Hazrat Musa alaihissalam ka dusra mojiza in hindi
Quraane Paak me he ki
“Aur Apna Haath Nikala to Jabhi Wah Deikhne Waalo ki Nigaah Me Jagmagaane Lagaa, Bola Apne Gird ke Sardaaro se ki Beshak Ye Jaankaar Jaadugar hei, Chaahte hei ki Tumhe Tumhaare Mulk se Nikaal de Apne Jaadu ke Jour se Tab Tumhaari Kya Salaah he, wo Bole Inhe Aur Inke Bhai ko Thehraye raho Aur Shahro me Jamaa karne waale Bheijo, ki wo Teire Paas le Aaye Har Bade Jankaar Jaadugar ko”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-33, 34, 35, 36, 37)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Ek Mo’ajiza dikha Diya to Firoun ne kaha kya Aur Bhi Tum Nishaani Laaye ho to Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Haa Aap Alayhis Salaam ne Apne Haath ko Bagal me le kar Baahar Nikala to wo Suraj ki Kirno ki Tarah Chamak ne Lagaa,
(SubhanAllah…)
Firoun ne Jab Apne Gird Beithe hue Sardaaro ko Kahaa ki ye to Jaadugar he to Unhone bhi Firoun ki Haa me Haa Milaate hue Kahaa Haa Aysaa hi he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-401)
*>> Firoun ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Muqaable ke liye Kahaa
Quraane Majeed me he ki
“Bola Kya Tum Hamaare Paas Is liye Aaye ho ki Hame Apne Jaadu ke Sabab Hamaari Zamin se Nikaal do Ay Musaa, To Zarur Ham Bhi Tumhaare Aage Veisa hi Jaadu Laayenge To Ham me Aur Apne me Ek Wada Thehra do Jisse Na Ham Badla le Na Tum Hamwaar Jagah ho, Musaa(Alayhis Salaam) ne Kahaa Tumhaara Wa’da Meile ka Din hei Aur Yah ki Loug Din Chadhe Jamaa kiye Jaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-57, 58, 59)
Firoun ne Kahaa Tum Apne Jaadu se Hame Hamaari Zameen se Nikaalna Chaahte ho..??
Ham bhi Apne Jaadugar Bulaate he wo Tumhaare Saath Muqaabla karenge Lihaza Tum Hamaare Saath Ek Din Aur Ek Jagah Muqarrar kar lo Taaki Us Din Jo Hamwaar Meidaan ho, Sab Loug ye Muqaabla deikhe,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Thik he Tum Apne Meile ka Din Muqarrar karlo Is liye ki Tumhaare Tamaam Loug Us Din Faarig ho kar Ek Jagah Aish wa Ishrat ke liye Jama hote he Is Tarah Tamaam Loug Is Muqaable ko Aaasani se Deikh Sakenge Aur Tamaam Lougo ko Din Chadhe Jama hona Chaahiye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-402)
*>> Jaadugaro ka Aana
Quraane Majeed me he ki
“To Jama kiye gaye Jaadugar Ek Muqarrar Din ke Wa’de par, Aur Lougo se Kahaa gaya Kya Tum Jama ho gaye, Shaayad Ham Un Jaadugaro hi ki Peirvi Kare Agar ye Gaalib Aaye, Fir Jab Jaadugar Aaye Firoun se Bole Kya Hame Kuchh Mazduri Milegi Agar Ham Gaalib(Winner) Aaye, Bola Haa Aur Us Waqt Tum Meire Muqarrab(Nazdiki) ho Jaaoge”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-38, 39, 40, 41, 42)
Jaadugar Meile ke Din Aagaye, Lougo ko Bhi Keh Diya gaya ki Sab Loug Zarur Jama hona Kyunki Hame Ummid he ki Hamaare Jaadugar hi Gaalib(Winner) Aayenge Ham Unke Deen par Qaayam rahenge, Agarche wo Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Deen par Aana hi Nahi Chaahte the Lekin Lougo ko Maail karne ke liye Andaaz Aysa Rakha ki Jis Kalaam me Shak ho ki Shaayad Ham Un Jaadugaro ki hi Taabedaari karenge Agar ye Gaalib(Winner) Aagaye, Jaadugar Jab Firoun ke Darbaar me Aaye to Unhone Shaahi Darbaar se Faayda Uthaane ki Koshish ki Aur kaha ki Agar Ham Gaalib Aagaye to Kya Hame Bahot Muaavza(Mazduri) Milega Jo Baadshah ki Shaan ke Laayaq ho..?
