Hazrat Isa Alayhis Salaam ki Waalida ka Naam Maryam ,
Naani ka Naam Hanna Aur Nana ka Naam Imraan he,
Hanna ki Ek Aur Bahen thi Jis ka Naam Isha’a tha, ye Dono Faaquz ki Beitiya he,
Hazrat Imraan Aur Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Dono Ek hi Zamaane me hue, Hanna Imraan ke Nikaah me thi Aur Isha’a Zakariya Alayhis Salaam ke Nikaah me,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida Hazrate Mariyam Alayhis Salaam, Aur Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam Khala-zaad(Khala ke Ladke) he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-478)


>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Naani ka Nazar Maanna :-*
Quraane Kareem me he ki
“Jab Imraan ki Biwi ne Arz ki Ay RABB Meire Mei Teire liye Mannat Maanti hu Jo Meire Peit me hei ki Khaalis Teiri hi Khidmat me rahe To Tu Mujh se Qubul karle Beshak Tu hi Soonta Jaanta”
(Surah Aale Imraan, Aayat-35)
Imraan ki Zovja Hanna ki Aulaad nahi thi, Ye Budhape ki Umr tak Pahunch chuki thi, Ek Din Darakht ke Saaye me Beithi thi, Unhone Ek Parinde ko Deikha Jo Apne Baccho ko Chog khila Raha tha to Aapke Dil me bhi Aulaad ki Khwaaish Peida Hui to Aapne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya Ay ALLAH TA’ALA Mujhe Baccha Ataa Farma, Aap ki Duaa ko Qabul kar liya gaya, Jab Aap Haamela ho gayi to Aapne Nazar Maani ki Meire Peit me Jo Baccha he Use Mei Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf kar dungi Jo Teire Ghar ki Khidmat-guzaari Karega, Agarche Aapne Sirf Itna hi kaha tha Jo Meire Peit me he Lekin Is se Muraad Muzakkar tha Kyunki Us Waqt Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Muzakkar Bacche hi Waqaf kiye Jaate the, Mu’annas Bacchiya Waqaf nahi ki jati thi Jab Aapne Apni Nazar ka Zikr Apne Khaawind se kiya to Unhone kaha ki Agar Tumhaari Bacchi Peida ho gayi Fir Kya karogi..??
To Unhone Fir ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz ki “Ay ALLAH Meiri Nazar Qabul kar” Yani Mujhe Baccha hi Ataa kar Taaki Use Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf kar Saku.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-26)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-133)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-478, 479)

>> Bacchi Peida Hone par Hasrat(Afsos)

Quraane Majeed me he ki
“Fir Jab Use Janaa Boli Ay RABB Meire Yah to Meine Ladki Jani Aur ALLAH ko Khub Ma’alum he Jo Kuchh Wah Jani Aur Wah Ladka Jo Usne Maanga Is Ladki sa nahi Aur Meine Uska Naam Mariyam rakha Aur Mei Use Aur Uski Aulaad Ko Teiri Panaah me deiti hu raande hue Sheitaan se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-36)
Hazrat Maryam Alayhis Salaam ki Waalida ne Ladke ko Beitul Muqaddas ki Khidmat me Waqaf karne ki Nazar Maani thi Kyuki Us Waqt Unki Shariyat me Ladko ki hi Nazar Maani jati thi Ladkiyo ki Nahi, Muzakkar hi Ibaadat ke Maqaam ki Hameisha Khidmat kar Sakte he, Mu’annas ko ye Maqaam Haasil nahi kyuki Unko Heiz Laahaq hota he, Muzakkar Apni Quwwat wa Taaqat ki Wajah se Khidmat kar Sakta he wo Mu’annas nahi Kar Sakti Kyunki Usme Taaqat ki Kami hoti he, Muzakkar Khidmat ke Muaamlaat me Lougo se Meil-Jol rakh Sakta he Uske liye Aiyb nahi Lekin Mu’annas ke liye Lougo se Meil-Joul Aiyb he, Muzakkar ke liye Mardo se Milne Julne me Koi Tohmat Nahi hoti Lekin Mu’annas ke liye Tohmat he,
Jab Ladki Peida ho gayi to Khouf Laahaq huwa ki RABB Mei Nazar Keise Poori kar Sakungi, Azr Peish karte hue Hasrat(Afsos) Aur Izhaar karte hue RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya Ay Meire RABB Meine Bacchi Jani Ab Mei Kya karu, Nazar ko Keise Poora karu..??
To RABB TA’ALA ne Farmaya
“Aur ALLAH TA’ALA ko Khub Ma’alum he Jo Kuchh Usne Janaa”,
Jo Ladka Tumhaara Matlub(Maanga) tha wo Us Ladki jeisa nahi Jo ALLAH TA’ALA ne Tumhe Ataa ki he Ya’ani Tum to Sirf Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf hone ke liye Ladka Talab kar rahi thi Lekin ALLAH TA’ALA Tumhe wo Ladki Ataa ki Jise Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki “Maa” hone ka Sharf Haasil hona he,
Arz ki AY ALLAH TA’ALA Meine Iska Naam Mariyam Rakha, Maryam Ibraani Zabaan me Aabeda(Ibaadat Karne Wali) ke Ma’ani me Istemaal hota he ye Naam Rakh kar ALLAH TA’ALA se Darkhwaast ki gayi ki Ise Deen wa Duniya ki Aaafat se Mehfuz Farma Aur Saath hi ye Duaa ki AY ALLAH TA’ALA Ise Aur Iski Aulaad ko Sheitaan ke Shar se Mehfuz Rakh Ya’ani Neik Bana.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-479, 480)




>> Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Parwarish ki Zimmedaari :
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Use Uske RABB ne Achhi Tarah Qabul kiya Aur Use Achha Parwaan Chadhaya Aur Use Zakariya ki Nigehbaani me Diya”
(Surah Aale Imraan, Aayat-37)
Achhi Tarah Qabul karne ka Ek Matlab to ye hei ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Aur Unke Beite Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Shaitan se Mehfuz Rakha Aur
Dusri Wajah ye he ki Hazrat Maryam Kapde me Lapeita Aur Masjid me Haarun Alayhis Salaam ki Aulaad me se Jo Ulma Moujud the Unke Hawaale kar Diya ye Loug Beitul Muqaddas ki Khidmat Guzaari me rehte the, Chunki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Unke Imaam ki Beiti thi, Is liye Har Ek Chaahta tha ki Iski Kefaalat(Parwarish) ka Haqq Mujhe Mile, Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne kaha Mei Haqdaar hu kyuki Iski Khala Meiri Zovjiyat me he Lekin Sabne Kaha ki Nahi Qur’aa Daalte he, ye Hazraat 27 ki Taadaad me the,
Sabne Apne Qalam ek Kapde ke Niche rakhe Aur Ek Na-Baalig Bacche ko kaha gaya ki Kapde ke Niche Hath daal kar Ek Qalam Nikaal lo, Usne Jo Qalam Nikaala wo Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ka tha, fir Sab kehne Lage ki Ek Martaba Aur Qur’aa Daalte he,
Ab Sab Naher ki Taraf Chale ki Apne Apne Qalam Naher me Daalte he, Jiska Qalam Ulta Teira Yani Paani ke Aane ki Taraf Uska Rukh huwa wo Kaamyaab ho Gaya, ye Qura’a bhi Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ke Haqq me hi Nikla kyuki Aap ka Qalam hi Ulta Teira, Fir Sab kehne Lage ki Ek Martaba Aur Qura’a Daalte he, Ab Jiska Qalam Sidhe Rukh ki Taraf Chala woh Kaamyaab hoga, Tisri Martaba me bhi Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko hi Kaamyaabi Haasil ho gayi, Aap Alayhis Salaam ka Qalam hi Paani ke Bahaaw ke Rukh ki Taraf Chala, Qur’aa me Kaamyaabi par Aap Alayhis Salaam ne Kefaalat(Parwarish) ki Zimmedaari Sambhal li.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-480, 481)
>> Hazrat Maryam Alayhis Salaam ke liye Jannati Rizq :-*
Quraane Kareem me he ki
“Jab Zakariya Uske Paas Uski Namaaz Padhne ki Jagah Jaate Uske Paas Naya Rizq Paate Kaha Ay Mariyam Yah Teire Paas Kaha se Aaya Boli Wah ALLAH ke Paas se he Beshak ALLAH Jise Chaahe Be-ginti de”
(Surah Aale Imraan, Aayat-37)
1 Din me Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Itni Badi ho Jaati Jitna Dusre Bacche 1 Saal me Bade hote he, Isi Tarah Aap Ko Neiki, Paak Daamani, Sidhi Raah par Chalne Aur Ita’at me bhi Buland wa Baala Maqaam Ataa Kiya, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam ki Aulaad se Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka Kafeel Bana Diya Aur Mariyam Alayhis Salaam ki Deikh Bhaal Har Maslehat ke Kaam ki Zimmedaari Unke Supurd kardi,
Hazrat Maryam Alayhis Salaam ko Jaha Thehraya Gaya tha Uska Darwaaza Diwaar ke Darmiyaan tha, Us Kamre me Jaane ke liye Sidhi ko Istemaal Kiya jata tha,
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Jab Usk Kamre se Nikal kar Aate to Uske Saath Darwaaze Band karke Taale Lagaa kar Aate, koi Aur Shaksh waha Daakhil Nahi ho Sakta tha Lekin Aap Jab bhi Kamre me Aate to Deikhte ki Mariyam Alayhis Salaam ke Paas Garmiyo ke Fal Sardiyo me Aur Sardiyo ke Garmiyo me Moujud hote,
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Ta’ajub se kaha Ay Mariyam ye Teire Paas Kaha se Aaya…??
Hazrat Maryam Alayhis Salaam ne Jawaab Diya ki Jannati Rizq he Jo kisi Insaan ke Waaste ke Bageir Mujhe ALLAH TA’ALA ki Taraf se Haasil he, Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka ye Kalaam(Baat) Bachpan me he Yani Is Umar me Jisme Aam Bacche Kalaam(Baat) nahi karte he,
Hazrat Maryam Alayhis Salaam ne kaha ki Apne Bando me ALLAH TA’ALA Jise pasand Farmata he Unhe Kisi Insaan ke Waseele ke Bageir hi Rizq Ataa Farmata he,
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-32)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-140)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-481, 482)