hazrat ismail ki qurbani ka waqia hindi or ibrahim ka imtihan 7Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Qurbaani :
Quraan Sareef me he ki
“Fir Jab wo Ladka Aapke Samne (Chalne Firne Aur) Kaam Karne ke Kabil ho gaya to Aap ne kaha Ay Mere Pyare Beite mene Khwab me deikha ki Me tuje Zabah karta hu Ab tu Gour karke Bata ki teri kya Raay he..? beite ne kaha Ay Mere Baap Jo Kuch huqm Aapko huwa he usko Baja laaye InshaAllah Ta’ala Aap Muj ko Sabr karne wala hi Payenge”
(Surah As Saffat, Aayat – 102)
>> Qurbani ke Wakt Ismail Alayhesalam ki Umar :-
Baaz Ahle Ilm ka Koul ye he ki Zabah ka Wakiya Darpeish aane ke wakt Hazrat Ismail Alayhesalam ki Umar 13 Saal thi,
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-12)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-142)

>> Aabe Zamzam Aur Safa va Marva ke 7 Chakkar :-

 
(Post Thoda bada he, Magar Pura jarur padhe, Bahot Pyara Wakiya he)
Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Apne Bacche Hazrat Ismail Alayhesalam ko Dhoodh pilati rahi Yaha tak ki Maskija(Botal) me jo Paani Tha wo Khtm ho gaya Aur Khjoore bhi Khtam ho gayi, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha bhi Bhuki Pyashi ho gayi, Dhoodh ka Ban-na bhi Khtm ho gaya, Baccha bhi Bhook Pyaas se Pareshan Haal tha, Apne Hontho par Zabaan ferne laga, Bacche ka ye haal Maa se Bardast na ho saka,
Aap Qareeb ek Pahadi ‘Safa’ par Chadti he ki kahi se Paani ka Ata-pata chal jaaye ya koi Inshan Nazar na Aajaye, fir ushi Khyaal se ‘Marva'(Pahadi) par Aati he Darmiyaan me Nichi Jagah jab Pahonchti he, Jaha se Baccha Nazar nahi Aata waha doudti he, Jab Nichi Jagah ko Paar kar leti he Aur eyshi jagah Pahonchti he Jaha se Baccha Nazar aane lagta he to waha Aaista ho jati he, ‘Marva’ par Pahonch kar bhi Paani ya koi Inshaan Nazar nahi aata, Aap Be-karaari ke Aalam me Fir Safa par Fir Marva par Saat(7) Chakkar eyshe hi laga deiti he, Aakhri Martaba Marva Par Aapne ek Aawaj suni, Apne Aap ko kehne lagi Khaamosh ! khyaal kiya Sayad Mere Aurse khta ho gayi, yaha kon he..? Ya Muje veyshe hi Aawaz Aa rahi he, fir Dubara Aawaz sunne par kaha ki Agar Yaha koi Fariyaad ko Soon kar Pahonchne wala ho sakta he to Farista hi ho sakta he,
Deikha to Bacche ke Karib ek Farista khda he, Ismail Alayhesalam ki Eydi ke Paas usne Apni Eydiya par Mara, Aur Hazrat Ismail Alayhesalam ki Eydi ragadne se Paani Ka ek chasma Jari ho gaya, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Paani ke ird-gird Bandh Baandh kar ek Houz ki shakl de di, wo Paani Jous maar raha tha, Aapne Khud bhi Piya Aur Bacche ko bhi pilaya Aur Paani ko kaha “Zamzam” (Rookja Rookja),
HAMARE PYARE AAQA HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
“ALLAH TA’ALA Ismail Alayhesalam ki Walida par Rahem kare Agar Aap ‘Zamzam’ ka Lafz Tark kar deiti Ya
Aap ne Farmaya Agar Aap usse Jaldi se Chullu na bharti to ‘Zamzam’ jaari Chasma hota”
Is Tarah Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Jab Chasma se Paani piya to Aap ka Dhoodh bhi Jaari ho gaya jo Bacche ko Pilaya,
Fariste ne Aap ko kaha
“Tum koi Khouf na karo ki Tum Zaya ho jaogi Beshaq Yaha Beitullah he uski Ta’amir ye Aur uska Baap karenge Beshaq ALLAH TA’ALA Apne Mukarabeen ke Azr ko Zaya nahi karta”
Kuch deir ke Baad Waha se ‘Jarham’ Kabila ka Gujar huwa, jinhone deikha ki Parinde ud rahe he, Unhone khyaal kiya ki Parinde waha hi hote he jaha Paani ho, Yakinan Yaha kahi Paani hoga, Unhone Apne ek Shaksh ko Bheja jisne deikha ki ek Paani ka Chasma he Aur uske Kareeb ek owrat bhethi hui he, unhone kaha ki Tum Hame Paani me Sarik karo to Ham Tumhe Apne Janwaro ke Dhoodh me Sareek karenge, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne unse Sart par M’aahida(Karar) kar liya, ishi Jarham Kabile ne ek Ladki ka Nikaah Ismail Alayhesalam se kar diya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa- Dowam, Safa-236, 237)
>> Faida :-
Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha to Bacche ki Pyaash ko deikh kar Be-karar ho kar
“Safa va Marva” ke Chakkar laga rahi he lekin ALLAH TA’ALA ko Apne Khaleel ki Zovja Aur Ismail Alayhesalam ki Walida ki Adaa Ayshi Pasand Aayi ki Qayamat Tak Haaji is Yaad ko Taaza karne ke liye Waha Chakkar lagate rahenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-140, 141)

