hazrat ibrahim ka waqia part 6 in hindi urdu hazrat sara hazrat hajra ka waqiya
>> Hijrat karnewala Kafila :
Hijrat Karnewala Kafila Jab Haraan se chla tha Sirf 3 Aadmiyo par Mustamal tha, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Hazrat Loot Alayhesalam(InshaAllah inka Zikr aage Aayega) is Kafile ke Afraad ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat ko Manne wale us Wakt Sirf yahi the, Aur Hijrat ke Douraan Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha mil gayi to Ab Kafila ke 4 Afraad ho gaye, jo Tamam hi ALLAH SUBHANA WA TA’ALA ko Maanne Wale the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-136)
>> Falasteen me Khusaali
Misr se Jab ye 4 Afraad Rawana ho kar Falasteen Pahonche to waha ke logo ne un ki Qadr va ijjat ko Samja Aur unke Aane ko Ba’ase Barkat Samja Aur Bahot si Zameen Aapki Khidmat me Batoure Nazar peish ki, us Zameen me Kheti-Badi se ALLAH TA’ALA ne Bahot Barkat Aata Farmaayi Aapke Paas Gila(Anaaj) Aur Janwar kafi Mikdaar me ho gaye, Aapne Musafiro Aur Garibo ko rehne Aur khane ki Sahuliyaat Ata ki, is tarah Mehmaan Nawazi me Aap ko ek Munfarad Makam Hasil ho gaya.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-642)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-136)
>> Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Masware se Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se
Nikaah :-
Ek Deen Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne Arz kiya ki Hamare Paas ALLAH TA’ALA ke Fazl va Karam se Jaruriyaat Duniya me Yaani Khane Pine ki Isyaa(Chize) Aur Rehne ke Makaanaat ki to koi Kami nahi, Al-batta owlaad ki kami he, Is liye Aap Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah karle, ho sakta he ALLAH TA’ALA Hame owlaad se Nawaz de,
Yaani Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ke Batan se Peida Hone wala Baccha Hamare liye Taskin va Rahat ka Sabab Ban jaaye is tarah Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke kehne par Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah ho gaya.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-642)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-136)
>> Hazrat Ismail Alayhesalam ke Baad Hazrat Ishaak Alayhesalam ki Basarat
“Hamne Un ki Biwi ko Ishaak (Alayhesalam) ki Aur Ishaak(Alayhesalam) ke Baad Yakub (Alayhesalam ki Peida hone) ki Khus-Khbri di”
(Surah Hood, Aayat-71)
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko Basarat deine ki Wajah ye thi ki owlaad ki Khushi Aurato ko Banisbat Mardo ke Jyada hoti he, Dusri wajah ye thi
ki Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki owlaad nahi thi is liye Jyada Khushi unko hi Hasil honi thi kyunki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Beite Ismail Alayhesalam pehle Peida ho chuke the,
Hazrat Yakub Alayhesalam ki Basarat deine se is taraf isara tha ki Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki Umar itni Badi ho gayi ki ye Apne Ishaak ke Beite Yakub ko bhi deikhenge.
(Tafseere Khzainul Irfaan)
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki Umar is wakt 90 Saal thi, Tafseere Jalalein me 99 Saal Majkur he Aur Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Umar 120 Saal thi, is liye Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne Ta’ajub karte hue kaha tha
“Ajeeb Baat he ki Mera Baccha Peida hoga Jabki Me Budhi hu Aur Mere Sohar Budhe he, Beshaq ye to Bahot hi Ta’ajub Naak he”
(Tafseere Jalalein, Safa-185)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-137)
>> Hazrat Ishaak Alayhesalam Chote Aur Hazrat Ismail Alayhesalam Bade :-
Hazrat Ishaak Alayhesalam ki Basarat deine ke ek Saal baad ALLAH TA’ALA ne Unhe Peida Farma diya Aur Hazrat Ismail Alayhesalam ki Peidaish ke 14 Saal baad Ishaak Alayhesalam ki Peidaish hui Yaani unki Peidaish ke 13 Saal Baad Ishaak Alayhesalam ki Basarat di gayi.
(Tafseere Jamal Aliul Jalalein, Safa-185)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-138)
>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalm ki owlaad ke liye Dua Aur Hazrat Ismail Alayhesalam ki Peidaish :-
“Ay Mere RABB Muje Neik Aur Laaik owlaad Ata farma”
(Surah As Saffat, Aayat-100)
ALLAH TA’ALA ne Aapki is Dua ko Sarfe Qabooliyat Bakhshte hue irsaad farmaya
“To Hamne Unko ek Baradbaar Aqalmand Ladke ki Khus-khbri Sunaai”
(Surah As Saffat, Safa-101)
is Basarat se Muraad Hazrat Ismail Alayhesalam ki Wiladat ki Basarat he,
Allama Aalushi Rehmatullah Alay Tafseer me Farmate he
Yaani Aapko Basarat di gayi ki Aap ko ek Beita Ata kiya jayega jo Haleem Hoga, is se Badh kar Haleem ki Aur kya Misaal Milegi, jab Aap Balug(Baalig) ke Karib the, Aapke Walid ne Aapko kaha Ki me Tumhe khwab me Zabah karte hue Apne Aap ko deikh raha hu is me Tumhari kya Raay he? To Aapne Arz kiya ki Aap muje InshaAllah Sabiro se Payenge, ye Haleem to Baalig hone se pehle ka he Baalig hone ke baad Aap ke Haleem ka kya Makam hoga..?
