>> Hawaareen ka Imaan Lana :-“Hazrat isa alaihissalam” par
Quraane Hakeem me ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Meine Hawaariyo ke Dil me Dala ki Mujh par Aur Meire Rasool par Imaan laao Bole Hum Imaan laaye Aur Gawaah Rah ki Hum Musalmaan he”
(Surah Al Maaidah, Aayat-111)
ALLAH TA’ALA ne “Hazrat isa alaihissalam” ko Jo Ina’amaat Ataa Farmaaye Unme se ye bhi he ki Hawaareen ne Aap Alayhis Salaam ke Irshaadaat ko Taslim kiya Aur Imaan laaye,
Khyaal rahe ki Imaan Deel ki Siffat he Ya’ani Sidqe-Qalbi(Sacche Deel) Aur Islaam Zaahiri Ita’at ka Naam he, Goya ki RABB TA’ALA ne Unhe 2 Chizo ka Hukm diya Deelo se Imaan Laao Aur Zaahiri Tour par bhi Ita’at(Farmaan-Bardaari) karo.
(Tafseer Kabeer, Jild-12, Safa-127)
Hawaariyo ne kaha Jis Tarah Hume Hukm diya gaya he Hum Uske Muta’abiq Imaan Laaye Aur Tu Khud hi Gawaah Rah ki Hum Musalmaan he Ya’ani Apne Imaan me Mukhlish(Sacche) he Aur Zahiri Tour par bhi Teire Mutee’a(Farmaan-Bardaar) he Jeise Tune Humaare Deelo me Hukm Ilqaa(Deel me Dala) kiya he Hum Use Tasleem karte he.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-58)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-525)
Hawaareen kon the Uske Bare me agle Post me aa raha he..>> “Hawaareen” Kon the…??
Hawaari Safeid hone ke Ma’ani me bhi Istemaal he, Gharo me Ba-Parda Rehne wali, Suraj ki Garmi se Bachne waali Aurato ko bhi Hawaariyaat kaha jata he, Isi Wajah se ‘Dhobhi'(Kapde Dhone wala Shaksh Jiska Kaam Kapde Dhona he) ko bhi Hawaari kaha jata he ki Woh Kapdo ko Safeid karta he,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Hawaareeyo ko Hawaareeyin kehne ki Wajah me Mukhtilaf(Alag Alag) Aqwaal(Baate) he,
1) Woh Safeid Kapde Pahente the Is liye Unhe Hawaareen kaha gaya he,
2) Woh Dhobhi the Lougo ke Kapde Safeid karte the Is liye Hawaareen kaha gaya,
3) Unke Deel Saaf Aur Paakiza the Is liye Unka ye Naam huwa,
>> Woh Loug Kya Kaam karte the…??
Isme bhi Mukhtilaf Aqwaal he..
1) Woh Machhali ka Shikaar karte the Unme Ya’aqub, Sham’un Aur Yuhna Naami Aadmi the, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Unke Qareeb se Guzre to Unhe kaha Tum Machhali ka Shikaar karte ho..
Aagr Tum Meiri Ta’abedaari(Farmaan-Bardaari) karo To Tum Hameisha Lougo ka Shikaar karoge Ya’ani Mujh par Imaan Laao To Tumhe Hayaate Jaavedani(Hameisha Zindagi) Haasil hogi, Loug Khud ba Khud Tumhaari Ta’abedaari karenge, Tumhaare Ahkaam par Chalenge, Goya woh Tumhaare Shikaar honge, Unhone Aap Alayhis Salaam se Puchha Tum kon ho…?
Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Isaa Ibne Mariyam, ALLAH TA’ALA ka Banda Aur Uska Rasool hu, Un Lougo ne Aap Alayhis Salaam se Mo’jiza Talab(Mang) kiya, Aap Alayhis Salaam ne Sham’un ko Paani me Jaal Daalne ke liye kaha, Jab Usne Jaal Dala to Itni Machhaliya Nikli ki Do(2) Kashtiya Bhar gayi, Halaanki Is se Pehle wo Raat Bhar Apni Koshis kar Chuka tha, Kayi Martaba Jaal Daalne par koi Machhali Nahi Nikli thi,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Is Mo’jize ko deikh kar Woh Loug Imaan le Aaye, Us Waqt Waha Woh Jitne Loug the 12 ya 29 Sab hi Imaan le Aaye (Subhan Allah..),
Ye Jab Bhuke hote to kehte Ay Roohul Allah… Hum Bhuke he, To Hazrat Isaa Alayhis Salaam Apna Hath Mubaarak Zameen Par Maarte, Har Ek ko 2 Rotiya Nikaal deite, Jab woh Pyaase hote to Pyaas ki Shikaayat karte to Aap Alayhis Salaam Zameen par Apna Haath Mubaarak Maar kar Har Ek ko Paani Nikaal deite to Woh Paani Pee leite, Woh kehne lage Humse Afzal kon hoga..?? Jab Hum T’aam(Khana) Talab karte he to Aap Hume T’aam Khila deite he Aur Jab Hum Paani Talab karte he to Aap Hume Paani Peela deite he Tehqeeq Hum Aap par Imaan Laa Chuke he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya Tum me se Afzal woh he jo Apne Haatho se kaam kare Aur Us se Haasil kiya gaya Maal khaaye, Aap ke Is Irshaad ke Baad Unhone Mahenat wa Mazduri Shuru kardi, Woh Lougo ke Kapde Dhoute the Aur Uski Haasil-Shuda Mazduri ko hi Apna Kharch Banaate,
2) Hawaareen ke Muta’aliq Ek Qoul ye he ki Ek Baadshah ne Ek Martaba Lougo ki Da’waat ki, T’aam Taiyyar ho gaya, Taqseem(Baatne) ke Waqt Ek Pyaale par Hazrat Isaa Alayhis Salaam Muqarrar hue, Aap Alayhis Salaam ne Taqseem karna Shuru kiya, Ek hi Pyaala Sab Lougo se Khatm Na ho Saka, Baadshah ne Jab Aap Alayhis Salaam ke Mo’jiza ko Deikha to Usne Apni Baadshahat Chhod di, Aap Alayhis Salaam ki Ta’abedaari(Farmaan-Bardaari) Ikhteyaar karli, Baadshah ke Kuchh Qareebi Loug bhi Uske Sath Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Taa’be(Farma-Bardaar) ho gaye Unhi Lougo ko Hawaareen Kaha Jata he,
3) Ek Aur Qoul ye he ki Aap AlayhHazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1is Salaam ki Waalida ne Aap ko Ek Kapde Rangne waale Shaksh ke Paas Chhoda Taki Ye Bhi Kapde Rangna Sikh Jaaye, Woh Aap Alayhis Salaam ko Jab Bhi Apne Fan(Kaarigari) ki koi baat Batana Chahta to wo Aap Pehle hi Jaante hote, Ek Din Woh Shaksh kisi Kaam ke liye Jaane laga to Aap Alayhis Salaam ko kaha ki ye Kapde he, Har Ek par Meine Nishan laga diya he, Isi ke Muta’abiq Tum Kapde Rang deina, Woh Chala gaya, To Aap Alayhis Salaam ne Tamaam Rang Ek Bartan me Daal kar Paka diye Aur Isi Ek Bartan me Tamaam Kapde bhi Daal diye Aur Kapdo se Mukhaatab ho kar kaha ‘Tum ALLAH TA’ALA ke Hukm se Ayse hi ho Jaao Jeise Mei Chahta hu’..
