Hazrat isa alaihissalam zinda he ya intaqal ya shahadat Hindi
>> Yahoodiyo ki Shaazish :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Kaafiro ne Makr kiya Aur ALLAH ne Unke Halaak ki Khufiya Tadbir Farmaayi Aur ALLAH Sab se Behtar Chhupi Tadbir Wala he”
(Surah Aale Imraan, Aayat-54)
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Halaak(Tabaah) karne ki Saazish Kaafirone kyu ki..??
Iski Chand Wajah he…
»» Jab ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Rasool bana kar bheija, Aap Alayhis Salaam ne Unko ALLAH TA’ALA ke Deen ki Da’waat di to Woh Sarkash(Baagi) Aur Na-Farmaan ho gaye to Aap Alayhis Salaam ne Unse Makhaffi(Chhupe/Gupt) rehne ka Feishla Farmaya Taki Woh Koi Nuqshaan Na Pahoncha Sake, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Apni Waalida ke Sath kahi Tashreef le gaye Taki Un Lougo se Kuchh deir ke liye Kenaara-kash(Door) ho jaaye to Aap Alayhis Salaam ne Ek Basti me ek Shaksh ke Paas Qayaam(Thaherna) kiya, Usne Bahot Achhi Tarah Mahemaan-Nawaazi(Mehmaan ki Khatirdari) ki,
Us Shahar ka Baadshah Bada Zaalim tha, Ek Din Woh Shaksh Jo Aapka Mahemaan Nawaaz tha, Gamgin tha, Aap Alayhis Salaam ne Us se Puchha Tum Itne Pareishan, Gamgin kyu ho..??
Usne kaha Us Shahar ka Baadshah Bada Zaalim he Aur Uski Aadat he ki Woh Hum me se Har Shaksh par Baari Baari Da’waat ko Laazim(Zaruri) kar deita he ki Uski Aur Uske Lashkar ki Da’waat kare, Unhe Khana Khilaaye Aur Sharaab Pilaaye, Aaj Meiri Baari he Aur Meire Paas Itna Maal Nahi ki Mei Uski Da’waat ka Intezaam kar saku,
Jab Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Soona to Aap ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko kaha Ay ALLAH TA’ALA ke Nabi Iske liye Duaa karo Taaki Iski Mushkil Hal ho jaaye, Aap Alayhis Salaam ne kaha Ay Meiri Ammi Agar Meine Iske liye Duaa kardi to Isme Fitna-Barpa(Bala Qayam) ho jayega, Lekin Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne kaha Is Shaksh ne Humaari Bahot Izzat ki, Ahesaan Wa Ikraam kiya, Is par bhi Ahesaan hone Chahiye,
Waalida Maajida ke Irshaad wa Israar(Zid) par Aap Alayhis Salaam ne Kaha Ki Jab Baadshah Aur Uska Lashkar ke Aane ka Waqt Qareeb Ho Jaye to Handiya(Mitti/Lohe ka Bada Bartan) Aur Matke Paani se Bhar leina Aur Mujhe Muttala(Khabar) karna, Jab Us Shaksh ne Aap Alayhis Salaam ke Irshaad par Amal kar liya to Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki, Jitni Handiya Paani se Bhari thi Sab me Paka huwa Gosht ho gaya Aur Sab Pani se Bhare hue Matke Sharaab se Bhar gaye..
