“namrud” badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam hazrat “sara” ka waqiya
>> Reiyt Gila Ban gayi :-
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Wapis lout te hue Raste me Reit ke teyle par Gujre, waha se Ek Theyle me Reit bhar kar Makaan par Pahonche, Thayla rakh kar so gaye, Aapki Zouja Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne use khowla to usme Nihayat Nafish(Ache) Gandum(Genhu) the, Aapne ishe Pish kar Rotiya taiyaar ki,
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Bedaar hue to Aapki Khidmat me Khana peish kiya gaya, Aapne pucha Ye Gandum kaha se Aayi he..?
Aap ki Zouja ne Arz ki Wahi jo Aap Theyla bharkar laaye he,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Samaj gaye ki RABB TA’ALA ne Muje Rizk diya he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-130)
>> Namrood Aur uski Koum ka Anjaam
 
Namrood ki koum par Maccharo ka Azaab bheja gaya, Maccharo ki Ziyadati ka ye Haal tha ki unse Suraj Chip gaya tha, Zameen par Dhoop Na Aati thi, Maccharo ne unke Khoon Choos liye, Ghost Chaat liye, Siwaaye Namrood ke Baaki Sab ki Haddiya hi Baaki rah gayi,
Namrood deikhta tha Magar kuch na Kar Sakta tha, Fir ek Macchar uski Naak ke Zariye Dimaag me Ghus gaya Aur 400 Saal tak Magaz kaat-ta raha, Jab Upar se Dhmak Pahonchti to Kaatna Chod deita, warna Kaat-ta, Chunanche Deen Raat uske Sar par Jute Aur Thappad padhte rehte the, Ab us ke Darbaar ka Adab ye tha ki Jo Aaye uske Sar par Juta Rasid kare,
is se Pehle 400 Saal Bahot Aaram se Saltanat ki Aur 400 Saal Pit ta raha, Fir Bejaar Zillat Mara, uski Umar 800  se Kuch Zyada hui.
(Tafseer Naeemi, Jild-3, Safa-63)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-130)

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Murdo ko Zinda hote deikhna Chaha

 
“Aur Jab Ibhrahim (Alayhesalam) ne Arz ki Ay RABB Muje dikha de tu kis tarah Murde jilaye(Zinda kare) ga (ALLAH TA’ALA ne) Farmaya kya tuje Yakin nahi Aapne Arz ki Yakin kyu nahi lekin me ye Chahta hu ki mere Dil ko Mazid Itmenaan(va Karar) Aajaaye”
(Surah Baqrah, Aayat-260)
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Murdo ko Zinda karne ki Kefiyat ka Musaheda karna chahte the,

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Murde ko Zinda hote hue dikhaya gaya

“Farmaya to Char(4) Parindey le kar Apne Saath bulale fir unka ek ek Tukda(Sameit ke) har Pahad par rakh de fir Unhe Bula wo tere Paas (Zinda ho kar) Doude chale aayenge Aur Jaan lo ki Beshaq ALLAH TA’ALA Zabardast Hikmat wala he”
(Surah Baqrah, Aayat-260)
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne 4 Parinde Yaani Mour, Gadha(Ek Riwayat me Gadhe ki jagah Kabutar ka Zikr he) kawwa Aur Murgi Apne Saath pehle Manus kiye fir ALLAH TA’ALA ke Huqm ke Mutabik unke Tukde kiye Aur unke Gost Aur Haddiya wageira ko Mila-jula karke Char(4) Pahado par unko rakh diya,
Fir Aapne Unhe Pukara
“Ay Juda Juda Haddiyo, Ay Mukhtelaf Gost ke Tukdo, Ay Kaate hui Rago, ek Dusre se Mil Jaav Taaki ALLAH TA’ALA Tumhari Rooho ko tum me Louta de”
ye Soon kar Haddiya Apni Dusri Haddiyo ki Taraf Chali, Yaani Har Parinde ki Apni Apni Haddiya ek Dusre se Mil gayi, Par Dusre Paro se jaa mile, Gost ke Tukde Dusre Gost ke Tukdo se Milne lage,
Yaha tak ki Khoon Khoon se mil gaya, is tarah Aap deikh rahe the ki Aapke Saamne Murdo ko Zinda karke Aapko Eynul Yakeen ka Martaba aata kar diya gaya, Fir ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi ki ke
Ay Ibhrahim(Alayhesalam) Tumne Mujse Sawal kiya tha ki Tu Murdo ko keishe Zinda karta he, Beshaq Mene Zameen ko Peida kiya he usme 4 Kism ki Hawae kaayam ki he,
1) Samaali(Uttar) Janib se Chalne wali Hawa,
2) Janubi(Dakshin) janib se Chalne wali Hawa,
3) Baadesaba,
4) Baadedabur,
Yaha tak ki Jab Qayamat ka Din hoga Tamam Murde Soor Fukne par Jama ho jayenge, jeishe un 4 Parindo ko Tumhare Saamne Pahado se Jama kar diya gaya he, Mere Saamne Tamam ka Peida karna Aur fir mout ke baad Zinda karna eyse hi he jis tarah kishi ek Shaksh ko Peida karna ya Zinda karna he.
(Roohul Maani, Jild-2, Safa-29)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-132, 133)
 

>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ka Hijrat karna :

