.firon or Firouniyo ki Halaakat ki Taraf Rawaangi HAZRAT MUSA ALAIHASSALAM STORY IN HINDI URDU PART 16
Quraane Hakeem me he ki
“Ab Firoun ne Shaharo me Jamaa karne waale Bheije, ki ye Loug Ek Thodi Jama’at hei, Aur Beshak Ham Sab ka Dil Jalaate hei, Aur Beshak Ham Sab Chokanne he, To Hamne Unhe Baahar Nikala Baago Aur Chashmo, Aur Khazaano Aur Umda Makaano se, Hamne Aysa hi Kiya Aur Unka Waaris kar Diya Bani Israaeel ko, To Firouniyo ne Unka Pichha kiya Din Nikle, Fir Jab Aamna Saamna Huwa Dono Giroh ka Musaa Waalo ne kaha Hamko Unhone Aa liya, Musaa (Alayhis Salaam) ne Farmaya Yu Nahi Beshak Meira RABB Meire Saath he wah Mujhe Ab Raah deita hei”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-53, 54, 55, 56, 57, 58, 59, 60, 61, 62)
Firoun ne Deikha ki Bani Israaeel Moujud nahi he to Bahot Gusse me huwa, Usne Har Taraf Apne kaarinde(Agents) Douda kar Apni Fouzo, Lashkaro Aur Apne Tamaam Haamiyo ko Jamaa kar liya Aur Kehne laga ki Bani Israaeel Hamaare Muqaable me Ek Chhoti si Jama’at he wo Hameisha Geiz wa Gazab(Gusse) ko Bhadkaate rehte he, Mei Chaahta hu ki Unko Mukammal Tour par Tabaah wa Barbaad kar Diya jaaye, ALLAH TA’ALA ne Firoun Aur Uski Qoum ko Barbaad karne ke liye Unke Dilo me Ye Baat Saabit kardi ki Sab Loug Bani Israaeel ka Pichha karke Unka Mukammal Safaaya kardo, Is Tarah ALLAH TA’ALA ne Apni Hikmat-E-Kaamela se Un Tamaam Firouniyo ko Barbaad karke Apna Wa’ada Pura Farma Diya, Firoun ko Maanne waale Tamaam Uske Kehne par Apni Ne’amato Apne Aa’la Qism ke Makaanaat Aur Faldaar Darakhto ke Baagaat(Gardens) Apni Aysh wa Ishrat ke Saamaan ko Chhod kar Bazaahir Bani Israaeel ko Tabaah karne ke liye Chale Jo Dar-Haqiqat Apni hi Barbaadi ki Taraf Chal rahe the,
Firoun ke Kehne par Sab Loug Jama ho kar Bani Israaeel ke Pichha karne me Chal Padhe, Daryaa E Qulzum ke Kinaare par Unke Saamne Pahonch gaye, Bani Israaeel ne Jab Deikha to Kehne lage ki Ab To Ham Pakad liye Jaayenge, Unke Dilo me Pehle hi Firoun ka Ro’ab Chhipa huwa tha Aur wo Taadaad me bhi Firouniyo se Bahot Kam the Aur Kisi Qism ka Unke Paas Koi Hathiyaar bhi nahi tha, Is liye Unpar Bahot Zyada Khouf Taari huwa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ki Meira RABB TA’ALA Meire Saath he wo Abhi Meiri Rehnumuaai Farmaayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-426, 427)
*>> Firouniyo ka Garq hona :-
Quraane Azeem me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Hamne Musaa ko Wahi Farmaayi ki Darya par Apna Asaa Maar to Jabhi Darya Fat gaya to Har Hissa Ho gaya Jeishe Badaa Pahaad, Aur Waha Qarib Laaye Ham Dusro ko, Aur Hamne Bacha liya Musaa Aur Uske Sab Saath Waalo ko, Fir Dusro ko Doobo Diya, Beshak Isme Zarur Nishaani hei Aur Unme Aksar Musalmaan Na the, Aur Beshak Tumhaara RABB hi Ijjatwala Maherbaan hei”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-63, 64, 65, 66, 67, 68)
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko HukmDiya ki Aap Apna Asaa(Laathi) Darya par Maaro, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Asaa Darya par Maara to Darya Fat gaya, Usne Raasta Chhod Diya, Darmiyaan me Khushk(Sukha) Raasta Aur Idhar-Udhar Paani ki Bulandi Itni Azeem thi Jeise Bade Bade Pahaad ho, Bani Israaeel Chunki 12 Qabaail(Qabile) the Ek hi Raaste me Ek Dusre ke Saath Chalna Munaasib nahi Samajhte the Is liye Har Qabile ke liye Alaaihida(Alag) Raasta Banaya gaya, Ya’ani Darya me 12 Raaste Banaaye gaye, Har Raaste ke Daayi-Baayi (Left-Right) Paani ki Bulandi Azeem Azeem Pahaado Jeisi thi, wo kehne lage ki Hame Kya Ma’alum hei ki Hamaare Dusre Bhai Zinda he ya Paani me Garq(Doob) ho Chuke he, To Darmiyaan se Roushan-Daano ki Tarah Paani ko Hata Diya gaya, wo Ek Dusre ko Deikhte hue Darya Abur(Paar) kar gaye, Firoun Aur Uske Lashkar ne bhi Daryaa me Raasta Deikh kar Apne Ghode Doudaaye Lekin wo Bani Israaeel ko Na pa Sake,