Jab Woh Shaksh Waapas Aaya to Usne Puchha Kya Tum ne Kapde Rang diye he..?? Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Haa Meine Sab Rang Aur Sab Kapde Ek Bartan me Daal diye he, Range Ja Chuke he Aap Nikaal le, Usne Jab ye Soona to Kehne laga Tumne Kapde Barbaad kar diye he, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Uth kar deikho to Shayad Sahih Range ho, Usne Jab Kapde Nikaalna Shuru kiye to Woh Isi Tarah Range hue the Jeise Usne Nishan lagaaye the, Koi Surkh(Laal), Koi Zard(Pila) Aur koi Sabz(Leela) Rang tha, Ye Maanjra deikh kar Waha Sab Haazireen Muta’ajib(Heiraan) hue Aur Sab ne Imaan Qabul kar liya Un Lougo ko hi ‘Hawaareen’ kaha jata he,
In Tamam Aqwaal ke Muta’aliq Hazrat Qefaal Rahmatullah Alay ki Raay ye he ki In Aqwaal me koi Ikhtelaaf(Juda/Difference) nahi, Balki Inme se Baaz Baadshah Aur Uske Qareebi(NaHazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 21zdiki) the Aur Kuchh Shikaari the, Kuchh Kapde Rangne Waale Aur Kuchh Dhobhi the, In Tamaam ko ‘Hawaareen’ kaha gaya Kyuki Woh Tamaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Madadgaar the Aur Unke Sath Mohabbat karne waale Aur Unki Ita’at(Farmaan-Bardaari me Mukhlish(Sacche) the,
Allama Aalusi Rahmatullah Alay ne Farmaaya ki Aapke Jitne Loug bhi Mo’aavin(Madadgaar) Aur Khulush(Saccha Lagaav/Paakizgi) se Aapke Sath Mohabbat karne waale the Woh Tamaam “Hawaareen” the.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-176)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-526, 527)
 
>> Hawaareen ka Aasmaani Khana Talab karna :-
Quraan Shareef me he ki
“Jab Hawaareeyo ne kaha Ay Isaa Bin Mariyam Kya Aapka RABB Aysa Karega ki Hum par Aasmaan se Ek Khwaan(Khana Wageira Lane-le Jane ka Thal/Seeni/Thal) Utaare Kaha ALLAH se Daro Agar Imaan rakhte ho, Bole Hum Chaahte he ki Usme se Khaaye Aur Humaare Deel Thehre Aur Hum Aankho deikh le ki Aapne Hum se Sach Farmaaya Aur Hum Us par Gawaah ho jaaye”
(Surah Al MaaidahAayat-112, 113),Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 19
Hawaareen Chunki Musalmaan the, Unhone ALLAH TA’ALA ki Qudrat me Koi Shaq Nahi kiya,
Aam Mohaqeqeen(Tehqeeq Karne waalo) ne Aysa hi Bayaan kiya he Ya’ani Unhone Aasmaan se T’aam(Khana) Utarne ka Mutaaleba(Maang) kiya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya Tum Is Qism ke Sawaal karne se ALLAH TA’ALA se Daro, Zyada Nishaaniya Aur Mo’jizaat ka Mutaaleba Na karo,
Aur Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Agar Tumhe ALLAH TA’ALA ki Qudrat par Imaan he Aur Meiri Nabuwwat ke Sahih Hone par Yaqeen he Aur Tumhe Apne Imaan me Kamaal Aur Khulus Haasil he Aur Agar Tum Apne Da’wa E Imaan Aur Khulus me Sacche ho to Is Qism ke Sawaal karne ka Tumhaara kya Maqshad he…??
Qoum ne Jawaab diya ki Hum Aasmaan se khana Utar ne ka Sawaal karke Ek Mo’jize ki Talab(Maang) Nahi kar rahe, Balki Humara ye Sawaal Aur Haqiqat Kayi Chizo ki Talab(Maang) par Mushtamil(Shamil) he..
»» Hum Chahte he ki Aasmaan se Humaare liye Khana Utre kyu ki Hum Bhook me Mubtila he, Humaare Paas Aur koi Khaane ki Chiz Nahi he,
»» Hume ALLAH TA’ALA ki Qudrat par Yaqeen he Lekin Jab Hum Iska Moshaahedah(Deikhenge) karenge ki ye Khana Aasmaano se Naazil huwa he to Humara Yaqeen Aur Badh Jaayega Aur Itmenaan hoga,
»» Hum Aap ke kayi Mo’jizaat ko deikh kar Aap ki Sadaaqat(Sacchai) ka Yaqeen kar Chuke he, Jab Ye Mo’jiza bhi deikh leinge to Aap ki Sadaaqat wa Nabuwwat par Humara Imaan Aur Zyada hoga, Aapke Mo’jizaat Aur Zyada Haasil honge, Aapke Muta’aliq Aur Itmenaan hoga,
»» Is se Pehle Aap ne Agarche Kayi Mo’jizaat dikhaye he lekin Woh Tamaam Zameen se Ta’aluq rakhne waale the, Ab Hum woh Mo’jiza deikhna Chahte he Jiska Ta’aluq Aasmaano se he, Ye Azeem Aur Ajeeb Mo’jiza hoga, Jab Hum Iska Mushaaheda kar leinge to Hum Is par Gawaah Ban Jayenge, Bani Israail ke jo Loug Haazir Nahi Unhe bhi Bataayenge,
