Hazrat Khwaja Peer Fazal Ali Quraishi rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 1270 Hijri (1853 A.D.) me Daud Khel, Punjab me hui.
Aap ke waalid ka naam Muraad Ali Shaah hai.
Aap ne Kala-Bagh me Maulana Qamr-ud-deen se ta’aleem haasil ki aur Maulana Ahmad Ali Saharanpuri se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Khwaja Muhammad Uṡman Damani rahmatullāhi alaihi ki baargaah me gaye aur faiz haasil kiya. Hazrat ke farmaan par Aap un ke khalifa Hazrat Sayyed La’al Shaah Hamadani Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur sulook ki ta’aleem haasil ki aur khilaafat haasil ki.
Peer ke wisaal ke baad Aap ne Khwaja Muhammad Uṡman Damani rahmatullāhi alaihi ke saahbazaade aur khalifa Hazrat Khwaja Muhammad Siraaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi se sulook ki mmajeed ta’aleem haasil ki. Aur Hazrat se khilaafat haasil ki.
Aap ne Hazrat Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani, Hazrat Khwaja Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti, Hazrat Bulleh Shāh, Hazrat Sultaan Baahū rahmatullāhi alaihi jaise Auliya se roohaani faiz haasil kiya.
1310 Hijri (1892 A.D.) me Aap ne Zila Muzaffargarh, Punjab me Faqirpur shareef me khaanqaah taamir ki.
Ye jagah bahot door hone ki wajah se Aap ne Shahar Sultan ke qareeb Miskeenpur shareef me dusri khaanqaah taamir ki.
Aap hamesha saadgi pasand farmaate.
Sunnate Rasool ada karte hue safed amaama pehante.
Aap apne guzraan ke liye kheti karte the. Aur kheti ka kaam karte waqt Aap Zikr-e-Qalbi karte rehte.
Aap apne mureedo ko Rizqe Halaal kamaane ki ta’aleem farmaate.
Aap logo ko Sunnato ko apnaane ki aur bad-mazhab firqo se aur naqali (ja’ali) peero se door rehne ki ta’aqeed farmaate.
Roz subah Aap apne shaagirdo ke saath Halqa-e-Zikr munaaqid karte jis me sab Zikr-e-Qalbi karte. Jis me maujood tamaam logo par Jazba (divine attraction) aur Wajd (ecstasy) ki kaifiyat taari ho jaati aur phir sab ki zabaan par be-khudi me ‘ALLĀH ALLĀH’ ka Zikr-e-Zaahiri jaari ho jaata.
Log Aap ko ‘Jazba waala Saa’in’ (Man of Divine attraction) kehte the.
****************
Ek martaba Aap khajoor ki gutliyo me se achhi achhi alag kar rahe the. Aap ne un me se ek gutli (seed) ko alag rakhi to us me se aawaaz aai ke ‘Aap mujhe alag kyun kar rahe hain? Agar main bad-soorat hu to ye meri galti nahi hai. Main to waisa hi hu jaisa Khaaliq ne mujhe banaaya hai.’ Ye sunkar aap rone lage aur us gutli ko chuma. Is ke baad Khatm shareef ke dauraan jab bhi wo gutli Aap ke haath me aati aap use chumte.
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Aap apne khet me kaam kar rahe the. Deobandi aalim Sayyed Ata’ullāh Bukhari safar karte hue waha se guzre. Aap ko dekhkar wow aha rooke aur Hazrat se milkar dua ke liye darkhwast ki. Aap ne un ko Zikr-e-Qalbi sikhaaya. Sayyed Ata’ullāh Bukhari bayaan karte hain ke mere dil ne foran ye zikr shuru kar diya. Sayyed Ata’ullāh Bukhari Aap ke mo’ataqid ho gaye aur kai baar aap se mulaaqaat ke liye aate rahe.
(2) Haaji Gul Muhammad saahab ki biwi saaleha thi. Ek martaba haalate wajd me wo kehne lagi ‘Haaji saahab! Assalaamu alaikum. Kuchh khajoore khareedkar Miskeenpur aao.’ Haaji Gul Muhammad khajoore khareedi aur Miskeenpur aaye. Jab Hazrat ko is baat ke baare me bataaya to Aap ne farmaaya ke ‘Kai dino se main tumhe khat likhne ka soch raha tha. Magar likh nahi saka.’
(3) Jab kisi ke ghar par shaadi ke mauqe par mehmaano ki ta’adaad zyada ho jaaye aur khaana kam padne ka andesha ho to log Aap ki chaadar (shawl) le jaate aur khaane ke bartan par rakh dete. Aap ki dua se wo khaana waha maujood tamaam logo ke liye kaafi ho jaata.
(4) Ek martaba Faqirpur me Aap ke khet me se gehu nikaalkar saaf karke kamre ke andar rakhne ka kaam kar rahe the. Hazrat ke saath 50-60 log subah se dopahar tak kaam kar rahe the. Gehu thode dikhne ke baad bhi khatm nah ho rahe the. Logo ne Maulana Abdul Malik Siddeeqi ko Hazrat ke paas bheja. Unho ne arz kiya ke ‘Huzoor! Ye log kaam karte karte thak gaye hain.’ Aap ne farmaaya ‘Jaise khet me barkat dikh rahi hai waise andar bhi nahi ho sakti?’ Maulana Abdul Malik ne kaha ‘Haan.’ Phir namaaze asr ke baad baaqi tamaam gehu ek hi phere me pure ho gaye.
Wo gehu ek saal tak chale jab ke khaanqaah me roz senkado mehmaan aate the aur un ke khaana pakaaya jaata tha.
Aap Hazrat Sayyed La’al Shaah Hamadani Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Khwaja Muhammad Siraaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Abdul Ghaffaar urfe Peer Meetha (Larkana, Rahmatpur, Sindh)
(2) Hazrat Maulana Abdul Sattaar (Jalalpur Pirwala)
(3) Hazrat Khwaja Maulana Ali Murtaza Naqshbandi (Gadai Sharif, DG Khan, Pakistan)
(4) Hazrat Maulana Haafiz Qaari Kareem Bakhsh (Ghalwan, Alipur)
(5) Hazrat Maulana Abdul Malik Siddeeqi (Khanewal)
(6) Hazrat Maulana Abdul Ghafoor Abbaasi Madani (Madeena munawwara)
(7) Hazrat Maulana Mohammad Saeed Quraishi
(8) Hazrat Maulana Abdul Waahid Bhutto (Sindh)
(9) Hazrat Maulana Ahmad Deen (Uch, Bahawalpur).
Wisaal se pehle Aap taqreeban 15 din beemaar rahe.
Aap ne ek kamra tayyaar kiya tha. Aur Hazrat Khwaja Abdul Ghaffaar Peer Meetha aur Hazrat Maulana Abdul Sattaar ko wasiyat farmai ke mujhe is maqaam par dafn kiya jaaye.
Aap ka wisaal 1 Ramazaan 1354 Hijri (28 November 1935 A.D.) ko Jumerat ke roz 81 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Maulana Haafiz Kareem Bakhsh ne padhaai.
Aap ka mazar Miskeenpur (Punjab, Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Peer Fazal Ali Quraishi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Leave A Comment