Hazrat Khwaja Sayyed Naasih-ud-deen Abu Muhammad
Chishti rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 10 Muharram 331 Hijri (942 A.D.) me hui.


Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad
Chishti bin Sayyed Sultaan Faransafah rahmatullāhi alaihi
hai.
Aap Hasani saadaat hain.
****************
Aap ki waalida farmaati hain ke ‘Mere saahabzaade Abu
Mohammad mere pait me 4 mahine ke the ke Tahajjud ke
waqt mere pait me harkat karte aur mere pet se mere kaan
me ‘La Ilāha Illallāh’ ki aawaaz sunaai deti.’
Ek din main apne shohar Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal
Chishti ke paas baithi thi. Unho ne mere hamal ki taraf
mukhaatib hokar farmaaya ke ‘Assalaamu alayka Ya Wali-
Allāh wa Khalifati’. Mere pait se kuchh aawaaz aai lekin me
samajh na saki. Us par maine apne shohar se arz kiya ke
‘Aap ne mere pait ke hamal ko is tarah salaam kiya jis
tarah mardo ko salaam karte hain. Lekin pata nahi ke wo
ladka hai ya ladki.’ Mere shohar e farmaaya ke ‘Mujhe
ALLĀH ta’ala ne bashaarat di hai aur mujh se waada
farmaaya hai ke apne karam se hume ek ladka ata
farmaega jo maadarzaad wali hoga.’
Aap bachpan me rozaana kai martaba hanste the. Aap ki
waalida maajida ne aap ke hansne ka waqia apne shohar
ko bataaya to Hazrat Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne
farmaaya ‘Shaitaan mal’oon ki ye aadat hai ke wo chand
martaba rozaana chhote bacho ke kaan masal deta he aur
wo ro padte hain. Magar jab shaitaan humare bache ke
qareeb aata he to farishta tamaacha maar kar shaitaan ko
bhaga deta hai. Humara bacha maadarzaad saeed hai.
Shaitaan ko zaleel hokar bhaagte hue dekhta hai to hansta
hai’
4 saal ki umr me aap ne ba-jama’at namaaz ada karna
shuru kiya.
****************
17 saal ki umr me aap apne waalid Hazrat Khwaja Abu
Ahmad Abdaal Chishti ke mureed hue. Hazrat Khwaja Abu
Ahmad Abdaal Chishti ne farmaaya ke ‘Bete! Tumhe
chaahiye ke faqr ikhtiyaar karo. Ghareebo miskeeno se
mohabbat rakho aur duniyadaaro ki sohbat ko bala e azeem
jaano. Hamare tamaam masha’ikh Faqr ya’ani Duniya se
parhez karte guzre hain aur faqeero se mohabbat karte the.’
Is ke baad aap 12 Saal tak ek hujre me ibaadat e Ilāhi aur
mujaahida me masroof rahe. 7 din ke baad ek tar khajoor se
iftaar farmaate the. 12 Saal ke baad Hazrat Khwaja Abu
Ahmad Abdaal Chishti ne aap ko Khirqa e khilaafatata
farmaaya aur aap ka haath pakadkar qibla ru khade hue aur
arz kiya ke ‘Ilāhi! maine Shaikh Abu Mohammad ko khirqa e
darweshi pehna diya hai. Use deen ki khidmat me
isteqaamat ata farma aur qayaamat me Huzoor Mustafa
sallallāhu alaihi wa sallam aur hamare tamaam masha’ikh
ke saamne surkhru farma.’
Ghaib se nida aai ‘Aye Shaikh Abu Ahmad! Khaatir jama
rakho ke hum ne tumhari dua ko qubool kiya. kal qayaamat
me Abu Mohammad ko Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam
ke saath jannat me daakhil farmaenge aur chunki Abu
Mohammad hamare dosto me se hai lihaaza jo koi
Mohammad Chishti ko dost rakhega use bhi jannat me
daakhil farmaenge.’
Jab Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ne ye bashaarat
suni to bahot khush hue aur Khwaja Abu Mohammad se
farmaaya ke ‘Durweshi Ambiya wa Auliya ke Shaayaane
shaan hai is maqaam par siwa e mard e siddeeq ke koi nahi
baith sakta.’
Aap ki nazar e faiz se Chisht me tamaam log musalman ho
gaye the.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar aap nadi ke kinaare baithkar apne kapde dho
rahe the ke waha ka shehzaada waha aaya aur aap ka
haath chumkar aap se naseehat farmaane ke liye kaha. Aap
ne farmaaya ‘Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa
sallam ne farmaaya hai ke agar tumhare mulk me koi
budhiya ko bhi khaana nahi milta hai to qayaamat me
tumhe ALLĀH ta’ala ko jawaab dena hoga ke tum ne is
budhiya ke khaane ka intazaam kyun nahi kiya.’
Us shehzaade ne aap ko kuchh tohfe dene chaahe magar
aap ne unhe lene se inkaar kiya. Shehzaade ne israar kiya
to aap ne haath uthaaye. Foran ALLĀH ke fazl se nadi ki
machhliya baahar aai aur sab ke munh me sone ki ashrafi
thi.
(2) Ustaad Mardaan naami aap ke ek mureed wa khaadim
jo Khavaaf ke Qasba Sanjaan ke rehne wale the aur arsa e
daraaz tak aap ke liye istinje ke dhele aur wuzu ke paani ka
intazaam karte rahe. Ek din Khwaja Abu Ahmad Abdaal
Chishti ne aap ne un ko apne watan waapas jaane ke liye
farmaaya.
Ustaad Mardaan rone lage aur arz kiya ke “Huzoor ! Aap se
Juda hona mujhe gawaara nahi, Main aap ki judaai
bardaasht karne ki taaqat nahi rakhta hu” Khwaja ne
farmaaya ke ‘Pareshaan na ho, Apne ghar jaao. Tum jab
bhi mujhe dekhna chaahoge darmiyaan ke saare hijaabaat
door ho jaayenge aur tum ghar baithe mujhe dekh liya
karoge.’
Chunaanche Ustaad Mardaaan apne ghar aa gaye aur jab
chaahte ghar me bethe Aapka deedaar kar liya karte the aur
farmaate the ke ‘Main Sanjaan me baithkar Chisht ko
dekhta hu.’ Ustaad Mardaaan ka inteqaal 411 Hijri me
Qasba Sanjaan me hua.
****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti
rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Nasir-ud-deen Abu Yousuf
bin Samaan Chishti rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ka wisaal 4 Rabi’ ul Awwal 411 Hijri (1020 A.D.) ko
hua.
Aap ka mazaar Chisht (Afghanistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke
sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Abu Muhammad Chishti
rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait
ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke
Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki
taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae
aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.