history of kaba sharif hazrat ibrahim hindi PART 8Khana-e-Kaba ki Ta’amir :-
>> Ta’amir e Hazrat Ibhrahim Alayhesalam :-
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne jab Hazrate Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Apne Beite Ismail Alayhesalam ko yaha(Kaba ki Jagah ke Paas) Choda Aur Yaha Aabadi ho gayi to Ibhrahim Alayhesalam ko Huqm diya gaya ki Ismail Alayhesalam ko Sath le kar Kaba Ta’amir karo.
ek Badal ka Tukda Bhej kar Kaba ki Had ko Wajeh kiya gaya Aur Jibrail Alayhesalam ne Khat Khinch diya Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Aadam Alayhesalam ke Zamane ki Buniyado par hi Imarat Ta’amir Farmayi,
Kaba Sareef ki Bulandi(Unchayi) 9 Hath,
Rukne Aswad se Rukne Saami tak 33 Hath,
Rukne Garbi se Rukne Yamaani tak 31 Hath,
Rukne Yamaani se Rukne Aswad tak 20 Hath,
Rukne Saami se Rukne Garbi tak 22 Hath thi,Yaani Kaba is Wakt Mustatil (Lamb-chorash) tha lekin Toul(Chodhai) Aur Arz ki ek ek Diwaar Ma’amuli choti thi, Darwaje do banaye gaye the jo Zameen ke Sath Mile hue the, Kawad(Darwaje), Zanzeer Vageira nahi the, Baad me Tabi-Hamiri ke Zamane me Kawad(Darwaje) Zanzeer Wageira lagaye gaye, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne (Kaba) Ta’amir Farmaya Aur Hazrat Ismail Alayhesalam ne Patther Gara(Mitti Aur Paani Wageira ka Mila huwa(Gara)) deite the,
Kis Shan se ALLAH TA’ALA ka Ghar Ta’amir huwa..?
ALLAH ka Nabi hi Meamaar (Banane wala), Aur ALLAH ka Nabi hi M’aawin (Banane me Madad karne wala).
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-629)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-149

>> Khana-e-Kaba ki Ta’amir :-

>> Ibhrahim Alayhesalam ki Ta’amir ke Baad

Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Ta’amir ke Baad Jazvi Tour par Mukhtelaf Awkaat me Ta’amir hui ek Martaba Amalqah Aur Jarham ne ushe Ta’amir kiya, us ke baad kishi Bin Kalab ne uski Ta’amir ki, jisme Chat Darkht Makal ki Lakdi ki Banayi jis par Bajaye Takhto ke Khrme ki Lakdi daali.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-149)

>> Khana-e-Kaba ki Ta’amir :-

>>  Hazrat Abdullah Ibne Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ki Ta’amir

Hazrat Aaisha Siddika RadiAllaho Ta’ala Anha Farmati he   ek Martaba PYARE RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Kaba ki Mutassil(Joint) (Yaani Hateem) Buniyaad-e-Ibhrahimi ke Patther Muje dikhaye Aur Farmaya ki Kureish ne is me kami kardi thi, Log Agar Naye Naye Musalman Na hote Aur unke Jazbaat Bhadak ne ka Andesha na hota, to me Ibhrahimi Buniyaado par Kaba Dobara Ta’amir kar deita.
Is Riwayat ki Buniyaad par Hazrat Abdullah Bin Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ne Kaba Sareef ko Munhadim(Gira) Kar Dobara Ta’amir kiya, Hateem ko Kaba me Dakhil kiya, Darwaje do Banaye jo Zameen ke Mutassil(joint) the, Khusbudaar Mitti Chuna me Mila kar Gara lagaya gaya, Darwajo par Andar Bahar Anber laga kar Khusbudaar Kiya gaya, Nihayat Kimti Resam Gilaaf Chadhaya gaya,
Khyaal rahe ki Sab se Pehle Kaba Sareef ko Gilaaf Chadhane wale ka Naam As-ad he, Saahe Yaman tha Aur ‘Tabi’ ke lakab se Mashoor tha, Madina Tayyaba ke Saheri Buniyaad rakhne wala ye Shaksh he,
Allama Ali Qari Rahmatullah Alay ne Bayan farmaya ki Sab se pehle Kaba Sareef ko Gilaaf Hazrat Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho ke Walida(Maa) ne Chadhaya.
(Mirkaat Sarah Miskaat , Jild-11, Safa-388)
Ho Sakta he kuch Aur bhi Aqwaal ho.
Hazrat Abdullah Ibne Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ki Ta’amir 27, Rajjab, 64 Hijri ko Mukammal hui, Fir Hajaj Bin Yusuf (Jo Abdul Malik Bin Marvaan ka Naaib tha) ne 74 Hijri me Imaarat ko Munhadim(Gira) kar ke fir ushi tarah Bana diya jeishe Kureish ne Banaya tha, Fir Harun Raseed ne chaha ki Kaba eyshe Bana diya jaye jeshe Abdullah Bin Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ta’amir kiya tha, Yaani Dar-Asal Wahi Ibhrahimi Ta’amir bhi thi lekin is wakt ke Ahle Ilm ne is liye Mana kiya ki koi Tumhara Mukhalif aayega wo fir Tabdeel karega, is tarah Girana Aur Banana ek Kheil Ban jayega,
is ke baad Marammat to hoti rahi Lekin Mukammal Tour par Puri Imaarat ko Dubara nahi Banaya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-150)
 