Jab Woh Baadshah Aur Uska Lashkar Aaya to Unhone Khana khaya Aur Sharaab Pee to Baadshah ne Us Sharaab ko Aam Sharaabo se Mukhtilaf(Alag) Lazzat(Lutf/Mazah) Wala Pa kar Sawaal kiya ki Sharaab Tum kaha se laaye..?? Pehle to Us Shaksh ne kaafi Taal-Matol(Bahaane) se Kaam liya lekin Baadshah ke Zyaada Majboor karne par Usne Bata diya, Baadshah ka Ek Beita Pehle Marr gaya tha, Usne Khyaal kiya ki Jis Shaksh ki Duaa se Paani Sharaab Ban gayi Uski Duaa se ALLAH TA’ALA Meire Beite ko bhi Zinda kar deiga, Usne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Khidmat me Arz kiya ki Aap Duaa kare Taaki ALLAH TA’ALA Meire Beite ko Zinda karde, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya ki Aysa Nahi karte, kyuki Agar Woh Zinda ho gaya to Fitna-Barpa ho jayega, Us Baadshah ne kaha Jab Mujhe Meira Beita Nazar Aajayega to Mujhe kisi Chiz ki Parwaah Nahi hogi Aur Jab Tum Meire Beite ko Zinda kar doge to Mei Tumhe Har Qism ki Aazaadi de dunga, Tum Jo Chaaho Wahi Karo, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki to Uska Ladka Zinda ho gaya..(Subhan Allah…)
Jab Uski Baadshahi ke Lougo ko Pata Chala ki Uska Ladka Zinda ho gaya to woh Fouran Apne Apne Hathiyaar le kar Aagaye Aur Unhone Usko Qatl kar diya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Jab Zyada Shohrat(Charcha) hone lagi to Yahud ne Hasad(Jalan) karna Shuru kar diya, Aapke Nasab me Ta’ana-Zani(Ta’ana Deina) Shuru kardi Aur Aap Alayhis Salaam ko Qatl karne ki Saazishe(Fareib) karne lage,
»» Hazrat Isa Alayhis Salaam ke Tashreef Aawri ki Bashaarat Touraat(Aasmaani Kitaab) me RABB TA’ALA ne de di thi Is liye Yahud ko Ma’lum tha ki Unhone Touraat ke Kayi Ahekaam Manshookh(Radd) kar diye he, Is liye Pehle Unhone Aap Alayhis Salaam ke Nasab(Silsile) par Ta’ana-Zani Shuru ki fir Aap Alayhis Salaam ke Qatl ke Manshube(Iraade) Banaane lage Ya’ani Aapne Jab Deene Haqq ki Da’waat deini Shuru ki to Yahud ka Gazab(Gussa) Badh gaya Aur Aap Alayhis Salaam Izaa(Taklif) Pahonchani Aur Waheshat(Darr) Feilani Shuru ki Aur Aap ko Qatl karne ki Koshish ki.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-64,65)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-533, 534)
 
>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Imaan Walo se Imdaad Talab karna :-
Quraane Paak me he ki
Fir Jab Isaa ne Unse Kufr paya Bola Kon Meire Madadgaar hote he ALLAH ki Taraf, Hawaariyo ne kaha Hum KHUDA ke Din ke Madadgaar he Hum ALLAH Par Imaan laaye Aur Aap Gawaah ho Jaaye ki Hum Musalmaan he, Ay RABB Humaare Hum Uspar Imaan Laaye Jo Tune Utara Aur Rasool ke Taabe hue Tu Hume Haqq par Gawaahi deine Waalo me Likh le”
(Surah Aale Imraan, Aayat-52, 53)
Hazrat Isa Alayhis Salaam ne Apna Hakeemana Kalaam(Khubi se Bhari Baat) Aur Apne Mo’jizaat Us Qoum ke Saamne Peish kiye to Unhone Bajaaye Ita’at(Farmaan-Bardaari) ke Unke Qatl karne ki Tadbir(Chaal/Plan) ki, Lihaza Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Unke Is Iraade Aur Pukhta Kufr ko Alaamat(Aaasaar) se Mehsus Farmaaya, Apne Peirokaaro se Khitaab kiya “في سبيل الله”(ALLAH TA’ALA ki Raah me) Meira Madadgaar kon he…??
Unke Khaas Dosto ne kaha Hum ALLAH TA’ALA ke Deen ke Madadgaar he, Ay Isaa Alayhis Salaam Hum Aapki Zarur Madad karenge, Is Madad par Na koi Dunyawi Ujrat(Badla) Maangte he Na Koi Aur Chiz, Khawaaish ye he ki Aap Qayaamat ke Din Humaari Ita’at Aur Farmaan-Bardaari Aur Musalmaan hone ki Gawaahi de,
Fir RABB TA’ALA ki Taraf Mata’wajje(Dhyaan) ho kar Arz karne lage AY MOULA Hum Teiri Tamaam Utaari hui Kitaabo Aur Ambiya Alayhis Salaam ko Ataa karda Mo’jizaat par Imaan laaye Aur Sacche Dil se Zaahir wa Baatin(Zabaan par Aur Dil) me Teire Is Rasool ke Peirokaar(Pairvi/Ita’at Karnewale) Bane.
