Hazrat musa alaihassalam -Bani Israaeel ke 70 Aadmiyo ki Rooho ko Loutana

Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Tumne kaha Ay Musaa Hum Hargiz Tumhaara Yaqin Na Laayenge Jab tak Khule Bando KHUDA Ko Na Deikh le to Tumhe Kadak ne Aa liya Aur Tum Deikh rahe the, Fir Mare Pichhe Humne Tumhe Zinda kiya ki Kahi Tum Ahesaan Maano”
(Surah Al Baqara, Aayat-55, 56)

Bachhde ki Puja karne Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Sarzansh karne ke Baad wo Loug Bahot Pashimaan(Ma’afi ke Talabgaar) hue to ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Hukm Diya ki Aap Apni Qoum ke Behtarin 70 Afraad(Aadmiyo) ko Saath Lekar Toor par Aajaaye Taaki wo Tamaam Qoum ki Taraf se Bachhde ki Puja ke Jurm ki Ma’afi Talab Kare, Aap Alayhis Salaam Unko Jab Saath le kar gaye to Unhone Kaha Ay Musaa Alayhis Salaam Tum Apne RABB TA’ALA se Sawaal karo Yaha Tak ki Hum bhi Uske Kalaam ko Soone, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya to Use Qabul kar liya gaya,
Jab Aap Alayhis Salaam Pahaad ke Qarib Pahunche to Sutun ki Shakl me Baadal Namudaar huwa Jisne Tamaam Pahaad ko Apni Lapeit me le liya Hazrat Musaa Alayhis Salaam Us Baadal ke Qarib hue Yaha Tak ki Usme Daakhil ho gaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apne RABB TA’ALA se Kalaam kiya to Aap Alayhis Salaam ki Peishani se Ek Noor Chamakne laga, Insaano me se Koi Ek Use Deikhne ki Taaqat nahi Rakhta tha, Qoum ne ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Soona Jo Usne Musaa Alayhis Salaam ko kaha ye karo Aur Ye Na karo, Jab Kalaam ka Silsila Khatm huwa to Baadal ko Utha liya gaya,

Qoum ne kaha Hum Hargiz Tumhaara Yaqin nahi Karenge Jab tak ALLAH TA’ALA ko Zaahir nahi Deikh leinge to Unko Bijli ki Kadak ne Apni Giraft me le liya Aur Sab Mar gaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Khade hue Aaasmaan ki Taraf Haath Utha kar Duaa karne lage Aur Arz kiya Ay ALLAH TA’ALA Bani Israaeel ke 70 Aadmiyo ko Muntakhib(Select) karke Laya tha Taaki Unki Touba Qabul hone par Meire Gawaah Bane Ab me Unki Taraf Waapis Jaaunga to Meire Saath Koi Ek bhi Jab nahi hoga to Wo Meire Muta’aliq kya Khayaal Karenge Musaa Alayhis Salaam Duaa Farmaate rahe, Yaha Tak ki ALLAH TA’ALA ne Unki Rooho ko Louta Diya,

Khyaal rahe ki Ek Martaba Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Tauraat Leine ke liye Toor par gaye Us Waqt 70 Aadmiyo ko Saath Lekar gaye Fir Wapis Loutne par Qoum ke Bachhde ki Puja karne ke Baad Lekar gaye, Albatta Isme Ikhtelaaf he ki Pehle Un Aadmiyo ko Lekar gaye Fir Unhone Ek Dusre ko Qatl karke Touba ke Waaqiya ke Baad le kar gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-436, 437)

*>> Qoum ka Ahekaam E Khudawandi Maan ne se Inkaar :-*

Quraane Majeed me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Aur Jab Humne Tumse Ahad liya Aur Tumpar Toor(Pahaad) ko Uncha kiya Aur Jo Kuchh Hum Tumko Deite he Zour se Aur Uske Mazmun Yaad karo Is Ummid par ki Tumhe Parhezgaari Mile”
(Surah Al Baqara, Aayat-63)

Is Aayate Kareema me Bani Israaeel ki Ek Aur Bad-Tarin Bagaawat wa Sarkashi ka Zikr Farmaya wo ye ki Us Qoum ne Musaa Alayhis Salaam se Khud hi Mutaalba kiya ki Hamaare Paas ALLAH TA’ALA ki Koi Kitaab Aani Chaahiye Jiske Ahekaam ke Mutaabik Hum Apni Zindagi Basar Kare Aur Un Ahekaam ki Roshani me Falaah Aur Bhai ki Raay Paaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Unke Paas ALLAH TA’ALA ki Kitaab Tauraat Laaye to Usme Unki Sarkashi ke Lihaaz se Kuchh Bhaari Ahekaam bhi the Magar Ayse Nahi Jo Na-Qaabil E Amal ho Balki Unki Haalat ke Munaasib Aur Hikmat E ILAAHIYA ke Ayn Mutaabiq the, Bani Israaeel ne Sirf Bagaawat Aur Sarkashi ki Wajah se Unhe Qabul karne se Inkaar kar Diya, ALLAH TA’ALA ke Hukm se Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Pahaad ka Ek Hissa Unpar Utha liya Aur Irshaad huwa
Humne Tumhe Jo Kuchh Diya Use Mazbuti ke Saath Pakadlo, Is par Unse Pukhta Ahad liya gaya Lekin Unhone Usko bhi Toda, ALLAH TA’ALA ne Unke Baatani Fasaad ko Khub Achhi Tarah Zaahir karne Aur Unhe Ruswa karne ke liye Quraane Majeed me Unpar Pahaad Utha Leine ka Zikr Baarbaar Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-438)
.
*>> Aemaalqa se Jihaad ka Hukm Aur Bani Israaeel ka Palatna :-*