»» Hum ye Khana Batoure Tabarruk(Woh Chiz Jisme Barkat Hone ka Yaqin ho) khaayenge ki ye Nabi ke Mo’jize se Haasil he,
»» Aur Hum ye Khana Batoure Mohabbat Khaayenge ki Hume ye Apne Nabi ke Zariye Haasil he.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-60)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-528, 529, 530)
 
>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Aasmaani Dastarkhwaan ke liye Duaa Karna :-
Quraane Kareem me he ki
“Isaa Bin Mariyam ne Arz ki Ay ALLAH Ay RABB Humaare Hum par Aasmaan se Ek Khwaan(Thaal/Seeni) Utaar ki Woh Humaare liye Eid ho Humaare Agle Pichhlo ki Aur Teiri Taraf se Nishaani Aur Hume Rizq de Aur Tu Sabse Behtar Rozi deine wala he”
(Surah Al Maaidah, Aayat-114)
Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne deikha ki In Lougo(Hawaareeyo) ka Mo’jize ki Talab(Mang) par Israar(Zid) he Aur Garaz(Zarurat) bhi In ki Sahih he to Aap Alayhis Salaam ne Duaa karne ka Mosammam(Mazbut) Iraada kar liya, Aap Alayhis Salaam ne Bakri ke Baalo ka Bana huwa Siyaah(Kala/Black) Mota Libaas Pahena, Wazu kiya, Gusl kiya, Nawaafil Adaa kiye, Qibla ki Taraf Muta’wajje(Tawajjo/Dhyaan) ho kar Khade hue, Nihaayat Khushu’a Wa Khuzu’a(Aa’jizi) se Aankho ko Bandh karke Sar ko Jhukaya, Aansu Bahaate hue RABB TA’ALA ki Baargaah me Ilteja’a ki Ay ALLAH TA’ALA Hum par Aasmaano se Dastarkhwaan Naazil Farma Jo Humaare liye Aur Humaare Aglo Aur Pichhalo ke liye Eid Bane.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-60)
Ya’ani Jis Din Aasmaano se Khwaan(Thaal) Utrega Hum Use Apne liye Eid ka Din Samjhenge, Hum bhi Us Din ki Azmat karenge Aur Humaare Baad Aane waale bhi Uski Azmat karenge,
>> Faida :-
Is se Ma’lum huwa ki Jis Din ALLAH TA’ALA ki Khaas Rahemat Naazil ho, Us Din ko Eid wa Khushiya Banana, Ibaadate Karna, Shukre Ilaahi Baja Lana Saaleheen ka Tariqa he Aur (Isme) kuchh Shak Nahi ki HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tashreef Aawri ALLAH TA’ALA ki Azeem Tareen Ne’amat Aur Buzurg Tareen Rehmat he, Is liye HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Mubaarak ke Din Eid Manaana Aur Milaad Shareef ke Mouzu par Na’ate Padh kar Taqaareer kar ke, Tilaawate Quraane Paak karke Shukre ILAAHI Baja Lana Mustahab Aur ALLAH TA’ALA ke Maqbul(Qabul kiye) Bando ka Tariqa he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-530, 531)
Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 21
>> Aasmaani Khana Naazil hona :-
Quraane Azeem me he ki
“ALLAH ne Farmaaya ki Mei Ise Tum par Utaarta hu, Fir Ab jo Tum me Kufr karega To Beishak Mei Use Wo Azaab dunga Ki Saare Jahaan me kisi par na Karunga”
(Surah Al Maaidah, Aayat-115)
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Duaa se Surkh(Laal) Rang ka Maaidah(Dastarkhwaan) Do(2) Baadalo ke Darmiyaan Utra, Jise Sab Loug deikh rahe the, Yaha Tak ki Woh Unke Paas Aa gaya, Is Khwaan(Thaal/Seeni) ke Aane ko RABB TA’ALA ne Chunki Is se Mashrut(Shart) kar diya tha ki Naazil to Mei kar raha hu Lekin Iske Baad Jo Tum me se Kufr karega, Na-Farmaani karega, Use Aysa Azaab Dunga Jo Jahaan(Duniya) me se Kisi ko Nahi Dunga, Is Shart ki Wajah se Hazrat Isaa Alayhis Salaam Khwaan ko Utarte hue deikh kar Rone lage Aur Duaa Karne lage “Ay ALLAH TA’ALA Mujhe Shukr-Guzaaro me rakh, Ay ALLAH TA’ALA Is Khwaan ko Humaare liye Rehmat Bana Aur Ise Humaare liye Tabaahi Aur Azaab Na Bana,
Fir Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Wazu Farmaaya, Nawaafil Adaa kiye, Route hue, Duaa karte hue, Us(Thaal) se Roomaal ko Hataya Jis se Woh Dhanpa huwa tha Aur Kaha
“ALLAH TA’ALA ke Naam se Shuru Jo Behtar Rizq deine Wala he..”