(Tafseere Naeemi, Jild-3, Safa-466)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-536)
>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Shaheed karne ki Shaazish :-
Bani Israail ko Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Tablig Farmaayi To Woh Aapse Muqaabla To Na kar Sake, Albatta Aap ki Shan me Gustaakhi Shuru kardi Aur Aap ki Waalida Mukkarama par Aiyb(Buraai) Lagaane Shuru kar diye Aur Aap ko Tarah Tarah ki Takaalif Deini Shuru kar di,
Ek Din Aap Alayhis Salaam Shahar me Gasht(Ghum/Fir) Farma rahe the Ki Shahar ke Lougo ne Aap Alayhis Salaam ko Bahot Pareishan kiya, Jab Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki Ay MOULAAYE KAAYENAAT Mei Kaha Tak Sabr karu.. Ab Behtar yahi he ki Tu Inko Khinzir(Suwar/Pig) Bana de, Aap Alayhis Salaam ki Zubaane Mubaarak se ye Alfaaz Nikle hi the ki Woh Sab Khinzir Ban gaye,
Is Waaqiye se Lougo par Ek Khouf Taari ho gaya Kisi ne Us Waqt ke Yahudi Baadshah ko Khabar di ki Isaa Alayhis Salaam ki Duaa ALLAH TA’ALA Qabul Farmata he, Aap Alayhis Salaam ki Duaa se Itne Loug Khinzir Ban gaye he, Tum bhi Unke Mokhaalif(Dushman) ho Is liye Tum Apni Fikr rakho, Kahi ye Tumhaare Khilaaf bhi Duaa Na karde Aur Tumhaara bhi Aysa Haal Na ho Jaaye, Usne kaha kya ho Sakta he Ayse Maqbul Duaa ke Muqaable me Tu Koi Tadbir(Tarkib) bhi Kaam Nahi Aa Sakti, Albatta ye ho Sakta he ki Unhe Kisi Heelah(Fareib) se Shaheed kar diya jaaye To Unki Duaa ka Khouf Khatm ho jaayega ki Kahi Woh Mukhaalif Duaa na kare,
Usne Ek Shaksh “Tatyaanus” ko Is Kaam ke liye Muntakhab(Pasand) kar diya, (Ye) Ek Munaafiq Shaksh tha, Bazaahir Hazrat Isaa Alayhis Salaam se bhi Milta tha Lekin Darparda(Pith Pichhe/Khufiya se) Woh Yahudo se bhi Mila huwa tha, Jab Ye Waaqiya Dar-peish Aane wala hi tha To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Apne Hawaariyo se Pehle hi Farma diya tha ki Aaj Subah se Pehle hi Mujhe Ek Shaksh Chand(Kuchh) Dirham(Chandi ka Sikka) ke Evaz(Badle) Farokht(Beich) kar deiga,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko bhi Ma’alum tha Lekin Aap bhi RABB TA’ALA ki Mashiyat par Shakir(Shukr/Sabr karne wale) the, Use Kuchh Nahi kaha Aur Na hi Kisi Aur ko kaha ki Ise Qatl kar diya jaaye, Chunaanche ‘Tatyaanus’ ko Us Yahud Baadshah ne Jiska Naam bhi Yahud tha 30 Dirham deine ka Wa’ada kiya ki Woh Isaa Alayhis Salaam ko Khud Shaheed kar de ya kisi se kara de.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-536, 537)

>> Isaa Alayhis Salaam ka Aasmaan Par Uthaya Jana :-

Quraane Azeem me he ki
“Aur Unke Is Kehne par ki Humne Maseeh Isaa Bin Mariyam ALLAH ke Rasool ko Shaheed kiya Aur yah ki Unhone Na Use Qatl kiya Aur Na Use Sooli Di Balki Unke liye Unki Shabih ka(Unse Milta-Julta) Ek Bana diya gaya Aur Woh Jo Uske Baare me Ikhtelaaf kar rahe he Zarur Uski Taraf se Shubah me Pade hue he Unhe Uski Kuchh bhi Khabar Nahi Magar Yah Gumaan ki Peirvi Aur Beishak Unhone Usko Qatl Nahi kiya”
(Surah Nissa, Aayat-157)
