“Hazrat musa alaihissalam” ki mukammal waqiya in hindi urdu >
“Hazrat musa alaihissalam” ka Radd e Baatil Shuru karna :
“Hazrat musa alaihissalam” Apni Waalida ke Paas Dhoodh Pine ke Zamaane tak rahe, Dhoodh Chhut ne ke Baad Aapki Waalida Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Firoun ke Paas le Aayi Aur Aap Alayhis Salaam waha Palte rahe, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Roz e Awwal se hi Apni Waalida ke Paas Rehne Aur Unki Baate Sunne ka Mouqa Mil gaya tha, Saari Surate Haal(Haqiqat) se Aap Alayhis Salaam Achhi Tarah Aagah ho gaye, Aap Alayhis Salaam ko Apne Jaleelul Qadr Aaabaa’a-Ajdaad(Baap-Dada) ke Mansabe Nabuwwat par Aagaahi ho chuki thi, Aap Alayhis Salaam ne Jab deikha ki Firoun Khuda Ban Beitha he Aur Lougo se Apni Parastish(Pujaa) karaata he to Aapka Touhid-Parast Zahan Us Shirk ko Zyada Arsha Gawara Na kar Saka Aur Aap Alayhis Salaam ke Jalaal Mizaaj ne Firoun ko Us Na-Pasand Harkat par Tokaa Aur Aapne Firoun Aur Firouniyo ki Gumraahi ka Radd Shuru kar Diya, Bani Israaeel Aapki Baat Sunte Aur Aapki Itteba karte Aahista Aahista Iska Charcha ho gaya, Firoun ko bhi Baraah-Raast(Direct) Khudaai Da’we se Touk Chuke the, Is liye Qate Ta’aluq(Ta’aluq Todne) tak Nabuwwat Jaa Pahonchi Aur Aap Alayhis Salaam ko Mujrim Aur Baagi Samjha Jaane laga (MaazAllah..), Chunanche Uske Shar se Apne Aapko Mehfuz karne ke liye Rupush(Chhup) ho gaye Aur Agar Kisi Zaruri Kaam ke liye Aapko Shahar me Aana Padta to Ayse Waqt Shahar me Aate ki Kaano kaan Kisi ko Khabar Na hoti,
Ek Qoul me he ki Aap Alayhis Salaam ke Shahar me Chhip kar Daakhil hone ki wajah ye he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Firoun ke Saath Ikhtelaaf ko Zaahir Farma Diya Aur Firouniyo ke Buto Aur Firoun ki Ibaadat ki Mazammat ki To Unki Taraf se Sadeed Radd-e-Amal huwa Jiski Wajah se Aap Alayhis Salaam ne Apne Aapko Mehfuz karne ke liye Poshida(Chhipe) Rehne ki Raah Ikhtayaar ki.
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-260)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-378, 379)
 
Hazrat musa alaihissalam” ka Qibti ko Ghunsaa(Mukka) Maarna
Quraane Majeed me he ki
“Aur Us Shahar me Daakhil huwa Jis Waqt Shahar Waale Dophar ke Khwaab me Be-khabar the to Usme 2 Mard Ladte Paaye Ek Musaa(Alayhis Salaam) ke Giroh se tha Aur Dusra Uske Dushmano se to Wah Jo Uske Giroh se tha Usne Musaa(Alayhis Salaam) se Madad Maangi Us par Jo Uske Dushmano se tha To Musaa(Alayhis Salaam) ne Use Ghunsaa Mara to Uska Kaam Tamaam kar Diya Kahaa yah Kaam Seitaan ki Taraf se huwa Beshak wah Dushman he Khulaa Gumraah karne Wala, Arz ki Ay Meire RABB Meine Apni Jaan par Ziyaadati ki To Mujhe Bakhsh de to RABB ne Use Bakhsh diya Beshak Wahi Bakhshne Wala Maherbaan he, Arz ki Ay Meire RABB Jeisaa Tune Mujpar Ahesaan kiya to Ab Hargiz Mei Mujrimo ka Madadgaar Na Hunga”
(Surah Al Qasas, Aayat-15, 16, 17)
Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Shahar me Daakhil hue to Deikha ki 2 Aadmi Aapas me Dast wa Girebaan he Ek Israaeeli Aur Dusra Qibti, Israaeeli ne Aap Alayhis Salaam ko Madad ke liye Pukara, Aap Alayhis Salaam Aage Badhe ki Qibti ko Dast Daraazi(Ladne) se Manaa Kiya, Aap Alayhis Salaam ne Qibti se kaha ki Israaeeli par Zulm Na karo, Use Chhod do, Lekin Wah Na Mana Aur Bura Bhalaa kehne Lagaa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Usko Us Zulm se Rokne ke liye Ghunsaa(Mukka) Mara, Use Qatl karne ka Iraada Na tha Lekin wo Mukka Jaan-Leiwa Saabit huwa Aur Uska Qissa Tamaam ho gaya(Yaani wah Mar gaya),
Ek Qoul me Un 2no ke Ladne ki Wajah Bayaan ki he ki wo Qibti Israaeeli ko Lakadiyo ka ek Bhaari Gattha(Lakdi ka Bouj) Uthaane ka Hukm de Raha tha Usne Uthaane se Inkaar kar Diya, Chunanche Us Qibti ne Haakim Qoum ka Fard hote hue Zabardasti Shuru ki, Itne me Hazrat Musaa Alayhis Salaam Tashreef Laaye Aur Israaeeli ne Aap Alayhis Salaam se Faryaad ki Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Uski Fariyaadrasi ki, Mahaz Is liye Nahi ki Fariyaad Karne Wala Israaeeli tha balki Uski Wajah ye thi ki Har Mazlum ki Madad karna Har Deen me Farz he,
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-260)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-379)
 

