Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 1
Aaj se InshaAllah ALLAH TA’ALA ke Pyaare Nabi Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ke Baare me Waaqiyaat Aayenge…
Aap Lougo se Guzaarish he ki Post Padhte rahe Aur Aage Dusre Musalmaan Bhaiyo tak Pahonchate rahe…
>> Bani Israaeel :-
Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ki Aulaad ko Bani Israaeel Kaha jata he kyunki ‘Israaeel’ Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka ‘Laqab’ he ya Aap ka Dusra Naam he, Lafz ‘Israaeel’ me Ek Qoul ye he ki ye Ajami Lafz he, ‘Israa’ Aur ‘eel’ se Murakkab he, ‘Israaeel’ ke 4 Ma’ani Bayaan kiye gaye he,
Abd(Banda, Ibaadat karne Wala),
Safwa(Barguzida)
Insaan Aur
Muhaajir(Hijrat karne wala),
Aur ‘eel’ ka Ma’ani he ALLAH TA’ALA,
Is Lihaaz par Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka ye Naam Is liye huwa ki ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Guzaar Aur Uski Barguzida Aur Uske Peida karda Azeemul Martabat Insaan Aur ALLAH TA’ALA ki Taraf Ruju’a karne wale Yaani Hijrat karne waale bhi the,
Baaz Hazraat ne kaha ki ye Lafz Arabi he, ‘Israa’ ka Ma’ani he Raat ko le Jaana Aur ‘eel’ ka Ma’ani he ALLAH TA’ALA , Ab Is Lihaaz par Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka Naam rakha gaya ki ALLAH TA’ALA ne Aapko Raat ke Waqt Apni Taraf Ruju’a Karaya ki Aap Uski Taraf Hijrat karne waale hue.
(Tafseere Qurtubi, Jild-1, Safa-331)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-369)
 
Hazrat musa alaihassalam “Hazrat Harun  alaihissalam”
>> Hazrat musa alaihassalam 
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Waalid Imraan he, Jo Apne Qabile ke Sardaar the, Laavi Bin Yaaqub ki Aulaad se the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida ke Naam me Ikhtelaaf he, Yaarkhaa, Ayaarkhat, Nokhaanaz, Lawkhaa, Mariyam, Sahi Qoul pehla he Yaani ‘Yaarkhaa’, (Tafseere Naeemi me ‘Aaiz’ Likha he).
(Tafseere Jalaalein, Safa-326)
>>”Hazrat Harun  alaihissalam”
H”Hazrat Harun  alaihissalam” Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Sage Bhai he, Bahot Bade Housla-Mand Aur Bard-baar(Maherbaan) the, Bani Israaeel Aapse Bahot Mohabbat Karte the,
Ek Riwaayat me Aaya he ki Hazrat Haarun Alayhis Salaam Musaa Alayhis Salaam se 3 Saal Bade the.
(Tafseere Saawi bar Jalaalein, Safa-141)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-369, 370)

>> Saamri  jadugar

Saamri Jisne Bani Israaeel ko Bachhade(Bull) ki Pujaa par Lagaa Diya tha(Jiska Zikr InshaAllah Aage Aayega) Uska Naam bhi Musaa tha, Saamri ke Naam wa Nasab Aur Jaaye-Sukunat(Rehne ki Jagah) ke Baare me Aqwaal Mukhtelaf(Alag Alag) he, Sabse Zyada Waajeh Qoul yahi he ki Uska Naam Musaa Aur Uske Baap ka Naam Zafar tha Aur Wo Bani Israaeel ka Ek Qabila ‘Saamra’ tha Us Qabile ki Munaasebat se Uski Jaaye-Sukunat(Rehne ki Jagah) ka Naam bhi ‘Saamra’ huwa, Isliye Usko Saamri Kehte he, ye Shakhs khud Aur Uska Sara Qabila ke Tamaam Loug Gaay ki Parastish(Pujaa) kiya karte the, ye Saamri Us Zamaane me Peida huwa Jab ki Firoun Bani Israaeel me Peida hone waale Har Ladke ko Zabah kar deita tha, Jab ye Peida huwa to Uski Maa ne Use Pahaad ki Gaar me Chhupa Diya, Bani Israaeel ke Is qism ke Baccho ki Tarbiyat ke liye Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Muqarrar Farmaya tha, Us Musaa Bin Zafar Yaani Saamri ki Tarbiyat ke liye bhi Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Mut’aeen the, wo Uski Gaar me Tashreef laate Aur Uska Apna Haath Uske Moonh me de deite Jisse wo Dhoodh Aur Shahad Chusta rehta.
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-284)
Baaz Ulma ne Likha he ki Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Khud Apni Ungaliya Uske Moonh me de deite the Jisse wo Dhoodh Aur Shahad Chusta tha,
Jab Aadmi Asale Khalqat me Sa’aadat se Mahrum ho to Uski Tarbiyat karne Waalo ke Dimaag Heiyrat-Zada Aur Usse Behtari ki Ummid rakhne waale Khaaib(Na-kaam) wa Khaasar ho kar rah Jaate he, wo Musaa Jiski Parwarish Jibrail Alayhis Salaam ne ki, Kaafir huwa Aur Wo Musaa Alayhis Salaam Jiski Parwarish Firoun ne ki ALLAH TA’ALA Ka Rasool(Bhejaa huwa) he.
(Roohul Ma’ani, Safa-277)
Saamri Hazrat Musaa Alayhis Salaam par Bazaahir Imaan laaya, Magar Pakka Munaafiq tha.
(Attibyaan, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-370)
 