30 Dirham(Chandi ke Sikke) ke Laalach me Aakar ‘Tatyaanus’ ne Yahuda ke Chand Aadmiyo ko Sath liya Aur Aap ki Qeyaam-Gaah(Ghar) par Aa gaya, Un Lougo ko Baahar Khadaa kiya Aur Khud Andar gaya, Uske Saamne hi Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Khidki ke Zariye Aasmaano par Zinda Utha liya gaya, Wo ye Maajra deikh kar Bahot Mota’ajjib(Heiraan) huwa Aur Kaafi Deir tak Is Ta’ajub me Gum-Sum raha, Uske Sathiyone Samjha ki Shayad Tatyaanus Aur Isaa Alayhis Salaam ke Darmiyaan Ladaai ho rahi he, Woh Andar Jana hi Chahte the Lekin Unka Sathi Baahar Aa gaya, ALLAH TA’ALA ne Use(Tatyaanus ko) Isaa Alayhis Salaam ka Hum-Shakl(Dikhne me Isaa Alayhis Salaam Jeisa) Bana diya,
Ab Uske Baahar Nikalte hi Uske Sath Yahudiyo ne Yahi Samjha ki ye Isaa Alayhis Salaam he kyuki Ye Unka Hum-Shakl bhi tha, Is liye Unhone Use Pakad liya, Ye(Tatyaanus) Chilaa Chilaa kar Unhe Bata raha tha ki Mei Tumhaara Sathi hu, Hazrat Maseeh ko Qatl karne gaya tha.. Lekin Uski Baat ko Kisi Ek ne bhi Na Soona, Balki Woh kehne lage Ay Isaa Tumne Humaare Sathi ko Qatl kar diya he Ab Hume Dhoka deina Chahte ho, ye keh kar Use Sooli par Chadha diya,
Khyaal rahe ki Isaai(Christian) bhi Aaj Tak Isi Waham(Gumaan) me Mubtala(Giraftaar) he ki Isaa Alayhis Salaam ko Sooli par Chadha diya gaya tha, Albatta Fir Zinda karke Unhe Aaasmaano par Uthaya gaya he, Isi Wajah se Saare Isaai “Shaleeb'(Crucifix/Sooli ki Shakl me Bani hui Lakdi Wageira Jo Isaai(Christian) Apne Gale me dalte he) ko Pujte he Aur Us Sooli ko Apne Gunaaho ka Kaffara(Badla) Samajhte he, Magar Haqiqat ye he ki ‘Tatyaanus’ ko Qatl kiya gaya Na ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko,
Yahud(Yahudiyo) ne ye Da’wa kiya ki Humne ALLAH TA’ALA ke Rasool Isaa Alayhis Salaam ko Qatl kar diya he,
Agar Yahud ki Guzishta(Guzri hui) Taarikh ko deikha Jaaye to ye Kuchh Baeed(Na-Mumkin) Nahi hota ki Aap ko Rasool Mante hue Unhone Aapko Qatl karne ki Thani ho, Hazrat Zakaria Aur Yahyaa Alayhis Salaam ko Nabi Maante the Lekin Jab Un Nabiyo ne Unhe Unki Bad-Akhlaaqi par Toqa to Unhe Apne Hatho se Shaheed kar diya, Baharhaal Inka Ye Da’wa karna ki Humne Maseeh(Hazrat Isaa Alayhis Salaam) ko Qatl kar diya he Quraane Paak me Isko Mukammal Aur Waazeh kar diya gaya he..
Ajeeb Baat ye he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Dushman Yahud bhi Da’wa Karte he ki Humne Unko Qatl kar diya Aur Sooli par de diya Aur Aapko Maanne wale bhi Yahi Yaqeen rakhte he ki Yahud(Yahudiyo) ne Hazrat Maseeh ko Sooli de di, Jab Dushman Aur Dost Is Baat par Muttafiq(Ek Sath) ho Chuke the to Quraane Paak ne Aa kar Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Azmat Wa Jalaalate Shaan se Parda Uthaya Aur Saaf Alfaaz me Aylaan kiya ki Yahudi Apni Saazish me Kaamyaab Na ho Sake, ALLAH TA’ALA ne Unki Is Na-Paak Shaazish ko Na-kaam Bana diya Aur Apne Rasool ka Baal bhi Beika(Tedha) Na hone diya, Dono Chizo ki Nafi(Inkaar) kardi Yani Yahud(Yahudiyo) Na Aap ko Qatl kar Sake Aur Na Sooli par Chadha Sake.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-537, 538, 539)
Alhamdolillah…
Quraane Azeem se ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA ne Yahudiyo ke Jhuthe Da’we ka Parda Uthaya Aur Apne Bando Tak Haqq ko Waazeh kiya…
(Yahudiyo ki Peirvi me Aaj kal Mirjaayi/Qaadiyani bhi Isi Jahaalat me Giraftaar he…!!)
 

>> Hayaate Isaa Alayhis Salaam

Hazrat Isa Alayhis Salaam ke Muta’aliq Yahud(Yahudiyo) ka Aqeeda ye he ki Humne Unhe Sooli de di Aur Unki Jaan Nikal gayi Aur Fir Unko Dafn kiya Agarche Aaj Tak Woh Is Shuba(Shak) me Giraftaar he ki Humara Tatyaanus Kaha gaya…..??
