Mazaar Shareef, Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirqani Radiyallahu Ta’Ala Anhu, In Kharqan, Iran
Aap Tareeqat O Haqeeqat Ka

Sharchashma Fuyuz O Marefat Ka Mamba Wa Makhzan Aur Aapki Azmat Wa Buzurgi Musallam Hai
(Tazkiratul Auliya Safa No.282)

Hazrat BaYazeed Bustami Radiyallahu Ta’Ala Anhu Ka Dastur Tha Ke Saal Mein Ek Martba Mazaarate Shohda Ki Ziyarat Ke Liye Jaaya Karte They Aur Jab Kharqan Pahonchte Toh Fiza Mein Muh Upar Utha Kar Istarha Saans Khinchte Jaise Koi Khushbu Sungh Ne Ke Liye Khincha Jaata Hai, Ek Martba Mureedeen Ne Puchha Ke Aap Kis Cheez Ki Khushbu Sunghte Hain? Hume Toh Kuchh Mehsoos Nahin Hota, Aapne Farmaya Mujhe Sarzameen E Khirqan Se Marde Haq Ki Khushbu Aati Hai Jiski Kunniyat Abul Hasan Aur Naam ALI Hai, Aur Woh KashtKaari (Kheti) Ke Zariye Apne Ahlo Ayal Ki Rizqe Halal Se Parwarish Karega Aur MujhSe Martba Mein Teen Ghuna Hoga
(Tazkiratul Auliya Safa No.282)
Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirqani Ke Irshadat
Farmaya Khudane Mujhe Woh Dard Ata Kiya Hai Ke Agar Uska Ek Qatra Bhi Nikal Parhe Toh Toofan E Nooh Se Bhi Ziyaada Toofan Aajaye
Farmaya Baad E Wisaal Bhi Mai Apne Chaahne Waalo Ki Nazaa (Sakrat) Ke Waqt Madad Karunga Aur Jis Waqt Farishta Ajal Unki Rooh Qabz Karna Chaahega Toh Mai Apni Qabr Se Apna Haath Nikal Kar Unke Lab Par Lutfe Ilaahi Ka Chhinta Dunga Taake Woh Shiddat O Taklif Mein Khuda Se Ghafil Na Ho Sake.(Tazkiratul Auliya Sfa No.291)