Firoun ne kaha Haa Mei Tumhe Apna Muqarrab Bana lunga, Baadshah Jin ko Apna Qaribi Bana leite he Un par Qoumi Khazaano ka Moonh khuol Diya jata he Woh Inaam ka Soon kar Muqaable ke liye Aaamaada(Ready) ho gaye.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-88)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-402)
*>> Jaadugaro ko Deen ki Da’awat deina :
Quraan Shareef me he ki
“Unse Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Tumhe Kharaabi ho ALLAH par Jhut Na Baandho ki Wah Tumhe Azaab se Halaak Karde Aur Beshak Naa-Muraad Raha Jisne Jhut Baandha, To Apne Maamle me Baaham Mukhtalif ho gaye Aur Chhup kar Salaah ki, Bole Beshak Ye Douno Zarur Jaadugar hei Chahte hei ki Tumhe Tumhaari Zamin se Apne Jaadu ke Zour se Nikaal de Aur Tumhaara Achha Deen le Jaaye, To Apna Daav(Fareib) Pakka karlo Fir Saf Baandh kar Aao Aur Aaj Muraad ko Pahuncha Jo Gaalib(Winner) Raha”
(Surah Taahaa, Aayat-61, 62, 63, 64)
Firoun ne Jab Jaadugaro ko Jama kar liya to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Nasihat ke Tour par Kahaa ki Mei ALLAH TA’ALA ki Nishaaniya dikhaata hu Jo ALLAH TA’ALA ne Mujhe Mo’ajizaat Ataa Farmaaye he, Tum ye Kehte ho ki Mei Jaadu kar Raha hu ye to ALLAH TA’ALA par Jhut Baandhna he, Is se to Tumhaari Barbaadi he, ALLAH TA’ALA Tumhe Azaab se Tabaah kar deiga, Jis Azaab ko Taalne ki Tumhe Koi Qudrat Haasil nahi hogi,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Kalaam ko Soon kar Jaadugar Geiz wa Gazab me Ek Dusre se Mashwara karne lage Aur Bahas karne lage ki Keise Ise Jawaab Diya jaaye..??
Aur ye Mashwara Unka Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam se Chhip kar tha ki wo Is par Waaqef Na ho jaaye, Aakhirkaar Unko Is par Ittefaaq huwa ki ye Douno Jaadugar he, ye to Hame Is Zameen se Nikaalna Chaahte he, Hame Inse Sartod Muqaabla karna Chaahiye Apne Apne Daav Uske Saamne laakar Use Aajiz karna Chaahiye, Kaamyaabi par Hame Galba Haasil hoga.
(Tafseere Abi Saud, Jild-6, Safa-25)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-403)
*>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Jaadugaro ka Muqaabla Shuru hona
Quraane Majeed me he ki
“Bole Ay Musaa ya to Aap Daale ya Ham Daalne waale ho, Kahaa Tumhi Daalo Jab Unhone Dala Lougo ki Aankho par Jaadu kar Diya Aur Unhe Daraaya Aur Badaa Jaadu Laaye”
(Surah A’raaf, Aayat-115, 116)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Pehle Unhe Deen ki Da’awat di ki Tum Galat Raah par ho Apni Barbaadi Na Talaash karo, Lekin Jaadugar Jab Baaz Na Aaye Muqaable par hi Unka Ittefaaq huwa Aur Unhone Musaa Alayhis Salaam ko Kahaa ki Ab Zaraa Saamne Aa Jaao, Pehle Tum Apna Asaa Daalo ya Ham Apni Rassiya Aur Laathiya Daalte he, Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Deikha ki In par Koi Asar nahi huwa to Aap Alayhis Salaam ne Unhe Kahaa ki Thik he Pehle Tum hi Daalo..