Isaai ye Ayteqaad(Yaqeen) rakhte he ki Waaqei Isaa Alayhis Salaam ko Sooli par Chadhaya gaya Aur Aap ki Jaan bhi Nikal gayi Magar Fir RABB TA’ALA ne Aap ko Dobara Zindagi Bakhshi Aur Aasmaan par Utha liya, Isi liye Woh ‘Shaleeb'(Crucifix) ko Pujte he Aur Usi Sooli ko Saare Isaaiyo ke Gunaaho ka Kaffara Samajhte he, Kaffare ka Masla Sooli par hi Mabni(Qayam) he,
Musalmaano ka Aqeeda ye he ki Na Hazrat Isa Alayhis Salaam ko Sooli di gayi Aur Na Aapki Wafaat Waaqei hui, Balki Aap Alayhis Salaam ko Isi Tarah Bama Jism Shareef(Jism Shareef ke Sath) Zinda Utha liya gaya Chunanche Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Zinda Utha liya jana Qatai(Kaamil) Yaqeeni Ijmaai Masla he, Is par Saari Ummate MUSTAFA ﷺ ka Ittefaaq he,
Quraane Kareem me he ki
“Aur Kaafiro ne Makr kiya Aur ALLAH ne Unke Halaak ki Khufiya Tadbir Farmaayi”
(Surah Aale Imraan, Aayat-54)
ALLAH TA’ALA ne Unse Khufiya Tadbir Farmaayi ki Jo Shaksh Isaa Alayhis Salaam ko Qatl karaane ka Irada rakhta tha, Use Isaa Alayhis Salaam ka Hum-Shakl kar diya to Unhone Use Hi Qatl kar diya Aur ALLAH TA’ALA ne Isaa Alayhis Salaam ko Aaasmano par Utha liya, Tamaam Mufassireen e Kiraam Ka Is Masle par Ittefaaq he ki Aap Alayhis Salaam ko Zinda Aasmaano par Utha liya gaya.
(Tafseere Jalaalein, Safa-52)
Quraane Paak me Ek Aur Jagah he ki
“Yaad karo Jab ALLAH ne Farmaaya Ay Isaa Mei Tujhe Puri Umr tak Pahonchaunga Aur Tujhe Apni Taraf Uthalunga Aur Tujhe Kaafiro se Paak Kar dunga Aur Teire Maan ne walo ko Qayaamat Tak Teire Munkiro par Galba(Fateh) Dunga Fir Tum Sab Meiri Taraf Palat kar Aaoge To Mei Tum me Feisla Farma dunga Jis Baat me Jhagadte ho”
(Surah Aale Imraan, Aayat-55)
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Aasmaano par Utha kar Kaafiro se Naja’at di, Kaafiro ki Saazish se Aap Alayhis Salaam ko Bacha liya, Kaafiro se Paak karne ka Yahi Matlab he, Aap Alayhis Salaam ki Ta’abedaari (Farmaan-Bardaari) karne wale Yani Musalmaan Aap par Sahih Aqeeda rakhne Waale Ta-Qayaamat Munkereen par Gaalib(Fateh) rahenge Aur Iska Mutlab ye bhi he ki Isaai Hukumat Wageira ke Lihaaz se Yahudiyo par Gaalib Rahenge,
Is Aayate Kareema me ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Poori Umr tak Pahonchane Aur Aasmaano par Uthane Aur Kaafiro ki Shaazisho se Paak karne ka Zikr Waazeh Tour par Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-542, 543, 544)
 

>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shaleeb ko Todenge :-

Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR TAAJDAAR E HARAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Qasam he Us Zaat ki Jiske Qabza me Meiri Jaan he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Tumme Haakim Aur Aadil Ban kar Utrenge, Shaleeb(Crucifix) ko Tod Daalenge, Juziya ka Hukm Khatm Kar deinge, Aap Alayhis Salaam Maal Lougo ko Ataa Karenge, Koi Qabool karne wala Nahi Hoga, Us Waqt Ka Ek Sajda Duniya Aur Duniya ki Maal Wa Doulat se Afzal hoga, Fir Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he Agar Tum Chahte ho to ye Aayaat Padhlo “Ahle Kitaab me se Koi Bhi Nahi Rahega yaha tak ki Aap par Imaan le Aayega”.