Us Khwaan me Aap Alayhis Salaam ne deikha ki Bhuni(Baafi)Machhali he Is Machhali me Kante Aur Chhilke Nahi, Uske Sar par Namak, Dum par Sirkah Aur Uske Ird-gird(Aas-Paas) Mukhtilaf (Alag Alag) Qism ki Sabziya he, Us par Har Qism ki Sabziya thi Siwaay Ek Saage Karaas(Ek Qism ka Shaag) ke Aur Us Khwaan me 5 Rotiya thi, Ek par Zeitun, Dusre par Shahad(Honey), Tisri par Ghee, Chothi par Paneer Aur Panchvi par Bhuna Huwa Gosht,
Sham’un ne Puchha Ay Roohullah Alayhis Salaam Kya Ye Duniya ka Khana he ya Aakhirat ka..?? To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya In Dono se Nahi Balki ALLAH TA’ALA Apni Qudrate Kaamela se Ise Ab hi Wajood me laya he, Tumhaare Sawaal ke Muta’abiq RABB TA’ALA ne Naazil Farmaaya he, Ab Tum Khaao Aur ALLAH TA’ALA ka Shukriya Adaa karo, Agar Tumne ALLAH TA’ALA ka Shukr Adaa kiya to Woh Tumhaari Aur Imdaad(Madad) Farmaayega Aur Apna Fazl Aur Zyada Farmaayega, Woh Loug Kehne lage Ay Roohullah Alayhis Salaam Is Mo’jize me Aap koi Mo’jiza bhi dikha de, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya
“Ay Machhali ALLAH TA’ALA ke Hukm se Zinda ho Jaa”
Woh Machhali Tadpi Aur Zinda ho gayi, Aap Alayhis Salaam ne Fir Farmaaya Tu Apne Haal ki Taraf Lout Jaa Woh fir Usi Tarah Bhuni Hui Machhali Ban gayi, Un Lougo ne Use Seir ho kar khaya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Unhe Kaha Is me Kheyaanat(Be-Imaani) Na kare, Ise Dusre Din ke liye Zakhira(Jama) Na kare, Lekin Unhone Kheyaanat ki Aur Zakhira Bana liya, ALLAH TA’ALA ki Shadeed Giraft(Shakht Pakad) me Aa gaye, Duniya me Unhe Shadeed Azaab ye diya gaya ki Unhe Khinzir(Pig) Bana diya gaya, 330 Aadmi Is Azaab me Mubtala(Giraftaar) hue, Raat Unhone Thik-Thak Ahl Wa Eyaal(Family) me Guzaari, Lekin Subah Khinzir Bana diye gaye, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko deikh kar Route the, Aap Alayhis Salaam Jab Unke Naam le kar Unhe Bulaate to Woh Sar Hilaate Lekin Unhe Kalaam(Baat) karne ki Taaqat Na hoti, Isi Haal me Woh 3 Din Zinda rahe fir Mar gaye, Ye to Unko Duniyawi Azaab Diya gaya, Ukhrawi(Aakherat ka)Azaab bhi Unhe Shadeed Hoga,
Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Hazrat suleman story in hindi urdu part 4Ta’ala Anho Farmaate he
‘Beishak Qayaamat ke Din Shakht Azaab Maaidah(Dastarkhwaan) me Kheyaanat karne Waalo Aur Munaafiqeen Aur Firon Aur Uski Qoum ko hoga’.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-532, 533)