hazrat isa alaihis salam in hindi urdu 2 aap ki paidaish>> Dardezeh ke Waqt Pareshani me Izaafa :-
Quraane Kareem me he ki
“Fir Use Janne ka Dard(Dardezeh) Ek Khajoor ki Jad me le Aaya Boli Haay Kisi Tarah Mei Is se Pehle Mar Gayi hoti Aur Bhuli Bisri ho Jaati”
(Surah Maryam, Aayat-23)
Dardezeh(Baccha Peida hone ka Dard) ki Takleef ki Wajah se Jo Hasrat(Afsos) Haasil tha Usne Ek Khajoor ke Darakht(Peid) ke Paas Aane ke liye Majboor kar diya tha Aur Is Wajah se bhi Aapne Khajoor ke Darakht ka Rukh kiya taaki Baate karne waalo se Parda-Poshi(Parda-daari) rahe,
Tafseere Kassaf me Zikr kiya gaya he ki Khajoor ka Darakht Sirf Tana tha Uper se Kata huwa Khushk tha Aur Fal bhi Nahi deita tha,
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko “Hazrat maryam alaihissalam” ke Paas Bheij kar Unke Girebaan me Foonkne ka Hukm diya, Hazrat Mariyam Alayhis ko Bataya gaya ki ALLAH TA’ALA Tumhe Beita Ataa karne Wala he Tumhe Aur Tumhaare Beite ko Jahaan Waalo ke liye Nishaani Banaya he,
Lekin fir bhi”Hazrat maryam alaihissalam” keh rahi he “Haay Kisi Tarah Mei Is se Pehle Mar Gayi hoti” Aakhir Itni Be-qaraari ki kya Wajah thi…??
Wajah Waazeh he ki ye Aheshaas Teiz-Tar ho gaya ki Ab Tak Lougo ki Nazaro se Chhipi rahi Aur Ab Baccha bhi Peida ho gaya to Use kaha Chhupaaungi Aur Lougo ko Kya Moonh dikhaaungi…?? Siddat(Shakhti) me Ye Alfaaz Zubaan par Aagaye, RABB TA’ALA par koi Shikwa Nahi tha Balki Lougo ki Ta’anazani ki fikr thi Aur Zyadatar Na-Samaj Lougo ko Shamjhaane ki Fikr thi,
RABB TA’ALA ke Khouf ki Haalat me Is Tarah ke Alfaaz Saaleheen se Adaa hote rahe he, jeisa ki Hazrat Abu Bakar Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho ne ek Parinde ko Darakht par Beithe hue deikha to Aap ne Farmaya Ay Parinde Tu Kitna hi Khush-Bakht he ki Darakht par Beith kar Uska Fal kha raha he, Kaas me bhi Koi Fal hota ki Mujhe Parinde Kha Jate, Aapka ye Kalaam Khoufe ILAAHI ki wajah se tha,
Hazrate Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ghans ka Ek Tinka(Ghans Wageira ka Tukda) Hath me liya Aur Farmaya Kaas Mei Bhi Ghans ka Ek Tinka hi hota Kash Mei Kuchh Na Hota, Aap ka Ye Irshaad bhi ALLAH TA’ALA ke Khouf ki Wajah se hi tha,
Hazrate Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ne Youme Jamal me Farmaya Kaas Mei Aaj se 10 Saal Qabl(Pehle) Mar Chuka hota, Aap ka Ye Kehna Zaahiri Fitne se Pareishani ki wajah se tha…
Khyaal rahe ki Agar kisi Shakhsh ne “Hazrat maryam alaihissalam” ke Muta’alaq ye Gumaan kiya ki Unhone Dardezeh Ya Dunyawi Takaalif ke Peshe Nazar Mout ki Tamanna ki thi To Usne Bura Gumaan kiya.
(Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-1, Safa-82)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-502, 503, 504)
>> Khaane-Peene ka Intezaam Aur Mazeed Tasalli :-
Quraane Kareem me he ki
“To Use Uske Tale se Pookara ki Gum Na rakh Beishak Teire RABB ne Niche Ek Naher Bahaa di he, Aur Khajoor ki Jad Pakad kar Apni Taraf Hila Tujh par Taazi Pakki Khajoore Girengi, To Khaa Aur Pee Aur Aankh Thandi rakh Fir Agar Tu Kisi Aadmi ko Deikhe to keh deina Meine Aaj REHMAAN ka Roza mana he to Aaj Hargiz kisi Aadmi se Baat na karungi”
(Surah Maryam, Aayat-24, 25, 26)
Aapko Waadi ke Nesheeb(Niche) se Aawaz Aayi Tum Gum na karo Humne Tumhaari Jagah se Nasheebi(Niche ki) Taraf Ek Naher Bahaadi Jo Tumhaare Hukm ke Ma-Tehat hogi(Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Peir ki Thokar Maari to ye Naher Jaari hui Ya “hazrat isa alaihis salam” ne Peida hone ke Baad Aydi Ragdi to Us se Jaari hui) Khajoor ka Khushk Tana Jiska Sar kataa huwa he, Mousam bhi Sardiyo ka he, Woh In Haalaat me Agar Fal Nahi deita Lekin Tum Use Apni Taraf Hilaao to wo Tumhe Paki hui Taza Khajoore deiga, Khaao Aur Peeo Ya’ani Khajoore Khaao Jo Peidaish ke Waqt Zacha Aur Baccha Douno ke liye Bahot Mufeed Giza he Aur Zaari Suda Chasma se Paani Peeo, Isi se Andaza laga lo ki ALLAH TA’ALA ne Jis Tarah Tumhaare Khane Aur Peene ka Intezaam Farma diya he Isi Tarah wo khatraat jo Tumhaare Zehan me Aa rahe he wo bhi Zaaeel(Mitaa) kar deiga, Tumhaare Nafs ko Itmenaan Haasil hoga, Aankho ko Thandak Haasil hogi, Is liye Hukm diya Nafs ko Mutmaeen Rakho Aur Aankho ko Thanddaar rakho,
Ek Riwaayat ye bhi Milti he ki “hazrat isa alaihis salam” ne Peida hote hi Waalida ko Tasalli deite hue kaha Gum Na kha.. “Hazrat maryam alaihissalam” ne kaha Keise Gum na khaau Jab Tum Meire Saath honge, Meira Khaawand(Shohar) koi hei Nahi Aur Mei kisi ki Londi bhi Nahi, Lougo ke Saamne kya Uzr peish karungi…?? Kaas Mei Is se Pehle hi Mar jaati To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Kaha “Meira Kalaam(Baat) hi Tumhe Kefaayat(Faayda) kar Jaayega…”
ALLAH TA’ALA ne”Hazrat maryam alaihissalam” ko Hukm diya ki Jab Tum Bachhe ko Sath le kar Jaao to Koi bhi Tumhe Mile to Tum Ishaare se Use Batana ki Meine Nazar Maani hui he ki RABB TA’ALA ki Razamandi ke liye Roza rakhungi Aur Kisi Aadmi se Kalaam(Baat) Nahi Karungi,
Ahle Ilm Hazraat ne Aapko ye Hukm diya gaya Uski Wajah Bayaan karte hue Bayaan kiya he ki Bewaqufo se Aap ko Kalaam(Baat) karne ki Zarurat Peish na Aaye Balki “hazrat isa alaihis salam” Khud hi Kalaam(Baat) karke Unke Ta’ano ka Jawaab de, Aap ka Kalaam karna Aur Unhe Jawaab deina Ta’ano ke Khatm karne me Nass E Qatai ka Darja Haasil hoga.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-1, Safa-86,87)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-504, 505)
 
>> Waapasi par Lougo ki Ta’ana-Zani :-
Quraane Majeed me he ki
“To Use Goud me le Apni Qoum ke Paas Aayi Bole Ay Maryam Beishak Tune Bahot Buri Baat ki, Ay Haarun ki Bahen Teira Baap Bura Aadmi Na Tha Aur Na Teiri Maa Badkaar”
(Surah Maryam, Aayat-27,28)
Hazrat Maryam Alayhis Salaam Jab Chalne-Phir ne ke Qaabil ho gayi to Apne Farzand ko Goud me Utha kar Apne Ghar Louti, Jab Kunba(Qabila/Gharana) Waalo ne Deikha ki Kunwaari Maryam Baccha Uthaaye Aa rahi he to Unpar Saktah(Heirat/Ta’ajub) ka Aalam Taari ho Gaya, Unhone Rouna Shuru kar diya Aur Bahot Zyada Sharmindagi se wo Sirf Itna Keh Sake honge Ya Maryam(Ay Maryam…),