(Bukhaari Shareef, Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-479)
Hazrat Isaa Alayhis Salaam Haakim Aur Aadil(Inshaf Karnewala) Ban kar Aayenge Yani Nasraaniyat ko Baatil kar deinge Aur Deene Islaam ko Qabul karne ka Hukm deinge, Yahudiyo Aur Isaaiyo ke Baatil Gumaan ko Khatm karne ke liye Shaleeb(Crucifix) ko Tod deinge, Khinzir (Suwwar/Pig) ko Qatl karke ye Saabit karenge ki Mei HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ummati hone ki Heishiyat se Aaya hu Chunki Aapki Shariyat me Khinzir Haraam he, Is liye Ay Isaaiyo Tumhaara Ise Paalna Aur Kharid wa Farokht(Beichna) karna Haraam he, Ahle Kitaab se Sirf Islaam Qabool karenge koi Jizya(Tax) Unse Nahi Leinge, Aapke Zamaane me Maal ki Kasrat(Zayada) hogi, Yaha tak ki Jis Tarah Waadiyo me Paani Chalta he Ayse hi Maal ki Farawaani(Zyadati) hogi, Us Waqt Sirf Ibaadat me Loug Itni Lazzat(Lutf/Mazaah) Mehsus Karenge ki Ek Sajda Aur Ek Namaaz Unhe Duniya-Bhar se Behtar Mehsus hogi, Us Waqt Tamaam Loug Deene Islaam ko Qabul kar leinge,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-552, 553)
 

>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shariyat E MOHAMMADIYA ﷺ ki Tablig karenge :-

Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Qasam he ALLAH TA’ALA ki Ibne Mariyam Haakim wa Aadil Ban kar Zarur Bil Zarur Utrenge, Shaleeb ko Tod Deinge Aur Zarur Bil Zarur Khinzir ko Qatl kar deinge Aur Yaqini Tour par Jizya(Tax) ka Hukm Khatm kar deinge, Unto(Camel) ko Chhod deinge Unpar Koi Amal Nahi karenge, Adaawat(Dusmani), Bugz Aur Hasad ko Khatm kar deinge, Maal ki Taraf Lougo ko Bulaayenge, Koi Use Qabool Nahi karega, Jab Ibne Mariyam Tumme Utrenge Aur Tumhaare Imaam bhi Tum me Honge Us Waqt Tumhara kya Haal hoga.
(Bukhaari Shareef, Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam)
Hazrat Isa Alayhis Salaam Kisi ko Unt(Camel) Batoure Zakaat Wasool karne ke liye Aamil Nahi Banayenge Kyuki Us Waqt Tamaam Loug Gani(Maaldaar/Daulatmand) honge, Koi Zakaat Wasool karne wala Nahi Milega,
Dusra Ma’ani ye he ki Unto ke Zariye Tejaarat(Kaarobar) Aur Zameen me Safar, Maal ke Talab(Maang/Zarurat) karne Aur Dusri Zaruriyaat ke Haasil karne ke liye Chhod deinge Kyuki Us Waqt Unki Zarurat Khatm ho jaayegi,
Hasad karna Yani Kisi ki Ne’amat ka Zawaal(Kami) karna Aur Usi Ne’amat ko Apne Liye Talab karna ye Hasad Bugz ka Sabab he, In Tamaam Buraaiyo ka Sabab Duniya ke Maal se Mohabbat rakhna he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Lougo ke Deelo se Duniya ki Mohabbat Zaaeel(Mita) kar deinge Jiski Wajah se Ye Buraaiya Khud Ba Khud Zaaeel ho jaayegi, Dusri Wajah ye bhi he ki Us Waqt Tamaam Duniya Chunki Ek hi Deen par Qaayam hogi Ya’ani Sab ka Deen Islaam hoga Bugz Aur Hasad Wageira Jeisi Buraaiya Mukhtilaf Deeno(Alag Alag Deen) Aur Mazhab ki Wajah se Peida hoti he,
Hazrat Isa Alayhis Salaam ka Jab Nuzool hoga Us Waqt Musalmaano ke Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho honge Jo Quraish se Honge, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Utar kar Pehle Namaaz Imaam Mahdi ki Iqteda me Adaa karenge Taki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Deen ki Azmat Waazeh ho Jaye ki Aap Alayhis Salaam HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyate Mutahhera ke Ahekam hi Lougo par Naafiz(Laagu/Jaari) karenge,
Jeise ki Hadees me Irshad he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Jab Tum me Utrenge Aur Tumhaare Imaam Tum me se Moujud Honge Us Waqt Tumhara kya haal hoga Ya’ni Tumhe Apni Azmat wa Takrim(Respect) par Ta’ajub hona Chahiye ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Aate Waqt Pehle Namaaz Tumhaare Imaam ki Iqteda’a me Adaa karenge,
Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Hameisha Ek Giroh(Jama’at) Meiri Ummat me se Haqq par Jihaad karta rahega Aur Qayaamat Tak Unko Galba(Jeet/Fatah) Haasil rahega, Hazrat Isaa Ibne Mariyam Utrenge, Lougo ke Ameer Unhe Kahenge Aao Hume Namaaz Padhaao, Aap Alayhis Salaam Farmaayenge Nahi Beshak Tum me se Baaz Ameer he Baaz par, Aap Alayhis Salaam ka Ye Irshaad Takrim(Respect) ke Peishe Nazar hoga, Jo ALLAH TA’ALA ne Is Ummat ko Ataa kiya he,
(Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-480)
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Utarne par Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho Unhe Namaaz Padhaane ke Muta’aliq Kahenge Kyuki Imaamat ka Zyada Haqdaar wo Shaksh he jo Afzal ho, Chunki Aap Alayhis Salaam NABI Aur RASOOL he Aur Kaamil Darja Rakhne wale he, Yaha se ye bhi Waazeh huwa ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Makaame Nabuwwat Khatm Nahi hoga Sirf Aap Alayhis Salaam ki Shariyat ke Ahekaam Zari Nahi honge, Balki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyat ke Ahekaam ki Tablig Farmayenge, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Nuzool hone par Pehle Namaaz Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho Padhayenge Taaki Is Ummat ki Fazilat Waazeh ho Jaaye, Uske Baad Hazrat Isaa Alayhis Salaam hi Namaaze Padhayenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-553, 554, 555)
 

>>  Isaa Alayhis Salaam Kaha Madfun honge…??