Jab Unhone Apni Rassiya Aur Laathiya Daal diye to Lougo ki Aankho par Asar kar Diya ki Wah Sahi Deikhne Aur Samajhne ke Qaabil Na rahe,
Baaz Riwaayat me he ki Unhone Rassiyo Aur Laathiyo par Paara Chadha Diya tha, Fir Dhoop me rakhne ki Wajah se Unme Harkat Peida ho gayi, Lougo ne Samjha ki ye Apne Ikhtayaar se Harkat kar rahi he, Unki Harkat Deikh kar Loug Dar gaye, wo Ek Dusre ko Daraane lage ki Bach Jaao ye to Saanp ban gaye he Kyunki Kaseer(Zyada) Miqdaar me Khud Jaadugar the Aur Har Ek ke Haath me Kitni Laathiya Aur Rassiya thi, Is Tarah Us Meidaan me Har Taraf Saanp hi Saanp Nazar Aane Lag gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-404)
>> Note :
Yaad rahe ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jaadugaro ko Farmaya ki “Pehle Tum Daalo” ye Jaadu ki Ijaazat nahi thi Balki Unki Zid par Unhe Pehle Apni Rassiya Aur Laathiya Daalne ki Ijaazat di, Yaha wo Ayteraaz Khatm ho gaya ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Un Lougo ko Jaadu karne ki Ijaazat di, Haalaanki Jaadu karna Kufr he, Kufr ki Ijaazat deina bhi Kufr he, Iska Jawaab Waazeh ho Chuka ki Aap Alayhis Salaam ne Unhe Jaadu se Rouka Aur ye Bataya ki ye Baaise Azaab he Lekin Jab wo Jaadu karne par Ade the to Aap Alayhis Salaam ne Kahaa thik he Agar Apne Kufr ki Wajah se Meire Mo’ajiza se Muqaabla karna Chaahte ho to karlo, Taaki Haqq Aur Baatil me Farq Waazeh ho Jaaye,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-404)
*>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam hi Gaalib(Winner) honge
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Apne Nafs me Musaa ne Khouf Paya, Hamne Farmaya Dar nahi Beshak Tu hi Gaalib(Winner) he”
(Surah Taahaa, Aayat-67, 68)
Aap Alayhis Salaam ko Darr Kis Chiz ka Mehsus huwa..??