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam se Seitaan ki Nakami :

 
Hazrat Katada RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Seitaan ne Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Aur Aap ke Beite par (Qurbaani na karne par) Kamyaab hone ka irada kiya to ek Dost ki Shakl me Aap ko rokne ke liye Aaya lekin Aap par Kamyaab na ho saka, Fir Aap ke Beite Hazrat Ismail Alayhesalam ko is Raah se hata ne ki koshis ki lekin un par bhi iska Daav na Chal saka to usne Bahot Bada Mouta Taaza Ban kar Wadi(Ghati) ko Bhar diya taaki Aap isse Aage na ja Sake, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Sath ek Farista tha jisne Aap ko kaha ise Maare
Aapne ishe 7 Kankariya Maari to wo Raste se Hatt gaya, Dobara fir Aage Aane ki ye koshis ki Aapne fir Kankariya Maar kar Rasta se Hata diya, Tisri Baar fir is tarah Aage Aakar Rasta Bandh kar diya to Aapne Fir is Tarah 7 Kankariya Maar kar Rasta se Hata diya.
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-128)
Aaj Hajiyo par is Sunnate Ibhrahim Alayhesalam par Amal karna Wajib kar diya gaya,Apne Mehboobo ki Adaae RABB TA’ALA ko Eyshi Pasand aayi ki unko Azeem Ibadat ka Hissa bana diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-144)

>> 3 Din Ibhrahim Alayhesalam ka Khwaab deikhna :-

 
Zil Hajj ke 7 din Gujar jane par Raat ko Khwaab deikha ki koi kehne wala keh raha he
“Beshaq ALLAH TA’ALA Tumhe Beita Zabah karne ka Huqm deita he”
Aapne Subah is par Tafakkur(Socha) kiya Aur kuch Tardid me rahe ki kya ye ALLAH TA’ALA ka hi Huqm he ya Khwaab Sirf khyaal to nahi, is wajah se 8 Zil Hajj ka Naam “Youme Taroya” rakha gaya(Soch-Bichar ka Din),
8 Tarikh ka din gujar jane par Raat Fir khwaab deikha, Subah Yakeen Kar liya ki ye ALLAH TA’ALA ki Taraf se hi Huqm he is liye 9 Zil Hajj ko “Youme Arfa” (Pehchan ne ka Din) kaha jata he, is ke Baad Aane wali Raat ko Fir khwaab deikhne par Subah is par Amal karne ka Musammam irada kar leine par hi 10 Zil Hajj ko “Youme Nahar” (Zabah ka Din) kaha jata he.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-12)

>> Sirf Khwaab deikhne se Zabah par Amal kyu.

 
“Bashaq ALLAH TA’ALA ne AMBIYA E KIRAAM ke Khwaabo ko Haqq Banaya”
Yaani unke Khwabaat Sacche hote he unko Apne Khwabo par Amal karna Lazim he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-142)