 
“Aur Unhone kaha me (Darul Kufr se Hijrat karke) Apne RABB ki Taraf Janewala hu to wahi muje Rasta Batadega”
(Surah As Saffat, Aayat-99)
Yaani jaha mere RABB ne Huqm diya he me waha Ja Raha hu ki me waha Apni Ibadat ko behtar Tarike se Adaa kar sakunga.
(Ruhool Maani, Jild-12, Safa-126)
kyunki jo Koum Meri Nisaniya deikh kar bhi Imaan nahi laai waha Theharna Ab Be-Makshad he Aur Jab ALLAH TA’ALA ne bhi Huqm de diya he to yaha se Hijrat karna jaruri ho chuka he,
Ibtedaai Tour par Aap Namrood koum se Hijrat karke Apne Chcha ‘Haaraan’ ke paas Haraan me aagaye, ‘Haaraan’ ne Ibhrahim Alayhesalam ki Neik Bakhti deikh kar Apni Beiti Sara ka Nikaah Aap se kar diya, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Bahot hi Khoobsurat Owrat thi,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Waha bhi Apna Din Feilana Jari rakha, isliye Aap ke Chcha Haaraan ne bhi Aapko Ghar se Jaane ko keh diya,
Douraane Hijrat me Misr ke Jaalim Badshah ka Wakiya peish aaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-135,136)
InshaAllah wo Wakiya Next part me Aayega.

>> Douraane Hizrat me Zaalim Baadshah ka Anjaam

 
(Post Thoda Bada he, lekin Pura jarur padhe Bahot hi Pyara Wakiya he)
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ek deen (Hijrat ke Douraan) Aap Aur Aap ki Zovja ka eyshi Jagah se Gujar huwa jaha ek Jabir Zalim Shaksh Musallat tha us ko Logo ne bataya,
yaha ek Shaksh Aaya huwa he jis ke Saath ek owrat he jo Tamam logo se Jyada Haseen he, us Zalim ne Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Taraf Apna Kasida bheja ki wo un se puche ye Tumhare Saath owrat kon he..?
us ke Sawal par Aap ne Farmaya ye Meri Behan he Fir Aap Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Aaye unko kaha, Agar is Zalim ko Pata Chal gaya ki tum Meri Zovja ho to vo Jabran Tumhe Mujse Chin lenge, Agar wo Tum se Sawal kare tum us ko Khber deina ki Tum Meri Bahen ho is liye ki Islam me tum Meri Behan ho kyunki Roohe Jameen par Mere Aur Tumhare bageir koi Momeen nahi, us Jaalim ne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Kasida Bhej kar unko Apne Paas bula liya,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Khade ho kar Namaz Aada karni Suru farmaadi, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Jab us Zalim ke Paas Pahonchi us ne Aap ki Taraf Apna Haath Badhana chaha, Lekin wo ALLAH AZZAWAZAL ki Giraft me Aa gaya, Paagalo ki Tarah ho gaya, us ka gala ghoot gaya, Mooh se jhaag behne lagi, Ediya ragadne laga, Us ne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko kaha Tum mere liye Dua karo me Tumhe Taklif nahi Pahonchaunga, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne ALLAH TA’ALA se Dua ki wo Thik ho gaya, usne Dobara Haath Badhane ki koshis ki lekin pehle ki Tarah RABB TA’ALA ki Giraft me Aagaya Balki usse bhi Jyada, usne Fir Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha se Dua karne ki Darkhwast ki, Aapne Fir Dua ki Jab wo Thik ho gaya fir usne Apne Darbaan ko Bulaya Aur kaha
Tum Mere Paas kishi Inshaan ko nahi laaye Balqi kishi Jin ko le aaye ho,
us Zaalim ne Aap ko Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Batour Khadima de kar wapis Louta diya.
(Miskaat Shareef, Baab – Badul Khalk wa Zikrul Ambiya, Safa-506)
Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Room ke Baadshah ki beiti thi, unse Bhi us Jalim ka Anjaam eysha hi huwa tha,
usne kaha in dono ko yaha se Nikaal do ye dono inshan nahi balqi Jin he.
(Tafseere Naeemi)
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Paas Wapis aayi Aap Ibadat farma rahe the, Aapne Apne Haath Mubarak ke Isara se Pucha keisha Haal he..?
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne kaha, ALLAH ne Kaafiro ke makr ko ushi ke Sina par louta ya,
Yaani wo Zalil huwa usne muje Hajra Batour Khadima di,
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Ay Ahle Arab ye(Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha) Tumhari ‘Maa’ he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-116,117)
Sayad kishi ke Jehan me ye Sawal aaye ki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Apni Biwi ko Bahen kaha, to Ibhrahim Alayhesalam ne Juth kaha..??
Agar esha Sawal Aaye to Fouran ishe Jehan se Nikaal de, kyunki Ambiya Alayhesalam Juth Bolne se Paak hote he..
Aur
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Mutaalak Aapne Farmaya ye Meri Behan he, is ki wajah Hadees Sareef me Khood hi Waajeh he ki Aap ne ye Muraad nahi liya ki ye Meri Nasbi behan he balki Aapne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko kaha Tum Islaam me Meri Behan ho is liye ki Akhwatul Islaami ke lehaaj par Baap Beita bhi Bhai Bhai he, Maa, Beita, Bhai, Bahen he, ishi Tarah khawand Biwi ek Dusre ki Bhai behan he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-120)
Hazrat Daniyal Alaihis Salam story in urdu hindi
Hazrat ayub alaihis salam Story part 1
HAZRAT YOUSUF
Hazrat hood alaihissalam story in Hindi urdu part 1
STORY IN HINDI URDU PART 8