>> Qatl ka Raaz Zaahir hona

Quraan Shareef me he ki
“To Subah ki Us Shahar me Darte hue Intezaar me ki Kya hota he Jabhi deikha ki wah Jisne Kal Unse Madad Chaahi thi Fariyaad kar rahaa he Musaa(Alayhis Salaam) ne Usse Farmaya Beshak Tu Khulaa Gumraah he, To Jab Musaa(Alayhis Salaam) ne Chaha ki Us Par Giraft Kare Jo Un Douno ka Dusman he wah Bola Ay Musaa(Alayhis Salaam) Kya Tum Mujhe Veisaa hi Qatl karna Chaahte ho Jeisaa Tumne Kal Ek Shaksh ko Qatl kar Diya Tum yahi Chaahte ho ki Zamin me Shakhtgir Bano Aur Islaah karna Nahi Chaahte”
(Surah Al Qasas, Aayat-18, 19)
Firoun ki Qoum ke Lougo ne Firoun ko Khabar di ki Kisi Bani Israaeeli ne Hamaare Ek Aadmi ko Maar dala he Us Par Firoun ne Kahaa ki Qaatil Aur Gawaaho ko Talaash karo, Firouni Gast karte firte the Aur Unhe Koi Saboot nahi Mila tha, Dusre Din Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Fir Ittefaaq Peish Aaaya ki wahi Bani Israaeel Jisne Ek Din Pehle Unse Madad chaahi thi Aaj bhi fir Ek Firouni se Lad rahaa tha Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko deikh kar Unse Fariyaad Karne lagaa Tab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Beshak Tu Khulaa Gumraah he Yaani Har Rouz Lougo se ladta hi rahta he, Apne Aapko bhi Musibat Aur Pareshaani me Daalta he Aur Apne Madadgaaro ko bhi Aur Ahtiyaat kyu nahi karta, Aap Alayhis Salaam ne Khub Daant ke Tour par Irshaad Farmaya,
Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Us Par Rahem Bhi Aagaya ki Firouni Bade Zaalim he, Lihaza Uski Imdaad karni hi Chaahiye, Jab Aap Alayhis Salaam Aage Badhe ki Apne Aur Bani Israaeeli ke Dushman ki Gifat Kare to Us Bani Israaeeli ne Galat-fehmi me Khouf karte hue Samjha ki Aaj Shaayad Meira Kaam Tamaam karna Chaahte he kaha ki Ay Musaa Alayhis Salaam Aaj Tum Mujhe Qatl karna Chaahte ho Jeise kal Ek Shaksh ko Tumne Qatl kar Diya tha…?,
Uska ye kehna hi tha ki Raaz Khul gaya ki Kal Firouni ko Qatl Musaa Alayhis Salaam ne kiya he, Jab Firoun ko ye Khabar Mili to Usne Musaa Alayhis Salaam ko Qatl karne ka Hukm Naafiz kar Diya Loug Aapko Talaash karne lage.
(Tafseere Khzaainul Irfaan, Safa-465)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-381)
 
>> “Hazrat musa alaihissalam” ka Madyan ki Taraf Hijrat karna
Quraane Hakeem me he ki
“To Us Shahar se Nikle Darte huwe Is Intezaar me ki Ab Kya hotaa he Arz ki Ay Meire RABB Mujhe Sitamgaaro (Zaalimo) se Bachaa le, Aur Jab Madyan ki Taraf Mutawajjeh huwe Kahaa Qarib he Ki Meira RABB Mujhe Sidhi Raah Bataaye”
(Surah Al Qasas, Aayat-21, 22)
Hazrat Khizr ne qatl kyu kiya hindi urdu part 25
Madyan se Muraad wo Shahar he Jahaa Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Tashreef Farmaa the, Us Shahar ko Madyan Bin Ibhraahim ki Taraf Mansub kiya gaya tha, Misr Aur Madyan me 8 Dino ki Doori thi, Is Shahar par Firoun ki Hukmuraani Nahi thi, Isi Wajah se ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Ishi Shahar ki Taraf Jaane ki Hidaayat di, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne ye Shahar Is se Pehle Kabhi Na deikha tha Aur Na hi Iska Raasta Jaante the, Koi Sawaari Paas nahi thi Raaste ka koi Kharch Apne Paas nahi tha, Sirf Darakhto ke Patto par Guzar kar ke Aap Alayhis Salaam ne Raaste ki Doori Ko Tay kiya, Raasta Dikhaane ke liye ALLAH TA’ALA ne Jibrail Alayhis Salaam ko Muqarrar Farmaya, Firouni Loug Aapko Talaash Karte rahe Lekin Aap Alayhis Salaam ko Talaash Na kar Sake Kyunki Madyan ko Jaane Waale 3 Raaste the Aap Alayhis Salaam ne Darmiyaani Raah ko Ikhtayaar kiya Aur wo Dusre Raasto par Aapko Talaash kar rahe the, Jab RABB TA’ALA Aap Alayhis Salaam ki Hifaazat kar rahaa tha to wo Aapko Talaash kar bhi keise Sakte the…?
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-11, Hissa-1, Safa-59)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-382)