Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 20 Bani Israaeel ki Sarkashi ke Baawazud Unpar Inaa’maat
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Humne Abar(Baadal) ko Tumhaara Saaybaan kiya Aur Tumpar Mann Aur Salwa Utaara Khaao Humaari di Hui Suthri Chize Aur Unhone Kuchh Humaara Na Bigada ha Apni hi Jaano ko Bigaad Karte the”
(Surah Al Baqara, Aayat-57)
Bani Israaeel ki Intehaahi Sarkashi ke Bawajood ALLAH TA’ALA ne Unpar Be-Shumaar Inaa’maat Farmaaye, Is Aayate Kareema me Jin Ne’amato ka Zikr he Unka Ta’aluq Meidaane Tiy se he Jaha wo 40 Baras tak Pareshaan Haal rahe, Us Waadi me Na Koi Saaya tha, Na Koi Darakht, Na hi Koi Imaarat, Na Pine ke liye Paani, Na Khaane ke liye Koi Chiz, Na Roshni thi Aur Na Zaruriyaat E Zindagi ke Digar Lawaazmaat, Is Be-Saro-Saamaani Aur Garibul Watani ke Aalam me Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa se Unke liye Sab Saamaan Muhaiyya ho gaye, ALLAH TA’ALA ne Dhoop se Bachaao Aur Saaya Milne ke liye Baadal Batour Saaybaan Naazil Farma diya Khane ke liye Mann Salwa Bheij Diya,
Mann Ek Nafees Sheire Zaayqadaar Madda(Mithi Chiz) tha Jo Sabnam ki Tarah Subah ke Waqt Aaasmaan se Utarta Aur Kaseer Miqdaar me Chhote Chhote Darakhto par Jam jata tha,
jab wo Kaseer Miqdaar me Mann kha kar Moute hogaye to Kehne lage Ay Musaa Alayhis Salaam Is Mann ki Mithas ne to Hame Maar kar Rakh Diya he,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Duaa ki to RABB TA’ALA ne Unpar Salwa Naazil Farmaya,
Baaz ne kaha Salwa Bit tha, Baaz ne kaha ki wo Bhuna huwa Utarta tha Aur Baaz ka Qoul he ki Ba-Kasrat Zinda Parinde Unke Paas Jama ho Jaate the, wo Unhe Zinda Pakad leite Aur Zabah karte the, Algaraz Mann Aur Salwa Unki Namkeen Lateef Gizaaye thi Jinhe Shikam Sheir ho kar wo khaate the, Taariki(Andhera) Door karne ke liye Khambe ki Shakl me Ek Roshni Zaahir ho Jaati thi, Libaas ke Baare me ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Aijaazi Shaan Is Tarah Zaahir Farmayi ki Na Un Lougo ke Kapde Meile hote Aur Na hi Fat-te Aur Unke Baccho ke Jism Saath Baccho ka Libaas bhi Badhta rehta tha,
Itne Azeem Wa Jaleel Ahesaanat wa Inaa’maat ke Baawazud Unhone Na-farmaaniya ki Aur Apni Na-farmaaniyo se Unhone Humara Kuchh Na Bigada, Ha wo Apne (Aap) hi ko Nuqshan Pahunchate rahe.
(Tafseere Qurtubi, Jild-1, Safa-406-408)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-440, 441, 442)
>> Patther se Paani Nikaalna
Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Jab Musaa ne Apni Qoum ke liye Paani Maanga to Humne Farmaya Is Patther par Apna Asaa(Laathi) Maaro Fouran Usme se Baarah(12) Chasme Bah Nikle Har Giroh ne Apna Ghaat Pahechan liya Khao Aur Piyo KHUDA ka diya Aur Zamin me Fasaad Uthaate Na Firo”
(Surah Al Baqara, Aayat-60)
Meidaane Tiy me 6 lakh(6,00,000) ki Taadaad me 12 Meel par feile hue Lashkar ko Jab Pyaas ki Shiddat Mehsus Hui to Unhone Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Saamne Apni Be-Basi ka Zikr kiya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA se Duaa ki to ALLAH TA’ALA ne Aapki Duaa ko Qabul kiya Aur Hukm Diya ki Ay Musaa Alayhis Salaam Apna Asaa Patther par Maaro Paani Jaari ho Jaayega, Aap Alayhis Salaam ne Apna Asaa Patther par Mara to 12 Chashme Jaari hue, Har Qabile ne Ek Ek Chasma Apne liye Istemaal kar liya, Patther se Jaari hone Wala Pani Itni Badi Taadaad ke Lougo ke liye Kaafi tha.
(Tafseere Abu Saud, Jild-1, Safa-105)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-442)
SubhanAllah..
*>> Meidaan E Tiy se Na’jaat Aur Unki Sarkashi :-
Quraan Shareef me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Aur Jab Humne Farmaya Us Basti me Jaao Fir Usme Jaha Chaaho Be-Rok Tok Khaao Aur Darwaaze me Sajda karte Daakhil ho Aur Kaho Humaare Gunaah Ma’af ho Hum Tumhaari Khataaye Bakhsh deinge Aur Qarib he ki Neiki Waalo ko Aur Zyada de, To Zaalimo ne Aur Baat Badal di Jo Farmaayi gayi Thi Uske Siwa to Humne Aasmaan se Unpar Azaab Utaara Badla Unki Be-Hukmi ka”
(Surah Al Baqara, Aayat-58, 59)
ALLAH TA’ALA ne Is Qoum ko Farmaaya ki Jab Tum Shahar me Daakhil ho to Sajda karte hue Aajiz wa Inkesaari se Daakhil hona Aur Zubaan se “Hitttun”(Touba/Ma’afi) kehna Lekin Qoum ne Apni Saabqa Riwaayat ko Bar-qaraar Rakhte hue Sarkashi se Sajda karte hue Daakhil hone ki Bajaaye Apni Sarino ke Bal Ghasit te hue Daakhil hona Ikhteyaar kiya Aur “Hitttun”(Touba/Ma’afi) Kehne ki Jagah “Hinttun”(Hame Gandum(Genhu) Chaahiye) kaha Unki Sarkashi Aur Hudud se Tijaawat ki Wajah se ALLAH TA’ALA ne Taaun(Pleg) ka Azaab Bheija Jis se wo 24 Hazaar ki Tadaad me Mar gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-88)
Isme Ikhtelaaf he ki wo Basti Konsi thi Aur Kis Zamaane me Bani Israaeel ne Use Fatah kar liya,
Iski Tashrih ye he ki Us Shahar ko Bani Israaeel ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Zindagi Ke Aakhir Zamaane me Fatah kiya Aur Waha Badi Badkaariya ki Jinke Natije me KHUDA TA’ALA ne Unpar Waba Bheiji Aur 24 Hazaar Aadmi Halaak kar diye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-443)
Leave A Comment