>> Kureish ki Ta’amir e kaaba

Ek Aurat Kaba Sareef me Khusbu Silgati thi, ek Baar Achanak us se Soula utha Aur Chat Jal gayi Aur Diware Pehle hi Poshida ho Chuki thi, is liye Qureish ne Feishla kiya ki Mukammal tour par Nayi Ta’amir ki jaaye,
Walid Bin Mugira ko Imarat ka Amir Mukararr kiya gaya Aur ye tey huwa ki usme Halal Maal Kharch hoga, us Wakt Ameer logo ke paas Zyada Sood se Hasil Karda Maal hota tha, is liye Halal Maal Kam Mikdaar me jama huwa to Qureish ne Maal ki Kami Aur kuch Apne Maksad ki peish Nazar(Khana e Kaba ki Ta’amir me) Chand Fark kar diye.
1) Kaba ki Kuch Zameen Bahar Nikal di, Yaani imarat ko Chota Kar diya, Kaba se Bahar Nikali hui Zameen ko ‘Hateem’ kaha jata he, ushi me Mizabe Rehmat (Parnala) girta he, Choti Choti Diwaar se Aaj bhi Alaihida(Alag) kiya huwa he, Tawaf us ke Bahar se hi hota he,
2) Qureish ne do Darwazo ki Bajay ek Kar diya wo bhi Buland Taaki jise Chahe Andar jane de Aur jise chahe Na Jane de,
(Ab bhi is par Amal ho raha he)
3) Khana E Kaba ke Andar Lakdi ke Sutuno(Khambe) ki do Safe Banayi gayi Aur Har Saf me Tin Sutun(Khambe) Banaye gaye.
4) Kaba Sareef ki Bulandi pehle se Do gunah kardi gayi, Pehli Bulandi 9 Hath thi, Unhone 18 Hath kardi,
5) Khana e Kaba ke Andar Rukne Saami ke karib ek Zeena(Sidi/Dader) Banaya gaya, jis se Chat Par Chad sake.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-629)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-149, 150)
>> Note :-
Is Mouke par HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Moujud the, is Wakt Umar Sareef 25 Saal thi.