Ek Riwaayat me he ki Jab Bacche ko Apni Qoum ke Paas le Aayi to Bani Israail me ye Baat Mashoor ho gayi, Malaamat(Bura/Bhala) karne ke liye Mard Aur Aurate Doud Aaye, Ek Aurat ne Thappad Maarne ke liye Haath Uthaya to Woh Sukh gaya, Ek Mard ne kaha ye to Zeena-Kaar he (MaazAllah..) to wo Gunga ho gaya, Ye Deikh kar kisi ko Maarne ya Bura-Bhala kehne ki Himmat na hui Aur Bade Naram Andaaz me Itna hi keh Sake Ay Maryam Beishak Tune Bahot Bura Kaam kiya he…
“Hazrat maryam alaihissalam” ke Ek Bhai ka Naam Haarun tha Is liye Qoum ne Aapko “Ay Haarun ki Bahen” keh kar Pookara, Sahih Hadees se bhi Iski Taaid hoti he,
Muslim Shareef me he ki Hazrat Mugira Bin Sho’eba RadiAllaho Ta’ala Anho Jab Najraan gaye to Waha ke Isaaiyo ne Unse Puchha ki Quraan me “Hazrat maryam alaihissalam” ko “Haarun ki Bahen” kaha gaya he Haalanki Haarun Mariyam Alayhis Salaam se Sad-ha Saal Pehle Guzre he wo koi Jawaab na de sake, Jab Waapas Aaaye to Baargaahe RISAALAT me Is Waaqiye ko Bayaan kiya to HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki Bani Israail ka Dastoor(Tour-Tariqa) tha ki woh Apne Baccho ke Naam Ambiya Alayhis Salaam ke Aur Pehle Buzurgo ke Naam par Rakha karte the,
Is se Pata Chalta he ki “Hazrat maryam alaihissalam” ke ek Bhai the, Jin ka Naam Barkat ke liye Hazrat Haarun Alayhis Salaam ke Naam par rakha gaya tha,
Jin Alfaaz se Loug “Hazrat maryam alaihissalam” Salaam ko Aar(Tang/Badnaami) dila rahe he wo ye he ki Teira Baap Bura Aadmi na tha Aur Teiri Maa Badkaar(Bure Kaam Karne waali) na thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-506, 507)
 
>> “Hazrat maryam alaihissalam” ne Ishaara Bacche ki Taraf kar diya :-
Quraane E Majeed me he ki
“Is par Maryam ne Bacche ki Taraf Ishara kiya Wah Bole Hum Keise Baat kare Us se Jo Paalne me Baccha he”
(Surah Maryam, Aayat-28)
Hazrat “Hazrat maryam alaihissalam” ko ALLAH TA’ALA ka Hukm tha ki Aap ne kisi se Baat nahi karna Balki Ishaare se Batana he ki Meine ALLAH TA’ALA ke liye Roza ki Nazarmaani hui he, Kisi se Bolna nahi, Isi Irshaad ke Muta’abiq Aap ne “hazrat isa alaihis salam” ki Taraf Ishara kar diya ki Is se Baat karke Puchh lo,
Baaz Riwaayat me he ki Aapne Bacche ki Taraf Ishaara kiya ki Us se Baat karo to wo Ek Dusre ko kehne lage ki ye to Humaare Sath Mazaaq kar rahi he Is se Humaari Touhin kar rahi he, Hame Ghatiya Samajh rahi he,
Humne Aaj tak Ayse Baccho se kabhi Kalaam(Baat) Nahi kiya Aur Naa hi Aysi Umr ke Baccho me jawaab deine ki Taaqat hoti he, Ay Maryam Bacche ki Taraf Tumhaara Ishaara karna Sarasar Mazaaq hi Nazar Aata he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-507, 508)
“hazrat isa alaihis salam”  ka Bachpan me Baat karna :-
Quraane Azeem me he ki
“Bacche ne Farmaya Mei hu ALLAH ka Banda Usne Mujhe Kitaab di Aur Mujhe Geib ki Khabre Bataane wala(Nabi) kiya, Aur Usne Mujhe Mubaarak Kiya Mei Kahi hu Aur Mujhe Namaaz wa Zakaat ki Taakid Farmaayi Jab tak Jiyu, Aur Apni Maa se Achha Sulook karne wala Aur Mujhe Zabardast Bad-Bakht Na kiya, Aur Wahi Salaamati Mujh par Jis Din Mei Peida huwa Aur Jis Din Maru Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaau”
(Surah Maryam, Aayat-30,31,32,33)
“hazrat isa alaihis salam” Doodh Pee rahe the, Jab Aapne Bani Israail ki Baat Sooni ki woh keh rahe he Hum Bacche se keise Baat kare…?? to Aapne Doodh pina Chhod diya Unki Taraf Muta’wajje(Dhyaan/Tawajjo) hue, Baayi(left) Haath par Sahara laga kar Apni Shahaadat ki Ungli se Ishaara karke Baat karna Shuru kar diya,
(Subhan Allah…)
Sabse Pehle Aylaan Farmaya “Mei ALLAH TA’ALA ka Banda hu..” (Aap Alayhis Salaam ka ye Farmaan Un Lougo ka Radd Karta he Jinhone Aapko Baad me Khuda mana he..)
