Hazrat isa alaihissalam 3 aap ko masih kehne ka raaz
Hazrat isa alaihissalam part 1
Hazrat isa alaihissalam part 2
Fir Farmaya “Aur Wahi Salaamati Mujh par Jis Din Mei Peida huwa Aur Jis Din Maru Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaau” Yaha 2 Ihtemaal(Gunjaaish) he, Ek ye ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Qoum ko Bataya ki RABB TA’ALA ne Mujhe In Teen Awqaat(Waqto) me Salaamati Ataa Farmaadi he Aur Dusra I htemaal(Gunjaaish) ye he ki Aapne Duaa ki ho ki Ay ALLAH Jis Tarah Tune Yahya Alayhis Salaam ke Muta’aliq khud Bataya ki Meine Unhe Salaamati Ataa Farmaayi he Ayse Mujhe bhi Ataa Farma de, Aap ki Duaa ko Qabul karke ALLAH TA’ALA ne Aapko In Teeno Awqaat me Salaamati Ataa Farma di.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-508 to 512)
Aam Tour par Itni Chhoti Umr ke Bacche Bol nahi Paate, Kisi se Baat nahi kar paate, Magar ye ALLAH TA’ALA ke NABI Hazrat Isaa Alayhis Salaam he, Jinhone Itni Chhoti Umr me Lougo se Baat ki…
ALLAHU AKBER…
Hazrat isa alaihissalam Salaam ko “Maseeh(مسیح) kyu kaha gaya…??
Isme Chand Wajah he..
1) Jab Koi Shaksh Aaafat-Zada hota Ya’ani Kisi bhi Marz(Beemaari) me Mubtila hota to Aap Us par Hath Feirte the to Usko Shifaa Haasil ho jati,
2) Aap Chunki Ek Jagah par nahi rehte the Balki Firte rehte the Is liye Aap ko “Maseeh” kaha gaya,
3) Aap ALLAH TA’ALA ki Raza ke liye Yateemo ke Sar par Haath Feirte Is liye Aap “Maseeh” hue,
4) Aapse Gunaaho Aur Gunaaho ke Bouz, Gunaaho ki Aaludgi(Gandagi) ko Mita diya gaya tha, Ya’ani Aapko RABB TA’ALA ne Gunaaho se Door rakha huwa tha,
5) Aapke Qadmo se Neseeb ko Mitaya huwa tha Ya’ani Aapke Qadam Bilqul Seedhe the, Aam Aadmiyo ki Tarah Nahi the ki Qadmo ke Talwo ka Kuchh Hissa Zameen par Nahi Lagta kyuki Usme Neseeb hota he,
6) Aapko Zeitun ka Mubaarak Teil ALLAH TA’ALA ki Taraf se laga diya gaya tha jo Tamaam Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ko lagaya jata tha Jis se Farishto ko Pata Chal jata tha ki Is Hasti ko “Nabi” Bana diya jaayega,
7) Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Aapko Apne Paro se Mis kiya tha Taki Aap Sheitaan ke Mis se Mehfuz rahe,
8) Aap Jab Waalida ke Peit se Baahar Tashreef laaye to Aap ko Teil laga huwa tha Aam Bachcho ki Tarah Aapke Baalo ko Teil lagaane ki Zarurat Dar-peish Nahi Aayi.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-52)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-513, 514)-
“Hazrat isa alaihissalam” ke Alqaab :-
“Kalimatullah(کَلِمَۃُ اللہ)”, “Masih”, “Wajih”, “Muqarrab”, “Saaleh”, “Mahad wa Kohulat me Muta’kalim”..
Quraane Paak me he ki
“Aur Yaad Karo Jab Farishto ne Mariyam se kaha Ay Mariyam ALLAH Tujhe Bashaarat deita he Apne Paas se Ek Kalime ki Jiska Naam hei Masih Isaa Mariyam ka Beita Rudaar(Ba-Izzat) hoga Duniya Aur Aakhirat me Aur Qurb Wala, Aur Lougo se Baat karega Paalne me Aur Pakki Umr me Aur Khaaso me hoga”
(Surah Aale Imraan, Aayat-45,46)
“Hazrat isa alaihissalam” ko “Kalema(کلمہ) kyu kaha gaya..??
