“Hazrat Ibhrahim alaihissalam” in hindi part read 1
“Jisne Hamare khudao ke Sath ye Harkat ki he beshaq wo bada Jaalim he fir (Aapasme) kehne lage ki Hamne Ek Jawan ko jisko Ibhrahim (Alayhesalam) kaha jata he, in Buto ko Bura kehte Suna he (Fir Aapas me) kehne lage ki Us Jawan ko logo ke Saamne Laav Sayad wo log Gawahi de (Chunanche Hazrat ibhrahim Alayhesalam ko laya gaya Aur Unhone Aapse) kaha ki Ay Ibhrahim kya Tum ne Hamare Buto ke Sath ye Harkat ki he ?
Aapne Farmaya Balqi in ke us Bade ne kiya hoga to Agar ye Bolte ho to unse Puch deikho fir wo Apne logo ki taraf Loute Aur Baaham(Ek Dusre se) kehne lage ki Beshaq Tum hi Jalim Aur Na inshaf ho, fir Sarmindagi se unke Sar Jukaaye gaye(Aur kehne lage Ay Ibhrahim) beshaq Tum jante ho ki ye Bol nahi sakte he Ibhrahim(Alayhesalam) ne Farmaya ki Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa eshi chiz ko Pujte ho ki jo na Tumhe kuch Nafa de sakte he Aur Na Kuch Nukshan Taf he Tum par Aur Tumhare Un Ma’abudo par Jinko Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa Pujte ho kya Tum me kuch bhi Aqal nahi
(Surah Ambiya, Aayat- 59, 60, 61, 62 ,63 ,64, 65, 66, 67)
“Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ne Tamam Buto ko Todfod kar Chukna Chur kar diya Siwaye Bade But ke, Aap ne Basola Uske Kandhe par rakh diya jab Koum ke Log Wapish aaye to kehne lage Hamare Khudao ko Kisne Tod diya he,
Keise Be-Aqal log the jinko Abhi Tak Samaj nahi aa raha tha ki jo But Apne Aapko nahi Bacha sake wo Kya Imdaad karenge..
Unke us Sawal par ki Hamare Khudao se ye Suluk kisne kiya, un logo ne bataya jinke Samne Ibhrahim Alayhesalam ne kaha tha ki me Tumhare Khudao se kuch Na Kuch Bada Suluk jarur karunga, ki ye kaam Ibhrahim Alayhesalam ne hi kiya hoga, kyunki wo Hamare Khudao ki Buraiya baya karta tha, Ab wo kehne lage ki Ibhrahim ko Saamne laav Taaki us par Gavahiya Kayam karke Mukadma Kayam kiya ja sake,
“Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ko Laya gaya, Aapse Pucha gaya ki ye Kaam Tum ne kiya he..?
Aapne Farmaya ki Basola Tumhare Bade But ke Kandhe par he usne ye kiya hoga, Apne Un Khudao se hi Puchlo Agar Bolte he to Batayenge,
Aapke is Hakimana Jawab par kuch Deir ke liye to wo Sochne lage ki Ibharhim Alayhesalam Haqq par he Aur Ham hi Bewkuf he ki eshe Khudao ki Puja kar rahe he jo Apne Aapko bhi nahi bacha sake, ye Haqiqat he ki Ham us Maamle me Apne Aap par Julm kar rahe he, lekin kuch deir baad un par Fir Badbakhti Sawar ho gayi, kehne lage Ham inse Keishe Puche ye to Bolte hi nahi is tarah wo Apni Gumrahi par Kayam rahe.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-115, 116)
>> Buto ko Todne par “Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ko Saja
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Jab Kuffar ke Banawati Khudao ko Tabah kar diya to Aur Dalail me bhi un par Galb Hasil kar liya to Unhone Aapse Badla lene ka Feishla kar liya Aur Sab Sajao se Sakht Tajvij ki Yani ye ki Aapko Aag me jala diya jaaye Halanki Aag ka Azaab Sirf ALLAH TA’ALA de Sakta he Bandey ke liye Jaiz nahi ki kishi ko Aag ka Azab de lekin Namrud Aur uski Koum ne Aap ko Jalane ki Saja di,
Quraane Paak me he ki
“But parasto ne (Maswara karke) kaha ki Inke liye ek Imaarat banawo (usme Aag jalawo) fir unko us Badhakti Hui Aag me feink do”
(Surah As Saffat, Aayat-88, 89)
Yaani Ird-gird Bahot Badi Dewaar bana kar uske Darmiyaan Aaag jala kar Ibhrahim Alayhesalam ko usme Daal do,
“(Kafir) kehne lage ki Agar Tum Kuch Karna Chahte ho to Ibhrahim Alayhesalam ko Jalado Aur Apne Ma’abudo ki Madad karo”
(Surah Ambiya, Aayat-68)
kitne Bewkuf log the ki ye bhi Nahi Samaj rahe the ki jin Buto ki Imdad kar rahe he wo Khud Apni liye Kuch Na kar sake, wo Khuda banne ke Kabil keishe..
