ki 10 Aaadmiyo ke Nikaalne waale Doul(Bucket) ko Aap Alayhis Salaam ne Akele hi Nikaal liya Aur Bhaari Patther ko Akele hi Kunwe ke Moonh se Hataa Diya Aur Aapke Taqwe ko bhi Deikh chuki thi ki Unse Sawaal karne me Aap Alayhis Salaam ki Nigaahe Nichi thi Aur Unke Saath Chalte hue bhi yahi Kahaa ki Tum Pichhe Pichhe Chalo Mei Aage Chalta hu Tum Mujhe Pichhe se Raasta Bataati Aana,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Beiti ne Mashwara Waalid se hi kiya Kyunki Aap Jaanti thi ki Hamaare Waalid Apni Shariyat ke Mutaabiq Kisi Shaksh ko Apne Paas Rakh kar Usse Batoure Mahar Khidmat le kar Hamaara Nikaah Usse Karna he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-385, 386)
>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Paas Kitni Muddat tak rahe..? :-
Hazrat Shoaib Alayhis ne 8 Saal ya 10 Saal Khidmat karne ke Muta’alaq kaha tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne In Dono me se Konsi Muddat Puri ki Uske Baare me He ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aksar Muddat Yaani 10 Saal Mukammal Khidmat ki thi(Kyunki 8 Saal to Waajib the Aur Upar 2 Saal Mustahab the Jo Paakiza Aur Zyada Sawaab ka Zariya the Is liye Aap Alayhis Salaam ne Zyada Sawaab Waali Muddat ko bhi Yaqinan Puraa kiya) Aur ALLAH TA’ALA Ka RASOOL Jo kehta he Us Par Amal karta he.
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-71)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-387)
>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam Tuwaa me
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Fir Jab Aaag ke Paas Haazir huwa Pukaar ki gayi Meidaan ke Daaye Kinaare se Barkat Waale Maqaam Me Peid se ki Ay Musaa Beshak Mei hi hu ALLAH, RABB Saare Jahaa ka”
(Surah Al Qasas, Aayat-30)
Ek Aur Jagah Irshaad Farmata he
“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal Beshak Tu Paak Jangal Tuwaa me he”
(Surah Taahaa, Aayat-12)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aaag ke Azeeb Manzar ki Soch me Gum the ki Aap Alayhis Salaam ko Aaawaz di gayi
“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal Beshak Tu Paak Jangal Tuwaa me he”
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Apne Fazl wa Karam se ye Ilm de Diya ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aaawaz ko Soon kar Samajh liya Aur Yaqin kar liya ki ye Meire RABB ki Aaawaz he, ALLAH TA’ALA ki Aaawaz Kisi Makaan se Nahi Aa rahi thi Wo Makaan se Paak he Us Aaawaz ki Kefiyat ko bhi Bayaan nahi kiya Ja Sakta,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Darakht(Peid) se Aaasmaan ki Taraf Uthne Waale Noor ko Deikha Aur Usme Farishto ki Tasbihaat ko Soona Aur Aap Alayhis Salaam ko Jab ye Aaawaz di gayi to Aap Alayhis Salaam Aaankho par Haath Rakh kar Arz kiya Labbeik Me Haazir hu Mei Teiri Aaawaz to Soon rahaa hu, Tujhe Deikh nahi Raha, Tu Kahaa he…??
RABB TA’ALA ki Taraf se Aaawaz Aayi
“Mei Tumhaare Paas hu, Tumhaare Saamne hu, Tumhaare Pichhe hu, Tumhaara Aehaata kiye hue hu Aur Tum se bhi Tumhaare Zyada Qarib hu”,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Tamaam Was-wasaat ko Baalaaye Taaq Rakhte hue Kahaa
Mei ALLAH TA’ALA ki Aaawaz ko Apne Upar se Aur Apne Nichhe se Aur Apne Pichhe se Aur Apne Daai Taraf se Aur Apni Baai Taraf se Ayse hi Soon rahaa hu Jeise Saamne se Soon Raha hu, Mujhe Yaqin ho gaya ye Kalaam Makhluq me se Kisi ka Bhi Nahi ho Sakta..
“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal”
Ek To Iska Mashoor wa Ma’aruf Matlab ye he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Paakiza Jagah Aagaye he Jahaa Meiri Tajalliyaat ka Zahur ho Raha he Aur Mei Tumse Ham Kalaam hu Is liye Adab ka Taqaaza ye he ki Tum Apne Jute Utaar do,
Ek Aur Wajah Jute Utaarne ki ye thi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Jute Utaarne ka Hukm Is liye Diya gaya tha ki Aap Alayhis Salaam ke Qadmo ko Us Sar-Zamin ki Barkat Haasil ho jaaye
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-17)
Ek Aur Wajah ye bhi Bayaan ki gayi he ki
Khwaab me Jutaa deikhne se Muraad Zouja Aur Aulaad liya jata he Ab Ma’ani ye hoga ki Aap Apne Dil me Zouja Aur Bacche ka Khyaal Na rakhe, Unki Taraf Mashgul Na ho, Balki Khaalis Tawajjo Meiri Zaate Kibriyaai ki Taraf ho, Aur Matlab ye bhi ho Sakta he ki Duniya Aur Aakhirat ko Chhod do Goya ki Aap ko Hukm Diya gaya ki Aap ka Dil ALLAH TA’ALA ke Siwaa Kisi ki Taraf Tawajjo Na kare Balki Mukammal Tour par Tum ALLAH TA’ALA ki Ma’arefat me Apne Dil ko Dubaa do.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-17)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-389, 390)
SubhanAllah…
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Is Waaqiye se Imaan Taaza ho gaya…
Leave A Comment