“Hazrat musa alihissalam”  or firon
 “Hazrat musa alihissalam”ki Waalida Aur Bahen ki Be-Qaqaari :
Quraane Hakeem me he ki
“Aur Subah ko Musaa(Alayhis Salaam) ki Maa ka Dil Besabr ho gaya Zarur Qarib tha ki Wah Uska Haal Khoul deiti Agar Ham Dhaaras Na Bandhaate Uske Dil par ki Use Hamaare Waade par Yaqin rahe, Aur Uski Maa ne Uski Behan se Kahaa Uske Pichhe Chali Jaa to wah Use Door se deikhti rahi Aur Unko Khabar Na Thi”
(Surah Al Qasas, Aayat-10, 11)
“Hazrat musa alihissalam”  ki Waalida ko Jab ye Khabar Mili ki Baccha Firoun ke Haath Aagaya to Aapko Bahot Zyada khouf huwa ki kahi Qatl Na Karde Yaa ye ki Aapko Jab ye Khabar Mili ki Firoun ke Haath Taabut Aagaya he to Aapke Housh Ud gaye Lekin ALLAH TA’ALA ne Aapke Dil me Fir Ilqaa’a kiya(Dil me Daal Diya) ki Firoun ki Biwi ne Musaa Alayhis Salaam ko Apna Beita Banaa liya To Aapke Dil ko Tasalli Hui Agar ALLAH TA’ALA Aapke Dil ko Dhaarash Na Bandhaata to ho Sakta he ki Aap Daryaa me Feinkte Waqt Waaveilaa Shuru kar deite ki Haay Meira Baccha… Haay Meira Baccha…ki Pukaar se Loug Khabardaar ho Jaate Yaa Aapko Jab ye Khabar Mili ki Firoun ki Zouja Aaasiyaa Bacche par Maherbaan ho gayi Us Waqt Aap Khushi se Zaahir kar deiti ki Meire Bacche ko ALLAH TA’ALA ne Bachaa liya he Lekin ALLAH TA’ALA ne Aap ko Zaahir karne se Door rakhaa,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ka Naam ‘Maryam’ tha, ‘kulshum’ Aur ‘Kulsuma’ bhi Bayaan kiyaa gaya he Magar Mashoor ‘Maryam’ he,
Aapki Waalida ne Maryam ko Kahaa ki Jaao deikho Taabut kidhar gaya, Kya Waaqei Firoun ke Haath Aagaya he..?? Unhone Bacche se Kya Suluk kiya.. ?? Maryam Door Door se deikhti rahi Taaki Unhe Pataa Na Chal Sake.
>> Note :-
Hazrat Isa Alayhis Salaam ki Waalida ka Naam ‘Maryam’ Alayhis Salaam tha Aur Unke Waalid ka Naam ‘Imraan’ tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Sagi Bahen ka Naam bhi ‘Maryam’ he Aur Aapke Waalid ka Naam bhi ‘Imraan he’ Baaz Hazraat ne Waham kiya he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen thi, ye Galat he In Dono Ambiya E Kiraam ke Darmiyaan Zamaane ke Aytebaar se Bahot Badaa Faaslaa he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-376)