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Qurbaani :-

 
Ismail Alayhesalam ne Apne Baap se kaha Ay Mere Abbajaan Zabah se pehle Muje Bandh deina taaki me Tadpu nahi, Apne Kapdo ko Mujse Bacha kar rakhna ki Aap ke Kapde mere Khoon se Aaluwa ho jaye Aur Meri Walida unhe deikh kar Pareshan na ho, Mere Halak par Churi Jaldi Jaldi chalana taki Muj par Mout Aashani se Vaake ho jaye, Jab Meri Walida ke Paas Jana to Mera Salam unko deina,
in Bato ke Baad Baap Beite ne ek Dusre ko deikha, Baap ne Beite ka Bousha liya Mohabbat ke Aanshu Chlak Padhe lekin ALLAH TA’ALA ke Huqm ke Baja Aawri me koi Kotaai Nahi ki.
Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“To Jab un dono ne Hamare Huqm par Gardan rakhi Baap Beite ko Mathe ke Bal litaya us wakt ka Haal na puch”
(Surah As Saffat, Aayat-103)
Mathe ke bal Litane me bhi Ismail Alayhesalam ka Maswara hi tha ki kahi Aap Mohabbat ki Wajah se Churi chlane me Maamuli shi Kutahi na karde.
Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Aur Hamne Ushe Nida Farmayi ki Ay Ibhrahim (Alayhesalam) Beshaq Tune Khwaab Sach kar dikhaya Ham esha hi Sila deite he Neiko ko Beshaq ye Roshan Jaanch thi Aur Hamne ek Bada Zabiha uske Fidyeme de kar ushe Bacha liya Aur Hamne (Is Qurbaani ke Zariye) Pichlo me uski Taarif baaki rakhi”
(Surah As Saffat, Aayat – 104,105,106,107,108)
Churi Chlane se pehle hi Aap ko keh diya gaya ki Aapne Apne Khwaab ko Sach kar dikhaya ki Aap ne Churi chala di thi to Jibrail Alayhesalam ne Aakar us ka Rukh Badal diya tha, ALLAH TA’ALA ki Taraf se ek Mouta Taza Singo wala Safeid Syahi Maail Dumba Hazrat Ismail Alayhesalam ka Fidya de diya gaya Aur Aap ko Zabah se Bacha kar bhi Zabah ho jane ka Azro Sawab aata kiya Aur Ta-Qayamat Aap ko “Zabihullah”(ALLAH ki Raza ke liye Zabah hone wala) ke Lakab se Mutassif kar diya gaya.
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-131)
Jibrail Alayhesalam Jab Fidya le kar Aaye to Khyaal kiya ki Ibhrahim Alayhesalam kahi Jaldi na karde to Aap ne padha
“Allahu Akber Allahu Akber”,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne jab Aasman ki Taraf Sar uthaya to deikha ki Jibrail Alayhesalam Fidya la rahe he to Padha
“Lailaha Ilallaho Wallahu Akber”
Jab Hazrat Ismail Zabihullah Alayhesalam ne Suna to Aapne Padha
“Allahu Akber Walillahil Hamd”
in tino Hazrat ke Mazmua Kalam ko
“Takbirate Tasreek” ki Surat me Ta-Qayamat Namaziyo par Zil Hajj ki 9 Tarikh ko Namaze Fazr se Lekar 13 Tarikh ki Namaze Asar tak Wajib kar diya gaya taki ye Yaadgaar kayam rahe.
(Jawaherul Sanaya Hasya Hidaya, Jild-1, Safa-245)
SubhanAllah..Ek Koul ke Mutabik Dusra Kalam Hazrat Ismail Alayhesalam Aur Tisra Kalam Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ka Mazkur he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-145)

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Wakiyaat Yaha par Khtm hote he

ALLAH RABBUL IJJAT ke Pyare NABI Alayhesalam ke Wakiyaat Jaari he…Kishi Post par Agar Hamse kishi Tarah ki Lagjis, Galti, Kutahi, Be-Adabi hui ho to ALLAH RABBUL IJJAT Apne Pyare MEHBOOB HUZOOR REHMATELEEL AALAMIN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sadke me Maaf Farmaaye…
Aur Hamari Har Jaiz Hajato ko Puri Farmaaye…
Aur Pyara Safar Hajj e Beitullah karne ki Tofik Aata farmaaye..
Aameen Ya RABBUL AALAMIN.
Ho Sake to Is Nachis ke Haqq me Dua Jarur kare..
> Khana-e-Kaba ki Ta’amir  :-
 
Aaj se Kuch Post Khana-e-Kaba ki Taamir par honge…
 
>> Hazrat Aadam Alayhesalam ki Ta’amir :-
Hazrat Aadam Alayhesalam jab Jannat se Zameen par Tasreef laye to Bargaahe ILAAHI me Arz kiya
“Khudaya Me Yaha na to Malaika ki Tasbih Va Takbir Sunta hu Aur na koi Ibadat Gaah deikhta hu Jeishe ki Aasman me Beitul Ma’amur deikha tha jiske ird Gird Malaika Tawaf karte the”
 
ALLAH TA’ALA ne Irsaad Farmaya
“Jaav Ham Jaha Nishan Batate he waha Kaba Bana kar uske ird-gird Tawaf bhi karlo Aur uski Taraf Namaz bhi ada karo”
 
Hazrat Jibrail Alayhsalam Aadam Alayhesalam ki Rahbari ke liye unke Sath Chale Aur unhe (Waha) laaye jaha se Zameen Bani thi, Yaani Kaba ki Jagah se hi Sab se pehle Paani par Jhaag, fir Jhaag se Zameen ki ibteda hui,
Jibrail Alayhesalam ne Waha Apna Par Maar kar 7to Zameen tak Buniyad daal di, Jisko Malaika ne 5 Pahado ke Pattharo se Bhra (kuhe libnaan, kuhe Tour, Judi, Hera Aur Ture Zita (Pahado) se) Buniyad Bhar kar Nisaan ke liye Har Char taraf ki Diwaar uthadi, us Taraf Mooh karke Aadam Alayhesalam Namaz Padhte rahe Aur us ka Tawaf bhi karte rahe,
Baaz Riwayat me aaya he ki Beitul Ma’amur ko us Buniyaad par rakh diya gaya Toofane Nooh me Beitul Ma’amur ko utha liya gaya Aur Kaba ki Jagah Unche Tele ki tarah Rah gayi, Log yaha Aate rahe Aur Barkat ki Duae Mangte rahe.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-148