Hazrat Abdullah Umro RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR IMAAMUL AMBIYA Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Hazrat Isaa Bin Mariyam Zameen par Utrenge, Fir Shadi karenge Aur Aap ki Aulaad hogi Aur 45 Saal Thehrenge, Fir Aap Alayhis Salaam Fout(Wisaal) honge, Fir Meire Sath Meire Maqbare me Dafn honge, Mei Aur Isaa Alayhis Salaam Ek hi Maqbare se Uthenge, Yaha Tak ki Abu Bakr Aur Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Darmiyaan Ho”
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-480)
Hadees Shareef me Jo Lafz “Qabr” Istemaal huwa he Uska Ma’ani “Maqbara” he Yani Meire Maqbare(Hujra Shareef) me Dafn honge, Hum Apni Apni Qabro se Is Tarah Uthenge Jeise Ek Qabr se Uth rahe ho, Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho Dono Nabiyo ke Daaye-Baaye ho Jaayenge Taaki ye Dono Hazraat Ek Sath ho, Daayi(Right) Jaanib Hazrat Abu Bakr RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Dusri Jaanib Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho honge,
Baaz Raaviyo se Marvi he ki Qabre Mubaarak ke Paas Jagah khaali he Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Waaste,
Mohaqqiq Ibne Jouzi Farmaate he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Hazrate Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Madfun(Dafn) honge kyuki Hume Bahot se Lougo ne Khabar di he Jo Hujra Shareef ke Andar gaye he ki Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Pehlu me Jagah Khaali he,
Ek Riwaayat me he ki Hazrat Isaa Bin Mariyam Alayhis Salaam HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Sheikhein ke Paas Dafn kiye jaayenge Aur Unki Qabr 4thi hogi,
Ek Aur Riwaayat me he ki HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Siffat(Khushushiyaat) Touraat me Moujud he Aur ye bhi Touraat me he ki Hazrat Isaa Bin Mariyam HUZOOR KHATIMIN NABIYEEN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sath Madfun honge,
Ummul Momeneen Hazrate Maa Aaisha RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya Meine HUZOOR REHMATE QOUNEN Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Arz ki ke Mujhe Ma’alum hota he ki Mei Aap ke Baad Zinda Rahungi, Agar Ijaazat ho to Mei Aap ke Paas Madfun hu..?, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Ki Meire Paas to Abu Bakr, Umar Aur Isaa Bin Mariyam Alayhis Salaam ki Qabr ke Siwa Aur Jagah Nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-555, 556)
 
“Hazrat isa alaihissalam” ke Muta’aliq Baatil Nazariyaat :
Ek Firqe ne Aap Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Juz Mana, Unhone Daleel ye Peish ki ke RABB TA’ALA ne Farmaya
“ﻭَﻛَﻠِﻤَﺘُﻪُ ﺃَﻟْﻘَﺎﻫَﺎ ﺇِﻟَﻰٰ ﻣَﺮْﻳَﻢَ ﻭَﺭُﻭﺡٌ ﻣِﻨْﻪُ”
(Tarjuma : “Aur Uska Ek Kalmaa ki Maryam ki Taraf Bheja Aur Uske Yahaa ki Ek Rooh”)
(Surah An-Nisaa, Aayat-171)
“Hazrat isa alaihissalam” Uski Rooh he” Is se Pata Chala ki Aap Alayhis Salaam Us(ALLAH TA’ALA ka) Juz(Tukda) Aur Hissa he Kyuki ﻣِﻨْﻪُ ka Ma’ani hi ye he ki Uska Baaz(Kuchh) Hissa he,
Ye Nazariya Baatil he Aap Alayhis Salaam ko Rooh kehne ki Wajah ye he ki
Aap Alayhis Salaam ko Rooh Is liye kaha gaya he ki Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk se Aap Peida hue, Jo ALLAH TA’ALA ke Hukm se Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Girebaan me Foonka tha.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-25)
Chunki Arabi me Rooh Ba-Ma’ani Nafkh(Foonkna) ke bhi Aata he..