Iski Kayi Wajah he
“Hazrat isa alaihissalam” Peidaaish Bageir Baap ke Waaste ke ALLAH TA’ALA ke Kalme “Kun” se hui, Aap ki Takhleeq me Jab Baap ka Waasta Nahi, Nutfe ka Istemaal nahi Faqat ALLAH TA’ALA ke Kalme “Kun” se hui to Is Wajah se Aap ko Kalma “kun” kaha gaya Ya’ani “Kalamatullah” se Peida-Shuda Jeisi Makhluq ko Khalq, Maqdur ko Qudrat keh diya jata,
“Hazrat isa alaihissalam” Bachpan ki Haalat me Kalaam Farmaya Is liye Aapko “Kalema” keh diya gaya,
»» Kalema Ma’ani Aur Haqaaiq ka Faida deita he, Isi Tarah Hazrat Isaa Alayhis Salaam Haqaaiq Aur Asraare Ilaahiya ki Rehnumaai Farmaate rahe Lihaza Aapko “Kalema” keh diya gaya,
»» “Hazrat isa alaihissalam”i Bashaarat Aapke Aane se pehle Ambiya Alayhis Salaam ki Kitaabo me Aa chuki thi, Jab Aap Tashreef laaye to Kaha gaya ki ye Wahi “Kalema” he jo Pehle Zikr kiya gaya he, Is Lihaaz se Aap ka Naam “Kalema” rakh diya gaya,
Khyaal rahe ki “Kalema” se Muraad Is Maqaam par Kalaam(Baat) he, ALLAH TA’ALA ka Kalaam Qadeem he, Aap ALLAH TA’ALA ka Kalaam nahi Balki ALLAH TA’ALA ke Kalaam se Peida hone ki Wajah se “Kalimatullah(کَلِمَۃُ اللہ)” hue he.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-38)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-512, 513)
Aage Aur bhi Alqaab ki Tafseel Aa rahi he..
“Hazrat isa alaihissalam” ko Wajeeh kyu kaha gaya….??
»» Wajeeh ka Ma’ani Saahibe Martaba, Shaahibe Sharaafat Aur Shaahibe Qadr wa Manzelat he, Ye Us Waqt kaha jata he Jab Kisi Shaksh ka Martaba Lougo ya Baadshaho ke Nazdik Zyada Buland wa Bala ho Aur Baaz Ahle Lugaat ne Bayaan kiya he ‘Wajeeh’ ka Ma’ani Batoure Iste’aarah Karam Aur Kamaal liya jata he,
»» “Hazrat isa alaihissalam” Duniya me ‘Wajeeh’ the Kyuki Aap Mustajaabud Da’waat the, Aap ki Duaa se ALLAH TA’ALA ne Murdo ko Zinda kiya, Maadar-zaad Andho ko Nazar Ataa Farmaayi, Baras(Safeid Kodh) Waale Marizo ko Baras(Safeid Kodh) se Naja’at di,
»» Duniya me Aap ke ‘Wajeeh’ hone ki Aur Wajah ye bhi thi ki ALLAH TA’ALA ne Aap ko Un Tamaam Ayub(Khraabi) se Bari rakha jo Yahud Aap par Lagaate the Ya’ani Aap ka Haqiqat me Ayub se Bari hona hi ‘Wajeeh’ hone ka Sabab tha, Agarche Aap par yahud Aiyb lagaate rahe lekin Aapki Shaan me koi Farq na Aa saka, Jeisa ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne ‘Wajeeh’ Banaya Agarche Aap par bhi Yahud Aiyb lagaate rahe Aakhirat me bhi Aap ‘Wajeeh’ honge kyu ki ALLAH TA’ALA ne Aap ki Ummat ke Momino ko Haqq Raah par Chalne Waalo ka Shafee’a banaya, Aap ki Shafa’at ko Dusre Tamaam Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ki Shafa’at ki Tarah Qabul kiya jaayega,
»» ALLAH TA’ALA ne Jab Farishto ki Azeem Madah(Ta’aruf) karte hue Unhe Apne Muqarribeen kaha to Aap ko bhi yahi Siffat Ataa Farmaayi kyuki Aap bhi Buland Martaba Aur Rafi-ul-Darjaat he Aur Farishto ke Sath hi Zinda rahenge Aur Aakhirat me Jis Shakhs ko ‘Wajeeh’ Banaya gaya Use Muqarrab to hona hi he kyuki Use Jannat ke Aa’la Martabe Ataa honge.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-53,54)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-514,515)
>> Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Laqab ‘Rooh’ :-
Quraane Paak me he ki
“Maseeh Isaa Mariyam ka Beita ALLAH ka Rasool hi he Aur Uska Ek Kalema ki Mariyam ki Taraf Bheija Aur Uske Yaha Ki Ek Rooh”
(Surah Nisha, Aayat-171)
“Hazrat isa alaihissalam” ko ‘Rooh’ kehne ki Chand Wajah he..
