Hazrat musa alaihassalam ne Douraan E Khutba Irshad Farmaaya ki Mujhe Meire RABB TA’ALA ne ye Hukm Diya he ki Mei Uska Peigaam Tumhe Pahnochau ki Tum ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Karo Aur Uske Saath Koi Sharik Na Thehraao, Sila Rahmi karo, Is Tarah Aapne Aur Bhi Kayi Ahekaam Bayaan Farmaaye Aur Aap ne ye Farmaya ki RABB TA’ALA ne Mujhe Hukm Diya he ki Mei Zaani ko Sangsaar karu, Qaarun Aur Uske Chamche Kehne lage Yahi Kaam Agar Tum Karo..??
Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe Bhi Sangsaar kar Diya Jaaye, Unhone kaha Tumne to Zina kiya he (Ma’azAllah),
Hazrat musa alaihassalam ne Farmaya Meine..??
Unhone kaha Haa Tumne,
Abhi wo Aurat Majma E Aam me Aakar Bataayegi, Us Aurat ko Bulaya gaya, Sabne kaha ki Tum Bataao Jo Ma’amla Tumhaare Saath Darpeish Aaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA Par Imaan Rakhte hue Sach Sach Bataao ki Asal Waaqiya Kya he,
Us Aurat ne kaha Jab Tumne ALLAH TA’ALA Ka Naam liya he to Ab Mei Sach Sach Bayaan karungi Koi Jhut ki Aamizsh nahi hogi,

Usne kaha Un Lougo ne Mujhe Bulaya Aur Kaseer Maal Deine ki Peish-kash ki he ki Mei Tumpar Tohmat Lagaau Ki Tumne Meire Saath Buraai ka Irtekaab kiya, Mei Gawaahi deiti hu ki Beshak Tum Paak Daaman ho, Har Tarah se Paak Saaf ho Aur Tum ALLAH TA’ALA ke Rasool ho, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Route hue Sajde me gir kar Aur RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz karne lage Ay MOULAAYE KAAYENAAT Jab Mei Teira Rasool hu Tu Inko Apni Giraft me le le, RABB TA’ALA ne Irshaad Farmaya Ay Musaa Alayhis Salaam Zamin ko Tumhaare Hukm ke Taabe kar Diya he Use Jo Hukm deinge wo Tasleem Karegi, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Bani Israaeel ko kaha Mujhe RABB TA’ALA ne Qaarun ki Taraf bhi Ayse hi Bheija Jeise Firoun ki Taraf, Is liye Jo Shaksh Uska Saath deina Chaahe wo Uska Saath de Aur Jo Meira Saath deina Chahta he wo Use Chhod de, Hazrat musa alaihassalam ke Is Irshad par Uske Saath Sirf 2 Aadmi rah gaye, Baaqiyo ne Uska Saath Chhod Diya,

Fir Hazrat musa alaihassalam ne Farmaya
“Ay Zamin Inko(Qaarun Aur Uske Saathiyo ko) Pakad le”
Zamin ne Unko Aydiyo tak Apne Andar Dhansa liya, wo kah rahe the Ay Musaa Alayhis Salaam..! Ay Musaa Alayhis Salaam..!! Lekin Aap Bad-Satur Farma rahe the, Ay Zamin Inko Pakad le, To Zamin ne Unko Ghutno tak Dhansa liya, Fir Usne kaha Ay Musaa Alayhis Salaam..!! Ay Musaa Alayhis Salaam..!!
Lekin Aapne Koi Tawajjo Na di Balki Zamin ko kaha Unko Apni Giraft me le le to Zamin ne Unko Kamar tak Dhansa liya Fir Isi Tarah Gardano tak wo Dhans gaye Is Haalat me Wo Musaa Alayhis Salaam ke Saamne Aaah wa Zaari kar rahe the, Aap par Raham ke Waaste Daal rahe the Lekin Aap ne Shiddat e Gazab ki Wajah se Unki Baat ki Taraf Koi Dhyaan Na kiya Balki Zamin ko Aakhri Hukm bhi de Diya, Aakhir Zamin ne Unko Mukammal Tour par Apne Andar Sameit liya,

ALLAH TA’ALA neHazrat musa alaihassalam ki Taraf Wahi ki Aur Farmaya Ay Musaa Tumne Kitni Shakht Deeli ka Muzaahira kiya he, Wo Tumhe Baar Baar Pukaar rahe the Lekin Tumne Unpar Kuchh Raham Na kiya Unki Aaah Wa Zaari par Kuchh Tawajjo Na di Aur Dusri Riwaayat me he ki Khabardaar Apni Izzat wa Jalaal ki Qasam Agar Mujh se Koi Fariyaad Talab karta to Mei Uski Haajat ko Poora karta, Agar wo Mujhe Ek Martaba hi Koi Pukaarta to Mujhe Apni Pukaar Qabul karne Wala Pata,

RABB TA’ALA ke Is Irshad ka Jawaab Hazrat musa alaihassalamne bhi Kya Khub Diya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Ay Meire RABB Meine Teire liye hi to Gussa karte hue ye kiya he Ya’ni Ay ALLAH TA’ALA Jab wo Teire Deen ke Ahekaam ko Pamaal kar rahe the Khud Gumraah ho rahe the Aur Dusro ko Bhi Gumraah kar rahe the to Meine Teiri Baargaah me Arz kiya Ki Ay MOULAAYE KAREEM Jab Mei Teira Rasool hu Inhe Teire Ahekaam Pahoncha Raha hu Lekin ye Apne Tariqe se Baaz nahi Aa rahe to Inko Apni Giraft me le le,

Ay RABB E KAREEM Tujh se Badh kar Koun Jaanta he ki Meine Un par Is liye Gussa Nahi Kiya ki Unhone Mujhpar Tohmat Lagaayi he Isme wo Khud hi Zaleel ho Chuke the, Meira Gussa to Teiri Zaat ki Wajah se tha Mei Unki Aah Pukaar ko keise Soonta..
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-123)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-452, 453, 454)