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-126)
is se Wajeh ho gaya ki ye Hazrat Ismail Alayhesalam ki Basarat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-137)
>> Hazrat Ismail, Ishaak, Yakub Alayhesalam NABI hue
“Hamne unko ishaak (Alayhesalam) Aur Yakub (Alayhesalam) Bakhse Aur Har ek ko Geib ki Khbar deine wala Banaya”
(Surah Maryam, Aayat-49)
“Aur Hamne unko Apni Rehmat Ata Farmayi Aur unke liye Sacchi Buland Naamuri rakhi”
(Surah Maryam, Aayat-50)
isme Ishara he ki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Umar Sareef itni Lambi hui ki Aapne Apne Poute Hazrat Yakub Alayhesalam ko deikha Aur is Aayat se ye bhi Samaja jata he ki ALLAH TA’ALA ke liye Hijrat karne Aur Apne Gharbaar ko Choudne ki ye Jaza mili ki ALLAH TA’ALA ne Aap ko Beite, Poute Aur Maal va Doulat se Nawaza,
“Aur Kitaab me Ismail (Alayhesalam) ka Zikr kijiye Beshaq wo Wade ke Bade Sacche the Aur RASOOL the Geib ki Khbare Batate the Aur wo Apne Ghar walo ko Namaz Aur Zakaat ka Huqm deite the Aur wo Apne RABB ko Bahot Pasand the”
(Surah Maryam, Aayat-54, 55)
Hazrat Ismail Alayhesalam ne jo Wada bhi kiya ushe Jarur pura farmaya, ek Martaba Aap Aur Aap ka ek Saathi kahi ja rahe the to Saher ke Karib Pahonch kar Aapke Sathi ne kaha Yaha me Beithta hu Aur Tum Saher ja kar khana khrid laavo ya tum Beitho Aur me Khana Khrid kar lata hu, Aapne Farmaya Me Tumhara Yaha intejaar karunga Aur Tum hi chale jaav, khana Khrid laav, wo Bhool gaya 3 dino ke Baad ushe Yaad Aaya, Ya Baaz Riwayat me he ki ek Saal ke Baad Waha louta to Hazrat Ismail Alayhesalam waha hi Moujud the, isne Ta’ajub se pucha Tum Abhi Yaha hi ho..??
Aapne Farmaya Haa Wada ke Mutabik Muntazir to rehna hi tha.
(Hasiaa Jalalein, Safa-257)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-138)
> Hazrat Hajra Aur Ismail Alayhesalam ko Haram ki Sarzameen me Chod aana
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ka ALLAH TA’ALA ne Imtehaan liya ki Aap ko Huqm diya ki Aap Apni Zovja Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Apne Beite Ismail ko Haram ki Sarjameen me Chod aao, us Wakt Waha koi Sahar Aur Aabadi Nahi thi Balki Bayabaan Jangal tha,
Jaha Aaj Zamzam he Waha ek Darakht tha us wakt Na Makka Tha Aur Na hi koi kishi Inshan ka Waha Baseira tha Aur Waha Paani bhi Nahi tha, Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne ek thele me Kuch Khjoore Aur ek Maskija(Botal) me kuch Paani Maa-Beite ke Hawale karte hue Aur unko Zamzam ki Jagah ek Darakht ke Niche Choudte hue Wapis loute, to Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Aapka Picha karte hue pucha Ay Ibhrahim Aap Hame yaha chod kar kaha ja rahe he..? yaha koi Hamare Gamkhwar nahi Aur Nahi yaha koi Aabadi he ki Khane pine ki Chiz mil jaaye, Kai Martaba Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ke Puchne par Aap ne koi Jawab na diya to fir Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Pucha
kya ALLAH TA’ALA ne Aapko ye Huqm diya he..?
Aapne Farmaya Ha,
to Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne kaha
Acha Hame ALLAH TA’ALA Zaya nahi karega, ye kehte hue Wapis Apni Jagah par Lout aayi,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ek Ghati ke paas Pahonche jaha se Aap ko Apni Zovja Aur Beita Nazar Nahi Aa rahe the Aapne Beitullah Sareef ki Taraf Towajjo ki is wakt Sirf Beitullah ki Buniyaade ek Teila ki Manind Nazar aati thi Aur Dua ki
“Ay Mere RABB Mene Apni kuch owlad ek Nale(Meidaan) me Basai jisme Kheti(wageira) nahi hoti mere Hurmat wale Gharke Paas Ay Hamare RABB (ye is liye) ki wo Namaz Qayam rakhe to tu kuch logo ke Dil unki Taraf Jhuka de(ki wo Aakar Yaha Aabad ho jaaye) Aur unhe kuch Fal Khane ke liye Aata Farma Taaki wo (Tere) Sukr Gujaar rahe”
(Surah Ibhrahim, Aayat-37)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-139)
HAZRAT YOUSUF STORY IHAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 9N HINDI URDU PART 8
Leave A Comment