Fir Farmaya “Usne Mujhe Kitaab di Aur Mujhe Nabi Banaya” Aap Alayhis Salaam ke Is Irshaad ka Matlab ye tha
“Beishak ALLAH TA’ALA Mujhe Mab’us Farmaayega Ya’ani Aylaane Nabuwwat ka Hukm deiga Aapne Jab Ye Baat Mukkammal ki to Uske Baad Khamosh ho gaye Aur Aam Baccho ke Haal ki taraf Lout kar Aagaye, Fir Jab Aapki Umr 30 Saal ki hui to ALLAH TA’ALA ne Aap ko Nabi Bana kar Mab’us Farmaya, Ek Riwaayat me he ki Aapko ALLAH TA’ALA ne Maa ke Peit me hi Injeel padha di Aur Nabuwwat Ataa Farma di,
Aap Alayhis Salaam ko Nabuwwat ya Kitaab Ataa to Usi Waqt Farma di Jab Aap Maa ke Peit me the, Albatta Lougo ko Tablig karne Aur Aylaane Nabuwwat ka Hukm Baad me diya gaya, Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ki Surate Haal yahi he,
Fir Farmaya “Aur Usne Mujhe Mubaarak Kiya Mei Kahi bhi hu”
Ya’ani Mujhe ALLAH TA’ALA ne Deen par Qaraar Pakadne wala Banaya Aur Mei Lougo ko Deen ki Ta’alim Du, Unko Raahe Haqq ki Taraf Bulaau, Ya’ani Jab woh Apni Khawaahisaate Nafsaaniya ki wajah se Bhatak Jaaye to Mei Unhe Seedhi Raah dikhaau,
Fir Farmaya “Aur Mujhe Namaaz wa Zakaat ki Taakid Farmaayi Jab tak Jiyu”
Ya’ani ALLAH TA’ALA ne Mujhe Hukm diya he ki Mei Baalig hone ke Baad Namaaz Adaa karu Aur Lougo ko Zakaat Adaa karne ki Nasihat karu,
Yaad rahe ki Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam par Zakaat Laazim nahi hoti kyuki ALLAH TA’ALA ne Unko Duniya ke Maal se Paak rakha hota he, Agar Unke Paas koi Maal Aa bhi Jaaye to wo Tamaam ALLAH TA’ALA ki Raah me Kharch kar deite he, wo Ek Saal Jama karke rakhte hi nahi ki Un par Zakaat Laazim Aaye, Isi Wajah se Unke Maal ka Batoure Wiraasat Taqseem nahi kiya jata kyuki Unke Haath me Maal Dar-Haqiqat ALLAH TA’ALA ka Maal hota he wo Uske Maalik hi nahi hote,
Fir Farmaya “Aur Apni Maa se Achha Sulook karne wala” Is Kalaam se Ishaara tha ki Meiri Maa Paak Daaman he Is liye ALLAH TA’ALA ne Ma’sum Rasool ko Unki Farmaan-Bardaari ka Hukm diya Agar Ma’azAllah Isme koi Aiyb hota to Ma’sum Rasool ko Unki Ta’zim ka kabhi Hukm na diya jata,
Fir Farmaya “Aur Mujhe Zabardast Bad-Bakht Na kiya” Ya’ani ALLAH TA’ALA ne Mujhe Muta’kabbir(Takabbur/Itraane wala) Nahi Banaya Balki Khuzu’a(Aa’jizi) karne wala Aur Apni Maa ke Saamne Aa’jizi ka Izhaar karne wala Banaya he Agar Mei Muta’kabbir hota to Na-Farmaan Aur Bad-Bakht hota,