>> Khana-e-Kaba ki Ta’amir :-

>> Kaba ki Moujuda Ta’amir :-

1040 Hijri me Sultaan Muraad Bin Ahmad Khan Sahe Kustuntuniya ne jab deikha ki uski(Kaba ki) Imarat Bahot Puraani ho gayi he to usne Siwaye Rukne Hajre Aswad(wo Kona Jisme Hajre Aswad laga huwa he) ki Tamam Imaarat Munhadim(Gira) Karke Nayi Ta’amir karayi lekin unhi Buniyado Aur ushi Tarz(Tarika) par jo Hajaj Bin Yusuf ne banayi thi, Andar Sange-Marmar ka Fars Bichaya Aur Andar Chat par Nihayat Nafees Makhmali Chat keri lagayi gayi Aur Bahar ki Diware Sangkhara se Chuna me chuni, Nihayat Nafees Reshmi Siya(Black/Kala) Parda Tamam Khana e Kaba par dala, Jis par Kalma e Taiyyaba (Laillaha Ilallah Mohammadur Rasoolallah) likha huwa tha Aur Sunheri Hasiya par Sultaan ka Naam tha.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630)
Moujuda Kaba Sareef Sultaan Muraad ka Banaya huwa he Yaani Mukammal Imarat ko Munhadim(Gira) kar is ke Baad Naye Sare se Ta’amir nahi kiya gaya,
Gilaafe Kaba Har Saal Misr se Bade Dhum Dham se aata raha, Ek Martaba Pakistaan ke Sahar Lahor se bhi Ban kar gaya, Pehle ye Tarika tha ki Purana Gilafe Kaba Khuddam ko de diya jata, Log Tabarruk ke Tour par ushe Kharid leite the lekin Ab Gilafe Kaba Saudiya me hi Banta he is par Saah Saud ka Naam hota he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 151)

>> Makame Ibhrahim :-

 
Makame Ibhrahim Aur Hazre Aswad ye dono Jannati Yakut he Bahot Noorani the ALLAH TA’ALA ne unka Noor Mita diya, Agar Aysha na hota to ye Mashrik va Magrib ko Chamkate,
Makame Ibhrahim wo Patther he jis par Khade ho kar Hazrat Ibhrahim Alayhesalam kaba Sareef ki Ta’amir karte jis Kadr Imarat Buland hoti jati thi Ye Patther bhi Uncha hota jata tha, Ye Patther Aapke Khade hone se Naram bhi ho jata tha ki Shakhti ki Wajah se Aapke Kadam Mubarak ko Takleef na ho, ishi liye Aapke Kadmo ke Nishan isme padh gaye the, ishi ko Jabal Abu Kubeish par rakh kar Aur uske Upar Khade ho kar Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Aawaz di,
“Ay ALLAH ke Bando Hajj ke liye Aao”
ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Logo me Hajj ki Aam Nida karde wo Tere Paas Hazir honge Pyada Aur Har Dubli Untani par ke Har Door ki Raah se Aati he”
(Surah Hajj, Aayat-27)
Aapke is Eylaan ke Baad un Tamam Logo ne Labbeik kaha jinhone bhi Hajj karna tha jisne Jitni Martaba Hajj karna tha utni Martaba hi Labbeik Kah diya, Maa ke Peit me Aur Baap ki Pusto me se Ta-Qayamat Aane Walo ne Labbeik kaha.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630, 631)
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Jab Makame Ibhrahim ki Azmat ko Bayan kiya to Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Arz kiya ki Ham iske Piche Namaz na Aada kar liya kare…?
to HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Wahi ke Intezaar me Khamoshi Ikhteyaar ki lekin ushi Din ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aayate Kareema ka Nuzul ho gaya,
Irsaad huwa”Ibhrahim ke Khade Hone ki Jagah (Makame Ibhrahim) ko Namaz ka Makam Banao”
(Surah Baqrah, Aayat-125)
Makame Ibhrahim se wo Patther Murad he jis par Khade ho kar Ibhrahim Alayhesalam ne Kaba e Moajjama ki Ta’amir Farmayi, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Kadamen Mutahren ke Nishaanaat is par Moujud he, Tawafe Kaba ke Baad Tawaf ki 2 Rakate is Makame Ibhrahim ke Piche Padhi jati he, ALLAH TA’ALA ne Apne Khaleel Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Kadamen Mutahren ke Nishanaat ko wo Azmat Aata Farmaayi ki Qayamat tak Tawaf karne Walo ko Huqm diya ki Makame Ibhrahim ke piche(2 Rakaat) Namaz Padho, Tawafe Kaba ke 7 Chakkar Mukammal karne ke Baad Tawaf ki 2 Rakaat Masjide Haram me Padhna Wajib he lekin Mustahab ye he ki unhe Makame Ibhrahim ke Piche Padha jaaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-151,152)

