islamic story in hindi Hazrat Khwaja Sayyed Naasih-ud-deen Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi :Aap ki wilaadat 10 Muharram 331 Hijri (942 A.D.) me huiAap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Chishti bin Sayyed Sultaan Faransafah rahmatullāhi alaih hai.
Aap Hasani saadaat hain.
****************
Aap ki waalida farmaati hain ke ‘Mere saahabzaade Abu Mohammad mere pait me 4mahine ke the ke Tahajjud ke waqt mere pait me harkat karte aur mere pet se mere kaan me ‘La Ilāha Illallāh’ ki aawaaz sunaai deti.’ Ek din main apne shohar Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ke paas baithi thi. Unho ne mere hamal ki taraf mukhaatib hokar farmaaya ke
‘Assalaamu alayka Ya Wali-
Allāh wa Khalifati’. Mere pait se kuchh aawaaz aai lekin me samajh na saki. Us par maine apne shohar se arz kiya ke ‘Aap ne mere pait ke hamal ko is tarah salaam kiya jis tarah mardo ko salaam karte hain. Lekin pata nahi ke wo ladka hai ya ladki.’ Mere shohar e farmaaya ke
‘Mujhe ALLĀH ta’ala ne bashaarat di hai aur mujh se waadafarmaaya hai ke apne karam se hume ek ladka ata farmaega jo maadarzaad wali hoga.’
Aap bachpan me rozaana kai martaba hanste the. Aap kiwaalida maajida ne aap ke hansne ka waqia apne shoharko bataaya to Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne farmaaya ‘Shaitaan mal’oon ki ye aadat hai ke wo chandmartaba rozaana chhote bacho ke kaan masal deta he aur wo ro padte hain. Magar jab shaitaan humare bache ke qareeb aata he to farishta tamaacha maar kar shaitaan ko
bhaga deta hai. Humara bacha maadarzaad saeed hai. Shaitaan ko zaleel hokar bhaagte hue dekhta hai to hansta hai’4 saal ki umr me aap ne ba-jama’at namaaz ada karnashuru kiya.
****************
17 saal ki umr me aap apne waalid Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ke mureed hue. Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne farmaaya ke ‘Bete! Tumhe chaahiye ke faqr ikhtiyaar karo. Ghareebo miskeeno se mohabbat rakho aur duniyadaaro ki sohbat ko bala e azeem jaano. Hamare tamaam masha’ikh Faqr ya’ani Duniya se parhez karte guzre hain aur faqeero se mohabbat karte the.’
Is ke baad aap 12 Saal tak ek hujre me ibaadat e Ilāhi aur mujaahida me masroof rahe
7 din ke baad ek tar khajoor se iftaar farmaate the. 12 Saal ke baad Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne aap ko Khirqa e khilaafatata farmaaya aur aap ka haath pakadkar qibla ru khade hue aur arz kiya ke ‘Ilāhi! maine Shaikh Abu Mohammad ko khirqa e darweshi pehna diya hai. Use deen ki khidmat me isteqaamat ata farma aur qayaamat me Huzoor Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam aur hamare tamaam masha’ikhke saamne surkhru farma.’ Ghaib se nida aai ‘Aye Shaikh Abu Ahmad! Khaatir jama rakho ke hum ne tumhari dua ko qubool kiya. kal qayaamat me Abu Mohammad ko Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke saath jannat me daakhil farmaenge aur chunki Abu Mohammad hamare dosto me se hai lihaaza jo koiHazrat Abdullāh ibn Zubair radi-Allāhu ta’ala anhu
Mohammad Chishti ko dost rakhega use bhi jannat me daakhil farmaenge.’ Jab Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne ye bashaarat suni to bahot khush hue aur Khwaja Abu Mohammad sefarmaaya ke ‘Durweshi Ambiya wa Auliya ke Shaayaane
shaan hai is maqaam par siwa e mard e siddeeq ke koi nahi baith sakta.’
Aap ki nazar e faiz se Chisht me tamaam log musalman ho gaye the.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar aap nadi ke kinaare baithkar apne kapde dho rahe the ke waha ka shehzaada waha aaya aur aap kahaath chumkar aap se naseehat farmaane ke liye kaha. Aap ne farmaaya ‘Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ke agar tumhare mulk me koi budhiya ko bhi khaana nahi milta hai to qayaamat me
tumhe ALLĀH ta’ala ko jawaab dena hoga ke tum ne is budhiya ke khaane ka intazaam kyun nahi kiya.’ Us shehzaade ne aap ko kuchh tohfe dene chaahe magar
aap ne unhe lene se inkaar kiya. Shehzaade ne israar kiya to aap ne haath uthaaye. Foran ALLĀH ke fazl se nadi ki machhliya baahar aai aur sab ke munh me sone ki ashrafithi.
(2) Ustaad Mardaan naami aap ke ek mureed wa khaadim jo Khavaaf ke Qasba Sanjaan ke rehne wale the aur arsa e daraaz tak aap ke liye istinje ke dhele aur wuzu ke paani ka intazaam karte rahe. Ek din Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne aap ne un ko apne watan waapas jaane ke liyefarmaaya. Ustaad Mardaan rone lage aur arz kiya ke “Huzoor ! Aap se Juda hona mujhe gawaara nahi, Main aap ki judaai
Those who pray in the night will be allowed to enter paradise
bardaasht karne ki taaqat nahi rakhta hu” Khwaja ne farmaaya ke ‘Pareshaan na ho, Apne ghar jaao. Tum jab bhi mujhe dekhna chaahoge darmiyaan ke saare hijaabaat
door ho jaayenge aur tum ghar baithe mujhe dekh liyakaroge.’Chunaanche Ustaad Mardaaan apne ghar aa gaye aur jab chaahte ghar me bethe Aapka deedaar kar liya karte the aur frarmaate the ke ‘Main Sanjaan me baithkar Chisht ko
dekhta hu.’ Ustaad Mardaaan ka inteqaal 411 Hijri meQasba Sanjaan me hua.
****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Nasir-ud-deen Abu Yousuf bin Samaan Chishti rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ka wisaal 4 Rabi’ ul Awwal 411 Hijri (1020 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Chisht (Afghanistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Sayyed Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke
Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae. Aameen.Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirqani
Leave A Comment