Aap Alayhis Salaam ko Darr Is Chiz ka Peida huwa ki
Loug Kahi Jaadugaro ke Jaadu ko Deikh kar ye Na Samajh Beithe ki ye Loug Bhi Musaa Alayhis Salaam ke Baraabar hi he, Lougo par Kahi Jaadu Aur Mo’ajiza me Farq karna Mushkil Na ho jaaye Jo Asal Maqsad he ki Lougo par Mo’ajiza ka Galba Waazeh ho jaaye wo Fout Na ho jaaye Pas Sirf Isi Baat ka Khouf tha,
RABB TA’ALA ne Farmaya Ay Musaa Dar nahi Beshak Aap ko hi Galba Haasil hoga Yaani Jaadugar Khud hi Apni Shikast(Nakaami) ka Jab Ayteraaf kar Leinge Aur Aapki Haqqaaniyat Taslim kar leinge to Maqshad Pura ho Jaayega.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-405)
*>> Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Mo’ajiza Aur Jaadugaro ka Imaan Lana
Quraane Azeem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Hamne Musaa ko Wahi Farmaayi ki Apna Asaa Daal to Naagaah (Achaanak) Unki Banaawato ko Nigalne laga, To Haqq Saabit huwa Aur Unka Kaam Baatil huwa, to Yahaa wo Maglub Pade Aur Zaleel ho kar Palte, Aur Jaadugar Sajde me gira diye gaye, Bole Ham Imaan Laaye Jahaa ke RABB par, Jo RABB he Musaa Aur Haarun ka”
(Surah A’raaf, Aayat-117, 118, 119, 120, 121, 122)
Wahi karne se Muraad Haqiqi Wahi bhi Ho Sakti he Aur Ilhaam bhi Ho Sakta he ki Us Waqt Aap Alayhis Salaam ke Dil me Ulqaa’a kar Diya gaya ho ki Aap Apna Asaa(Laathi) Daal de, wo Unke Jaadu se Banaaye hue Saanpo ko Nigal Jaayega Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apna Asaa Daala to wo Bahot Badaa Azgar Ban gaya, Usne Apna Moonh Khoula to Uske Moonh ke Darmiyaan 80 Zarra’a(120 Fit) Ka Faasla tha Aur Usne Unki Tamaam Rassiyo Aur Laathiyo ko Nigal liya, Haalaanki wo 300 Unto par Laad kar Laaye the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Use Pakda to wo Pahle ki Tarah Asaa ho gaya, Jaadugaro ki Rassiya Aur Laathiya Ma’doom(Naabud) ho gayi Yaani Aysi Baaqi Na rahi jeishe Unka koi Wajud nahi tha,
Baaz Jaadugaro ne Dusre Jaadugaro ko Kahaa ki ye Jaadu nahi ho Sakta Kyunki Jaadu me Ek Chiz ki Haqiqat nahi badalti Sirf Dusre Lougo ki Aankho par Asar hota he, Agar ye Jaadu hota to Hamaari Rassiyo Aur Laathiyo ko Na Nigal leita,
Is se Unhone Daleel Pakdi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Sacche NABI he,
Unhe Ma’alum ho gaya ki Hazrat Musaa Alayhis ka Mo’ajiza Jaadu nahi he, Unhe Yaqeen ho gaya ki ye ALLAH TA’ALA ki Taraf se Ataa Karda Mo’ajizaat se he, Insaani Banaawat se Iska Koi Ta’aluq nahi,
Agar wo Apne Jaadu ke Ilm me Kaamil Darja Na Rakhte hote to Mo’ajiza Aur Jaadu me Farq Na kar Paate, Balki Kehte ki wo Shaksh Jaadu ke Ilm me Hamse Zyada he, Is liye Ham Usse Aajiz Aagaye he, Pataa Chalaa ki wo Jaadu ke Ilm me Aala Darja Rakhte the Isi Kaamil Ilm ki Wajah se wo Kufr se Imaan ki Taraf Muntaqil hue,
Jab Jaadugaro par Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Mo’ajizaat ki Haqiqat Khul gayi to wo ALLAH TA’ALA Ka Shukr Adaa karne ke liye Be-Ikhteyaar Sajda me gir gaye ki ALLAH TA’ALA ne Hame Toufiq Ataa ki ke Hame Pataa Chal gaya ye Mo’ajiza he Jaadu nahi, Fir Unhone kaha RABBUL AALAMIN Par Hamaara Imaan he..
Khyaal rahe ki Sirf ALLAH TA’ALA par Imaan Laane se Imaan ki Takmil nahi hoti Balki Imaan Mukammal Usi Waqt hota he Jab NABI par Imaan Laaye Kyunki NABI par Imaan Laane se Tamaam Imaaniyaat par Imaan Lana Laazim ho jata he Isi Liye Unhone Fir Kahaa ki Hamaara Imaan Musaa Alayhis Salaam Aur Haarun Alayhis Salaam ke RABB TA’ALA Par he Yaani Inhe RABB TA’ALA ne NABI Banaa kar Bheija he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-405, 406)
Leave A Comment