Ab se InshaAllah,
ALLAH TA’ALA ke Pyare RASOOL “Hazrat ibrahim alaihissalam” ke Baare me Jaankari di jaayegi..Aap logo se Gujarish he ki Post ko Padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhaiyo tak Pahochate rahe..
Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sath hi Sath Aap bhi Sawab paane me Samil ho jaye,

“Hazrat ibrahim alaihissalam”

Aap Tarikh Ibne Nakhud ke Farzand(Beite) he, Aapka Naam Ibhrahim Aur Aapka Lakab Abu Al Zayfan(Bahot Bade Mehman Nawaz) he,
>> Nasab (Pedhi) :-
“ابراھيم ابن تارخ ابن ناخود ابن ساروء ابن رعو ابن تاتع ابن عابر ابن شالح ابن ارفحشذ ابن سام بن نوح”
(Tafseere Haqqani)
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Peidaish Tufaan ke 1709 Saal Baad Aur Isha Alayhesalam se Takriban 2300 Saal pehle Saher ‘Baabil’ ke Karib Kasba ‘kuni’ me hui.
(Tafseere Azizi, Safa-543)
Aur Ek Koul ke Mutabik Aap ki Peidaish ‘Amwaj’ ke Ilake ‘Sous’ ke Makam par hui,
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630)
 

>>”Hazrat ibrahim alaihissalam” ko Jamin va Aasman ki Milkiyat Dikhayi gayi :-

ALLAH TA’ALA ne Quraane Paak me Farmaya
“Aur is tarah Ham Ibhrahim (Alayhesalam) ko Aasman Aur Jamin ki Badshahat dikhane lage(Taaki wo Samje) Aur Is liye ki wo use deikh kar (Kamil) yakin Karnewalo me se ho jaye”
(Surah An’aam, Aayat-75)
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Jamin va Aasman ki Tamam Chize dikhai gayi, Yaha tak ki Chand, Suraj, Pahad, Darkht, Aur Darya Tamam Chizo ki Haqiqat ko Aapne Deikha Aur Tamam Roohe Jamin Aur Aasman ko deikha,
Allama Aalushi Rahmatullah Alay Farmate he
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Tamam Nishaniya Aur Tamam Ijaaebaat dikhayi gayi, Beshaq Aap par 7 Aasman Jaaher kar diye gaye to Ibhrahim Alayhesalam ne Aasmano aur Jamin ki Chizo ko deikha yaha tak ki Aap ki Nazar Arshe ILAAHI tak Pahonchi, is tarah Aap par 7 Jamine Jaaher kar di gayi to Aapne Jamino ki Har Chiz ko Deikha.
(Roohul Maani, Jild-4, Hissa-2, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-110)
SubhanAllah.
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Ilm ka ye Makam he to SAYYADUL AMBIYA HABIBE KIBRIYA MOHAMMAD MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam ke ilm ka kya Aalam hoga.

>> “Hazrat ibrahim alaihissalam” ko 3 Tarah ke Inshano ki Pehchan batayi gayi :-

Ibne Marduvya Rahmatullah Alay ne Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwayat baya ki ke HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Jamin va Aasman ki Baadshahat ko deikh li to Aap ne ek Shaksh ko Gunaah karte hue deikha Yaani jo kahi Door daraj chip kar Gunah me Mubtila tha lekin Aapne use deikh liya to Aapne uske Khilaaf Dua Farmaayi, RABB TA’ALA ne use Halak kar diya, Fir Aap Dusre Aadmi ke Gunah par Muttela hue to Uske Khilaaf bhi Dua ki, ALLAH TA’ALA ne Ushe bhi Halak kar diya, Fir Aap ek Aur Shaksh ke Gunaah par Muttela hue to Aapne Uske khilaaf Dua karne ka irada kiya hi tha ki ALLAH TA’ALA ne Aapko Mana Farma diya ki Ay Ibhrahim Aap Mustajabul Davat he Mere Bando ki Halakat ki Dua na kare kyunki Mere Bandey 3 kism ke he
Yaato Gunehgaar honge lekin Touba kar lenge Aur me Unki Touba Qabool karunga,
Ya wo Khud to Gunehgaar hi rahenge lekin unki Owlaad me eyse Neik Log honge jo Jamin ko Zikr se bhar denge Yaani ALLAH TA’ALA ki Hamd va Sana Tasbih va Tahlil itni jyada Karenge ki Unke Feizan se Aur Log bhi ALLAH ke Zikr me Masgul ho jayenge,
Ya wo log Gunaaho ke Haal me hi Mar jayenge Aur Meri Kabza e Qudrat me honge, uske Baad Meri Marzi ki baat he ki me Unko Maaf kardu Ya Saja du.
(Roohul Maani, Jild-4, Hissa-2, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-110, 111)
 