>> Makame Ibhrahim Par Hazrat Ibhrahim Alayhesalam 3 Martaba khade hue

1) Hazrat Ibhrahim Alayhesalam kai Saal Gujarne ke Baad Ismail Alayhesalam ko Milne ke liye Aaye to ALLAH TA’ALA ki Mansha ke Mutabik Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha se Wada karke Aaye ki Apne Beite ko deikh kar Aur Mulakat karke Wapis Aajaunga, Sawari se Nahi Utrunga,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam jab Makka me Aaye to Hazrat Ismail Alayhesalam to Sikaar karne ke liye gaye hue the, Bahu(Beite ki Biwi) se Mulakaat hui, us se Gujar Awkaat ke Mut’alak pucha,
Usne kaha Acha Gujaara nahi, Tangdasti he, Sirf Sikaar par Gujar Awkaat ho rahi he,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Wapis chalte hue Farmaya
“Apne Sohar(Pati/ Mard) ko Meira Salam kehna Aur kehna ki Tumhare ghar ki Chowkhat Achi nahi ushe Badal lo”
 
Hazrat Ismail Alayhesalam Jab Ghar aaye to Khud hi pucha ki Aaj koi Buzurg to Nahi Aaye the..?
To Aap ki Zovja(Biwi) ne kaha ki Aaye the Aur Salam keh kar gaye he Aur ek Peigaam de kar gaye he, Jab Peigaam ki usne Tafseel Bayan ki to Aapne Apni Zovja ko Farig kar diya, ki wo Tumhe Farig kar deine ka Huqm de gaye he,
 
Wajah ye thi ki usne RABB TA’ALA ki Na Sukri ki thi, NABI ki Zovja(Biwi) ki Shaan ke ye layak nahi ki wo Kam Rozi par Sikayat kare, Balki Sabir rahe,
 
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Dobara Fir Ismail Alayhesalam ko Milne ke liye aaye, is wakt Ismail Alayhesalam Ghar par Moujud Na the, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Mulakaat Bahu(Beite ki Biwi) se hui(Ye Hazrat Ismail Alayhesalam ki Dusri Saadi thi) use Ghar ke Halat puche
usne Kaha ALLAH TA’ALA ka Sukr he ki Acha Wakt Gujar raha he, Zamzam ke Paani par Hamara Kabza he, Mere Sohar(Pati/Mard) Sikaar karke le aate he, Bahot Acha Wakt Gujar raha he,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Jab Wapis Jane lage, to Aapki Bahu ne Isara kiya ki Aap Hamare Ghar Ruke lekin Aapne kaha
“Muje Sawari se Utar kar Zameen par Aane ki Ijajat nahi”
To Aap ki Bahu ne kaha ki Aap Apne Peir Mubarak is Patther par rakhe Taaki me inko Dho du, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne jis Patther par Peir Rakha Wo Makame Ibhrahim(ka Patther) tha,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Wapis Chalte hue Hazrat Ismail Alayhesalam ke liye Salam kaha Aur Peigaam diya ki
“Ghar ki Chowkhat Achi he use Mazboot rakhna”
2) Ta’amir e Kaba ke Wakt Hazrat Ibhrahim Alayhesalam us(Patther) par Khade hue the, wo Naram ho jata tha Taaki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Peir Mubarak ko Shakti ki Wajah se Takleef na ho, ishi Wajah se Ibhrahim Alayhesalam ke Kadmo ke Nishaanaat is me Padh gaye,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Jab Buland hona chahte the to wo Patther Khud Ba Khud Upar uth jata, Jab Niche Aana Chahte to Niche ho jata tha, Aam Mustariyo ki Tarah Ibhrahim Alayhesalam ko Lakdi ke Takhte Bandh ne ki Jarurat Peish na aati thi.
3) Kaba Shareef ki Ta’amir ke Baad Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne us Patther par Khade ho kar Jabal Abu Kubeish se Logo ko Hajj ki Da’awat di.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-53)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-152, 153)
Fatah Mandi ka wazifa- Taskheer Khalq ka wazifa
Saabir Piya, Makhdoom-ul-aalam. **
 
.Sadqa E Fitr ke FazaaFatah Mandi ka wazifa- Taskheer Khalq ka wazifail wa Masaail in Hindi