Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aag me dalnne ka waqiya in hindi Farishto ne Aap ki Imdad karne ki ALLAH TA’ALA se ijajat talab
ki Jamin va Aasman ke Faristo ne ALLAH TA’ALA ke Huzre Arz ki Ay ALLAH Hame Ijajat Farma ki Ham Ibhrahim Alayhesalam ki imdad kare,
ALLAH TA’ALA ne Unhe Ijajat Aata Farmadi ki Agar wo Tum se Imdad Hasil karna Chahte he to Tum unki Imdad karo Aur Agar wo Mere Bageir kishi Aur se imdad nahi Hasil karte to Me unhe Jyada Janta hu Me hi Unka Wali hu, Unka Maamla Muz par hi Chod do, Beshaq wo Mere KHLEEL he, is Wakt Tamam Roohe Jamin par unke Bageir Aur Mera Koi KHLEEL nahi Aur me hi Unka Ma’abud hu Mere Bageir unka koi Ma’abud nahi,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Paas Hawao par Mukararr Farista Aaya Aur wo Farista bhi Hazir huwa jo Paaniyo par Mukararr tha, un dono ne Arz kiya Aap Hame Ijajat Farmaaye ki Ham Aaag ko Khtm karde,
Ibhrahim Alayhesalam ne Farmaya Muje Tumhari Imdad ki koi Jarurat nahi, Mera ALLAH muje Kaafi Aur Wahi Behtarkar Saaj he,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Paas Zibrail Alayhesalam aaye Aur Arz kiya ki Aapko Mere Imdad ki Jarurat ho to me Aap ki imdad karu,
Ibhrahim Alayhesalam ne Farmaya Muje Tumhari Imdad ki koi jarurat nahi, Zibrail Alayhesalam ne kaha Acha to Fir Apne RABB TA’ALA se hi Sawal karlo to Aapne Farmaya wo Mere Haal ko Janta he Sawal ke Bageir hi Muje Kaafi he.
kuch logo ka kehna hota he ki ALLAH TA’ALA ke NABI Aur Waliyo se imdad karna jaiz nahi, Agar Jaiz hota to ibhrahim Alayhesalam Faristo se Imdad talab karte,
Kaash un logo ko ye Samaj Aajaye ki AMBIYA E KIRAAM ka Makam Malaika(Faristo) se Buland he, unhe kiya Jarurat he ki wo Apne se kam Martabe waalo se Imdad talab kare,
fir Ibhrahim Alayhesalam ki Tarah Aam Inshan Tawakkal keishe kar sakta he..? wo to ALLAH TA’ALA se bhi Sawal nahi karte ki wo Khud hi Janta he Muje Sawal karne ki kya Jarurat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-122, 123)
>> Chipkali ka Aaag ko Funk deina :
Bukhari Sareef ki Riwayat me Aaya huwa he ki Chipkali Aaag me Funke deiti thi,
Muslim Sareef me Hazrat Said RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he,Beshaq HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Chipkali ko Qatl karne ka Hukm diya Aur usko Badi Chiz ke Naam se Taabir Farmaya,
Ek Aur Riwayat me he ki Chipkali ko pehle hi waar se Qatl karne me Jyada Sawab he, Aur Dusre waar se Qatl karne me Us se Kam Sawab he Aur Tisre waar se Qatl karne ka Usse kam Sawab he.