>>”Hazrat ibrahim alaihissalam” ne But-Parasto ka Radd Farmaya, 1

Quraan Sareef me he ki
“(Ay NABI, Yaad kijiye) Jab Ibhrahim (Alayhesalam) ne Apne (Arafi) Baap(chcha) Aazr se kaha ki Kya Tum Buto ko khuda banate ho Beshaq me Tumhe Aur Tumhari koum ko kheli hui Gumrahi me Pata hu”
(Surah An’aam, Aayat-74)
“(ibhrahim Alayhesalam) ne Apne Aarafi Baap(chcha) se kaha Ay Mere Baap Eshi Chizo ki kyu Ibadat karte ho jo Na Sun Sakte he Aur na deikh sakte he Aur na Kuch Aapke Kaam Aa sakta he Ay Mere Baap Mere Paas wo Ilm Aaya jo Aapke Paas nahi Aaya to Aap Mere Piche Chale Aaye(Mere Kehne par chale) Me Aap ko Shidha Rasta Dikhaunga, Ay Mere Baap Seitaan ki Puja na kijiye, Beshaq Seitaan to Rehmaan ka Nafarman he”
(Surah Maryam, Aayat-42,43,44)
in Tamam Aayat me Baap se Muraad Aapka Chcha ‘Aazr’ hi he, Aap ne Ushe Nasihat karte hue kaha ki Jin Buto ki Tu Puja kar raha he wo Teri Ibadat ko nahi deikh sakte Teri Sana ko nahi sun sakte Aur bhi kishi Chiz ko Deikhna Aur kishi kism ka Kalam Sunna unki Takat Me nahi Aur Tumhari Ya kishi Aur ki Imdaad karna Aur kishi Kism ki Musibat se Nazaat deina Aur Tumhe Be Parwa karna Jab unhe Hasil nahi to Wo Ibadat ke layak kabhi nahi ho sakte Balqi unki Ibadat Karna Haqiqat Seitaan ki Ibadat he kyunki Usse Wo Khus hota he Aur Buto ki Ibadat Karna ushi ke Dhoke Aur Fareib ka Natija he is liye Tum Seitaan ki Ibadat choud do, kyuki Seitaan ALLAH TA’ALA ka Nafarmaan he wo khud to Mardud ho chuka he Aur Dusro ko bhi Behkaane me Har wakt Koshis me laga rehta he, wo to Chahta he ki Koi Na koi Mere Daame Fareib me Fash kar RABB TA’ALA se Door ho jaaye Aur uske Ajaab ka Mustahak ban sake.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-111,112)
 

“Hazrat ibrahim alaihissalam” ne But-Parasto ka Radd Farmaya,

Quraane Paak me he
“Jab ki Unhone (Hazrat Ibhrahim Alayhesalam) ne Apne Aarafi Baap (Chcha Aazr) Aur Apni Koum se kaha Tum kis ko Pujte ho unhone Kaha Ham Buto ko Pujte he pas Unke gard Aasan Mare beithe rehte he Ibhrahim (Alayhesalam) ne Farmaya kya Jab Tum unhe Pukarte ho to kya wo Tumhari (Pukaar) Sunte he Ya Tum Kuch Fayda ya Nukshan pahoncha sakte he unhone kaha Balqi Hamne Apna Baap Dada ko eshe hi karte paya he Ibhrahim (Alayhesalam) ne Farmaya kya Tum deikhte ho ye jinhe Tum Aur Tumhare Agle Baap Dada Puj rahe the to Beshaq wo Sab mere Dusman he Siwaye PARWARDIGAAR Aalam ke jisne Muje Peida Kiya wahi Muje Raah deita he Aur Wahi Muje khilata he Aur Pilata he Aur jab Me Bimaar hota hu to Muje Shifa deita he wo jo Muje Mout deiga fir muje Jinda Farmaayega”
(Surah Su’ara, Aayat – 70, 71, 72, 73, 74, 75, 76, 77, 78, 79, 80, 81)
in Aayate Kareem me Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ka Zikr kheir kiya ja raha he, kyunki Aap Kureish ke Jadda-e-Aala Aur Kaba ke Baani the, Kureish ko unki Nasal hone par Bada Naaz tha, is liye Unke Saamne Aapke Aqaaid Baya Farmaaye ja rahe he Taaki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Jadda-e-Aala Karnewale Aur us Nisbat par Fakhr karnewale Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke RABBE AKBAR par Bhi Imaan laye Jis tarah Aapka Daaman Kufr va Shirk ke Aalaisho se Bilkul Paak tha ushi tarah ye bhi Apne Daago ko Door karke Touhid khalis ikhtyaar kare,
Allama Kazi Sanaullah Paanipati Rahmatullah Alay Tafseere Mazhari me Farmate he
“le’abihe”se Muraad Aazr he jo Aap ka Chcha tha kyunki Usne Aapki Parvarish ki thi is liye Baap kaha gaya.
(Tafseere Mazhari, Jild-7, Safa-70)
Fir Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Farmaya un Andhe Behre Buto ke Muta’alak Tum jo Chaho kehte raho, me unhe Apna Dusman Aur Badkhwa Samaj raha hu, Meri Bandagi ka Ta’aluk Sirf us Ma’abud bar-Haqq ke Sath he jo Qaayenaat ki har chiz ko uske Martaba kamaal tak pahonchata he.
(Tafseere Ziyaul Quraan, Jild-3, Safa-398)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-113)
Us Koum ka Salana ek Mela Lagta tha, Jangal me jate the Aur Saam tak Waha Lahu-va-la’ab me Masgul rehte the, Wapishi ke Wakt But-khana me Aate the Aur Buto ki Puja karte the iske Baad Apne Makano ko Wapish jate the,
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne un Buto ki Mazammat Baya ki to Unhone Kaha Kal Hamari Eid he,
Jangal me Mela Lagega, Ham Nafish Khane paka kar Buto ke paas rakh jayenge Aur Mele se Wapis ho kar Khayenge, Aap bhi Hamare Sath chaliye deikhiye ki Hamare Deen Aur Tarike me kya Bahaar he Aur keishe Lutf uthate he,
jab wo Mele ka Deen Aaya to Aapko Chalne ke liye kaha gaya to Aap ke Jawab ko Quraane Paak me Farmaya gaya
“Aapne Ek Nigaah Sitaro ko deikha fir Farmaya ki Beshaq me to Bimaar hu”(Me Tumhare Sath nahi Chal sakta)
(Surah As saffat, Aayat-88, 89)
Aapne Sitaro ko Eshe deikha jeishe Sitaro ka Hisaab laganewale deikhte he, Koum Chunki Sitaro ke Hisaab ko bahot Manti thi, unhone ye Samja ki Saayad Aapne Sitaro se Hisaab laga kar ye Samja ki Aap Bimaar hone wale he, is tarah Koum Aap ko Choud kar Apne Mele par chali gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-113, 114)
 