Firouniyo Aur Bani Israaeel ke Darmiyaan Hazrat Jibrail E Ameen Alayhis Salaam the, Jo Bani Israaeel ke Pichhle Lougo ke Dilo me Ye Baat Daal rahe the ki Jaldi Chalo, Agle Lougo se Mil Jaao, Aur Firouniyo ke Dilo me Ye Baat Daal rahe the Aahista Chalo Pichhle Lougo ko Saath Milne do, Bani Israaeel Jab Darya Abur(Paar) kar Chuke Aur Firouni Abhi Darmiyaan me hi Pahonche the to Paani Aapas ne Mil gaya Is Tarah Firoun Aur Uski Qoum ke Tamaam Loug Garq ho gaye,
Ek Riwaayat ke Mutaabik ye 6 Laakh(6,00,000) ki Taadaad me the, Bani Israaeel ye Tamaam Manzar Apni Aankho se deikh rahe the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safaa-427)
ALLAHU AKBER..
Kya Shaan hei Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Aur Sacche Ma’abad RABB TA’ALA ki…
Darya jaha Kitna Paani Rehta he Uske Bichme Raasta Banana ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat hei…
Aur Us Raaste se Apne Pyaare NABI Aur Unki Qoum ko Bina Kuchh Nukshaan Pahonchaye, Sahi Salaamat Pahonchana Aur Us Waqt tak Paani ko Roke Rakhna ye Bhi ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he…
Hame Is Waaqiye se Ibrat Haasil karni Chaahiye..
Beshak ALLAH TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he..
Quraane Hakeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Ham Bani Israaeel ko Darya Paar le gaye to Firoun Aur Uske Lashkaro ne Unka Pichha kiya Sarkashi Aur Zulm se Yaha Tak ki Jab Use Doobne ne Aa liya Bola Mei Imaan Laaya ki Koi Sachha Ma’abud nahi Siwa Uske Jispar Bani Israaeel Imaan Laaye Aur Mei Musalmaan hu, Kya Ab Aur Pehle se Na-farmaan Raha Aur Tu Fasaadi tha, Aaj Ham Teiri Laash ko Utra Deinge(Baaki Rakhenge) ki Tu Apne Pichhlo ke liye Nishaani ho Aur Beshak Loug Hamaari Aayato se Gaafil hei”
(Surah Yunus, Aayat-90, 91, 92)
Subhan Allah..
Maalikul Mulk ki Kitni Azeem Qudrat he..
ki wo Shaksh Jo Kabhi
“Mei Tumhaara Bada Khuda hu” ka Da’awa karta tha, Aaj Jab Uski Giraft me Aata he Darya me Shadeed Moujo ke Thappado me Aate hi Ek Martaba nahi Balki Tin Martaba Imaan lata he..
Ek Martaba kaha
“Mei Imaan laya”,
Dusri Martaba kaha
“Koi Saccha Ma’abad nahi Siwa Uske Jispar Bani Israaeel Imaan Laaye”
Tisri Martaba kaha
“Aur Mei Musalmaan hu”
Lekin ye Uska Imaan Qabul Na huwa Kyunki RABB TA’ALA ke Azaab ko Deikh kar, Farishto ka Saamna karte hue Imaan Lana Nafa-Mand nahi ho Sakta,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya Ab Tu Imaan Lata he Pehle Na-farmaaniya karta Raha Aur Fasaad Feilta raha, Ya’ani Tumhe Imaan Laane ka Kitna Waqt Diya..?? Kayi Martaba Tujhe Aazmaaisho me Mubtila karke Imaan Laane ki Taraf Sochne ke Mouka diya, Lekin Us Waqt Tu Imaan Na Laya, Ab Garq hone par Teire Imaan Laane ko Qabul nahi kiya Ja Sakta, Ab to Teire Jism ko Darya ki Moujo se Baahar Feink kar Lougo ke liye Nishaani Bana Diya Jaayega, Sabko Pata Chal jaaye ki Aaj Khudaai ka Da’wedaar Garq ho kar Murda Haalat me Padaa hei, Khudaa E Haqiqi to Wo he Jo Hameisha ke liye Qaayam wa Daayam hei.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-154)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-428)
.
Leave A Comment