Haarun Raseed ke Zamaane me Tabeeb Nasraani Jo Apne Mazhab ka Bahot Bada Aalim tha, Us se Ali Bin Hussain Waaqidi Maruzi ka Munaazra huwa, Isaai ne kaha Tumhaari Kitaab(Quraane Paak) me Ayse Alfaaz Moujud he Jo Humaare Mazhab ki Taaeed(Himaayat/Madad) karte he ki “Hazrat isa alaihissalam” ALLAH TA’ALA ka Juz(Tukda) he, Usne Batoure Daleel ye Alfaaz Tilaawat kiye
“ﻭَﻛَﻠِﻤَﺘُﻪُ ﺃَﻟْﻘَﺎﻫَﺎ ﺇِﻟَﻰٰ ﻣَﺮْﻳَﻢَ ﻭَﺭُﻭﺡٌ ﻣِﻨْﻪُ”
(Tarjuma : “Aur Uska Ek Kalmaa ki Maryam ki Taraf Bheja Aur Uske Yahaa ki Ek Rooh”)
(Surah An-Nisaa, Aayat-171)
ki Yaha Lafz ﻣِﻨْﻪُ Istemaal he Jo Ba’ziyat par Dalaalat karta he,
Allama Waaqidi ne Jawaab diya ki Yaha ﻣِﻨْ Ibtedaayi Gaayat(Maqshad) ke liye Istemaal he Aur RABB TA’ALA ki Taraf Nisbat Tashreefi he, Warna ALLAH TA’ALA ke Is Irshaad Giraami
“وَسَخَّرَ لَكُمْ مَّا فِي السَّمٰوٰتِ وَمَا فِي الْاَرْضِ جَمِيْعًا مِّنْه”
(Tarjuma : “Aur Tumhaare liye Kaam me Lagaaye jo Kuchh Aasmaano me he Aur jo Kuchh Zamin me Uski Taraf se”)
(Surah Al Jaasiyah, Aayat-13)
me Tamaam Chizo ka ALLAH TA’ALA ka Juz(Tukda) Ban-na Lazim Aayega, Halaanki Iske Tum bhi Qaayal(Qabool karte) Nahi,
Aapke Is Jawaab par Nasraani La-Jawaab ho gaya Aur Usne Islaam Qabool kar liya, Haarun Raseed Bahot Khush huwa, Usne Allama Waaqidi ko Bahot Zyada Ina’am se Nawaaza.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-25)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-588,589)
>> Taslees ke Qaayeleen(3 Khuda ko Maanne wale) :-
Nasaari Taslees ke Qaayal he, ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ye Na kaho ki Tin Khuda he”
(Surah Nissa, Aayat-171)
Woh (Loug) 3 Uqnum Maante he..
1) Uqnum E Ab,
2) Uqnum E Ibne,
3) Uqnum E Roohul Quds,
Pehle Uqnum E ‘Ab’ se Muraad Zaat ya Wazud leite he, Dusre Uqnum E ‘Ibne’ se Muraad Ilm Ya’ani ‘Kalma’ Leite he Aur Tisre Uqnum E ‘Roohul Quds’ se Muraad Hayaat leite he,
Uqnum Kya he…??
Uqnum ka Ma’ani ‘Shaksh’ Aur ‘Asl’ he…
>> Ya’qubiya Firqa :-
Ya’qubiya Firqa se Kuchh Loug ye kehte he ki Uqnum Jise ‘Kalma’ Ya ‘Ibn’ kaha gaya he Usne Gosht Aur Khoon ki Shakl Ikhteyaar karli Aur Khuda Maseeh“Hazrat isa alaihissalam” ki Shakl me Zaahir Huwa (MaazAllah), Unke Nazdik Allah Maseeh Ibne Mariyam he..(MaazAllah),
Ya’qubiya me Baaz ne kaha ki
Khuda Insaan Ban Sakta he Lekin Insaan Khuda Nahi Ban Sakta Jeise Coila Aaag me Daala jaaye to Woh Aaag Ban Jata he Lekin Aaag Coila Nahi Banti (Astagfirullah..),
Ya’qubiya se hi Baaz Iske Qaayal he ki Jis Tarah Farishta Insaani Shakl me Aata he Usi Tarah Khuda Maseeh“Hazrat isa alaihissalam” ki Shakl me Numudaar(Zaahir) huwa..(MaazAllah),
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-590, 591, 592)
In sha Allah In Baatil Aqaaid Rakhne waalo ka Radd Aage Aa raha he….
Hazrat isa
Hazrat isa alaihis salam
Hazrat isa ali salam
Hazrat isa alaihis salam ka
Hazrat isa alaihis salam ki kahani
Hazrat isa alaihis salam story