> Bhaiyo Post Thoda bada he, Magar Bahot Pyara Wakiya he, ek Baar pura jarur Padhe..

>>

“Hazrat ibrahim alaihissalam” ka Buto ko Todna :-

Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne kai logo ke Saamne ye Waje Tour par keh diya tha
“Aur (Muje) ALLAH TA’ALA ki Kasam Me Tumhare Pith feir kar Chale jane ke Baad Jarur Tumhare Buto ki Poshida Tarbir karunga”
(Surah Ambiya, Aayat-57)
Jab Koum Apne Mele par chali gayi to Aapne Mouke ko Ganimat Samja ki Ab Apne irade ko Amali Jaam Pehchane ka Sunheri Wakt aa gaya he, Aapne But-khana ka Rukh kiya, waha jakar deikha ki Koum But ke paas tarah tarah ke Khane Rakh kar Gayi he ki Wapis Aakar Khayenge Aur Buto ki Puja karenge, to Aapne Buto ke Karib ja kar kaha
Tum khate kyu nahi…?
Ibhrahim Alayhesalam ke is irsaad par jab Buto ki taraf se koi Jawab na Aaya to fir Aapne unhe kaha
Tumhe kya huwa Tum Bolte kyu nahi…??
wo bejaan Patther ki Murtiya thi unki taraf se kya Jawab aana tha, Jab Aapne deikha ki ye But khaane ke kabil nahi, Bolne ki unme Takaat nahi, Apne hi Hatho se Tarase Hue Patthero se Bejaan But he, to Aapne Unko Maarna Suru kar diya,
“Ibhrahim (Alayhesalam) ne Siwaaye Unke Bade But ke Sab Buto ko Tukde Tukde (chura chura) kar diya Sayad wo us Bade But se kuch Puche”
(Surah Ambiya, Aayat-58)
koum ko waha hi pata chal gaya ki Hamare Buto ko Toud diya gaya he to wo Jaldi se uski Taraf Mutawajjo hue,
Chunanche wo Aaye Aur Apne Buto ka ye Haal deikh kar kaha
“Jisne Hamare khudao ke Sath ye Harkat ki he beshaq wo bada Jaalim he fir (Aapasme) kehne lage ki Hamne Ek Jawan ko jisko Ibhrahim (Alayhesalam) kaha jata he, in Buto ko Bura kehte Suna he (Fir Aapas me) kehne lage ki Us Jawan ko logo ke Saamne Laav Sayad wo log Gawahi de (Chunanche Hazrat ibhrahim Alayhesalam ko laya gaya Aur Unhone Aapse) kaha ki Ay Ibhrahim kya Tum ne Hamare Buto ke Sath ye Harkat ki he ?
Aapne Farmaya Balqi in ke us Bade ne kiya hoga to Agar ye Bolte ho to unse Puch deikho fir wo Apne logo ki taraf Loute Aur Baaham(Ek Dusre se) kehne lage ki Beshaq Tum hi Jalim Aur Na inshaf ho, fir Sarmindagi se unke Sar Jukaaye gaye(Aur kehne lage Ay Ibhrahim) beshaq Tum jante ho ki ye Bol nahi sakte he Ibhrahim(Alayhesalam) ne Farmaya ki Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa eshi chiz ko Pujte ho ki jo na Tumhe kuch Nafa de sakte he Aur Na Kuch Nukshan Taf he Tum par Aur Tumhare Un Ma’abudo par Jinko Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa Pujte ho kya Tum me kuch bhi Aqal nahi
(Surah Ambiya, Aayat- 59, 60, 61, 62 ,63 ,64, 65, 66, 67)