>> “Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ko Aag me Jalane ke liye jo Char Diwaare banayi gayi uski
Mikdaar :-Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya ki uski Bulandi 30 Zarah(45 Fit) Aur Chodhai 20 Zarah(30 Fit) Aur Tal 30 Zarah(45 Fit) thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-150)
>> “Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ko Aaag me Daalne ka Maswara dene wala
Hazrat Muzahid kehte he ki Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya
Ay Muzahid kya Tumhe Malum he ki Ibharahim Alayhesalam ko Jalane ka Sabse Pehle Maswara dene wala koun tha…??
Mene kaha Muze to Ilm nahi,
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya wo Faras ke Gaav me Rehnewala Shaksh tha, jis ka Naam ‘Ikraad’ tha,
Baaz jagah uska Naam ‘Ikraad bin Atit’ he,
us Naam ke Mutabik do Koul Aur bhi he
ek Koul ke Mutabik Naam ‘Hayun’ he Aur
Dusre Koul ke Mutabik ‘Hadir’ he,
Us Shaksh ko ALLAH TA’ALA ne Jamin me Dhansha diya he Aur Qayamat tak Dhansta chla jayega,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Jalane se Pehle Keid kar diya gaya,
Unhone(Koum) ne fir Aag jalane ke liye 4 Diwaar Baadh ki tarah Banani suru kardi, Jab Baadh Taiyaar ho gaya to Fir Lakadiya jama karna Suru kar diya, Har Kism ki Lakadiya 40 Din tak wo Sab Loug Jama karte rahe,
Yaha Tak ki Agar koi Budhi Aurat Bimaar ho jati to wo bhi kehti Agar Muje is Bimaari se Shifa Hasil ho gayi to me Ibhrahim (Alayhesalam) ko Jalane ke liye Lakadiya Laungi.
>> Aaag keishi thi :
Jab Tamam logo ne mil kar 40 din tak Mehnat karke Kasir Mikdaar me lakadiya jama karli to Aag jala di gayi Aaag ke Soule Aasmano se Baate Karne lage, itni Azeem Aur Sadid Aag thi ke Uske Upar Fiza me bhi koi Parinda nahi ud Sakta tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-121,122)
Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4
>> Aaag me Daalne ke liye Seitaan ki Madad
Hazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana hindi
Jab Aaag Bahot Jyada Soulajan ho gayi us ki Garmi itni door door tak feil gayi ki Aaag ke Karib jana kishi inshan ki takat me na raha, to wo Kuffar Heiraan Pareshan ho gaye ki Sab Mehnat Zaya jati he kyunki unhe Samaj nahi aa raha tha ki Ibhrahim Alayhesalam ko Aag me keishe Dala jaaye..
Tab Seitaan ne Aakar unki Madad ki ke Munjanik Taiyaar ki jaye Aur Ibhrahim Alayhesalam ko Rassiyo se Jakad kar Munjanik me rakh kar Aag me feink diya jaaye,
khyaal rahe Sabse pehle Duniya me yahi Munjanik Taiyaar hui Baad me isko Jango me istemaal kiya jata raha Aur Munjanik ke jariye Patthero ko golo ki tarah feinka jata tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-122)
>> Jameen va Aasman ki Makhluk ki Fariyaad
namaz e tahajjud ki fazilat hadise nabwi in hindi urdu part 2
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko jab Rassiyo se Baandh kar Munjanik me rakha gaya to Siwaye Jino Aur Inshano ke ALLAH TA’ALA ke Jamin va Aasman ki Sari Makhluk Chilla uthi Aur ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Fariyaad karne lage,
Ay PARWARDIGAARE AALAM Jamin me Siwaye Ibhrahim Alayhesalam ke koi Aur Nahi jo Teri Ibadat kare, Ay ALLAH Aaj wo Teira Naam lene ki wajah se Jalaya ja raha he,
Jamin va Aasman ke Fariste, Jaanwar, Sabhi ye Maanzra deikh kar Heiraan va Pareshan he,
RABB TA’ALA ki Hikmat se bekhbar the, Soch rahe the Ab kya hoga…?? ALLAH TA’ALA ka Naam lene wala to Aaj jal jaayega, Ab Jamin me ALLAH TA’ALA ki Ibaadat karnewala koun hoga…??
Leave A Comment