(Sarah Sahi Muslim, Jild-2, Safa-244)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-123)
>> Hazrat Ibhrahim Alayesalam ko Aaag me Dala gaya
Ibhrahim Alayhesalam ne Faristo se Imdad lene se inkaar kar diya, ALLAH TA’ALA se bhi Sawal na kiya ki Aag me Jaane se Pehle hi Muze Bachalega, Bas Sirf Ek Baat Nazar thi ki RABB TA’ALA jis par Raaji he me bhi us par Raaji hu,
Kafirone Jab Hazat Ibhrahim Alayhesalam ko Rassiyo se Bandh kar Munjanik me rakh kar Aaag me Dalna Chaha to Aapne Ye Alfaaz Mubarak Padhe
“Tere Bageir koi Ma’abud nahi Teri Jaat Paak he, Sab Taarife Tere liye hi he, Sab Chize Tere hi Mulk me he Tera koi Sareek nahi”
Kafiro ne Aapko Aaag me Feink diya, ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Farmaya
“Ay Aaag Ibhrahim(Alayhesalam) par Thandi ho ja Aur Salamati ke Sath Raho(ki Unko koi Taklif na pahonche)”
(Surah Ambiya, Aayat-69)
ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Thandi ho jane ke Sath Sath Salamati ka Huqm bhi diya Taaki Ibhrahim Alayhesalam ko kishi kism ka bhi Nukshan na ho,
Munsad Ahmad me Hazat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ka Irsaad Mazkur he ki
Agar ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Salamati ka Huqm na deita to Aaag itni Thandi ho jati ki Aapka Sardi se Wisaal ho jata,
Ek Riwayat me Aata he ki Jab Ibhrahim Alayhesalam ko Aaag me Dala gaya to Aaag Bahar Bahar Jalti rahi Lekin Uski Hararat(Garmi) Ibhrahim Alayhesalam tak na Pahonch Saki, Balqi Aaag ke Andar Ek Baag Bana diya gaya,
Yaani Jab Aap ko Aaag me Dala gaya to Faristo ne Aapko Pehluo se Pakad kar ek jagah Jamin me Bitha diya jaha ek Mithe Paani ka Chsma tha Aur Ird-gird Gulaab, Nargis Aur Chambali ke Poudhe Aur Fool Apna Haseen va Jameel Manzar Peish kar rahe the, Aaag ne Sirf un Rassiyo ko Jalaya Jinse Aapko Bandha gaya Aur unke Jalne se bhi Aap ko kishi kism ka koi Dard nahi Huwa,
Khyaal Rahe ki Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Aaag ko Thandi Hone ka Huqm diya gaya, us Wakt Duniya me koi Eshi Aaag nahi thi jo Buz na gayi ho,Yaani Duniya ki Tamam Aaage ek Martaba Buz gayi thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-124)
>> Namrud ka Ibhrahim Alayhesalam ko Baag me deikhna
Namrud ne Apne Mehal ki Bulandi se deikha to ibhrahim Alayhesalam ko ek Baag me Beithe hue paya Aur ek Shaksh(Farista) ko bhi Aap ke paas Beithe hue Deikha Aur Aap ke Ird-gird Lakadiyo ko Jalte hue Aaag ke Soule Bhadakte hue deikh kar Aap ko Pukarne laga,
Ay Ibhrahim (Alayhesalam) kya Tum us Aaag se Nikal sakte ho..??
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Farmaya Ha Nikal Sakta hu,
usne kaha Utho Aur Nikal Aao (Mumkin he us ne ye samja ho ki Jab Niklenge to Bahar Jalti hui Aaag se Gujrenge to Jal Jaayenge)
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam uthe Aur Chalte Chalte Aaag se Nikal aaye,
Hazrat Ibhrhim Alayhesalam se Namrud ne pucha ki Tumhare paas Tumhari hi Sakl ka Dusra Aadmi kon tha..?
Ibhrahim Alayhesalam ne farmaya ki wo Saya par Mukararr Farista tha jise ALLAH TA’ALA ne Mere Paas is liye Bheja tha ki Muje Akele Hone se kishi Kism ki Koi Ghabhrahat na ho Balqi me us se Ins Hasil kar Saku.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-125 )
>> Namrud RABB ki Qudrat ka ikrar karne ke Bawajud Gumrah raha
Namrud ne kaha Jab mene Tumhare RABB ki Ijjat va Qudrat ko deikha to mene Nazar maani ki me Tumhare RABB ka Qurb Hasil karne ke liye Qurbaani Karunga, is liye me Tumhare RABB ke Hujra 4 Hajar(4000) Gaay ki Qurbaani Peish kar raha hu,
Ibhrahim Alayhesalam ne Farmaya jab tak Tum Apne Din par Qayam ho us Wakt tak ALLAH TA’ALA Tumhari Qurbaani ko Qabool nahi karega,
us ne kaha Me Apni Baadshahi ko to Nahi Choud Sakta Albatta Qurbaani Jarur karunga, us ne Apni Nazar ke Mutabik 4 Hajar(4000) Gaaye Zabah kardi Aur Aainda Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ko Saja na deine ka irada kar liya Albatta Wo Apne Kufr par hi Kayam raha Imaan us ko Nasib na ho saka,
Baaz Riwayat me he ki Jab Kuffar ne deikha ki Ibhrahim Alayhesalam ko Aaag ne nahi Jalaya to unhone kaha ki Ibhrahim Alayhesalam ne Aaag par Jaadu kar diya he unhone Tajurba karne ke liye ek Boreh ko Aaag me Dala to Aaag ne use Jala diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-150)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-125)
Leave A Comment