»» Aam Lougo ki Aadat Jaari he ki Tahaarat ke Aa’la Darje ki Ta’arif karni ho to Use Rooh keh deite he, Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Takhleeq Baap ke Nutfe se nahi Balki Nafkhe Jibrail Alayhis Salaam(Hazrate Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk) se hui to Yaqinan Aap ki Siffat ‘Rooh’ se Bayaan ki gayi,
»» “Hazrat isa alaihissalam” Makhluq ke Deen ke Zinda rehne ka Sabab Bane Jiska Deen Zinda rahe Use ‘Rooh’ keh liya jata he,
»» ‘Rooh’ Ba-Ma’ani Rehmat ke bhi Istemaal hota he, Yaha ‘Rooh’ se Muraad Rehmat he, Chunki Isaa Alayhis Salaam bhi ALLAH TA’ALA ki Taraf se Makhluq ke liye Rehmat Bana kar Bheije gaye, Aap Unko Deen wa Duniya me Neiki ke Raaste ki Hidaayat karte to Isi Wajah se Aap Alayhis Salaam ko ‘Rooh’ kaha gaya,
»» Rooh kalaam Arab me Foonk ke Ma’ani me bhi Istemaal he, Aap ko ‘Rooh’ Is liye kaha gaya ki Aap ALLAH TA’ALA ke Hukm Aur Uske Izn(Ijaazat) se Nafkhe Jibrail Alayhis Salaam(Hazrate Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk) se Peida hue,
»» Shareef, Qudsi, Buland Martaba Rakhne waali Rooho me se Aapki Rooh bhi he, Ya’ani Aapki Rooh Azeem Rooh he, Is liye ALLAH TA’ALA ka Qurb Haasil he, Isi liye Aapko ‘Rooh’ Keh diya gaya.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-115)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-517)
> ‘Roohe Quddus’ se Aapki Imdaad ki gayi :–
Quraane Azeem me he ki
“وَ اَیَّدۡنٰہُ بِرُوۡحِ الۡقُدُسِ”
“Aur Paak Rooh se Uski Madad ki”
(Surah Al Baqara, Aayat-87)
Is “رُوۡحِ الۡقُدُس(Paak Rooh)” se Muraad kya he..??
Isme Mukhtilaf(Alag Alag) Aqwaal(Baate) he Lekin In Tamaam Wajaho se Aapko Imdaad(Madad) di gayi,
Is ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ se Muraad Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he, Ya’ani Jibrail Alayhis Salaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Imdaad(Madad) Farmaate rahe, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko Jo ALLAH TA’ALA ke Yahaa Shara’afat(Izzat) Aur Buland Martaba Haasil he Isi Wajah se ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ kaha gaya Aur Jis Tarah Badan ko Rooh ke Zariye Zindagi Haasil hoti he Ayse hi Jibrail Alayhis Salaam ke Zariye Deen ko Zindagi Haasil hoti rahi kyuki Aap Tamaam Ambiya E Kiraam ke Paas Wahi(KHUDA TA’ALA ka Peigaam) Laate rahe, Jiske Zariye Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam Ihyaa E Deen(Deen ko Zinda Karne) ka Fariza(Zimmedari) Sar-Anjaam deite rahe Agarche Tamaam Farishto ko Roohaaniyat Haasil he Lekin Jibrail Alayhis Salaam ko Tamaam se Zyada Aur Kaamil Roohaaniyat Haasil he Isi Wajah se Aapko ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ ka Laqab Ataa kiya gaya,
Zyadatar Hazraat ne ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ se Muraad Jibrail Alayhis Salaam hi liye he ki Aap ki Taaid(Madad) Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Hameisha Haasil rahi kyuki Aap Jaha Jate Jibrail Alayhis Salaam Unke Saath hi Chalte Aur Jami’a Ahwaal(Tamaam Haalaat) me Aapka Sath deite rahe Aur Aasmaan me bhi Aapke Sath gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-177)
Leave A Comment