>> “Hazrat musa alihissalam”  ka Dhoodh Na Pinaa :
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur HAMNE Pehle hi Sab Daaiyaa Uspar Haraam Kar di thi to Boli Kya Mei Tumhe Bataadu Ayse Gharwaale ki Tumhaare Is Bacche ko Paal de Aur wo Iske Kheir-Khwaah he,
(Surah Al Qasas, Aayat-12)
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Tabi’at me Apni Maa ke Dhoodh ke Bageir Tamaam Dhoodh Pilaane waali Aurato se Nafrat Peida kar di thi, Firoun ne Bacche ki Parwarish ke liye Daaya Bulaane ka Hukm Diya, Jo Daaya bhi Aati Aap Alayhis Salaam Uska Dhoodh Na Pite Lekin Bhook ki Wajah se Be-Karaar ho rahe the , Firoun bhi Apni Zouja Aaasiyaa ki Wajah se Bacche ki Haalat se Fikr-Mand tha, Bacche ko Goud me Lekar Tasalliya de Raha tha, Aur Keh rahaa tha ki Kaash koi Aysi Daaya Mil jaaye Jiska Dhoodh ye Baccha Pinaa Shuru kar de, Is Mouqe ko Ganimat Samajhte hue Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne Kahaa Me Tumhe Ek Ghar Waalo ka Pataa Bataati hu Jo Is Bacche ki Tarbiyat me koi Kami nahi hone deinge, Jo Iski Parwarish ki Zamaanat deinge, Kisi Qism ki Khayaanat ke Murtakib nahi honge, Khulush se Sab Kaam karenge, Koi Nuqsh Laazim nahi Aane deinge, Aur wo Iske Kheir-Khwaah he,
Jab Hazrat “Hazrat musa alihissalam”  ki Bahen ne ye Kahaa ki wo Iske Kheir-Khwaah he to Haamaan(Wazir) ne Kahaa ki ye Is Bacche ke Khaandaan ko Jaanti he Ise Pakad lo to Khud Bacche ke Gharaane ka Pataa Chal Jaayega, Us Waqt Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne Kahaa Meira Matlab ye he ki Us Gharaane ke Loug Baadshah ke Kheir-Khwaah he, Chunki wo(Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen) Khaandaane Nabuwwat ki Ladki thi Uski Zahaanat(Intelligence) Isi Qaabil thi ki Usne Nihaayat Haseen Jawaab de kar Apne Aap ko Aur Apne Bhai ko Bachaa liya, Uska ye Jawaab Soon kar Firoun ne Kahaa Achha Tum Us Aurat ko le Aao Jis ke Muta’alaq Tum keh rahi ho, wo Apni Maa ke Paas Aayi Aur Unhe le Gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-377)
 

>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Apni Waalida ke Paas Aana

Quraane Kareem me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“To HAMNE Use Uski Maa ki Taraf Feira ki Maa ki Aankh Thandi ho Aur Gam Na Khaaye Aur Jaan le ki ALLAH TA’ALA ka Wada Saccha he Lekin Aksar Loug nahi Jaante”
(Surah Al Qasas, Aayat-13)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Firoun ke Haatho me the, Bhuk Aur Pyaas ki Wajah se Be-Qaraar the, Firoun Aapko Tasalliya de Raha tha, Jabhi Aap Alayhis Salaam ki Waalida Pahonchi to Maa ki Khushbu Sungh kar Fouran Maa ki Taraf Lapke Aur Dhoodh pina Shuru kar Diya, Firoun ne Bade Ta’ajub se Puchha Tum koun ho..?? Is Bacche ne Tumhara Dhoodh Pasand kiya Haalaanki Kitni Daaiya Hamne Talab ki Kisi ka Dhoodh Isne Nahi Piyaa,
Aap Alayhis Salaam ki Waalida ne Jawaab Diya
“Beshak Me Aysi Aurat hu ki Mujh se Khushbu Aati he Yaani Mei Apne Aapko Saaf-Suthraa Rakhti hu, Meira Libaas Saaf-Suthraa hota he, Mei Achhe Qism ki Khushbu Istemaal karti hu Aur Qudrati Khushbu Bhi Meire Jism se Aati he Meira Dhoodh bhi Paakiza, Achha, Khush-Zaaiqa Aur Khushbudaar he, Aaj Tak Meine Jis Bacche ko Dhoodh Pilaya Usne Zarur Meira Dhoodh piya he”,
Firoun ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Aapki Waalida ke Supurad(Hawaale) kar Diya Aur Unka Kharch Bhi Muqarrar kar Diya,
ALLAH TA’ALA ne Aapke Dilme Ek Wada Dala tha ki Tum Is Bacche ko Daryaa me Daal do Mei Tumhaare Paas Ise Waapis Louta Dunga, Us Wade ko ALLAH TA’ALA Ne Puraa Farmaya Taaki Aapki Waalida ko Yaqin ho jaaye ki Jab ye Wada Puraa ho gaya he to ye Baccha RASOOL bhi Zarur Banega, Aksar Loug ALLAH TA’ALA ki Qudrat Aur Uski Hikmat se Be-Khabar he wo ye Nahi Jaante ki Uski Qudrat ke Muqaabil Tamaam Tadbeere Kuchh Heishiyat nahi Rakhti.
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-50, 51)
(Tafseere Kabeer, Jild-24, Safa-205)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-377, 378)