Quraane Majeed me he ki
“Ay Qoum Us Paak Zamin me Daakhil ho Jo ALLAH ne Tumhaare Liye Likhi he Aur Pichhe Na Palto ki Nuqsaan par Paltoge, Bole Ay Musaa(Alayhis Salaam) Usme to Bade Zabardast Loug he Aur Hum Usme Hargiz Daakhil Na honge Jabtak wo waha se Nikal Na jaaye, Ha wo waha se Nikal jaaye to Hum waha jaaye, Do(2) Mard ki ALLAH se Darne Waalo me se the ALLAH ne Unhe Nawaaza Bole ki Zabardasti Darwaaze me Unpar Daakhil ho Agar Tum Darwaaze me Daakhil ho Jaaoge to Tumhaara Hi Galba he Aur ALLAH hi Par Bharosa karo Agar Tumhe Imaan he, Bole Ay Musaa(Alayhis Salaam) Hum to Waha Kabhi Na Jaayenge Jab tak wo waha he to Aap Jaaiye Aur Aapka RABB Tum Dono Lado Hum Yaha Beithe he, Musaa(Alayhis Salaam) ne Arz ki ke Ay RABB Meire Mujhe Ikhtayaar nahi Magar Apna Aur Apne Bhai ka to Tu Humko In Be-Hukmo se Alag Rakh”
(Surah Al Maida, Aayat-21, 22, 23, 24, 25)

Bani Israaeel ka Aaabai Watan(Baap-Dada ka Watan) ‘Maaluf’ Sham tha, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Dour me Ye Loug Misr Aakar Muqim hue Aur Waha Mukhtelaf Haalaat se Guzarte rahe, Firoun e Misr ki Gulaami me Kathin Dour bhi Un Lougo ne Misr me Guzare, Aakhirkaar ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zariye Unhe Naja’at dilaayi, Firoun Darya me Garq huwa Aur Bani Israaeel ne Itmenaan ka Saans liya, Us Douraan Mulk E Shaam par Qoume Aemaalqa Qabiz ho Chuki thi Aur Unhone waha Galba(Haawi) Qayam kar liya tha, Firoun ki Gulaami se Na’jaat Haasil Karne ke Baad Bani Israaeel ko Hukm huwa ki Aemaalqa se Jihaad karke Unse Apna Asal Watan Aazad karaaye Aur Waha Jaakar Muqim ho jaaye,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne waha ke Lougo ke Haalat Ma’alum karne ke liye 12 Naqib(Sardaar) Rawana kiye Jo 40 Roz(Din) tak waha ke Haalat ka Mushaaida karte rahe, Jab Waapas Aaye to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Farmaya ki Tum Qoum ke Saamne Aysi Koi Baat Na kehna Jis se Unke Housle Past(Kam) ho Lekin 12 me se 10 ne waha ke Lougo ki Quwwat wa Zulm Unke Qad wa Qaamat Unke Qilo ki Mazbuti ka Aysa Naqsha Khincha ki Bani Israaeel Chilla Uthe Aur Intehaahi Be-Baaki se Apne Peigambar ko keh Diya ki Hum Aysi Qoum se Takkar le kar Apne Baccho ko Yatim Aur Apni Biwiyo ko Bewa karne ke liye Hargiz Taiyyar nahi, Aap Aur Aap ka KHUDA Pehle Un se Jaa kar lade Unse Mulk ko Paak Kare to Fir Hum Apne Aaabai Watan ka Rukh Karenge, Unhone kaha Hum Shaam ki Zar-kheiz Zamino Thande Paani ke Ubalte hue Chashmo Aur Falo se Lade(लदे) hue Baagat Aur Waha ki Izzat ki Zindagi se Baaz Aaye Hum to Waapas Misr Jaate he,

Dusre 2 Sardaar Hazrat Yush’a Bin Noon Aur Kaalib Ne Bahot Samjhaya ki Na-Mard Na Bano, Zara Himmat karke Dushman ke Shahar ke Darwaaze se Daakhil hokar Humla karke Deikho, Nusrate ILAAHI Kis Tarah Tumhaare Dushmano ko Kuchal kar Rakh deiti he leikin Unpar Uska Koi Asar Na ho Jab wo Aemaalqa ki Taaqat ka Haal Soon kar Dil Chhod Beithe Aur Jihaad se Moonh Modkar Waapas loute, ALLAH TA’ALA ne Unke Is Jurm ki Saza Yu di ki wo Apne Gharo tak Waapas Na Pahunch Sake Aur 40 Baras tak Waadi E Tiy me Heiraan wa Pareshaan ghumte rahe,

‘Tiy’ Misr Aur Shaam ke Darmiyaan Ek Wasi’a Aur Khulaa Meidaan tha, Tiy ke Ma’ani he Heiraangi wa Pareshaani, Bani Israaeel Us Meidaan me 40 Saal tak Intehaahi Heiraani Aur Pareshaani ke Aalam me rahe Isi liye Use Waadi E Tiy kaha jata he, Bani Israaeel Apne Gharo tak Jaane ki Fikr me Din Bhar Safar karte, Raat Basar(Guzaar) karne ke Baad Subah Apne Aap ko Wahi Paate Jaha se Guzishta Subah Unhone Safar ka Aagaz kiya tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-439, 440)