> Firon

Misr ke Baadshaaho ka Laqab ‘Firoun’ huwa karta tha, Jis Tarah Room ke Baadshaaho ka ‘Qeisar’, Faaras ke Baadshaaho ka ‘Kisraa’, Yaman ke Baadshaaho ka ‘Tab’a’, Turk ke Baadshaaho ka ‘Khaakaan’ Aur Habsha ke Baadshaaho ka Laqab ‘Najjaashi’ tha,
Misr ke Jitne Baadshah bhi Guzre he koi bhi Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane ke Firoun se Zyaada Bad-Khalq, Sakht-Dil Aur Zaalim Nahi tha,
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Zamaane ke Firoun ka Naam ‘Rayyaan Bin Walid’ tha, Jisne Imaan Qabul kar liya tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane me Paya jaane waala Firoun ‘Walid Ibne Mas’ab Ya Mas’ab Bin Rayyaan’ tha, Baaz ne Uska Naam ‘Qaabus’ bhi Tehrir kiya he, Qabilaa e Qibtiyaa se tha, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane me Paaye Jaane waale Firouno ke Darmiyaan 400 Saal se Zyaada Arsa tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-370, 371)
 

>> Bani Israaeel ke Baccho ko Zabah karna

quran me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur (Yaad karo) Jab Hamne Tumko Firoun Waalo se Naja’at Bakshi ki jo Tumpar Buraa Azaab karte the Tumhaare Beito ko Zabah karte Aur Tumhaari Beitiyo ko Zinda Rakhte Aur Usme Tumhaare RABB ki Taraf se Badi Aazmaaish thi Ya Badaa Inaam”
(Surah Al Baqrah, Aayat-49)
Firoun ne Ek Khwaab deikha ki Beitul Muqaddas ki Jaanib se Ek Aaag Nikli he Jisne Misr ko Gheir liya Aur Tamaam Qibtiyo ko Jalaa Diya lekin Bani Israaeel ko Usne koi Nuqsaan Na Pahonchaya, Is Khwaab se Firoun Bahot Pareshaan huwa Usne Khwaab ki Ta’abir Bayaan karne waale Maahirin se Puchha ki Is Khwaab ki Ta’abir kya ho Sakti he..??
Unhone Bataya ki Is Khwaab se to yahi Samajh Aata he ki Bani Israaeel me Ek Baccha Peida hoga Jo Tumhaari Baadshaahi ke Zawaal(Mout) ka Sabab banega, ye Soon kar Firoun ne Hukm de Diya ki Bani Israaeel me Jo Baccha bhi Peida ho Use Zabah kar Diya jaaye, Is Tarah Uske Hukm Se Hazaaro ki Taadaad me Unke Bacche Zabah kar diye gaye wo Jo Zabah kiye gaye Unki Taadaad 12,000 ya 70,000 thi, Itni Baat Waajeh he ki Hazaaro ki Taadaad me the.
(Jaml Bahawaala Tafseere Jalaalein, Safa-9)
Unhe Ladkiyo se koi Khatra nahi tha Is liye Unko Zinda Chhod deite,
ALLAH TA’ALA ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Zamaane ke Bani Israaeel ko ye Haalaat Yaad karne ke liye (Quraane Paak me) Farmaya ki Tumhaare Baap-Daada par Hamaare Bade Inaam the, wo bhi Shukr karne ki Bajaaye RABB TA’ALA ke Ahekaam ka Inkaar hi karte rahe Aur Khaaib(Na-kaam) wa Khaasar hue, Tumhe Chaahiye ki Tum Nasihat Haasil karo,
“Usme Tumhaare RABB ki Taraf se Badi Aazmaaish thi Ya Badaa Inaam”
Iske 2 Matlab he ki
1ye ki Tum Jin Musibato me Giraftaar the wo Tumhaari Bahot Badi Aazmaaish thi ki Sabr karte ho ya nahi, Aur
2ra Matlab ye he ki Tum par Jo ALLAH TA’ALA ne Inaam kiye ki Tumhe Firouniyo se Naja’at di ye Tumhaari Aazmaaish thi ki Kya Tum Ne’amato ka Shukr karte ho ya nahi…??.
(Roohul Ma’ani, Jild-6, Safa-254)
(Tafseere Kabeer, Jild-2, Safa-66)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-371, 372)